Shayari

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 9

Is kadar hum unhe manane nikle, Unki chahaat ke hum deewane nikle, Jab bhi unhe dil ka haal

batana chaha, Unke hothon se waqt na hone ka bahana nikle(A) Tumse dosti karne ka hisab na aaya Mere kisi bhi sawal ka jawab na aaya. Hum to jagte rahe tumhari hi khayalo me Or tumhe so kar bhi hamara khawab na aaya.(A) Jis sham barastay hain tere hijr k badal Us shab koi hijr ka tara nahi hota Yun hi mere pehlu mein chala ata hai aksar Wo dard jisy main ne pukara b nahi hota (A) Mera bus chale to teri yaden kharid loon Apne jeene k waste teri baten kharid loon Kar saken jo har waqt deedar tera Sub kuch luta kr wo ankhen kharid loon... Ek me jo chah kar bhi tumse kuch kah na saki, ek tum jo samajh kar bhi rah gaye anjaan hoke, Kami to kuch nahi thi hamari chahato me, Na jane qyu fir bhi ham aap se mil na sake Hamari dastan use kaha kubul thi meri wafayen uske liye fizool thi. koi aas nahin lekin koi itna bata do maine chaha use kya ye meri bhool thi mohabbat main nahi hai fark jeene aur marne ka, usee ko dekh-kar jeete hain, jis kaafir pe dum nikle nigah pe nighao k pahre hote h in nigah k ghav b ghere hote h na jane q koste he hum badsurto ko dil todne wale to hasin chehre he hote h Zakhm itne gehre hain, izhaar kya karen . . . . Hum khud nishaana ban gaye,Waar kya karen . . Mar gaye hum, magar khuli rahi aankhen Ab is se zyaada unka, intezaar kya karen . Yeh Ishq Hi Hai Shayad Kai Haste Haste Ankhoun Se, Ansu Chalak Se Jate Hain, Jitna Tumhai Bhulate Hain, Tum Or Yaad Aate Ho, Tum Or Hamein Satate Ho, Mera Dil Kai Khamosh Samandar Ko Tum Bekarar Kar Jate Ho, Dor Kharay Jese Mere Ghamoun Pe Muskurate Ho, Nazar Se Ghayab Ho Lekin As Pas Nazar Bhi Aate Ho. Palkon Ki Nami Mein Chupa Kar Sapno Ko. Humne Unhe Jaane Ki Izazat de di. Hum toot Kar Bikhar Gaye Tukro Mein. Unhe Muskarane Ki Ijazat De Di Ek anjaane safar me hu... Iski manzil ka mujhe pata nahi...

Jo mujh tak chali aaye waisi teri sadaa nahi.... Waqt h ye guzar hi jayega... Waqt ko kisi ne baandha nahi... ...Meri maujudgi ki tamanna rakhne wale...... Tune apne dil me kabhi dekha nahi.... Makaa mera wo hi tha..... Jaha tune mujhe dhunda nahi.... Ghar se beghar hue to pata chala"Hasim".... Tanha insaan ka koi makaa nahi... Ab humne nazdikiyo se faasla bana liya hai...... khud ka hausla na toote aaj ye hausla bana liya hai.... kai tufaa aaye aur aakar guzare hai is dil se...... ab har waqt tufaano me rehte h,tufaa ko hi apna makaa bana liya hai...... jab b aati h khushiyaa mere jaanib ye tufaa use udaa le jaati hai...... ...ab tufaa ko hi "Hasim" maine apna rehnumaa bana liya hai....... . . **********FOR INSAA*********** *******ek maafi ki arzi hai******

Un Yaado ko aakhri saans tak nahi bhulayenge hum.... Ke saanso ko humne ab yaado ka naam de rakha hai. Is Wo Wo So So Dil Mai Salaamat Hai Ab Tak Shokh-i-Lab, Wo Harf-e-Wafa NaQQsh-e- Qadam, Wo AksS-e-Hina Bar Jissey Chooma Ham Ney Bar PARASTISH ki Jis ki

