Shairi Odt

Download as odt, pdf, or txt
Download as odt, pdf, or txt
You are on page 1of 31

"Jab khayalaat ki aamdani kam ho to lafzon ki fuzool kharchi nahi karni chahiye.

"
Meri tooti haveli ke kayi waaris nikal aaye .. Magar toote huye dil ko koi apna
nahin kehta
Usne waqt samajh kar guzaar diya mujhe .. Aur main zindagi samajh kar usay
jeeta raha
Hum ko to ek shakhs bhi accha mila agar .. Hum ne tamaam shehar ko accha
samajh liya
Tu ne kis taur se aakhir mujhe chota samjha .. Main to har shakhs ko apne se bada
maanta hoon
Dekh udaasi apna khayaal rakhna .. Ke main, ab muskurane laga hoon
Saari zindagi guzaari hai is tarah .. Jaise rassi par baazigar chale
Haath mat chorhna hamara bas .. Hum tumhein doobne nahin denge
Uske kamre se utha laaya hoon yaadein apni .. Khud para reh gaya lekin kisi
almaari mein
Statue statue khelte khelte, pata hi na chala .. Ke kab log paththar ke hogaye
Had se badhe jo ilm, to zehar hai doston .. Sab kuch jo jaante hain, woh kuch
jaante nahin
Doob kar sooraj ne mujhe aur bhi tanha kar diya .. Mera saaya bhi alag hogaya
mere apno ki tarah
Us mein saari kitaab shamil thi .. Ek waraq jo kitaab se kam hai
Dil hijr ke dard se bojhal hai .. Ab chai pila do to behtar hai
Aise chup chaap bhi kya jiya jaaye .. Chalo kahin ishq hi kiya jaaye
Kaun khareedega tujh ko .. Urdu ka akhbaar na ban
Kuch yun chal raha hai rishton ka karobaar .. Jitna jisse matlab, utna usse pyaar
Jo gehri neend sote hain, mohabbat kar nahin sakte .. Sukoon itna kahan haasil,
mohabbat karne waalon ko
Bin batlaye mat aaya kar .. Aankhon ko dhoka hota hai
Saste daamo kahan main bikta hoon .. Bas tere waaste riyayat ki hai
Hai tabassum hamare lab pe abhi .. Hum kahan zindagi se haare hain

Hamesha poochti rehti hai raaston ki hawa .. Yunhi ruke ho ya kisi ka intezaar hai
Tumhare saamne sacch bolne se ruk gaye hain .. Humein batao, tumhein aur kya
pasand nahin
Raat gehri, guzar hi jaayegi .. Dil ka sooraj na doobne dena
"Mohabbat ki ek se ziyaada daleel nahin hoti .. aur bewafai ke sau se kam bahane
nahin hote."
Thakan nahin hai kathin raaston pe chalne ki .. Bichadne waalon ke dukh ne bohat
nidhaal kiya
Sacch baat agar kehne ki aadat nahin hoti .. Duniya ko kabhi hum se shikayat
nahin hoti
Tamaam zakhm mohabbat ke bhar gaye lekin .. Hamare chehre se sanjeedgi nahin
jaati
Tum mere saath ho ye sacch to nahin hai lekin .. Main agar jhoot na boloon to
akela ho jaaon
Humsafar ho to ek kaam karo .. Guftagu ke bina kalaam karo
Tadapti dekhta hoon jab koi shay .. Utha leta hoon apna dil samajh kar
Ghareebon ki haaye .. Aur bekaar logon ki raaye kabhi nahin leni chahiye
Hum wohi hain, bas zara sa thikaana badla hai .. Tere dil se nikal kar apni auqaat
mein rehte hain
Woh jin darakhton ki chhaon mein se musafiron ko utha diya tha .. Unhi darakhton
pe agle mausam jo phal na utre to log samjhe
Palak se paani gira hai, to usko girne do .. Koi puraani tamanna pighal rahi hogi
#Gulzar
Lakeerein haath mein kuch mere bhi to thein shayad .. Chura ke le gaye sab haath
milaane waale
Khuda ke saamne kis munh se jaayenge woh log .. Mohabbat ka koi dhabba nahin
hai jinke daaman par
Paida hua vakil to ye shaitaan ne kaha .. Lo aaj hum bhi sahab e aulaad hogaye
Yaad aa jaati hai pardes gayi behno ki .. Jhund chidiyon ka jab aangan mein utar
aata hai
Mohabbat mein qusoor ginwaye nahin jaate .. Khud qubool kar liye jaate hain

