Munir Niazi

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 3

Aa gayii yaad sham Dhalte hii

bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii

khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze


ek zaraa sii havaa ke chalte hii

kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe


miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii

tuu bhii jaise badal saa jaataa hai


aks-e-diivaar ke badalte hii

Jo bhii ghar se jaataa hai


ye kah kar hii jaataa hai
"dekho, mujh ko bhuul na jaanaa
maiN phir lauT ke aauuNgaa
dil ko acche lagne vaale
laakhoN tuhfe laauuNgaa
naye naye logN kii baateN
aa kar tumheN sunaauuNgaa"
lekin aaNkheN thak jaatii haiN
vo vaapis nahiiN aataa hai
log bahut haiN aur vo akelaa
un meN gum ho jaataa hai

Ah! ye barani rat


minh, hawa, tufan, raqs-e-sayeqat
shash-jahat par tirgi umari hui
ek sanate main bazm-e-hadsat
aur meri khirki k niche
kanpate peron k pat
char su awara hain
bhule bisre waqayat
jhakkaron k shor main
jane kitni dur se
sun raha hun teri bat

Bechain bahut phirna ghabaraye hue rahna


ik ag si jazbon ki bahakaye hue rahna

chalkaye hue chalana khushbu-e-begani ki


ik bag sa tha apna mahkaye hue rahna

is husn ka shewa hai, jab ishq nazar aye


parde main chale jana, sharmaye hue rahna
ik sham si kar rakhna kajal k karishme se
ik chand sa ankhon main chamkaye hue rahna

adat hi bana li hai tum ne to 'Munir' apni


jis shahar main bhi rahna uktaye hue rahna

Chaman main rang-e-bahar utra to main ne dekha


nazar se dil ka gubar utra to main ne dekha

main nim shab azma k hasrat ko dekhta tha


chaman main wo husn zar utra to main ne dekha

khumar mai thi wo chehra kuch aur lag raha tha


dam-e-sahar jab khumar utra to main ne dekha

gali k bahar tamam manzil badal gaye the


jo saya ek ku-e-yar utra to main ne dekha

ik aur dariya ka samna tha 'Munir' mujh ko


main ek dariya k par utra to main ne dekha

us bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto


ashk-e-rawan ki nahar hai aur ham hain dosto

sham-e-alam dhali to chali dard ki hawa


raton ka pichla pahar hai aur ham hain dosto

ankhon main ur rahi hai luti mahfilon ki dhul


ibrat bara-e-dahar hai aur ham hain dosto

ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yad


tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain dosto

Dar k kisi se chup jata hai jaise sanp khazane main


zar k zor se zinda hain sab khak k is wirane main

jaise rasm ada karte hon shahron ki abadi main


subah ko ghar se dur nikal kar sham ko wapis ane main

nile rang main dubi ankhen khuli pari thin sabze par
aks para tha asman ka shayad is paimane main
dil kuch aur bhi sard hua hai sham-e-shahar ki raunaq main
kitni ziya be-sud gai hai shishe k lafz jalane main

main to 'Munir' aine main khud ko tak kar hairan hua


ye chehra kuch aur tarah tha pahle kisi zamane main

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha


Jab Tak Raha Main, Saath Mere Yeh Hunar Raha

Subah-E-Safar Ki Raat Thi, Taare The, Aur Hawa


Saaye Sa Ek, Der Talak, Baam Par Raha

Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi


Par Main Bula Raha Tha Jise, Bekhabar Raha

Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi


Doori Ka Yeh Tilism Bada Kaargar Raha

Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua


Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai,Yehi Dil Mein Dar Raha

Is Aakhiri Nazar Mein Ajab Dard Tha ‘Munir'


Jaanay Ka Uske Ranj Mujhe Umr Bhar Raha

You might also like