Shaer

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 56

almārī se ḳhat us ke purāne nikal aa.

phir se mire chehre pe ye daane nikal aa.e

maañ baiTh ke taktī thī jahāñ se mirā rasta

miTTī ke haTāte hī ḳhazāne nikal aa.e

mumkin hai hameñ gaañv bhī pahchān na paa.e

bachpan meñ hī ham ghar se kamāne nikal aa.e

ai ret ke zarre tirā ehsān bahut hai

āñkhoñ ko bhigone ke bahāne nikal aa.e

ab tere bulāne se bhī ham aa nahīñ sakte

ham tujh se bahut aage zamāne nikal aa.e

ek ḳhauf sā rahtā hai mire dil meñ hamesha

kis ghar se tirī yaad na jaane nikal aa.e

ab to ghabrā ke ye kahte haiñ ki mar jā.eñge

mar ke bhī chain na paayā to kidhar jā.eñge

being perturbed I now express / the wish to die, although

e'en in death, no peace is found, then where shall I go?

tum ne Thahrā.ī agar ġhair ke ghar jaane kī

to irāde yahāñ kuchh aur Thahar jā.eñge

if you are resolved to go / thus to my rival's house

my cause with greater ardor / I'll surely then espouse


ḳhālī ai chāragaro hoñge bahut marham-dāñ

par mire zaḳhm nahīñ aise ki bhar jā.eñge

healers, all your potions, balms, may now be at an end

but my wounds are not the sort / that can be ever mend

pahuñcheñge rahguzar-e-yār talak kyuuñ kar ham

pahle jab tak na do aalam se guzar jā.eñge

the path to my beloved's street / how can I ever find

until I traverse the course / of both the worlds combined

shola-e-āh ko bijlī kī tarah chamkā.ūñ

par mujhe Dar hai ki vo dekh ke Dar jā.eñge

like lightning I would brighten / the flame that is my sigh

but then I am afraid that she, in fear, would start to cry

ham nahīñ vo jo kareñ ḳhuun kā da.avā tujh par

balki pūchhegā ḳhudā bhī to mukar jā.eñge

I'm not one who'll seek to pin / my murder at your side

in fact I'd deny if God / too asks me how I died

aag dozaḳh kī bhī ho jā.egī paanī paanī

jab ye aasī araq-e-sharm se tar jā.eñge

even blazing, roaring flames / of hell will then be quenched

when sinners, in the sweat of shame / go there fully drenched

nahīñ pā.egā nishāñ koī hamārā hargiz

ham jahāñ se ravish-e-tīr-e-nazar jā.eñge

‫۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔‬
‫۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔‬

sāmne chashm-e-guhar-bār ke kah do dariyā

chaḌh ke gar aa.e to nazroñ se utar jā.eñge

‫۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔‬

‫۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔‬

laa.e jo mast haiñ turbat pe gulābī āñkheñ

aur agar kuchh nahīñ do phuul to dhar jā.eñge

to my grave, she ventures with / rose tinted eyes aglow

if nothing else, then now at least, two buds she will bestow

ruḳh-e-raushan se naqāb apne ulaT dekho tum

mehr-o-māh nazroñ se yāroñ kī utar jā.eñge

let now your radiant face unveil, do let it come to light

the sun and moon will fade away / from everybody's sight

ham bhī dekheñge koī ahl-e-nazar hai ki nahīñ

yaañ se jab ham ravish-e-tīr-e-nazar jā.eñge

‫۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔‬

‫۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔‬

'zauq' jo madrase ke bigḌe hue haiñ mullā

un ko mai-ḳhāne meñ le aao sañvar jā.eñge

'zauq', misled by madrasas, mullahs have gone astray

bring them to the tavern, there, they will mend their way
maiñ ḳhayāl huuñ kisī aur kā mujhe sochtā koī aur hai