Is Dil Mai Salaamat Hai Ab tak Wo GarrD-e-Allam, Wo DeeDa-e-Numm Hum Jis Main Chupa K Rakhtey They Tasveer Bikhartiii Yaadoon ki Zanjjeer Pighaltey Waadoon ki PoonJii Nakaam Iraadoon ki Ayy Taizz Hawa Naraz Na hoo Is Dil Mai Salaamat Hai Ab Tak Samaan Bichrtii SAAET Ka Kuch Tukkrey Garam Dopehroon k Kuch ReaZeyy NAram Sawaaloon k Kuch DuR Anmool Khayaloon k Ik Sachaa Roop HaQeeQat ka Ik JhoTtha LaFz MoHabbAt Ka"..! Tu ne Kaise Kitne Kitni Band Kuch Bada Ashq Nafrat se jo dekha to mujhe yaad aya, Rishte teri Khaatir tor aya hon, dhundle hain ye chehre jinhen apnaya hay, Ujli thi wo aankhen jinhen chor aya hon....... palko pe maine ek khwaab rakha hai.... bikhri hui yaado ko uska naam rakha hai.... sangdil tha mera sanam,unka sitam to dekho..... k har katre me"Hasim"k usne ek sailaab rakha hai......

Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho, Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho...!! Tum Kabhi Mere Tarha Kar Bhi Lo Ikraar-e-Wafa, Pyar Karte Ho To Phir Pyar Chupate Q Ho...!! Ashq Aankho Mein Mere Dekh K Rote Q Ho..! Dil Bhar Aata Hai To Phir Dil Ko Dukhate Q Ho...!! In Se Vaabasta Hai Jab Mera Muqadar Phir ....!!! Mere Shano Se Ye Zulf Hatatay Q Ho......!! Roz Mar Mar K Mujhe Jeenay Ko Kehte Q Ho, Milne Aatay Ho To Phir Laut K Jatay Q Ho...!! Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho, Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho...!!!!!!!!!!!!!!!!

Mujh Se door Ho Tu Khud Ko Sambhaly Rakhna, Log Pochein Gay Kiyon Preshan Ho Tum, Kuch Nigahon Se Kehna, ...Zubaan Pe Taaly Rakhna, Na Khoney Deyna Merey Beetay Lamhon Ko, Meri Yaadon Ko Baray Payar Se Sambhaley Rakhna, Tum Loat Aao Ge Itna Yaqeen Hai Mujh Ko, Merey Liye kuch waqt Nikaley Rakhna, Hum Ne Kuch Naya Dekha Hai Tum Mein Phir, Merey Liye Apny Andaaz Niraley Rakhna............

Use shant karne ka ek hi upaye hai.... Beh jaane de chalke hue aansuo ko.... Jis din sailaab apni hadd jaan lega khud ba khud tham jayega.....

Humne bhi tanhaai ko apne seene se lagai hai...... Yahi naseeb h mera khuda ne ise mere liye hi banai hai..... Dekh liya hai "Hasim" ne khuda se har dua maang kar..... Apni tanhaai me hi maine khuda ki razaa paai hai..... Ek achi ladki thi hum bi use ache lage, Der tak lekin kaha chalte hai aise silsile, Woh bi kya pyare din they Yaad ate hai bohot Kaun Kehta Hai Mere Baghair Wo Tanha Hoga, ...Wo Chaand Hai Kahin Aur Chamakta Hoga, Wo To Rehta Hai Mohabbaton K Des Me, Use Kya Khabar Koi Tanha Use Sochta Hoga, Uski Yaado Ko Pyar Karte Hai, Sao Janam Tak Uspar Nisar Karte Hai, Agar Rah Me Mile Kabhi Wo Apko, Phir aaj koi ghazal tere naam na ho jaye, Aaj kahi likhte likhte sham na ho jaye, Kar raha hu intezar tere izhar-e-mo habbat ka, Is intezar mai zindgi tamam na ho jaye,

