Hadees
Hadees
Hadees
Hadees : Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, RasoolAllah (Sallallahu
Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
Uss Shaksh Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho (Maal Aur Daulat Me, Aur Husn Wa
Jamaal Me Aur Aulaad Me) Aur Usko Mat Dekho Jo Tumse Ziyada Hai Aur Aisa
Karoge(Yaani Duniyayi Bade Aur Buland Martaba Ke Logon Ko Dekhoge) Toh Allah
Taala Ki Neymat Ko Apne Upar Haqeer (Yani Kam) Samjhoge.
-: (Sahih Muslim, Vol 6, Hadith No:7430)
Zulm Ki Pairvi Na Karo ..
Hadees : Abu Bakr Siddiq (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki RasoolAallah
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
Agar Log Zalim Ko Zulm Karte Huye Dekhe Aur Usey Na Roke Toh Qareeb Hai Ki
Allah Taala Un Sabko Azaab Me Mubtala Kar De.
- (Jamia Tirmidhi, Vol2, 40 Sahih)
Karzdar Ko Mohlat Do Ya Karz Muaf Kardo ..
Tangdast Ko Muaf Kardo !!!
Hadees : Abu Hurairah (Radiyallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Huzoor (Sallallahu
Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
Ek Shakhs (Zamane-e-Guzistah Me) Logo Ko Udhaar(Karz) Diya Karta Tha, Woh
Apne Ghulam Ko Kaha Karta Kisi Tangdast Madiun(Karz Lene Wale) Ke Paas Jana,
Usko Muaf Kar Dena, Uss Ummid Par Ki Khuda Humko Muaf Karde, Jab Uska Inteqal
Ho Gaya Allah Taala Ne Usko Muaf Kar Diya.
-: (Sahih Bukhari, Kitab Ul Ahadeesul Ambiya, Jild 2, Page No. 470, Hadees No. 3480)
Hadees : Abu Hurairah (Razi Allahu Taala Anhu) Se Rivayat Hai Ki RasoolAllah
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
3 Tarah Ke Log Wo Honge Jinki Taraf Qayamat Ke Din Allah Taala Nazar (Nazar-e-
Rehmat) Bhi Nahi Uthayega Aur Na Unhe Paak Karega Bulki Unkey Liye Dardnaak
Azaab Hoga.
(1). Wo Shaksh Jiske Paas Raaste Me Zarurat Se Jiyada Paani Ho Aur Usne Kisi
Musaafir Ko Uske Istemaal Se Rok Diya.
(2). Wo Shaksh Jo Kisi Haakim Se Bait Sirf Duniya Ke Liye Kare Ki Agar Wo Haakim
Usey Kuch De Toh Wo Raazi Rahe Warna Khafa Ho Jaye.
(3). Wo Shakhs Jo Apna (Bechne Ka Tijarti) Saaman Asar Ke Baad Lekar Khada Hua
Aur Kehney Laga Ki Uss Allah Ki Qasam Jiske Siwa Koi Sachcha Maabud Nahi, Mujhe
Iss Saaman Ki Qeemat Itni Itni Mil Rahi Thi Uss Par Ek Shakhsh Ne Usey Sahi Samjha
(Aur Uss Saman Ko Kharid Liya)(Yaani Jhooth Ko Ikhtiyar Karke Tijarat Karnewala).
- (Sahih Bukhari, Vol 3, 2358)
Hazrat Abu Huraira Se Bayan Hai Nabi e Karim Sallallahu Alahi Wasallam Ne
Farmaya
Muslmano Ke Gharo Me Se Wo Ghar Behtar Hai Jisme Yateem Ki Parwarish Pata Hai
Aur Uske Sath Neki Ki Jati Hai
Aur Sbse Bura Wo Ghar Hai Jis Ghar Me Yateem Ke Sath Acha Suluk Na Ki Kia Jata Ho
[Ibne Majah Hadith 3769]
Hadees : Ibn Abbas (Razi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Unhoney Nabi-e-Kareem
( Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Suna Ki,
Koi Mard Kisi (Gair Mahram) Aurat Ke Saath Tanhayi Me Na Baithey Aur Koi Aurat
Uss Waqt Tak Safar Na Karey Jab Tak Uskey Saath Uska Mahram(Shohar) Na Ho.
Itney Me Ek Sahabi Khadey Huye Aur Farmaya, Ya RasoolAallah ( Sallallahu
Alaihay Wasallam) ! Mai Ne Falah Jihaad Me Apna Naam Likhwa Diya Hai Aur Meri
Biwi Hajj Ke Liye Ja Rahi Hai
Toh Aap ( Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, Tu Bhi Uskey Saath Hajj Ke
Liye Ja.