sar-e-ā.īna mirā aks hai pas-e-ā.īna koī aur hai

I am someone else's thought, someone else brings me to mind

my image in the mirror wrought, someone else is there behind

maiñ kisī ke dast-e-talab meñ huuñ to kisī ke harf-e-duā meñ huuñ

maiñ nasīb huuñ kisī aur kā mujhe māñgtā koī aur hai

I am in someone's outstretched hand, and in someone's prayer prayer I be

I am someone's destiny but someone else does ask for me

ajab e'tibār o be-e'tibārī ke darmiyān hai zindagī

maiñ qarīb huuñ kisī aur ke mujhe jāntā koī aur hai

strange that hanging tween belief and disbelief my life should be

I am close to someone else, and someone else here fathoms me

mirī raushnī tire ḳhadd-o-ḳhāl se muḳhtalif to nahīñ magar

tū qarīb aa tujhe dekh luuñ tū vahī hai yā koī aur hai

tho my sight unconversant with your features may not be

if or not you are the same come close and let me see,

tujhe dushmanoñ kī ḳhabar na thī mujhe dostoñ kā patā nahīñ

tirī dāstāñ koī aur thī mirā vāqi.a koī aur hai

vahī munsifoñ kī rivāyateñ vahī faisloñ kī ibārateñ

mirā jurm to koī aur thā pa mirī sazā koī aur hai

the same traditions of the law, the same judicial pronouncement


my crime was something else but then something else my punishment

kabhī lauT aa.eñ to pūchhnā nahīñ dekhnā unheñ ġhaur se

jinheñ rāste meñ ḳhabar huī ki ye rāsta koī aur hai

on their return merely observe them carefully question them not

who halfway in the journey found these roads were not the ones they sought

jo mirī riyāzat-e-nīm-shab ko 'salīm' sub.h na mil sakī

to phir is ke ma.anī to ye hue ki yahāñ ḳhudā koī aur hai

if for my midnight prayers, Saliim, a dawn there shall never be

then it means that in this world there is a God other than thee

motī ho ki shīsha jaam ki bul

jo TuuT gayā so TuuT gayā

kab ashkoñ se juḌ saktā hai

jo TuuT gayā so chhūT gayā

tum nāhaq TukḌe chun chun kar

dāman meñ chhupā.e baiThe ho

shīshoñ kā masīhā koī nahīñ

kyā aas lagā.e baiThe ho

shāyad ki inhīñ TukḌoñ meñ kahīñ

vo sāġhar-e-dil hai jis meñ kabhī

sad-nāz se utrā kartī thī

sahbā-e-ġham-e-jānāñ kī parī
phir duniyā vāloñ ne tum se

ye sāġhar le kar phoḌ diyā

jo mai thī bahā dī miTTī meñ

mehmān kā shahpar toḌ diyā

ye rañgīñ reze haiñ shāyad

un shoḳh bilorīñ sapnoñ ke

tum mast javānī meñ jin se

ḳhalvat ko sajāyā karte the

nādārī daftar bhuuk aur ġham

un sapnoñ se Takrāte rahe

be-rahm thā chaumukh pathrāo

ye kāñch ke Dhāñche kyā karte

yā shāyad in zarroñ meñ kahīñ

motī hai tumhārī izzat kā

vo jis se tumhāre ijz pe bhī

shamshād-qadoñ ne rashk kiyā

is maal kī dhun meñ phirte the

tājir bhī bahut rahzan bhī ka.ī

hai chor-nagar yaañ muflis kī

gar jaan bachī to aan ga.ī

ye sāġhar shīshe lāl-o-gohar

sālim hoñ to qīmat paate haiñ

yuuñ TukḌe TukḌe hoñ to faqat


chubhte haiñ lahū rulvāte haiñ

tum nāhaq shīshe chun chun kar

dāman meñ chhupā.e baiThe ho

shīshoñ kā masīhā koī nahīñ

kyā aas lagā.e baiThe ho

yādoñ ke girebānoñ ke rafū

par dil kī guzar kab hotī hai

ik baḳhiya udheḌā ek siyā

yuuñ umr basar kab hotī hai

is kār-gah-e-hastī meñ jahāñ

ye sāġhar shīshe Dhalte haiñ

har shai kā badal mil saktā hai

sab dāman pur ho sakte haiñ

jo haath baḌhe yāvar hai yahāñ

jo aañkh uThe vo baḳhtāvar

yaañ dhan-daulat kā ant nahīñ

hoñ ghaat meñ Daaku laakh magar

kab lūT-jhapaT se hastī kī

dokāneñ ḳhālī hotī haiñ

yaañ parbat-parbat hiire haiñ

yaañ sāgar sāgar motī haiñ

kuchh log haiñ jo is daulat par

parde laTkāte phirte haiñ


har parbat ko har sāgar ko

nīlām chaḌhāte phirte haiñ

kuchh vo bhī haiñ jo laḌ bhiḌ kar

ye parde noch girāte haiñ

hastī ke uThā.ī-gīroñ kī

har chaal uljhā.e jaate haiñ

in donoñ meñ ran paḌtā hai

nit bastī-bastī nagar-nagar

har baste ghar ke siine meñ

har chaltī raah ke māthe par

ye kālak bharte phirte haiñ

vo jot jagāte rahte haiñ

ye aag lagāte phirte haiñ

vo aag bujhāte rahte haiñ

sab sāġhar shīshe lāl-o-gohar

is baazī meñ bad jaate haiñ

uTTho sab ḳhālī hāthoñ ko

is ran se bulāve aate haiñ

kashtī bhī nahīñ badlī dariyā bhī nahīñ badlā

aur Dūbne vāloñ kā jazba bhī nahīñ badlā

tasvīr nahīñ badlī shīsha bhī nahīñ badlā


nazreñ bhī salāmat haiñ chehrā bhī nahīñ badlā

hai shauq-e-safar aisā ik umr se yāroñ ne

manzil bhī nahīñ paa.ī rasta bhī nahīñ badlā

bekār gayā ban meñ sonā mirā sadiyoñ kā

is shahr meñ to ab tak sikka bhī nahīñ badlā

be-samt havāoñ ne har lahr se sāzish kī

ḳhvāboñ ke jazīre kā naqsha bhī nahīñ badlā

maiñ ḳhayāl huuñ kisī aur kā mujhe sochtā koī aur hai

sar-e-ā.īna mirā aks hai pas-e-ā.īna koī aur hai

maiñ kisī ke dast-e-talab meñ huuñ to kisī ke harf-e-duā meñ huuñ

maiñ nasīb huuñ kisī aur kā mujhe māñgtā koī aur hai

ajab e'tibār o be-e'tibārī ke darmiyān hai zindagī

maiñ qarīb huuñ kisī aur ke mujhe jāntā koī aur hai

mirī raushnī tire ḳhadd-o-ḳhāl se muḳhtalif to nahīñ magar

tū qarīb aa tujhe dekh luuñ tū vahī hai yā koī aur hai

tujhe dushmanoñ kī ḳhabar na thī mujhe dostoñ kā patā nahīñ

tirī dāstāñ koī aur thī mirā vāqi.a koī aur hai

vahī munsifoñ kī rivāyateñ vahī faisloñ kī ibārateñ

mirā jurm to koī aur thā pa mirī sazā koī aur hai

kabhī lauT aa.eñ to pūchhnā nahīñ dekhnā unheñ ġhaur se


jinheñ rāste meñ ḳhabar huī ki ye rāsta koī aur hai

jo mirī riyāzat-e-nīm-shab ko 'salīm' sub.h na mil sakī