Hum se lehja nahin badla jaata .. Log chehre badalte rehte hain
Tamaam umr kisi karishme ki aas rahi .. So isliye bhi meri zindagi udaas rahi
Mausam par aaj kisi ka jumla..."Is garmi me, subah ka nikla hua jab shaam ko
ghar waapis aaye .. Toh usay Bhula nahin, Bhuna hua kehte hain."
Pehli fursat mein maang lo usko .. Woh kisi aur ka na ho jaaye
Be wajah nahin hai aasmaan se jung meri .. Atak gayi hai sitaare mein ek patang
meri
Woh har baat maan raha tha .. Bichadne se pehle
Ab tera dukh nahin raha itna .. Dil mohabbat se bhar gaya kuch kuch
Tumhare maathe pe ungliyon se .. Duayein likhne ki khwaahish hai
Kabhi aadhi kisi ko de ke dekho .. Wafa, jo hum se saari maangte ho
Tu sakht garmiyon mein mujh ko .. Yaad aati hai thande paani ki tarah
Sabhi pehle pehal milte hain be had garam joshi se .. Hamare saamne apna aakhri
rawaiyya lao
Apni qismat mein sabhi kuch tha, sirf phool na the .. Tum agar phool na hote to
hamare hote
Main roz pilata hoon usay zehar ka pyaala .. Ek dard hai andar jo marta hi nahin
hai
Har baat ko Dil pe lena .. Dimaagh ki bimaari hai.
Unke gesu chuye to hans kar kaha .. Jaayeza loge baal baal ka kya
Agar aap ko kisi bhi insaan mein koi khoobi nazar nahin aati .. Toh kripiya apni
aankhon ki jaanch karwa lein.
Dastakon ne is qadar dhoke diye .. Ghar ke darwaazon se nafrat hogayi
Aadmi khud se bhi milne ko taras jaata hai .. Tu ne dekhi nahin aey dost, abhi
tanhai
Gham e jahan ko sharm-saar karne waale kya huye .. Woh saari umar intezaar
karne waale kya huye
Kaam dushwaar tha, dobaara mohabbat lekin .. Khud ko bekaar, tere baad kahan
tak rakhte

Ab jo har baat pe rote huye hans deta hai .. Jaane us shakhs ne kis tarah ke gham
dekha hai
Maikade mein kisne kitni pi Khuda jaane, magar .. Maikada to meri basti ke kayi
ghar pi gaya
Be wajah jab woh, hum se bolta nahin tha na .. Bas wahin se huyi thi, ibteda judai
ki
Aadaab kiya jaaye kise kitne adab se .. Ye fan mujhe barson ke tajurbe se mila hai
Zehar lagte ho phir bhi jaane kyon .. Dil ye karta hai tum ko pi jaayein
Le lena kisi subah ke sitaare se gawahi .. Shayad koi jaaga ho tere waaste shab
bhar
Ye ek hijr ka din hi nahin kata hum se .. Abhi to raat bhi saari hai, kya kiya jaaye
Main jiske naam ki maala japta hoon Wasi .. Usay gila hai ke main ne usay
pukaara nahin
Agar taaluq rakhna hai to jhagda kis baat ka .. Agar taaluq nahin rakhna to jhagda
kis baat ka
Poora hona to khair mushkil tha .. Tu to thoda sa bhi mera na hua
Woh to itni pyaari hai ke log to log .. Rotiyaan bhi usse jal jaati hain
Thaam ne waalon ne jab dhakka diya .. Tum batao phir main sambhalta kaise
Is se aage ka jo raasta hai, wahan nafrat hai .. Hum mohabbat mein bohat door
nikal aaye hain
Mohabbat ki samajh jinko nahin hai .. Woh nafrat bhi nahin karte saleeqe se
"Koyal apni zubaan bolti hai isliye aazaad hai .. Tota doosron ki zubaan bolta hai
isliye pinjre mein qaid hai."
Likhne lagta hoon main jo tehreer Maa par .. Mujhe lafzon se duayon ki sada aati
hai
one of the causes of global warming.........Din raat chaand pe shayari karne se
pehle soch lena tha .. Ke sooraj ghusse mein itna garam bhi ho sakta
Tareekh ki nazron ne, woh manzar bhi dekha hai .. Lamhon ne khata ki thi,
sadiyon ne saza paayi
Mera us shehar e adawat mein basera hai jahan .. Log sajdon mein bhi logon ka
bura sochte hain #AhmedFaraz

