Sunnate Aur Aadaab PDF
Sunnate Aur Aadaab PDF
Sunnate Aur Aadaab PDF
Peshkash :-
Majlis Al Madina Tul ilmiyya (Shoba e islaahi Qutoob)
Sahih Bukhari
Aye hamare pyare ALLAH hamen jb kabhi safar
darpesh ho to pura sunnaton ke mutabik karne ki
Taufik ata farma aur Hamen baar-baar - Harmaine
Tayyabain ka Mubarak Safar aur Aashiqane Rasul
ke Madni kafilo me Safar Naseeb farma.
Surma Lagane ki Sunnaten
aur Aadaab
Surma lagana hamare pyare Aaqa ki bahut hi pyari
sunnat hai Sarkare Naamdaar, Madine ke Taajdar ﷺ
Jab sone lagte to apni mubarak aankhon me surma
lagaya karte. Lihaza hamen bhi sone se pahle
Sunnat pr amal ki Niyat se apni aankhon me Surma
lagana chahiye. isse hamen surma lagane ki Sunnat
ka bhi sawab haasil hoga aur sath hi sath iske
Duniyawi fawaid bhi haasil honge.
Sahih Muslim
Aye Hamare Pyare ALLAH Hamen Pyare Sarkar ﷺ
ke
Sadqe me madina e munawwara ki mu'attar
mu'attar hawaon me saans lene Ki Sa'adat naseeb
farma aur fir inhin mu'attar fizaon me mu'attar
mu'attar Huzoor e Anwar ﷺke jalvon me Aafiyat
ke sath Imaan pr Maut Naseeb farma aur jannatul
Baqi'a ki mahki mahki Sar zameen me madfan
Naseeb farma.
hote.
farma.
Baithane ki Sunnaten
aur Aadaab
Pyare Islami Doston
Hamara uthana baithana bhi Sunnat ke mutabik
hona chahie. Hamare Pyare Sarkar ﷺAqsar Kibla
Sharif ki taraf Ro'e Anwar (Chehra Mubarak) karke
baitha karte. Zahe'naseeb hm bhi kabhi-kabhi Qibla
Roo ho kr baithe To Kabhi Madina'e Munawwara ki
taraf munh krke bethe Ki ye bhi bahut badi sa'adat
hai. Kaash Madina'e Pak ki taraf Rukh karke baithte
waqt ye tasawwur bhi bandh Jaaye aur zabane haal
se ye izhaar hone lage
“Didaar ke Qaabil to kahan Meri nazar hai
Ye Teri Inayat hai jo Rukh Tera idhar hai”
Baithane Ki Kuchh Sunnaten aur Aadaab mulahiza
farmaiye
1) Sureen Zameern pr rakhen Aur donon ghutnon
ko khada karke donon hathon se gher len aur Ek
hath se dusre ko pakad len, Is Tarah baithana Sunnat
hai. Lekin is dauran ghutnon pr koi Chadar wagaira
audh lena behtar hai.
Mir'aatul manajeeh
2) Char jaanu (Paalti Maar kr) bethna bhi Nabiyye
Kareem se saabit hai.
3) Jahan Kuchh dhup aur kuchh chhanv ho wahan
naa baithe. Hazrat e Sayyeduna Abu Huraira se
riwayat hai ki ALLAH ke Rasul ﷺne farmaya :- Jb
tum me se koi saaye me ho aur us per se saya
rukhsat ho Jaaye aur wo kuchh dhup kuchh chhanv
me rah Jaaye, to use chahie ki wahan se uth Jaaye.
Sunan Abu Dawood
4) Qibla Roo hokar baithe.
5) Buzurgon ki Nishasht (Seat) pr baithana adab ke
khilaf hai. Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat likhate
hain Peer w ustad ki Nishast pr baithana unke
gaibat yaani Gair mauzudgi me bhi Naa baithe.
Fatawa Razwiya
6) Koshish karen ki uthate baithte waqt
Buzurgaane Deen ki taraf peeth naa hone paye aur
Paon to Unki Taraf hargiz naa Karen.
7) Jab kabhi ijtima'a yaa Majlis me aaye To Logon Ko
falaang kar Aage naa Jaaye, Jahan jagah mile wahin
baith jaen.
8) Jab baithe to jute utaar len, aapke Qadam
Aaram payenge.