to phir is ke ma.anī to ye hue ki yahāñ ḳhudā koī aur hai

Ye alag baat ke khamosh khade rehte hain


Fir bhi jo log bade hain wo bade rehte hain

Aise darveshon se milta hai hamara shijra


Jinke juton me kai Taj pade rehte hain

Baang-e-Dara: 41 The Call of The Marching Bell: 41 Subah Ka Sitara Morning Star Lutf-e-
Humsayegi-e-Shams-o-Qamar Ko Chorun Aur Iss Khidmat-e-Paigham-e-Sehar Ko Chorun
Enough of this sun‐and‐moon neighboring glory— Enough of this office of heralding dawn!
Mere Haq Mein To Nahin Taron Ki Basti Achi Iss Bulandi Se Zameen Walon Ki Pasti Achi
Worthless to me the abodes of the planets, Lowly earth‐dwelling is more than these heights
Aasman Kya, Adam Abad Watan Hai Mera Subah Ka Daman-e-Sad Chaak Kafan Hai Mera I
inhabit, to heaven but a realm of extinction, Dawn’s skirt of the hundred‐fold rent for my shroud:
Meri Qismat Mein Hai Har Roz Ka Merna Jeena Saqi-e-Mout Ke Hathon Se Saboohi Peena To
live, to die daily my fate, to be poured The morning‐draught first by the cup-bearer Death. Na Ye
Khidmat, Na Ye Izzat, Na Ye Riffat Achi Iss Ghari Bhar Ke Chamakne Se To Zulmat Achi
Thankless this duty, this station, this dignity— Better the dark then to shine for one hour! Meri
Qudrat Mein Jo Hota To Na Akhtar Banta Qa’ar-e-Darya Mein Chamakta Huwa Gohar Banta
No star would I be, if it lay in my will, But a gleaming white pearl in the cavernous sea, Waan
Bhi Moujon Ki Kashakash Se Jo Dil Ghabrata Chor Kar Behr Kahin Zaib-e-Guloo Ho Jata And
then, if too fearful the strife of the waves, Leave ocean, and hang in some necklace—what joy
Hai Chamakne Mein Maza Husn Ka Zaiwar Ban Kar Zeenat-e-Taj-e-Sar-e-Bano-e-Qaisar Ban
Kar It would be there to glitter as beauty’s bright pendent, A gem in the crown of an emperor’s
consort! Aik Pathar Ke Jo Tukre Ka Nasiba Jaaga Khatam-e-Dast-e-Suleman Ka Nageen Ban Ke
Raha What fragment of stone, if its destiny smiled, Might not flash in the ring on the finger of
Solomon? Aesi Cheezon Ka Magar Dehr Mein Hai Kaam Shikast Hai Guhr Haye Giran Maya
Ka Anjaam Shikast But glory of all such in this world must vanish, The rich gem must vanish at
last. Zindagi Woh Hai Ke Jo Ho Na Shanasaye Ajal Kya Woh Jeena Hai Ke Ho Jis Mein
Taqazaye Ajal That alone Lives, that need have no acquaintance with death: Can that be called
life, that hears death’s importunity? Hai Ye Anjaam Agar Zeenat-e-Alam Ho Kar Kyun Na Gir
Jaun Kisi Phool Pe Shabnam Ho Kar! If, making earth lovely, our end must be thus, Let me
rather be changed to a flower‐falling dewdrop, Kisi Paishani Ke Afshan Ke Sitaron Mein Rahun
Kisi Mazloom Ki Aahon Ke Shiraron Mein Rahun A speck in the gold‐dust that paints a bride’s
forehead, A spark in the sigh that a wounded heart breathes— Ashak Ban Kar Sir-e-Mazgan Se
Atak Jaun Main Kyun Na Uss Biwi Ki Ankhon Se Tapak Jaun Main Jis Ka Shohar Ho Rawan
Ho Ke Zrah Mein Mastoor Sooye Maidan-e-Dagha, Hub-e-Watan Se Majboor Yaas-o-Umeed
Ka Nazara Jo Dikhati Ho Jis Ki Khamoshi Se Taqreer Bhi Sharmati Ho Jis Ko Shohar Ki Raza
Taab-e-Shakeebai De Aur Nigahon Ko Haya Taqat-e-Goyai De Zard., Rukhsat Ki Ghari, Aariz
Gulgoon Ho Jaye Kashish-e-Husn Gham-e-Hijar Se Afzoon Ho Jaye Lakh Woh Zabt Kare Par
Main Tapak Ho Jaun Saghir-e-Didah-e-Purnam Se Chhalak Ho Jaun Khak Mein Mil Ke Hayat-
e-Abdi Pa Jaun Ishq Ka Souz Zamane Ko Dikhata Jaun To find in the dust an immortal new life,
And teach to the world the long passion of love.
Aasman Jalti Zameen Per Nahi Aane Wala
Ab Yahan Koi Payamber Nahi Aane Wala
Piyas Kehti Hay Chalo Rait Nichorri Jae
Apne Hisse Main Samandar Nahi Aane Wala
Mangne Nikla Hay Insaf,KHUDA Khair Kare
Aaj Ki Rat Wohi Bach Kar Nahi Aane Wala
Mulk-O-Millat Ki Hifazat Tumhen Khud Karni Hay,
Ab Ababilon Ka Lashkar Nahi Aane Wala
Kitab sada raheygi kb tk?
kabhi to aaghaz-e-baab hoga,
Jinhon ne basti ujar dali
Kabhi to unka hisab hoga,
Sheher ki khushyan mananay walo,
Shehr k tewar bta rahey hain,
Abhi to itni ghuttan barhay gi
k sans lena azab hoga,
Wo din gya jb k hr sitam ko,
Ada-e-mehboob keh k chup thay,
Uthay gi hum pr jo eent koi,
To pathr uska jwab hoga,
sakoot-e-sehra me bsnay walo,
Zra ruton ka mizaj smjho
Jo aj ka din sakoon se guzra,
To kal ka mosam khrab hoga.

na muñh chhupā ke jiye ham na sar jhukā ke jiye

sitamgaroñ kī nazar se nazar milā ke jiye

ab ek raat agar kam jiye to kam hī sahī

yahī bahut hai ki ham mish.aleñ jalā ke jiye

Bang-e-Dra-101) Tarana-e-Milli
Tarana-e-Milli
The Anthem Of The Islamic Community

Cheen-o-Arab Humara, Hindustan Humara


Muslim Hain Hum, Watan Hai Sara Jahan Humara

China and Arabia are ours; India is ours.


We are Muslims, the whole world is ours.

Touheed Ki Amanat Seenon Mein Hai Humare


Asan Nahin Nitana Naam-o-Nishan Humara

God’s unity is held in trust in our hearts.


It is not easy to erase our name and sign.

Dunya Ke Butkadon Mein Pehla Woh Ghar Khuda Ka


Hum Uss Ke Pasban Hain, Woh Pasban Humara

Among the idol temples of the world the first is that house of God;
We are its keepers; it is our keeper.

Taighon Ke Saye Mein Hum Pal Kar Jawan Huwe Hain


Khanjar Hilal Ka Hai Qoumi Nishan Humara
Brought up in the shadow of the sword, we reached maturity;
The scimitar of the crescent moon is the emblem of our community.