Ek thokar ki phir zaroorat hai .. Hosh phir hat gaye thikaane se


Bolo kitne ameer hogaye ho .. Tum meri neend ke churaane se
Woh mujhe neend mein hi milta tha .. Ab mujhe neend bhi nahin milti
Hum us samaaj mein rehte hain jahan .. Sharaab bechne waala kahin nahin jaata,
aur doodh bechne waale ko gali gali jaana parhta hai.
Sab kuch khuda se maang liya tum ko maang kar.. Uthte nahi hain haath ab is dua
ke baad :)
Tu akela kahan hai, tere liye .. Mere lab par dua hai, aur main hoon
Kuch nahin milta zamane mein mehnat ke baghair .. Apna saaya bhi mujhe dhoop
mein aane se mila
Uska ghar dekhne ke chakkar mein .. Mere gaon ki bus nikal gayi hai
Jaane waale se ye shikayat hai .. Kyon woh ja ke bhi nahin jaata
Woh mera tha hi nahin .. Aur main usko, khone se darta raha
Gali mein uski gaye, aur wahan se phir aaye .. Tamaam umr yehi apna karobaar
raha
Ajeeb khauf hai andar ki khamoshi ka mujhe .. Ke raaston se guzarta hoon
gungunate huye
Girna bhi accha hai, haqeeqat ka pata chalta hai .. Badhte hain jab haath uthane
ko, apno ka pata chalta hai
Meri zubaan ke mausam badalte rehte hain .. Main aadmi hoon, mera aitebaar
mat karna
Tum jo kehti ho chorh do cigarette .. Tum mera haath thaam sakti ho
Jo bol raha hai woh kartabi hai .. Jo sun raha hai woh matlabi hai. #JaunEliya
Usne poocha koi aakhri khwaahish .. Zubaan pe phir tera naam aa gaya
Tujhe bhuloon bhi to kaise .. Meri email ka password hai tu
Main musafir hoon, khatayein bhi huyi hain mujhse .. Tum tarazu mein mere paon
ke chhale bhi rakhna
Suna hai koyle ki kaan se heera nikalta hai .. Utho tareek raaton se koi sooraj
nikalein hum

Hairat hai ke woh log bhi ab chorh chale hain .. Jo meri hatheli pe lakeeron ki tarah
the
Duniya ka sab se mushkil kaam karne laga hoon .. Apne kaam se kaam rakhne
laga hoon
Main samandar hoon, mujhe mil kisi dariya ki tarah .. Main bhi dekhoon tere
jazbon ki rawani kya hai
Aey zindagi kuch waqt de .. Aey waqt, thodi zindagi
Aandhiyon ko khabar nahin shayad .. Kuch charaghon mein jaan baaqi hai
Itna nazuk hai uske lab o rukhsar ka rang .. Udne lagta hai agar ghaur se dekha
jaaye
Unke kirdaar ki azmat ko bhala kya kahiye .. Itne acche hain, ke acchon ko bura
kehte hain
Aisa lagta hai ke naraazgi baaqi hai abhi .. Haath thaama hai magar, tum ne
haath dabaya nahin hai
Usne ek baar bhi palat kar nahin dekha .. Shayad apne aansoo chupa raha tha
woh
Tu bheegne ka vaada to kar .. Baarish main le ke aaonga
Tum se be-had mohabbat hai mujhko .. Tum qubool ho teen baar mujhe
Jab Qazi poochega qubool hai .. Tab meri jaan Hmmm Hmmm na karna
Main zara aur koshish karta .. Uska dil pighal bhi sakta tha
Tu agar sahara na deta .. Paon mera phisal bhi sakta tha
Koi rasta nikal bhi sakta tha .. Woh mere saath chal bhi sakta tha
Mere dushman ko bhi paighaam e mohabbat de do .. Ab kisi aankh mein nafrat
nahin dekhi jaati
Tere do sau gram dil ke badle .. Hum sattar kilo ki jaan ganwa baithe
Goonjte rehte hain alfaaz mere kaano mein .. Tu to aaraam se keh deta hai Khuda
Hafiz
Tumhara aur hamara saath mumkin hai .. Ye duniya hai, yahan har baat mumkin
hai
Aawaaz teri mujh mein phir jaan daal degi .. Tu bura agar na maane tujhe ek call