9) Majlis se farig hokar ye Dua teen bar padh len
to Gunaah muaf ho Jaenge aur Jo bhai Islami
Majlise zikr me padhe to uske liye mohar laga di
jayegi. Wo Dua ye hai
mir'aatul manjeeh
Aye Hamare Pyare ALLAH ﷻhamen uthane
baithane ki Sunnat aur Aadaab per Amal Paira
hone ki Taufik e Rafiq ata farma.
Libaas Pahan'ne ki Sunnate
aur Aadaab
Pyare Islami Doston
ALLAH ka ye ahsaan e azeem hai ki usne hamen
libaas ki Daulat ata ki. Libaas se Hm Sardi, Garmi ke
e ect se apni hifazat kar sakte hain. Ye libas hamari
zeenat ka sabab bhi hai aur sabab waqar bhi hai. Hr
Qaum ka alag-alag libas hota hai, Musalman ka
libas sabse mumtaz hai. Libaas ki Kuchh Sunnaten
aur aadaab mulahiza farmaiye.
1) Safed libas hr libas se behtar hai, Sarkare
Madina ﷺne isko pasand farmaya. Hazrat
Sayyeduna Samurah se riwayat hai ki Huzure Pak
Saahibe Laulaak Sayyahe Aflaak ﷺne farmaya :-
Safed libas pahno kyunki ye zyada saaf aur pakiza
hai aur apne Murdon ko bhi isi me Kafna'o.
Sunan Tirmizi
2) Jab Kapda pahnane lago to ye Dua padho Agle
Pichhle Gunah muaf ho jaenge.
Al Fatawa Hindiya
6) Kabhi chatai pr soye, To Kabhi bistar pr, Kabhi
Fars e Zameen pr hi so jaen.
7) Jaagne ke baad ye Dua padhe
و ال ا َأ اَت ا َل ِه ا ا َأ ي ِذ َّلا ِه َّل ِل
ُر ُّنُش ْح َي َن َبْع َد َم َم َن َو ِإ ْي اْلَح ْم ُد
Tarjuma:- Tamam Taarif ALLAH ﷻhi ke liye,
Jisne Hamen Marne ke baad Zinda Kiya aur Usi Ki
Taraf Laut kar jana hai.
Sahih Bukhari
Aye Hamare Pyare ALLAH ﷻhamen Km Sone aur
Sunnat ke Mutabik sone ki Taufik ata farma.
Mehmaan Nawazi ki Sunnaten
aur Aadab
Mehmaan Nawazi ki Sunnaten aur Aadaab
Pyare Islami Doston
Mehman nawazi karna sunnate mubaraka hai.
Ahadees e Mubaraka me iske bahut se Faza'il bayan
kiye gaye balki Yahan tk farmaya ki Mehman Baa'ise
Khair o Barkat hai. Ek Bar Sarkare Madina ﷺke
Yahan ek Mehmaan hazir hua to Aap ne karz Lekar
uski mehman Nawazi farmai. chunaache Taajdar e
Madina ke gulam Abu Rafe'a kahte hain Sarkare
Madina ne Mujhse farmaya Fulan Yahudi se kaho ki
mujhe Aata karz de Mai Rajab Sharif ke mahine me
Ada kar dunga
Kyunki Ek mehman mere paas Aaya hua hai. Yahudi
ne Kaha jab tak Kuchh girvi nahin rakhoge naa
Dunga. Hazrat Abu Rafa'e kahte hai ki mai wapas
aaya aur Aap ki khidmat me uska jawab arz Kiya Aap
ﷺne farmaya wallah me Aasman me bhi Ameen
hun aur Zameen me bhi Ameen hun. Agar wo de
deta to Main Ada kar deta. (Ab meri wo Jirah leja
aur girwi rakh Aa. Mai le gaya aur Girwi Rakh kar
laya.)
Al Mu'ajjamul Kabeer
Mehman Baa'ise Khair o Barkat hai.
Hazrat e Sayyeduna Anas ka bayan hai ki Tajdar e
Madina ﷺne Irshad farmaya Jis ghar me mehman
Ho usme Khair o Barkat Usi tarah tezi se daudti hai
jaise unt ki kauhaan pr chhuri balki isse bhi Tez.
Sunan ibne Maajah
Pyare Islami Doston Unt ki kauhaan me Haddi
nahin hoti charbi hi charbi hoti hai ise chhori bahut
jald kat'ti hai aur uski tah tk pahunch jaati hai isliye
iski Tasbeeh Di gai hai.