Maghrib Ki Wadiyon Mein Goonji Azan Humari


Thamta Na Tha Kisi Se Seel-e-Rawan Humara

In the valleys of the west our call to prayer resounded;


Our onward flow was never stemmed by anyone.

Batil Se Dabne Wale Ae Asman Nahin Hum


Sou Baar Kar Chuka Hai Tu Imtihan Humara

We, oh heaven, are not to be suppressed by falsehood!


A hundred times you have tested us.

Ae Gulistan-e-Aundlas ! Woh Din Hain Yaad Tujh Ko


Tha Teri Daliyon Par Jab Ashiyan Humara

Oh garden of Andalusia! Do you remember those days,


When our nest was in your branches?

Ae Mouj-e-Dajla! Tu Bhi Pehchanti Hai Hum Ko


Ab Tak Hai Tera Darya Afsana Khawan Humara

Oh waves of the Tigris! You also recognize us;


Your river still relates our story.
Ae Arz-e-Pak! Teri Hurmat Pe Kat Mare Hum
Hai Khoon Teri Ragon Mein Ab Tak Rawan Humara

Oh land of purity! We fell and died for your honour;


Our blood still courses through your veins.

Salar-e-Karwan Hai Meer-e-Hijaz (S.A.W.) Apna


Iss Naam Se Hai Baqi Aram-e-Jaan Humara

The Lord of Hijaz is the leader of our community;


From this name comes the peace of our soul.

Iqbal Ka Tarana Bang-e-Dra Hai Goya


Hota Hai Jadah Pema Phir Karwan Humara

Iqbal’s song is like the bell of a caravan;


Once more our caravan measures the road.

TARIQ’S PRAYER
(In the Battlefield of Andalusia)
Ye Ghazi, Ye Tere Purisrar Bande
Jinhain Tu Ne Bakhsha Hai Zuaq-e-Khudai

These warriors, victorious, These worshippers of Yours,


Whom You have granted the will to win power in Your name;

Do-Neem In Ki Thoukar Se Sehra-o-Darya


Simat Kar Pahar In Ki Haibat Se Rayi

Who cleave rivers and woods in twain,


Whose terror turns mountains into dust;

Do Alam Se Karti Hai Baigana Dil Ko


Ajab Cheez Hai Lazzat-e-Ashnayi

They care not for the world;


They care not for its pleasures;

Shahadat Hai Matloob-o-Maqsood-e-Momin


Na Maal-e-Ghanimat Na Kishwar Kushayi

In their passion, in their zeal, In their love for Thee, O Lord,


They aim at martyrdom, Not the rule of the earth.
Khayaban Mein Hai Muntazir Lala Kab Se
Qaba Chahye Iss Ko Khoon-e-Arab Se

In the flower-bed, Rose is waiting from long time


The Color from Arabs' blood

Kiya Tu Ne Sehra Nasheenon Ko Yakta


Khabar Mein, Nazar Mein, Azan-e-Sehar Mein

You have united warring tribes,


In thought, in deed, in prayer.

Talab Jis Ki Sadiyon Se Thi Zindagi Ko


Woh Souz Iss Ne Paya Inhi Ke Jigar Mein

The burning fire that life had sought For centuries,


Was found in them at last.

Kushad-e-Dar-e-Dil Samajhte Hain Iss Ko


Halakat Nahin Mout In Ki Nazar Mein

They think of death, not as life’s end,


But as the ennobling of the heart.
Dil-e-Mard-e-Momin Mein Phir Zinda Kar De
Woh Bijli Ke Thi Na’ara-e-‘LA TAZAR’ Mein

Make alive in the heart of a Muslim again


That Power the slogan 'My Lord! Leave not one of the disbelievers' had.

La-Tazar (Verse 26 of Surah Nuh- No. 71 - Quran)

Aza’im Ko Seenon Mein Baidar-e-Kar De


Nigah-e-Musalman Ko Talwar Kar De!

Awaken in them an iron will,


And make their eye a sharpened sword.

mujh ko hālāt meñ uljhā huā rahne de yūñhī

maiñ tirī zulf nahīñ huuñ jo sañvar jā.ūñgā

ḳhud pukāregī jo manzil to Thahar jā.ūñgā

varna ḳhuddār musāfir huuñ guzar jā.ūñgā


ye jabr bhī dekhā hai tārīḳh kī nazroñ ne

lamhoñ ne ḳhatā kī thī sadiyoñ ne sazā paa.ī

bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mire aage

hotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage

ik khel hai aurañg-e-sulaimāñ mire nazdīk

ik baat hai ejāz-e-masīhā mire aage

juz naam nahīñ sūrat-e-ālam mujhe manzūr

juz vahm nahīñ hastī-e-ashiyā mire aage

hotā hai nihāñ gard meñ sahrā mire hote

ghistā hai jabīñ ḳhaak pe dariyā mire aage

mat pūchh ki kyā haal hai merā tire pīchhe

tū dekh ki kyā rañg hai terā mire aage

sach kahte ho ḳhud-bīn o ḳhud-ārā huuñ na kyuuñ huuñ

baiThā hai but-e-ā.ina-sīmā mire aage

phir dekhiye andāz-e-gul-afshānī-e-guftār

rakh de koī paimāna-e-sahbā mire aage

nafrat kā gumāñ guzre hai maiñ rashk se guzrā


kyūñkar kahūñ lo naam na un kā mire aage

īmāñ mujhe roke hai jo khīñche hai mujhe kufr

ka.aba mire pīchhe hai kalīsā mire aage

āshiq huuñ pa māshūq-farebī hai mirā kaam

majnūñ ko burā kahtī hai lailā mire aage

ḳhush hote haiñ par vasl meñ yuuñ mar nahīñ jaate

aa.ī shab-e-hijrāñ kī tamannā mire aage

hai maujzan ik qulzum-e-ḳhūñ kaash yahī ho

aatā hai abhī dekhiye kyā kyā mire aage

go haath ko jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hai

rahne do abhī sāġhar-o-mīnā mire aage

ham-pesha o ham-mashrab o hamrāz hai merā

'ġhālib' ko burā kyuuñ kaho achchhā mire aage

Guzar ja akal se aage ke ye noor


Chirag e raah hai manzil nahi hai

. You spend from what you love (‫ینفقو (خرچ کرو گے‬
[003 Surah Al Imran - Verse 92]