karoon
Jawaab to tere har sawaal ka tha .. La-jawaab tera lehja kar gaya
Samajhdaar hi karte hain aksar ghaltiyan .. Kabhi dekha hai pagal ko ishq karte
huye :-)
Mujhko tumhare jaane ka gham hai laga hua .. Mujhko tumhare aane ki koi khushi
nahin
Thoda door jaana hai to paon kaam aayenge .. Bohat aage jaana hai to zubaan
kaam aayegi.
Raat afsana sun ke soya tha .. Subah kirdaar ban ke jaaga hoon
Aey zindagi, is tarah sab ko rulaaya na kar .. Har kisi ke paas aansoo pochne
waala nahin hota
Tum bhi aaine ki tarah bewafa ho .. Ke jo bhi saamne aaya, usi ke hogaye
Humein maloom tha anjaam e mohabbat Mohsin .. Hum ne aakhri harf se pehle hi
qalam tod diya
Ye main jo teri taraf dekhta hoon mud mud kar .. Lahu mein ek samandar
pukaarta hai mujhe
Kuch to majbooriyan rahi hongi .. Yun koi bewafa nahin hota :-)
Theek kehte hain sabhi, ishq pareshani hai .. Haan magar pehle mujhe kaunsi
aasaani hai
Zubaan ko khamoshi di, khamoshi ko di zubaan main ne .. Teri aankhon se seekha
hai, ye andaaz e bayaan main ne
Mere chehre pe hansi la sakte ho .. Kya tum waapis aa sakte ho
Kaise bazaar ka dastoor tum ko samjaon .. Bik gaya jo, woh khareedaar nahin ho
sakta
Jo log maut ko zalim qaraar dete hain .. Khuda milaaye unhein zindagi ke maaron
se
Tehzeeb sikha di mujhe ek chote se makaan ne .. Darwaaze par likha tha, thoda
jhuk kar chaliye
Ek hi chokhat pe ja ke baith gayi .. Ye mohabbat bhi kitni dheet hai
Jitna chota dimaagh .. Utni ziyaada shikayatein

Aaina kehta hai, kehna to nahin chahiye tha .. Tu ab tak zinda hai, rehna to nahin
chahiye tha
Dekh sooraj tu haar jaayega .. Maa dupatta bhigo ke laayi hai
Masla ye nahin hai ke mera dard kitna hai .. Mudda ye hai ke tumhein parwaah
kitni hai
"Bewaqoof aadmi ko mashwara dena .. Shehad ki makkhiyon ko chhedne ke
brabar hai."
Ek baar tujhe aqal ne chaha tha bhulana .. Sau baar junoon ne teri tasveer dikha
di
Aksar poochte hain log, koi to hoga .. Aksar dil kehta hai, kaash ke koi hota
Jhoot sacch mera masla hi nahin .. Tum ne apna kaha, hum ne yaqeen kiya
Khul kar hansna aa jaayega tujhko bhi .. Ishq tujhe bhi chail chabila kar dega
Raat baatein tumhari karte rahe .. Chaand, taare, charaagh jalte rahe
Jeetne ke baad to saari duniya gale lagati hai .. Haarne ke baad jo lagaye, bas
wohi apna hota hai.
Unko dekha to yun laga .. Qayamat paanch foot che inch ki hogi
Maar daalega humein is shehar mein .. Ghar ki tanhai pe aksar so
Gham-zada hain parinde jungle ke, aisa lagta hai sakht roye hain .. Shayad
aawaaz thi kulhadi ki, sun ke saare darakht roye hain
Woh khud to uljhi uljhi hai .. Par baal banaye rakhti hai
Lehje ko zara dekh, jawaan hai ke nahin .. Baalon ki safedi ko budhapa nahin
kehte
Tehzeeb sikhati hai jeene ka saleeqa .. Taleem se jaahil ki jahalat nahin jaati
Jo maangu mujhe de diya kar aey zindagi .. Kabhi to meri Maa jaisi ban
Agar tu aadmi hai .. Mohabbat laazmi hai
Dil mehakta hai kisi khushbu se .. Koi rehta hai phool sa mujh mein
Jao ja kar keh do usse .. Main ne jeena seekh liya hai
Kya bataon uski baatein kitni meethi hain .. Saamne baith ke pheeki chai peeta
rehta hoon

