Arafah Ka Roza - Aek Tehqqeqi Jaizah
Arafah Ka Roza - Aek Tehqqeqi Jaizah
Arafah Ka Roza - Aek Tehqqeqi Jaizah
Doosra Ishkaal:
Wuqoof Arafah ke Qa’eeleen (yani rozay ka talluq Wuqoof e
Arafah se hai yeh kehney walon) ka aik Ishkaal yeh hai ke
Ahadees mein Yaum e Arafah ki badi fazeelat aai hai aur Arafah
wuqoof e Arafat par hai is liye Arafah ke wuqoof par hi yeh roza
rakha jaye.
Yeh baat sahih hai ke Arafah ki badi fazeelat aayi hai, is mein
koi shak nahi hai lekin Arafah ke roza se mutalliq yeh kehna ke
is ki fazeelat ki wajah se wuqoof e Arafah par hi roza rakhna
hai, yeh galat istadlaal (argumentation) hai. Allah Taala ne
Yaum e Arafah ko Hajiyon ke alawah poori duniya ke
musalmanon ke liye fazeelat ka baais banaya hai. Hajiyon ko
wuqoof e Arafah ka sawab milta hai jabki dunya walon ko Yaum
e Arafah ka roza rakhney ki wajah se sawab milta hai. Aur is
baat par hairan (surprised) honay ki zaroorat nahi ke Yaum e
Arafah to aik din hota hai phir apney apney mulkon (countries)
ke hisaab se kaisay fazeelat hogi tab to kai din ho jayengey. Is
ko misaal (example) se yun samjhein ke Allah Taala ne Lailat ul
Qadr aik banai hai lekin saarey musalmanon ko apney apney
hisaab se fazeelat milti hai. Saudi mein aik din pehlay Shab e
Qadr, India aur Pakistan mein aik din baad Shab e Qadr, raat
aik hi hai aur sawab ki umeed har mulk waley apney apney
mulk ke hisaab se Shab e Qadr mein beedar ho kar rakhtey
hain.
(2) Jab un se kaha jaye ke aaj se 100 saal pehlay log Arafah ka
roza rakhtey they ke nahi? Agar rakhtey they to yaqeenan woh
apni country ke hisaab se rakhtey hongey (is ka inkaar karney
ki kisi ko himmat nahi) to jawab detey hain ke us waqt pata
nahi chal paata tha is liye woh ma’zoor they.
Yeh jawab kuch hazam nahi ho pata. Is jawab ko maan lenay se
yeh maanna padega ke pehli sadi se lekar aaj tak kisi ne Arafah
ka roza sahih nahi rakha siwaaye Arab walon ke jabki Islam aik
aafaqi (universal) mazhab hai woh sab ke liye aik jaisa dastoor
(rule) paish karta hai chaahey koi Saudi Arab ka ho ya doosri
country ka aur Islam par amal karney ke liye kisi media ki bhi
zaroorat nahi.
Aik Ahem Nuqta (Point): New Zealend aur Saudi mein giyarah
ghantey (11 hours) ka farq hai, jab Saudi mein 9 Zul-Hijjah ka
sooraj nikalta hai to New Zealand mein 8 Zul-Hijjah ka sooraj
doobta hai. To kya New Zealand waley raat ko roza rakhenge?
Aur agar raat guzaar kar roza rakhen to un ke yahan to Zul-
Hijjah ki 9 tareekh hogi magar Saudi mein 10 tareekh yani Eid
ka din hoga, to kya New Zealand waley Eid ke din roza
rakhengey jabki Eid ke din roza rakhna mana hai. Arafah ka
roza samajhney ke liye yeh aik ahem nuqta hai.
Khulasey mein yeh kehna chahunga ke Arafah ka roza apney
apney Mulk (country) ke hisaab se Zul-Hijjah ki 9 tareekh ko
rakha jayega.