‫ّٰت‬
‫َلْن َتَناُلوا اْلِبَّر َح ى ُتْنِفُقْو ا ِم َّم ا ُتِح ُّبْو َن ڛ َو َم ا ُتْنِفُقْو ا ِم ْن َش ْي ٍء َفِاَّن َهّٰللا ِبٖه َع ِلْيٌم‬
You shall never attain righteousness unless you spend from what you love. Whatsoever you
spend, Allah is fully aware of it.
(Bang-e-Dra-059) Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun

Tere Ishq Ki Intiha Chahta Hun


Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hun

Completion of your Love is what I desire


Look at my sincerity what little I desire

Sitam Ho Ke Ho Wada-e-Be-Hijabi
Koi Baat Sabr Azma Chahta Hun

It may be oppression or the promise of unveiling


Something testing my perseverance I desire

Ye Jannat Mubarik Rahe Zahidon Ko


Ke Mein Ap Ka Samna Chahta Hun

May the pious be happy with this Paradise


Only to see your Countenance I desire

Zara Sa To Dil Hun Magar Shaukh Itna


Wohi Lan-Tarani Suna Chahta Hun
Though I am but a tiny little heart I am so bold
To hear the same Lan tarani I desire

Koi Dam Ka Mehman Hun Ae Ahl-e-Mehfil


Charagh-e-Sehar Hun, Bujha Chahta Hun

O assembly’s companions! I am existing only for a few moments


I am the dawn’s candle, I am about to be extinguished

Bhari Bazm Mein Raaz Ki Baat Keh Di


Bara Be-Adab Hun, Saza Chahta Hun

I have divulged the secret in the full assembly


I am very insolent, punishment I desire

17. Show Me Yourself - You Cannot See Me ‫ لن ترانی‬- ‫ارنی‬

[007 Surah Al Araaf - Verse 143]

And when Musa (Moses) came at the time and place appointed by Us, and his Lord spoke to him, he
said: "O my Lord! Show me (Yourself), that I may look upon You."Allah said: "You cannot see Me

(Bal-e-Jibril-061) Dhoond Raha Hai Farang...


(Bang-e-Dra-013) (‫)خفتگان خاک سے استفسار‬

(Bang-e-Dra-030) (‫ )دل‬Dil

(Bang-e-Dra-059) (‫)تیرے عشق کی انتہا چاہتا ہوں‬

13. Clean/Sound Heart - ‫قلب سلیم‬

[026 Surah Ash-Shuara - Verse 89]


‫ِااَّل َم ْن َاَتى َهّٰللا ِبَقْلٍب َسِلْيٍم‬

)‫ (وہ بچ جائے گا‬- ‫ہاں جو شخص خدا کے پاس پاک دل لے کر آیا‬

Except him who brings to Allah a clean heart [clean from Shirk (polytheism) and Nifq (hypocrisy)].

(Bang-e-Dra-120) Jawab-e-Shikwa (‫)جواب شکوہ‬

Aspiring for the Pleiades, How simple it all seems!


But let there first be hearts like theirs, To justify such dreams.

(Bang-e-Dra-058) Jinhain Main Dhoondta Tha...

(Bang-e-Dra-058) Jinhain Main Dhoondta Tha Asmanon Mein Zameenon Mein

Jinhain Mein Dhondta Tha Asmanon Mein Zameenon Mein


Woh Nikle Mere Zulmat Khana-e-Dil Ke Makeenon Mein

The one I was searching for on the earth and in heaven


Appeared residing in the recesses of my own heart
Haqiqat Apni Ankhon Par Namayan Jab Huwi Apni
Makan Nikla Humare Khana-e-Dil Ke Makeenon Mein

When the reality of the self became evident to my eyes


The house appeared among residents of my own heart

Agar Kuch Ashana Hota Mazaq-e-Jaba-Sayi Se


To Sang-e-Astan-e-Kaaba Ja Milta Jabeenon Mein

If it were somewhat familiar with taste of rubbing foreheads


The stone of Ka’ba’s threshold would have joined the foreheads

Kabhi Apna Bhi Nazara Kiya Hai Tu Ne Ae Majnoon


Ke Laila Ki Tarah Tu Bhi Hai Mehmil Nasheenon Mein

O Majnun! Have you ever glanced at yourself


That like Layla you are also sitting in the litter

Mahine Wasl Ke Ghariyon Ki Soorat Urte Jate Hain


Magar Ghariyan Judai Ki Guzerti Hain Mahinon Mein

The months of the union continue flying like moments


But the moments of separation linger for months!
Mujhe Roke Ga Tu Ae Na-Khuda Kya Gharaq Hone Se
Ke Jin Ko Doobna Ho, Doob Jate Hain Safeenon Mein

O seaman, how will you protect me from being drowned


As those destined to drowning get drowned in the boats also

Chupaya Husn Ko Apne Kaleem-Ullah Se Jis Ne


Wohi Naz Afreen Hai Jalwa Pera Naaz Neenon Mein

The one who concealed His Beauty from Kalim Allah


The same Beloved is manifest among beloveds

Jala Sakti Hai Shama-e-Kushta Ko Mouj-e-Nafas In Ki


Elahi! Kya Chupa Hota Hai Ahl-e-Dil Ke Seenon Mein

The breath of Lovers can light up the extinguished candle


O God! What is kept concealed in the breast of the Lovers?