Mehman Mezban ke Gunaah muaf hone ka sabab
hota hai
Sarkare Madina ﷺka Farman e Aalishan hai Jab koi
mehman kisi ke yahan Aata hi to apna rizk lekar
aata hai aur jab Uske yahan se Jata hai to sahibe
khana ke Gunaah bakshe jane ka sabab hota hai.
10 Farishte Saal Bhar Tak ghar me rahamat lutate
hai
Sarkare Madina, Raahat e Qalbo Seena ﷺne irshad
farmaya Aye Bara'a Aadmi Jab apne bhai ki ALLAH
Ke Liye Mehman nawazi karta hai aur iski koi jaza
Aur shukriya nahin chahta to ALLAH Uske ghar me
10 Farishton ko bhej deta hai jo pure 1 sal tk ALLAH
Ki Tasbeeh w Tahleel aur Taqbeer padte hain aur
uske liye magfirat Ki Dua karte rahte hain aur jb
saal pura ho jata hai to Un farishton ki pure saal ki
ibadat ke barabar Uske Naama e Aamal me ibadat
likhadi jaati hai aur ALLAH Ke Zimma'e Karam pr hai
ki usko Jannat ki lazeez Gizaa'en Jannatul Khuld
aur na Fanaa hone wali Badshahi me khilaye.
Kanzul Aamaal
Subhan'ALLAH Subhan'ALLAH Kisi ke ghar mehman
to kya aata hai Giya ALLAH ki rahamat ki
jhamajham barsat shuru jo jaati hai, Is Qadar Ajr o
Sawaab ALLAH ALLAH
Mehman ko darwaze tk Rukhsat karna Sunnat hai
Hazrat Abu Huraira ka bayan hai Tajdar E Madina ﷺ
ne Irshad farmaya Sunnat ye hai ki Aadmi mehman
ko darvaze tk rukhsat karne Jaaye.
Sunan ibne Maajah
Aye Hamare Pyare ALLAH ﷻHamen mehmanon ki
khushdili ke sath mehman nawazi ki Taufik ata
farma aur baar-baar hamen Pyare Madani Madine
Aaqa ﷺka Mehmaan banne ki Sa'aadat Naseeb
farma.
Imaama Bandhne ke
Faza'il
Imame ke Faza'il
Pyare Islami bhaiyon
Imama Sharif hamare Pyare Aaqa ﷺki bahut hi
pyari Sunnat hai. Hamare Sarkar ﷺne hamesha
Apne Sare Aqdas pr Apni mubarak topi pr Imama
e Mubarak Ko Saja kar rakha hai.
Fatawa Razwiya
Tajdar e Madina ke 8 Farmaan
1) Imame ke sath 2 rakat bagair imama ki 70 rakaton
se afzal hai.
Firdaus ul Akhbaar
2) Imame ke sath Namaz 10000 Nekiyon ke
barabar hai.
Firdaus ul Akhbaar
3) Beshak ALLAH aur uske Farishte Durood bhejte
hain Jumu'aa ke din Imame Walon pr.
Al Jaame'a us Sagheer
4) Topi pr Imama Hamara aur Mushrikin Ka Fark hai,
Hr Pench pr ki Musalman Apne Sar per Dega is per
Roze Qayamat ek Noor ata Kiya jaega.
Mirqaat Al-Mafateh
5) Imama bandho tumhara Hilm badhega.
Al Mustadrak
6) Imama musalmanon ka Waqar hai aur Arab ki izzat
hai, To Jab Arab Imama utaar denge Apni izzat utaar
denge.
Firdaus ul Akhbaar
7) Tajdar e Madina ne Imame ki taraf ishara karke
farmaya farishton ke Taj aise hi hote hain.
Kanzul Aamaal
8) imame ke sath Ek Jumu'aa bagair Imame ke 70 Juma
ke barabar hai.
Firdaus ul Akhbaar
Hiqayat :-
Hazrat Salim Bin Abdulla Bin Umar Farmate hain ki
Main Apne walide Abdullah Bin Umar ke hujur hazir
hua, wo imama bandh rahe the. Jab bandh chuke
to meri taraf iltifaat karke farmaya Tum imame ko
dost rakhte ho? Maine arz Ki kyun nahin. Farmaya
ise dost rakho, izzat paoge aur jab Shaitan tumhen
dekhega tumse peeth fer lega. Aye Bete imama
bandh Ke Farishte Jumu'a ke din imama bandhe
aate hain aur Suraj dubne tk imama bandhne walon
per Salam bhejte rahte hain.