- (Sahih Bukhari, Vol 4, 3006)
Hadith: jisne Asr ki namaz chorh di uska neik amal zaya ho gaya
Abu Al-Malih Radi allahu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne
farmaya jisne Asr ki namaz chorh di uska neik Amal zaya ho gaya
Sahih Bukhari, , vol 1, 553
Hadees : Abdullah Bin Masud (Razi Allahu Taala Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
RasoolAallahu ( Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
Hasad Sirf Do Baato Me Jayaz Hai,
(1). (Ek) Toh Uss Shaksh Ke Baare Me Jise Allah Taala Ne Daulat Di Ho Aur Wo Uss
Daulat Ko Raah-e-Haq Me Kharch Kare Aur,
(2). (Dusra) Uss Shaksh Ke Baare Me Jise Allah Taala Ne Hikmat Di Ho Aur Wo
Uskey Jariye Faisley Karta Ho Aur Logo Ko Uski Taalim Deta Ho.
--------------------------------------------------------------------------------
Narrated By 'Abdullah bin Mas'ud : The Prophet said, "Do not wish to be like anyone
except in two cases. (The first is) A person, whom Allah has given wealth and he
spends it righteously; (the second is) the one whom Allah has given wisdom (the
Holy Qur'an) and he acts according to it and teaches it to others."
- (Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan, 73)
Dunia Me 4 Qisam Ke Logo Ki Niyato Ka Silaah ..
Hadees : Hazrat Abu Kabshah Anmaari (Razi Allahu Taala Anhu) Se Hai,
RasoolAllah ( Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
Mai 3 Baato Ki Qasam Khata Hoon Aur Tum Se Ek Hadees Bayan Karta Hoon Use
Yaad Rakhna
1). Sadqa Karne Se Kisi Ke Maal Me Kami Waqai Nahi Hoti,
2). Jis Kisi Par Zulm Ho Aur Woh Sabr Kare Tou Allah Uski Izzat Me Iazafa Farmata
Hai,
3). Jo Shaks (Logon Se) Mangna Shuru Kar De Tou Allah Uss Par Fikr Aur Tangi Ka
Darwaza Khool Deta Hai (Aur Woh Har Qisam Ke Maal-O-Dolat Hone Ke Bawajood
Mangta Phirta Hai)
Phir Farmaya, Ek Aur Baat Bayan Karta Hoon Use Bhi Yaad Rakhna. Yeh Dunia Me 4
Qisam Ke Logo Ke Liye Hai,
1). Ek Woh Jise Allah Maal-O-Dolat Aur Ilm Se Nawazta Hai Aur Woh Inn Dono Ke
Baare Me Allah Se Darta Rehta Hai, Suleh Rehmi Karta Hai Aur Allah Ke Haq Ko Janta
Hai (Aur Ada Karta) Hai. Aisa Aadmi Afzal Hai.
2). Dusra Woh Jise Allah Ilm Ata Farmae Aur Dolat Na De Magar Woh Sidiq-OKhaloos Se Kahe Ke, Agar Mere Paas Maal Hota Tou Mai Falah Ki Tarah Nek Amal
Karta, Hala Ke Uss Ki Sirf Niyat Hai Aur Dusre Ka Amal Hai Tou Dono Ko Sawaab
Barabar Milega.
3). Teesra Woh Hai Jise Allah Maal Ata Farmata Hai Aur Woh Ilm Se Mehroom Hota
Hai Woh Maal Ko Be-Intehaa Bagair Soche-Samze Aur Bagair Ilm Ke Kharch Karta
Hai. Na Allah Se Darta Hai Na Sila Rehmi Karta Hai Aur Na Allah Ke Huqooq Janta Hai
Aur Na Ada Karta Hai Yeh Sahks Sab Se Bura Hai.
4). Choutha Woh Jise Allah Ne Na Ilm Dia Na Maal Lakin Woh Keheta Hai Ke, Agar
Mere Paas Maal Hota Tou Mai Falah Ki Tarah (Bure) Kaam Karta, Hala Ke Uski Sirf
Niyat Hai Aur Dusre Ka Amal Hai Tou Dono Ko Gunnah Barabar Hai.
- (Tirmizi, Al Zuhd, Baab Maja Misal Al Dunia Misal Arba Nafar:2335)
Deen Me Nayee Nayee Baate Laana Gumrahi Hai ..
Hadees : Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, RasoolAllah
(Sallallhu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke,
Sabse Behtar Amr (Amal Ke Liye) Allah Ki Qitaab Hai Aur Sabse Behtar Tareeqa
Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Tareeqa (Tareeqa-e-Zindagi) Hai. Sabse
Badtareen(Bura) Kaam Deen Me Nayee Nayee Baaton Ka Paida Karna Hai Aur Har
Nayee Baat Gumrahi Hai.
-: (Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 45)
Mafhum e hadith: Logo ne pucha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam hum Aap
par kis tarah durud bheja karein
Abu Humaid As-Sa'idi Radiallahu anhu se rivayat hai ki logo ne pucha Ya
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam hum Aap par kis tarah durud bheja karein
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kaho
Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa sallaita ala ibrahima
wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid. Allahumma baarik ala muhammad wa
ala aali muhammad kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka
hamidum majid.(Sahih Bukhari, 3369)
Hadith: Har bachcha fitrat (sirf ek Allah ki ibadat) par paida hota hai
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi
wasallam ne farmaya har bachcha fitrat (sirf ek Allah ki ibadat) par paida hota hai
aur uskey maan baap usey yahudi , nasrani ya majusi bana detey hain
Sahih Bukhari, Vol 2, 1359