...Ab to nahi leta tera naam sar-e-aam is darr se, Kahi naam tera badnaam na ho jaye, Mangta hu dua jab tu yaad aata hai, Ki judaai mere pyar ka anjam na ho jaye . Unki ghar ki khuli chat pe chamakte hue taaro..... kabhi hamara haal ja kar kaho unko bhi...... k dil dard se bojhal thi aur nend bhi nahi thi....... kehta hai wo baat waha ja ke aaj b is jaha ki....... marhum ne jab b ki baat har baat tumhari hi bayaa ki........ Ashq jaar hoti h aakhein jab wo yaad aate hai.... Wo aate h tanha magar mere khayalo ko sath liye jaate hai.... Hum sochte the samandar h khud me sama lenge unko.... Par ek dariya samandar ko b apne sang baha liye jaate hai..... Bhigti aakho se rukhsat kiya na karooo.... Safar ki muskilein badha diya na karooo.... Hamare kadam ruk se jaate hai.... Bhari aawaaz se hume sadaa diya na karoo..... Kisi ne kaha hume jannato ko bhi hoga tera intezaar....... wo bhi tera tammannai hai.... humne kaha Jannat ke talabgaar to sab hai... Aaj jaana jannat bhi kisi ka tamannai hai.... ...Mera aamaal to bas mera khuda jaanta hai......... Kaise keh du ki meri kismat me jannat hi aai hai.... "Hasim" k wajood me to laakho duaien hai..... Magar "Hasim" k hisse sirf tanhaai hi aai hai..... Ye to jaane khuda ke wo kisse razaa hai..... Uski ibadat me apna sar har waqt jhuka hai...... Jise kehti hai duniya ishq, kuch aur nahi sazaa hai..... Duao me aaj b shamil h arzi, ek dard aisa kisine diya h..... Kaise aa jau tere dil me, usne mujhe makaa koi aur diya hai..... "Hasim" Jise tu apna khuda kehta h wahi to mera bhi khuda hai.... My fav....song ever..... "Zindagi me koi kabhi aye na rabba.. aye jo koi to phir jaaye na rabba... de ne ho agar mujhe baad me ansu.. to pehle koi hasaye na rabba..." My few lines wid this song... "Is dil ko tune deewana kyu bana diya...... Jab todna hi tha to pehle kyu saja diya.... Aaho me siddat meri itni wo bhar gaya... Har aah ke naam ek ashq wo kar gaya.... Ashq jo bahaai hai yaad teri aai hai.... Aise ashko k sath koi yaad aaye na rabba... Aaye jo kabhi to fir jaaye na rabba..... Zindagi me............. aaye na rabba...... Dil lene wale pe jor nahi chalta....

Ashiqi ka sikka kahi aur nahi chalta.... Yaad teri aai hai tu harjai hai.... Ek maraj hai seene naal dard behisaab howe.... Ey khuda is dard da koi to ilaz howe... Tere Sajde karaa duaien mangda saari umar..... Kabhi to pahunche meri sadaa tere naal kabhi to nijaat howe.... Yaadon ki parchayee mein ab Tu abhi tak iss baat se hai Izhaar-e-m ohabaat karna to Par har baar tere hi aks ne to aaye tera hi chahra anjaan main hoon deewana tera bahot baar socha maine roka hai rastaa mera*

Kuch nashe ki kuch khumaar ki baat ho..... Kuch sukoon kuch karaar ki baat ho..... Bepanah husn samete khadi hai khud me...... Kuch mere ghamkhaar kuch mere yaar ki baat ho....... ek ek karke ghayal ho rahe hai sab...... ...kuch nigahoo ki kuch uske kaatilaana vaar ki baat ho...... chot padti ja rahi h aur gungunate ja rahe hai...... kuch "Hasim"ke saaz ki kuch uske taar ki baat ho....... Fir wahi shaam hai fir dil-e-nashaad hai..... fir lab pe aati unse rehem ki faryaad hai...... wahi mera mehboob h jo mera saiyaad hai..... Is haal me "Hasim"ka ab jeena muhaal hai.... Gurbato aur ruswaiyo me dooba tha kabhi.... Fir wahi haal uske yaado ke baad hai...... Agar aag lagai thi to raakh hona hi tha...... Dariya-e-ishq me dooba tha to khaak hona hi tha....... Wo samajh na sake sabab dard ki.... Wo kuch aur nahi mera rona hi tha..... Meri wafaein parakhne ki aarzoo thi unhe...... ...Use ek din bewafaa hona hi tha..... "Hasim" bada hi sakth dil hai tere seene me..... Ise toot kar FANAA hona hi tha....

Koi ruthe yaha to kaun manane ata hai.... Rone wala khud hi chup ho jata hai.... Duniya bhul jaye to koi gam nahi.... Apne hi bhul jaye to rona aata hai Ruth kar dekho hume manana bhi aata hai...... Rote hue dost ko hasana bhi aata hai......... Duniya ki choro duniya ki kyu baat kare...... Apno ki yaad me hi to aansu bahaya jaata hai......... Jo apne hote hai wo kabhi nahi bhulte......... Aur jo bhul jaate hai wo apna kaha reh jaata hai........ Jis dum wo ja rahe the mere palke ashq baha rahe the.......

chahata wo bhi na tha judaai kadam kuch uske larkhada rahe the...... . kuch der aur ruk jaata wo lamhe aakhri deedar ka........ lekin lamhe bhi beraham the apni raftaar me badhe ja rahe the........... usne apne vaado me baandh rakha tha hume......... sadaa lab par aate aate ruk se ja rahe the......... kuch hi tha faasla uski aur meri judaai ka....... rok bhi na sake use bebas hokar dekhe ja rahe the......... dost tha wo dosti ki umeed thi us se........ aur "Hasim" ko saugaat me sirf apni yaad diye ja rahe the.......