Tamanna Dard-e-Dil Ki Ho To Kar Khidmat Faqeeron Ki


Nahin Milta Ye Gohar Badshahon Ke Khazeenon Mein

Serve the fakirs if you have the longing for Love


This pearl is not available in the treasures of kings
Na Puch In Kharqa Poshon Ki, Iradat Ho To Dekh In Ko
Yad-e-Baiza Liye Baithe Hain Apni Asteenon Mein

Do not ask of these Devotees, if you have faith, you should look at them
They have the illuminated palm up their sleeves

Tarasti Hai Nigah-e-Narsa Jis Ke Nazare Ko


Woh Ronaq Anjuman Ki Hai Inhi Khalwat Guzinon Mein

The insightful eye for whose spectacle is tantalized


That elegance of congregation is in these very recluses

Kisi Aese Sharar Se Phoonk Apne Kharman-e-Dil Ko


Ke Khursheed-e-Qayamat Bhi Ho Tere Khosha Cheenon Mein

Burn the produce of your heart with some such spark


That the Last Day’s sun may also be among your gleaners

Mohabbat Ke Liye Dil Dhoond Koi Tootne Wala


Ye Woh Mai Hai Jise Rakhte Hain Nazuk Abgeenon Mein

For Love search for some heart which would become mortified
This is the wine which is kept in delicate wine glasses
Sarapa Husn Ban Jata Hai Jis Ke Husn Ka Ashiq
Bhala Ae Dil Haseen Aesa Bhi Hai Koi Haseenon Mein

The Beauty itself becomes the Lover of whose Beauty


O Heart! Does someone among the beautiful has that beauty?

Pharak Utha Koi Teri Adaye ‘MA ARAFNA’ Par


Tera Rutba Raha Barh Charh Ke Sub Naaz Afreenon Mein

Someone became highly excited at your grace of Ma’arafna


Your rank remained among the most elegant of all the Lovers

Namayan Ho Ke Dikhla De Kabhi In Ko Jamal Apna


Bohat Muddat Se Cherche Hain Tere Bareek Beenon Mein

Manifest Yourself and show them Your Beauty some time


Talks have continued among the sagacious since long time

Khamosh Ae Dil! Bhari Mehfil Mein Chillana Nahin Acha


Adab Pehla Qareena Hai Mohabbat Ke Qareenon Mein

Silent, O Heart! Crying in the full assembly is not good


Decorum is the most important etiquette among the ways of Love
Bura Samajhun Inhain, Mujh Se To Aesa Ho Nahin Sakta
Ke Main Khud Bhi To Hun Iqbal Apne Nukta Cheenon Mein

It is not possible for me to deem my critics bad


Because Iqbal, I am myself among my critics

Say, Allah is One (‫ُقْل ُهَو ُهّٰللا َاَح ٌد ( کہو هللا ایک ہے‬

[112 Surah Al-Ikhlas, Verse 1]

Say, :The truth is that Allah is One.

(Bang-e-Dra-105) Shikwa (‫)شکوہ‬

Whose was the fateful wrath which made all idols shrink in terror just?
“There is no god but God,” they cried, as crumbling down they kissed the dust.

(Zarb-e-Kaleem-017) (‫ )توحید‬Touheed
Chief of warriors, I have witnessed your array;
Their sheaths are devoid of the sword of Say: 'He is Allah'

(Bang-e-Dra-092) March 1907 (١٩٠٧ ‫)مارچ‬

Zamana Aya Hai Behijabi Ka, Aam Didar-e-Yar Ho Ga


Sakoot Tha Parda Dar Jis Ka, Woh Raaz Ab Ashkar Ho Ga

Era has come for openness, so Beloved’s Sight will be common.


The secret which silence had concealed, will be unveiled now.

Guzar Gya Ab Woh Dor Saqi Ke Chup Ke Peete The Peene Wale
Bane Ga Sara Jahan Maikhana, Har Koi Bada Khwar Ho Ga
O Cup-bearer! Time has gone when wine was taken secretly.
The whole world will become a wine-seller shop, everyone will be drinking

Kabhi Jo Awara’ay Junoon The, Woh Bastiyon Mein Phir Aa Basain Ge


Barhna Payi Wohi Rahe Gi, Magar Naya Khar Zaar Ho Ga

Those who once wandered insane, will return to habitations


Lovers’ wandering will be the same but deserts will be new

Suna Diya Gosh-e-Muntazir Ko Hijaz Ki Khamshi Ne Akhir


Jo Ehad Sehraiyon Se Bandha Gya Tha, Phir Ustawar Ho Ga

The Hijaz’ silence has proclaimed to the waiting ear at last


The agreements(promises) established with desert’s inhabitants will be re-affirmed

Nikl Ke Sehra Se Jis Ne Roma Ki Saltanat Ko Ulat Diya Tha


Suna Hai Ye Qudsiyon Se Main Ne, Woh Sher Phir Hoshyar Ho Ga

Which coming out of deserts had overturned the Roman Empire


I have heard from the Qudsis (Angels) that the same 'Lion' will be re-awakened
Kiya Mera Tazkara Jo Saqi Ne Badah Khawaron Ki Anjuman Mein
To Peer-e-Maikhana Sun Ke Kehne Laga Ke Munh Phat Hai, Khuwar Ho Ga

As the cup‐bearer mentioned me in the wine‐drinkers’ assembly


The tavern’s sage said, “He is insolent, he will be disgraced”

Diyar-e-Maghrib Ke Rehne Walo ! Khuda Ki Basti Dukan Nahin Hai


Khara Jise Tum Samajh Rahe Ho, Woh Ab Zr-e-Kam Ayaar Ho Ga

O Western world’s inhabitants, God’s world is not a shop!


What you are considering genuine, will be regarded counterfeit(fake)

Tumhari Tehzeeb Apne Khanjar Se Ap Hi Khudkushi Kare Gi


Jo Shakh-e-Nazuk Pe Ashiyana Bane Ga, Na Paidar Ho Ga

Your civilization will commit suicide with its own dagger(knife)


The nest built on the weak branch will not be permanent, stable
Safina’ay Barg-e-Gul Bana Le Ga Qafla Moor-e-Natawan Ka
Hazar Moujon Ki Ho Kashakash Magar Ye Darya Se Paar Ho Ga

The caravan of the feeble ants will make fleet of rose petals
However strong the ocean waves’ tumult(uprising) be, it will cross the ocean

Chaman Mein Lala Dikhata Phirta Hai Dagh Apna Kali Kali Ko
Ye Janta Hai Ke Iss Dikhawe Se Dil Jalon Mein Shumar Ho Ga

The Lala (a bird), shows its spots to every flower-bud in the garden.
Knowing that by doing this it will be among the Love haters

Jo Aik Tha Ae Nigah Tu Ne Hazar Kar Ke Humain Dikhaya


Yehi Agar Kaifiyat Hai Teri To Phir Kise Itibaar Ho Ga

O Sight! That was the One you showed us as a thousand


If this is your state what will be your credibility?
Kaha Jo Qumri Se Main Ne Ek Din, Yahan Ke Azad Pa Ba Gil Hain
To Ghunche Kehne Lage, Humare Chaman Ka Ye Raazdaar Ho Ga

As I told the turtledove one day the free of here are treading on dust!
The buds started saying that I must be the knower of the garden’s secrets!

Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaron, Bannu Mein Phirte Hain Mare Mare
Mein Uss Ka Banda Bano Ga Jis Ko Khuda Ke Bandon Se Pyar Ho Ga

There are thousands of God’s Lovers, who are roaming in the wilderness
I shall adore the one who will be the lover of God’s people

Ye Rasm-e-Bazm-e-Fana Hai Ae Dil! Gunah Hai Junbish-e-Nazar Bhi


Rahe Gi Kya Abru Humari Jo Tu Yahan Be-Qarar Ho Ga

This is the world’s custom, O Heart! Even winking is a sin


What will our respect be if you will be restless here?
Mein Zulmat-e-Shab Mein Le Ke Niklun Ga Apne Darmandah Karwan Ko
Sharar Fishan Ho Gi Aah Meri, Nafas Mera Shaola Bar Ho Ga

In the darkness of the night I shall take out my tired caravan


My sigh will be shedding sparks my breath will be throwing flames

Nahin Hai Ghair Az Namood Kuch Bhi Jo Maddaa Teri Zindagi Ka


Tu Ek Nafas Mein Jahan Se Mitna Tujhe Misl-e-Sharaar Ho Ga

If there is nothing but show in the aim of your life


Your destruction from the world will be in a breath like spark

Na Pooch Iqbal Ka Thikana, Abhi Wohi Kaifiyat Hai Uss Ki


Kahin Sar-e-Rah Guzar Baitha Sitam Kash-e-Intizar Ho Ga

Do not ask about the condition of Iqbal, he is in the same state


Sitting somewhere by the wayside he must be waiting for oppression!
duniyā meñ huuñ duniyā kā talabgār nahīñ huuñ

bāzār se guzrā huuñ ḳharīdār nahīñ huuñ

Tu khak main mil aur aag main jal


jab khisht bane tab kaam chale
In khaam dilon kay unser par
bunyad na rakh taameer na kar

Jo yakeen ki raah per chal parre, Unhe manzilon ne panaah di, Jinhe vassvason ne daraa diya,
woh qadam qadam per behek gaye..

‫ نظر آ لباِس مجاز میں‬، ‫کبھی اے حقیقت منتظر‬


‫کہ ہزاروں سجدے تڑپ رہے ہیں مری جبیِن نیاز میں‬

For once, O awaited Reality, reveal Yourself in a form material,


For a thousand prostrations are quivering eagerly in my submissive brow

‫ ترا آئینہ ہے وہ آئینہ‬، ‫تو بچا بچا کہ نہ رکھ اسے‬


‫جو شکستہ ہو تو عزیز تر ہے نگاِہ آئینہ ساز میں‬

Do not try to protect it, your mirror is the mirror


Which would be dearer in the Maker’s eye if it is broken

‫ نہ وہ حسن میں رہیں شوخیاں‬،‫نہ وہ عشق میں رہیں گرمیاں‬


‫ نہ وہ خم ہے زلِف ایاز میں‬،‫نہ وہ غزنوی میں تڑپ رہی‬

My dark misdeeds found no refuge in the wide world


The only refuge they found was in Your Gracious Forgiveness
‫جو میں سربسجدہ ہوا کبھی ‪ ،‬تو زمیں سے آنے لگی صدا‬
‫تیرا دل تو ہے صنم آشنا‪ ،‬تجھے کیا ملے گا نماز میں‬

‫‪Even as I laid down my head in prostration a cry arose from the ground:‬‬
‫‪Your heart is in materialism, no rewards for your prayers are.‬‬

‫‪Allama Iqbal‬‬

‫جب عشق سکھاتا ہے‬

‫جب عشق سکھاتا ہے آداب خود آگاہی‬


‫کھلتے ہیں غالموں پر اسرار شہنشاہی‬

‫عطار ہو رومی ہو رازی ہو غزالی ہو‬


‫کچھ ہاتھ نہیں آتا بے آہے سحر گاہی‬

‫اے طائر الہوتی اس رزق سے موت اچھی‬


‫جس رزق سے آتی ہو پرواز میں کوتاہی‬

‫دارا و سکندر سے وہ مرد فقیر اولٰی‬


‫ہو جس کی فقیری میں بوئے اسدالٰہ ی‬

‫آئین جوانمردی حق گویئ و بے باکی‬


‫ہللا کے شیروں کو آتی نہیں روباہی‬

‫‪Allama Iqbal‬‬
‫عالمہ اقبال‬
Ye Zikr-e-Neem Shabi, Ye Marakabe, Ye Suroor
Teri Khudi Ke Nigheban Nahin To Kuch Bhi Nahin

Your reveries deep and rapture sweet, Your worship at the midst of night,
If fail to keep a watch on self, Are useless quite and have value slight.

Ye Aqal Jo Mah-o-Parveen Ka Khailti Hai Shakar


Shareek-e-Shourish-e-Pinhan Nahin To Kuch Bhi Nahin

The intellect can cast its noose on the Pleiades and the Moon;
If heart is bʹreft of love for God, It is not a worthy gift and boon.

Khirad Ne Keh Bhi Diya ‘La Ilaha’ To Kya Hasil


Dil-o-Nigah Musalman Nahin To Kuch Bhi Nahin

If wit incites a man to say ʺNo God but Heʺ it brings no gain:
It. has no worth at all I think, Unless affirmed by heart and brain.
Ajab Nahin Ke Preshan Hai Guftugoo Meri
Farogh-e-Subah Preshan Nahin To Kuch Bhi Nahin

No wonder great that my discourse with distraction unbound is fraught:


If it wonʹt spread like rays of morn, It means such talk has value naugh

Bulleh Nu Samjhawan Aaiyaann Bhaena Tey Bharjayee-yan


Man Lay Bulleya Sada Kena, Chad Day Palla Raaiyan

Bulleh Shah’s sisters and sisters-in-laws came to convince him.