Tu ne rakha nahin kahin ka magar .. Zindagi, ja tujhe maaf kiya


Teri talaash ko ye duniya .. Aawargi samajh baithi
Qafla shab ka na ruk saka magar .. Tujh bin rahi raat badi der talak
Tere pehlu mein kat jaaye jo raat meri .. Main us raat mein saari umar kaat loonga
Pareshaan hai woh jhoota ishq kar ke .. Wafa karne ki naubat aa gayi hai
Aur tha bhi kya apna is shehar mein .. Bas teri yaadein uthayein, chal diye
Apne malbe ki khoj hai mujhko .. Dekhiye kab kahan se milta hoon
Hum safar saaye ko samajhta hoon .. Isliye dhoop mein nikalta hoon
Hamari wafa pe khaak daalo .. Tum batao aaj kal kis kis ke ho
Is zamane mein aise bohat hain .. Jinke chehre pe chehre bohat hain
Woh jo hota to laut kar hum bhi .. Ghar sar e shaam aa rahe hote
Main apni zindagi ko bura kyon kahoon .. Rehna hai iske saath miyaan umar bhar
mujhe
Ameer shakhs kisi se koi rishta nahin rakhta .. Ghareebi chaand ko bhi Mamu
maan leti hai
Tum...
Woh pehli ladki ho
Jis ko dekh ke
Dhoop ka har tukda
Badal ho sakta hai
Chaand kisi shab poora
Pagal ho sakta hai...

Tere vaade agar sacche hote .. Toh aaj hamare bhi do bacche hote
Nazrein sab bata deti hain .. Mohabbatein bhi, nafratein bhi
Hum ne bas aaina dikhaya tha .. Aap jisko be-izzati samjhe
Jo chai me biscuit ko doobte nahin dekh sakta tha, woh aaj kisi ki aankhon me

doob gay
Itne narm honton se .. Kitna sakht bolte ho
Hum ne ek hasrat e tabassum ko .. Kitne aansoo pila ke paala hai
Doosron ke raaste ki rukawat door karne se, apni manzil ka raasta aasaan ho jaata
hai.
Jab tum ko lage, tum mere ho .. Toh der na karna aane mein
Ek duje ko boodha hote dekha hai .. Bolo aur mohabbat kis ko kehte hain
Sacch ke raaste pe chalne ka ye faayeda hua .. Raaste mein kahin bheed nahin thi
Woh bichda to phir kabhi subah na huyi .. Raat hi hoti gayi har raat ke baad
Log doosron ke kaamon mein kaise taang adate hain Faraz .. Hum se to khud apne
kaam bhi theek tarah se nahin hote
Tum kahan tak bachaoge isay .. Dil hai sheesha, tootega zaroor
Aaj woh aaya to mujhko apna ghar accha laga..
Jiske pairon ke neeche jannat hai .. Uske sar ka muqaam kya hoga
#MothersDay
Woh mujhe dil mein yaad karta hai .. Rang chehre ka bol uthta hai
Tu naraaz na raha kar, tujhe Khuda ka waasta .. Ek tera hi chehra khush dekh kar
hum apne gham bhoolte hain
Lambi sadak par, daudti huyi dhoop, achanak ek ped se takrayi, aur tukde tukde
hogayi
So chuke hote hain bacche bhi mere, biwi bhi .. Der se aaon to Maa jaag rahi hoti
hai
Charaagh le ke koi raaste mein baitha tha .. Mujhe safar mein jahan raat hone
waali thi
#Maa
Insaan ki zubaan se nikalne waale lafzon mein .. Sab se khoobsurat lafz Maa hai. Khalil Gibran
Kehte hain pehla pyaar kabhi bhulaya nahin jaata, jhoot hai .. Warna koi aulaad
apne Maa Baap se bura sulook nahin karti.

Apni zubaan ki tezi us Maa par mat aazmao jisne tumhein bolna sikhaya. - Hazrat
Ali #MothersDay
Jab hum bolna nahi jaante the tab bhi Maa hamari har baat samajhti thi, aur aaj
hum har baat pe kehte hain

"Chorho Maa, tum nahi samjhogi."