Ey tapti hui reit tu kya mujhe jalayega....... mere wajood me waqt ke itne sholey hai tu khud isme jal jayega....... sehraao ki khaakh chaan raha hu to mujhe paagal na samajh...... in kadmo ke nisaa k sath chal ye mere safar ka kissa sunayega........ badi ...muskilo se tay kiya hai humne ye safar sehraao ka....... itni dur jaane de hume ke koi sadaa fir hume na rula paayega....... tu fir se "Hasim" ke rooh ko garm hawa na de....... jis aag ko humne dabaye rakha hai dil me wo fir se sulag jayega....... Dil ko sukun dene wala meri dard ko apnane wala az khud dard me hai, sukun se dur hai..... Jo mang liya wada main humesha khush rahu, az woh khushi ki gareebi me bechain hai. . . . Tanha hun main ansun pee rahi hun per mazburi me yeh dil usse dur hai. . . . .. Mujhe ish kadar ushne apna bana liya ke aaz woh ek sakhs ke liye yeh dil khamosh hai... Kah di hun main ab use alvida per woh mere yadon me kaid hai. . . . . Wapas jana hai mujhe ushke dil se per manjil me rokne wala woh ek dost hai. .. Badi haosle se dur ho rahi hun aaz unse, per woh kambakht mere intazaar me goom hai

Ek shakl sukoon-e-rooh ke jaisa..... Masumiyat se labrez h koi phool ke jaisa..... Laga khusnaseebi hamare dar pe aai ho..... Jab mila hume "Rafique" tum jaisa..... " Khush raho " Isliye nahi ke.... Aap khush rehna chahte ho.... Balki.... Isliye ke kuch log.... Aapko humesha khush dekhna chahte hai.... meri kismat hamesha mujh par beraham ho jaati hai... jab b koi accha dost milta hai ye kismat use chin le jaati hai....

Agar hota yaqeen us k milnay ka khawab main, Haathon main hum ghulab ki pattiyan saja k sotay Tabeebon Sy kiya Pochon Ilaaj-e-Dard-e- Dil Mohsin Marz jab Zindagi khud ho to Dawa kesi Dua kesi

Chor dia tum ne usay jisay pyar tha teri adaauo se.... Ab kon dekhy ga tere Naaz nakhray muje fiker hai teri barbaadi ki.. Hum ne MOHABBAT Ki to bus gunnah hi kiya, Kiya khaber thi wo khilono se nahi dilo se khelte hain. Mujh Ko Maloom Nahi Husn Ki Tareef Magar, Mere Nazro Main Haseen Woh Hai Jo Tum Jaisa Hai. Muhabbat Ki Namaazo'n Mein, Imaamt aik Ko So'npo . . . . Issey Takny, Ussey Takny, Se Niyyat Toot Jaati Hy..!.! Mahabbat Bndagi Hy Is Me Tan Ka Qurb Mat Mango. . . K Jis Ko Choo Lya Jaye Usy Pooja Nain krty. .

Apni dehliz par kuch dair toh para rehne do, Jaise hi hosh main aaonga toh chala jaonga, Parwana hon shama bhujhne tak rahne do, Main khud ko jalaonga toh chala jaonga, Na kisi ki aankh ka noor hon, Na kisi ke Dil ka qarar hon, Main girta huwa Ek ashk hoon, Beh jaonga toh chala jaonga, Na khuwab hon, Na khayal hon, Na phool hon, Na gulab hon, Main jalta huwa ek charag hon, Bujh jaonga toh chala jaonga. Bahot Masoom hasrat hy,Batao kiya kia jay.. Mujy Tum sy Muhabbat hy,Batao kia kiya jay... Jo suraj doobta hy,Dil b apna doob jata hy, Ajab si apni haalat hy,batao kia kiya jaye... Tum sy milny ki chahat meri kb hy mery piyary, Dil-e-Naadaan ki chahat hy,batao kia kiya jaye... Dard Mein Koi Mosam Pyara Nhi Hota, Dil Ho Pyasa To Pani Se Guzara Nhi Hota, Koi Dekhe To Hamari Bebasi, Hum Sabhi K Ho Jate Hain, Pr Koi Humara Nhi Hota... Ham ne kaha agar bhol jao hamen to kamal ho jay, Ham ne to faqt bat ki aur uss ne kamal kar dya...