Fatawa Razwiya
Imama e mubarka ke Pech sidhi jaanib me hone chahie
Chunaache Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat Imama is
Tarah bandhte ki Shamla'e mubaraka Sidhe kandhe
per rehta. Neez bandhte waqt uski gardish Baa'en
yaani ulte hath se farmate jb ki sidha hath Mubarak
peshani pr rakhte aur isi se pech ki girift farmate.
Hayaate Aala Hazrat
Imame ke Aadab
1) Imama 7 hath (saadhe teen gaj) se Chhota naa ho
aur baarah hath (6 gaj) se bada naa ho.
Mirqaat Al-Mafateh
2) imaame ke shamle ki mandir kam az kam ungal aur
zyada se zyada itna ho ki bethne me naa dabe.
Fatawa Razwiya
3) Imama utarte waqt bhi ek ek ek kr ke Pech kholna
chahiye. Imama Qibla Roo hokar khade khade
bandhna chahiye.
Fatawa al Hindiya
Aye Hamare Pyare ALLAH hamen imame ki sunnat pr
Amal karne ki Taufik ata farma.
Karz Dene ke Faza'il
Hazrat Abdullah Bin Mas'ood se riwayat hai ki
Huzoor Tajdar e Madina ﷺne farmaya :- Hr karz
sadqa hai.
Sho'abul imaan
Me'araaj ki Raat Maine Jannat ke darvaje per likha
hua dekha ki sadqe ka hr dirham 10 dirham ke
barabar hai Aur karz ka har dirham 18 dirham ke
barabar hai. Maine poochha jibreel karz sadqe se
kis wajah se Afzal hai. Arz ki Saa'il sawal karta
(maangle wala mangta) hai, jabki uske paas Maal
hota hai aur Karz Talab karne wala apni Zarurat ke
liye Karz talab karta hai.
Hilyatul Auliyaa
Jo Shakhs apne kisi bhai ko 2 baar karz dega,
ALLAH ﷻusko ek martaba Sadqa karne ka sawab
ata farmaega.
Sunan ibne Maajah
Imaam e Aazam ka Taqwa
Hazrat Imam e Azam Abu Hanifa Ek janaza padhne tashrif
le gaye dhup ki badi siddat tha aur wahan Ek Shakhs ke
Makan ke siwa dusra saya tha, Us Makan ki deewar ka saya
dekhkar Logon ne Imam sahab se Arz kiya ke Huzoor aap is
saaye me khade ho jaaaiye. Hazrat ne farmaya ki is makan
ka Maalik mera makruz hai aur Agar maine iski Deewar se
kuchh fayda Haasil kiya to Main darta hun Ki In'dallalh
(ALLAH ke nazdeek) kahin Sood lene walon me Mera
shumar naa ho Jaaye Kyunki Sarwar e 2 Aalam ﷺne
farmaya ki Jis Karz se kuchh fayda liya jaaye wo Sood hai
Chunache aap dhup hi me khade rahe.
Tazkira tul Auliyaa
ALLAHU Akbar ! Hamare Imam e Azam ka taqwa kya hi
khoob tha Buzurgaane deen ke Dilon me ALLAH ﷻka
khauf kut kut kar Bhara hota hai isliye ye Hazrate
Muqaddasa qadam qadam per ALLAH ﷻse darte hain.
ALLAH ki Un per Rehmat aur Unke sadqe Hamari Magfirat
ho.
Qayamat ke Gham se bachne ke liye
Huzoor Tajdar e 2 Aalam ﷺka farmane Alishan hai Jis
Shakhs ko ye Baat Pasand ho ki ALLAH ﷻuse
Qayamat ke din gam aur ghutan se bachaye to use
chahie ki tangdast karzdar ko mohlat de ya karz ka
bojh uske upar se utaar de yaani muaf kar de.
Sahih Muslim
Karz bahut hi Bada bojh hai
Hazrat Abu Saeed khudri farmate hain Ki Nabi e
Karim ﷺki Khidmat me Namaz padhaane ke liye
janaza laya gaya to Huzoor Sayyad e Aalam ﷺne
puchha kya is Marne wale pr koi Karz To nahin hai?
