Qateel

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Qateel

dard se meraa daaman bhar de yaa allaah phir chaahe diivaanaa kar de yaa allaah mai.n ne tujhase chaa.Nd sitaare kab maa.Nge raushan dil bedaar nazar de yaa allaah suuraj sii ik chiiz to ham sab dekh chuke sach-much kii ab koii sahar de yaa allaah yaa dhartii ke zaKhmo.n par maraham rakh de yaa meraa dil patthar kar de yaa allaah aadamii aadamii ko kyaa degaa jo bhii degaa vahii Khudaa degaa meraa qaatil hii meraa mu.nsib hai kyaa mere haq me.n faisalaa degaa zindagii ko qariib se dekho isakaa cheharaa tumhe.n rulaa degaa hamase puuchho dostii kaa silaa dushmano.n kaa bhii dil hilaa degaa ishq kaa zahar pii liyaa "Faakir" ab masiihaa bhii kyaa davaa degaa
raah aasaan ho ga_ii hogii jaan pahachaan ho ga_ii hogii phir palaT kar nigaah nahii.n aa_ii tujh pe qurabaa.N ho ga_ii hogii terii zulfo.n ko chhe.Datii thii sabaa Khud pareshaa.N ho ga_ii hogii maut se tere dard_mando.n kii mushkil aasaan ho ga_ii hogii un se bhii chhiin loge yaad apanii jin kaa imaan ho ga_ii hogii dil kii taskiin puuchhate hai.n aap haa.N merii jaan ho ga_ii hogii marane vaalo pe 'Saif' hairat kyo.n maut aasaan ho ga_ii hogii

taaj tere liye ik mazahar-e-ulfat hii sahii tum ko is vaadii-e-rangii.n se aqiidat hii sahii

[mazahar-e-ulfat=symbol of love; vaadii-e-rangii.n=beautiful spot; aqiidat=respect/preference?] mere mahabuub kahii.n aur milaa kar mujh se! bazm-e-shaahii me.n Gariibo.n kaa guzar kyaa maanii sabt jis raah pe ho.n satavat-e-shaahii ke nishaa.N us pe ulfat bharii ruuho.n kaa safar kyaa maanii [bazm-e-shaahii=royal court; sabt=etched] [satavat-e-shaahii=royal grandeur; ulfat bharii ruuh=lovers] merii mahabuub pas-e-pardaa-e-tashhiir-e-vafaa tuu ne satavat ke nishaano.n ko to dekhaa hotaa murdaa shaaho.n ke maqaabir se bahalevaalii apane taariik makaano.n ko to dekhaa hotaa [pas-e-pardaa-e-tashhiir-e-vafaa=behind the veil of this advertisement of faith/love] [satavat=wealth/grandeur; maqaabir(maqabaraa)=tomb; taariik=dark] anaginat logo.n ne duniyaa me.n muhabbat kii hai kaun kahataa hai ki saadiq na the jazbe un ke lekin un ke liye tashhiir kaa saamaan nahii.n kyuu.N ke vo log bhii apanii hii tarah mufalis the [saadiq=true; tashhiir=advertisement; mufalis=poor] ye imaaraat-o-maqaabir ye fasiile.n, ye hisaar mutal-qulhukm shahanashaaho.n kii azamat ke sutuu.N daaman-e-dahar pe us rang kii gulakaarii hai jis me.n shaamil hai tere aur mere ajadaad kaa Khuu.N [hisaar=forts; mutal-qulhukm=unthinking/arrogant; azamat= greatness; sutuu.N=symbol] [daaman-e-dahar=on the face of this world; gulakaarii=flowers and vines; ajadaad=ancestors] merii mahabuub! u.nhe.n bhii to muhabbat hogii jinakii sannaa_ii ne baKhshii hai ise shakl-e-jamiil un ke pyaaro.n ke maqaabir rahe benaam-o-namuud aaj tak un pe jalaa_ii na kisii ne qa.ndiil [sannaa_ii=artistry; shakl-e-jamiil=beautiful form] [benaam-o-namuud=without name or even a trace; qa.ndiil=candle]

ye chamanazaar ye jamunaa kaa kinaaraa ye mahal ye munaqqash dar-o-diivaar, ye maharaab ye taaq ik shahanashaah ne daulat kaa sahaaraa le kar ham Gariibo.n kii muhabbat kaa u.Daayaa hai mazaak [chamanazaar=garden; munaqqash=picturesque] mere mahabuub kahii.n aur milaa kar mujhase!
1. tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa hamaaraa kaam bhii hai aashiyaa.N banaane kaa bhalaa vo kaise samandar ke paar utaregaa nafas nafas jinhe.n Khadshaa hai Duub jaane kaa sunaa hai aap hai.n maahir havaa chalaane me.n magar hame.n bhii hunar hai diye jalaane kaa 1. Rukhsat huwa to haath mila ker nahi giya, Wo kiyun gaya hai ye bhi bata kar nahi giya, Yun lag raha hai jaise abhi laut ayega, Jalta huwa chiragh bujha kar nahi giya, ghar mein hai aaj bhi wohi khushbo basi huwi, Lagta hai yun ke jaisay wo aa ker nahi giya, Rehnay diya na usne kisi kaam ka mujhey, Aur khaak main bhi mujh ko mila ker nahi giya....... jo ruk jaao tou tanha ho....... Kuch pancchi jhund mein urrtay hon, Aur r'sta b kuch mushkil ho, Kuch door uff'aq py manzil ho, Ik pancchi ghay'al ho jaey, Aur be-dam ho kr gir jaey, To rishtay, naatay, pyaray sb,

Kb uski khatir ruktay hain! Is duniya ki hai reet yehi, Jo saath chalo to saath bohat, Jo ruk jao to tanha ho...

Ameer qazalbash
zindagii tujh ko manaane nikale ham bhii kis darjaa diivaane nikale [darjaa=type of, to what limit] kuchh to dushman the muKhaalif-saf me.n kuchh mere dost puraane nikale [muKhaalif-saf=in the enemy camp] be-basaarat hai ye bastii yaaro

aa_iinaa kis ko dikhaane nikale [be-basaarat=blind] in andhero.n me.n jiyoge kab tak ko_ii to shamaa jalaane nikale saahir

mai.n zi.ndaa huu.N ye mushtahar kiijiye mere qaatilo.n ko Khabar kiijiye zamiin saKht hai aasamaa.N duur basar ho sake to basar kiijiye sitam ke bahut se hai.n radd-e-amal zaruurii nahii.n chashm-e-tar kiijiye vahii zulm baar-e-digar hai to phir vahii zulm baar-e-digar kiijiye qafas to.Danaa baad kii baat hai abhii Khvaahish-e-baal-o-par kiijiye ye to nahii.n ke Gam nahii.n
firaq ye to nahii.n ke Gam nahii.n haa.N merii aa.Nkh nam nahii.n tum bhii to tum nahii.n ho aaj ham bhii to aaj ham nahii.n ab na Khushii kii hai Khushii Gam kaa bhii ab to Gam nahii.n maut agarche maut hai maut se ziist kam nahii.n

You might also like