Apney Honto Se Kah Do Youn Na Muskraya Kro, Jaan'' Hum Boht Gustakh He Muskraty Phoolon Ko Chome Liya Krty He.! Nazar Nazar Nazar Nazar Neechi ki to Haya bangayi, Uunchi ki to Duaa bangayi, Tirchi ki to Ada bangayi, pheir li to khat-ta bangayi....

Ek ek karke saare rishtey toot rahe hai....... ek ek karke saare haath chut rahe hai....... ab koi humse na ruthe isliye hum khud sabse ruth rahe hai....... kuch gham hai jo barso se mere peeche hai "Hasim"....... barso se wo hume kist kist me loot rahe hai.......

Kyu ye ashq rukne ka naam nahi leti.... jab bhi nikalti hai sirf dard deti..... jo kabhi laut kar na aayaga wapas......... har waqt usi ko hai sadaa deti...... khud to besabab hi nikal padti hai....... ye zuba h ke iske dard se kuch keh nahi paati..... jab koi haath na aata hai "Hasim" ise pochne wala...... behte behte gaalo pe ye khud hi sukh jaati......... Kahan mumkin tha, men dil se teri yaden mita deta, bhla kese men jee pata,agr tjh ko bhula deta. Teri ruswai k dar se labon ko see lia warna, tere shahr-e-munafiq ki men,bunyaden hilaa deta, kiya tark-e-wafa us ne,to hogi us ki mjboori, jise brson dua di thi,use kia bad'dua deta, Khabr hoti agr mjh ko,nhen he tu muqadar men usi lamhe men hathon ki , lakiron ko mita deta. Humne bhi tanhaai ko apne seene se lagai hai...... Yahi naseeb h mera khuda ne ise mere liye hi banai hai..... Dekh liya hai "Hasim" ne khuda se har dua maang kar..... Apni tanhaai me hi maine khuda ki razaa paai hai.....

Unki ghar ki khuli chat pe chamakte hue taaro..... kabhi hamara haal ja kar kaho unko bhi...... k dil dard se bojhal thi aur nend bhi nahi thi....... kehta hai wo baat waha ja ke aaj b is jaha ki....... marhum ne jab b ki baat har baat tumhari hi bayaa ki........

Fir wahi shaam hai fir dil-e-nashaad hai..... fir lab pe aati unse rehem ki faryaad hai...... wahi mera mehboob h jo mera saiyaad hai..... Is haal me "Hasim"ka ab jeena muhaal hai.... Gurbato aur ruswaiyo me dooba tha kabhi.... Fir wahi haal uske yaado ke baad hai....

Mumkin jo agr hota , hm tm ko bhula dety, yaadon ko kafan de kr , bewakt sulaa dety, tnhai men jee lety , tm ko na sada dety, is dil se tere dil tk , deewar utha dety, " mumkn jo agr hota , hm tm ko bhula dety

Kismat ki thi bdnaseebi,,,, din bure aany lgy, kbhi to krty the phoolon se nafrt,,,, ab thokren khaany lgy. Tu hai bahot magroor yooN to aye Meri Jaane-Ghazal, Maasoom laage hai bahot suurat Teri Jaane-Ghazal. Tuune kabhi to naa kahaa ik lafz bhi ikhlaas kaa, Par ye terii aawaaz hai ke Baa'Nsurii jaane-ghazal. Pardaa-Nashee'N tu bhi rahaa goyaa Khudaai Noor ho, MashHoor hai is husn ki Jaadugarii Jaane-Ghazal. Jis simt bhi dekhuuN Teraa Chehraa nazar aane lage, Gustaakh Dil pe Chaa gayee Hasrat Terii Jaane-Ghazal. Jaise Khazaane ke liye hotaa rahe Darbaan Tay, Rukh pe jo Til ik aapke, hai santarii Jaane-Ghazal. Garcheh Hayaat-e-Shaad me aaye bahot jalwaa-NasheeN, Qaayam rahii hai aapkii Jalwaa-garii Jaane-Ghazal.

Tera diwana hu inkar nahi kaise keh du tujh se pyar nahi kuch shararat to teri aankho me bhi he me akela to gunah gaar nahi

You might also like