Arz kiya gaya Haan is pr karz hai. Huzoor ﷺne
poochha isne Kuchh Maal bhi chhoda hai, Jisse ye
karz Ada Kiya ja sake? Arz kiya gaya nahin. To
Huzoor Sayyad e Aalam ne farmaya Tum log iski
Namaze Janaza padh lo Main Nahin padhunga.
Hazrat Maula ne ye dekh kar Arz kiya Aye ALLAH Ke
Rasool ﷺMai iske Karz ko Ada karne ki Jimmedari
leta hun. Huzoor ﷺaage bade aur Namaze Janaza
padhaai aur farmaya Aye Ali ALLAH ﷻtujhe Jaza e
Khair de Aur teri jaan bakhshi ho, Jaise ki tune
Apne is Musalman bhai ke karz ki jimmedari lekar
iski Jaan chhudai. Koi bhi Musalman aisa nahin hai
jo apne Musalman Bhai ki taraf se uska Karz ada
karen Magar ye ki ALLAH ﷻQayamat ke din usko
Rihaai Bakhshega. Al Sunan ul Qubra Lil Bai'haqi
Huzoor Tajdar E Madina ﷺka farman e aalishan hai
wo Shakhs jisne ALLAH ki Raah me jaan di hai
yaani Shahid hua. Uska hr Gunaah muaf ho jaega
siway Karz ke.
Sahih Muslim
Sarkare Madina ﷺka farman e aalishan hai jo
logon ka Maal batore karz le aur wo Niyat iske sath
Ada karne ki Rakhta hai To ALLAH uski taraf se Ada
kar dega aur Jis shakhs ne Maal batore karz liya aur
Niyat Ada karne ki nahin rakhta to ALLAH us
shakhs ko iski wajah se tabah kar dega.
Sahih Bukhari
Pyare Islami bhaiyon, Dekha aapne Jis shakhs ne
apni Jaan tk ALLAH ki raah me Qurban kar di us pr
bhi Agar kisi ka karza hai aur wo Ada karke nahin
aaya hai to wo muaf nahin hoga Kyunki ye Bando ke
Huquqe se talluk rakhta hai Jb tk karz dene wala
muaf naak aren us Waqt tk ALLAH bhi muaf nahin
karega.
Aye hamare pyare ALLAH ﷻhamen Faraakh Dili
ke sath Baniyate Hajatmandon ko karz dene aur
Karzdar Ke sath Narmi karne aur Apne upar Aata
hua karz diyanatdari se Ada karne ki Taufik ata
farma.
Mareez ki iyadat karne
ka Sawab
Pyare Islami Sathiyon
Jb Hamara koi musalman bhai bimar ho jaaye to
hamen waqt nikalkar us Musalman bhai Ki iyadat ke
liye zarur jana chahie ki kisi Musalman ki iyadat
karna bhi bahut zyada ajr w sawab ka Baa'is hai.
Hazrat e Sayyeduna Abdur Rahman Bin Amr aur
Abdullah Bin Umar se rivayat hai ki Shahanshah e
Madina, Qarar e Qalb o Seena, Mu'attar Pasina,
Baa'ise Sakina, Faiz e Ganjina ﷺne farmaya ki jo apne
kisi Musalman bhai Ki hajat ravai ke liye Jata hai
ALLAH us per 75000 Malaika ke jarie saya farmata
hai Wo Farishte uske liye Dua karte hain aur wo
Farig hone tk Rahmat me gota lagata rahta hai aur
jab wo us kaam se farig ho jata hai To ALLAH uske
liye ek Hazar Umre ka sawab likhta hai aur Jisne
marij ki iyadat ki ALLAH us per 75000 Malaika ke
Jari'e Saya farmaega aur Ghar wapas aane tk Uske
hr Qadam uthane pr uske liye ek Neki likhi jayegi aur
uske har Qadam rakhne pr uska Ek Gunah mita diya
jaega aur ek darja Buland kiya jaega Jab wo Marij ke
Sath baithega to Rahmat use dhanp legi aur Apne
ghar wapas aane tk Rehmat use dhanpe rahegi.
Al Targheeb w Targheeb
Hazrat Sayyeduna Abu Huraira se riwayat hai ki
Tajdar e Risalat, Shahanshah e Nabuwwat, Makhzan
e Judo Shakhawat, Paikar e Azmat o Sharafat,
Mehbub e Judo Sakhawat ﷺne farmaya ki jo
shakhs kisi marij Ki iyadat karta hai To ek munadi
Aasman se nida karta hai, Khush ho ja ki Tera ye
chalna Mubarak hai aur Tune Jannat me Apna
thikana banaa liya hai.