Bulleya, please do as we tell you and leave the Arain’s (his guru’s) company.

Aal e Nabi Ullad e Ali, Nu Tu Kyun Lee-kaan Laiyaan.

You are born into the family of prophet, you are heir of Ali,
So why do you ruin your family’s name like this.

Jeyra Saanoun Syed Saday Dozakh Milay Sazaiyaan.


Jo Koi Saanu Raie Aakhe, Bhisti Peenghaan Paian.

Those who address me as Syed, shall be condemned to hell.


Those who address me as Raie, shall ride the swings in heaven.

Raien, Saayin, Sabhin Thaayein, Rab Deyaan Bay Parwaaiyaan,


Sohniyaan Paray Hatayaan Tay, Khojeyaan Lay Gall Laiyaan.

Arain and masters are born at every place, God does not discriminate against anyone,
The lord is so carefree, That he neglects the beautiful (others) and hugs the ugly.

Jay To Lorain Baagh Baharaan ,Chaakar Ho Ja Araiyaan.


Bulley Shah Dee Zaat Kee Puchni, Shaakar Ho Razayaan.

If you seek the pleasure of a heaven in spring, go and become a servant of the Araiens,
O’ do not ask Bullah his caste; Be thankful and be content with the lord’s creation.
Parh parh ilm hazaar kitaabaN
kadi apne aap nu parhya nahin
Jaa jaa wardey mandar maseeti
kadi mann apne wich wareya nahin
Anven larda shaitaan de naal bandeya
kadi nafs apne naal larya nahin
Aakhe peer Bulleh Shah aasmani pharna aeN
jehra man wich wasda unhoN pharya nahin

AssaN ishq namaaz jadoN neeti Ae


TaduN bhul gaye mandar maseeti Ae

Mullah ChoR de ilm kitaabaN da


AnveN chaaya ee baar azaabaN da
Wuzu ker le shouq sharaabaN da
TeyDi andar baahar paleeti Ae

Naal kusangi sang na kariye kul nu laaj na laiye hoo


Tumbe tarbooz mool na hunde toRey toR makkah le jaiye hoo
KaaNvaN de bache hans na honde toRey moti chog chugaiye hoo
koRey khoo na mithey hunde Bahu toRey sou mann khanD da paiye hoo

TaiKuN kaabe de wich payaa noor dissey


SaDey butt khane wich huzoor wassey
SakuN naiRey, taikuN duur wassey
TeyDi neeyat wich bad-neeti Ae

TusaaN uchey tussa diN zaat uchi tusaa uch sheher de rehen wale
AsaaN kasoori sadi zaat kasoori AsaaN sheher kasoor de rehen wale

Bulleh nach key yaar manaya Ae


Saraa dil da kufr ganwaaya Ae
Apne dil da maqsad paaya Ae
JadoN nazar Enaayat keeti Ae

Baba Bulle Shah

Raati jage te sheikh sadave,


par raat nu jagan kutte tain thi ute....
Raati bhonkno bas na karde,
fer ja rada vich sute tain thi ute....
Yaar da buha mul na chad'de,
bhave maro 100-100 jute tain thi ute...
Bulleh shah uth yaar mana lay,
nahi te baji lay gaye kutte tain thi ute...!!!

Har tamanna dil se rukhsat ho gai


Ab to aaja khalwat ho gai

Wa-e-naadaani ke waqt-e-marg ye saabit hua,


Khwaab tha jo kuch ke dekha, jo suna afsaana
tha !

mujhe ye Dar hai dil-e-zinda tū na mar jaa.e

ki zindagānī ibārat hai tere jiine se

“A real man is one who fears the death of his


heart, not of his body.”
― Ibn Qayyim al-Jauziyyah
Kya isliye taqdeer ne chunvaye thae tinke

haiñ aaj kyuuñ zalīl ki kal tak na thī pasand

gustāḳhi-e-farishta hamārī janāb meñ

Guloo m rang bhare baad ae nau bahaar chale

Shahsavaar hi girte hai maidane jung mai

aye aab e rawan e kabeer tere kinare koi dekh raha hai kisi aur zamane ka khwaab.

Hum Bhi Tasleem Ki Khoo Dalenge


Benayazi Teri Aadat Hi Sahi

qurb-e-jānāñ kā na mai-ḳhāne kā mausam aayā

phir se be-sarfa ujaḌ jaane kā mausam aayā

kunj-e-ġhurbat maiñ kabhī gosha-e-zindāñ meñ the ham

jān-e-jāñ jab bhī tire aane kā mausam aayā

ab lahū rone kī ḳhvāhish na lahū hone kī

dil-e-zinda tire mar jaane kā mausam aayā

kūcha-e-yār se har fasl meñ guzre haiñ magar


shāyad ab jaañ se guzar jaane kā mausam aayā

koī zanjīr koī harf-e-ḳhirad le aayā

fasl-e-gul aa.ī ki dīvāne kā mausam aayā

sail-e-ḳhūñ shahr kī galiyoñ meñ dar aayā hai 'farāz'

aur tū ḳhush hai ki ghar jaane kā mausam aayā

aur kuch roz fizao se lahu barsega

Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan Mili


Mere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Ufuw-e-Banda Nawaz Mein

Jo Mein Sar Basajda Huwa Kabhi To Zameen Se Ane Lagi Sada


Tera Dil To Hai Sanam Ashna, Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein

Kia Howa Jo Tere Maathe Pe Hain Sajdon Ke Nishan, Koi Aisa Sajda Bhi Kar Jo Zameen Pe
Nishan Chor Jaye.

Baat Sajdon Ki Nahi Khaloos-e-Niyat Ki Hoti Hai, Aksar Log Khali Hath Laut Aatay Hain Har
Namaz K Baad.

Tere Sajde Kahin Tujhe Kafir Na Kar Dein, Tu Jhukta Kahin Aur Hai Or Sochta Kahin Aur Hai

\Har tamanna dil se rukhsat ho gayi


Ab to aa ja ab to khalwat ho gayi

You might also like