Sunan ibne Maajah
Hazrat e Sayyeduna Abu Saeed khudri se riwayat
hai ki Nabi e Kareem, Noore Mujassum, Rasule
Akram, Shahenshah e Bani Aadam ﷺne farmaya ki
marizon ki iyadat kiya karo aur janazon me
shirkat
kiya karo ye tumhen aakhirat ki yaad dilate rahenge.
Al Musnad Lil imaam Ahmed
Hazrat Sayyeduna Anas se riwayat hai ki Noor ke
Paikar, Tamam Nabiyon ke Sarwar, 2 Jahan Ke
Taajwar, Sultan e Bahar o Bar Huzoor ﷺne Farmaya
ki Jisne acche tarike se wuzu kiya aur sawab ki ummid
pr apne kisi Musalman bhai ki iyadat ki use jahannam
se 70 saal ke fasile tk dur kar diya Jaega.
Sunan Abu Dawood
Pyare Islami bhaiyon Jab bhi kisi mariz ki iyadat ke
liye jana ho to marij se apne liye Dua lazmi karvani
chahie ki Marij Ki Dua radd nahin hoti Chunache
Hazrat e Sayyeduna ibne Abbas se rivayat hai
Sarwar e Qaainaat Huzoor ﷺne farmaya ki marij jb tk
Tandurust naa ho jaaye uski joi Dua radd nahin
hoti.
Sunan Ibn e Majah
Hazrat Sayyeduna Umar Bin Khattab se riwayat hai
ki Aaqa e Mazlum, Sarwar e Masoom, Husne akhlaq
ke Paikar, Nabiyon ke Tajwar ﷺne farmaya ki Jab tum
kisi mariz ke paas jao to usse apne liye Dua ki
darkhwast karo Kyunki uski Dua farishton ki Dua Ki tarah
hoti hai.
Sunan ibne Maajah
Pyare Islami bhaiyon
Jb kisi Mariz Ki iyadat ko jaaye to mariz ke liye bhi
Dua karen. Ek Hadees e mubaraka me Talim farmai
gai hai ho sake to ye Dua hi padh len.
Hazrat Sayyeduna ibne Abbas se rivayat hai ki Noor
ke Paikar, Tamam Nabiyon ke Sarwar 2 Jahan Ke
Taajwar, Sultan e Baharo bar ﷺne farmaya ki Jisne
kisi aise mariz ki iyadat ki jiski Maut ka waqt kareeb
naa Aaya ho aur 7 martba ye Alfaaz kahe To ALLAH
use us marz se Shifa ata farmaega
Dua ki Qabuliyyat
Barish Naazil hone ka Waqt Logo pr Fazl-e-ilaahi aur
Rahmat-e-ilaahi ka waqt hai, iis waqt me Khair-o-
Bhalaai ke Asbaab aur badh jaate Hai aur ye Dua ke
liye Qabuliyat ki Ghadi hai.
Huzoor ﷺka Farmaan hai :-
2 Tarah Ki Duayen Radd nahin hoti Azaan ke waqt
dua aur Barish ke waqt ki Gyi Dua.
Barsaat ki Dua
Hazrate Maa Aayesha se riwayat hai ki Rasulullah ﷺjb
bhi Barish hote hue dekhte to Dua farmaya karte.
()الَّل ُه َّم َص ِّيًبا َناِف ًع ا
Yaa ALLAH musladhar aur faaydemand barish ataa
farma. (Sahih Bukhari)
, َأ لَّل ُه َّم َع َل ى اَأل اَك ِم َو الَّط َر اِب، الَّل ُه َّم َح َو اَلْيَنا َو اَل َع َل ْيَنا
َو َم َناِبِت الَّش َج ِر، َو ُبُط وِن اَأل ْو ِد َيِة
Yaa ALLAH hamari bajaay hamare aas-paas Barshat
barsa, Yaa ALLAH tilon, pahadiyon, waadiyon aur
darakhto ke ugne ki jagah barish barsa.
Bukhari Sharif
Islamic Target Point se Jude Rehne aur aisi
hi Pdf w Tehreer (Pdf Format) me Padhne
ke Liye Hame In Platform pr Follow Zarur
Karen.