Us shakhs se dosti mat rakho jo apni Maa se oonchi aawaaz mein baat kare .. Jo
shakhs Maa ki qadar nahin kar sakta, woh dost ki kya karega.
Hai intezaar usay bhi tumhari khushbu ka .. Hawa gali mein bohat der se ruki huyi
hai
Mashwara karna ho to gaon chala jaata hoon .. Mere purkhon ka abhi ek darakht
baaqi hai
Labon pe uske kabhi bad dua nahin hoti .. Bas ek Maa hai jo kabhi khafa nahin
hoti
Ek khwaahish thi fana hone ki .. Woh tum se mil kar poori hogayi
Umar bhar saanp se sharminda rahe ye sun kar .. Jab se insaan ko kaata hai, phan
dukhta hai
Main ishq ki us manzil par hoon .. Jahan se log la pata ho jaate hain
Tum lafz mohabbat se .. Zara sharminda to hote honge
Main agar chup hoon to kamzor nahin hoon sahab .. Agar kamzor hi hota, to kaise
chup rehta
Uske qadam jahan jahan parhe, wo jagah choom li, Aur wo kambakht Maa se ja k
boli, aunty aap ka beta mitti khata hai
Zindagi mein aaina, jab bhi uthaya karo .. Pehle dekh lo, phir dikhaya karo
Ek shayar ki udaas shayari parh k ek sahab bole "Aap itni udaas shayari na kiya
kijiye, ab to aap wali k gham me main bhi udaas rehta hoon."
Jinka maqsad fareb hota hai .. Woh badi saadgi se milte hain
Meri har khata ko ye soch kar maaf kar dena .. Ke tum kaunsa Mother Teresa ho
Dekh lo kitne zakhm hain dil par .. Tum to kehte the ishq marham hai
Main aap ki jagah hota to khwaab nahin dekhta .. Fridge khol kar kha leta :-)

Humein tumhari taraf roz kheench laati hai .. Woh ek baat jo tum ne kabhi kahi bhi
nahin

Kisi ne joker se poocha


"Tum mask kyon lagate ho?"
Jokar bola
"Lagate sab hain, mera dikhayi deta hai."
"Paan waale ki izzat kiya karo .. Kyonki duniya mein ek wohi hai jo hum se pooch kar
chuna lagata hai."
Kho na jaon kahin zamane mein .. Mere haathon mein apna haath rehne do
Baat, be baat hanste rehte hain .. Gham chupana bhi kya musibat hai
Jis ko khwaabon ki zaroorat ho utha kar le jaaye .. Hum se ab aur ye dukaan chalayi nahin
jaati
Jhoot ab pehle se ziyada munh phat hogaya hai .. Aur sacch ne ab haklana shroo kar diya
hai. #JaunEliya
Zindagi, thoda muskura .. Ek tasveer leni hai tere saath
Mera kirdaar yunhi nahin chamka mere dost .. Bohat ragda hai jee bhar ke musibaton ne
mujhe
Aandhiyon ne laakh badhaya hausla is dhool ka .. Do boond baarish ne auqaat bata di
Kis ki jurrat ke mere hosh mein loote mujhko .. Woh to duniya teri baaton mein laga leti
hai
Khane mein koi zehar ghol de to uska ilaaj hai .. lekin kaan mein koi zehar ghol de to uska
ilaaj nahin.
Itne chehre the uske chehre par .. Aaina tang aa kar toot gaya
Sab aadatein chorh sakta hoon .. Tere liye, tera siwa
Sood par saans qarz deta hai .. Waqt kitna bada mahajan hai
Main sochta hoon ke dam lein to main inhein tokoon .. Magar ye log lagataar jhoot bolte
hain
Jaante the ke praaye hain log .. Is qadar hain, humein maloom na tha
Jab mile, jisse mile, dil khol kar dil se mile .. Isse badh kar aur khoobi koi insaan mein

nahin
Badshaah hai jidhar chala jaaye .. Dil pe kuch ikhtiyaar thodi hai :-)
Mohabbat mein sab taaqatein hoti hain .. Sirf bolne ki taaqat nahin hoti. - Amrita Pritam
Abhi abhi dil ki suni hai, abhi na karo zamane ki baat .. Abhi abhi aawargi aayi, abhi na
karo sambhalne ki baat
Shaam ko tera hans ke milna .. Din bhar ki mazdoori hai #LabourDay
Ab talak jo nahin pohnchi mujh tak .. Neend ko neend aa gayi hogi
Yun asar daala hai matlab-parasti ne duniya par .. Ke haal bhi poocho to log samajhte
hain, koi kaam hai
Wafa dhoondhne nikle the Ghalib .. Wifi mil gayi to wahin baith gaye
Khud ke baare mein jaanta hi nahin .. Uske kamre mein aaina hi nahin
Poocha jo unse, labon ki laali ka raaz .. Hans ke bole, aap ka lahu peete hain
Tamaam umr akele mein tujhse baatein ki .. Tamaam umr tere rubaru khamosh rahe
Ek baar dhoka khane ke baad, insaan jab phir kisi par bharosa karta hai .. Toh usay
bewaqoofi nahin, insaniyat kehte hain.
Chalo tum ko bhool jaate hain .. Chalo phir se muskurate hain
Main jaanta hoon kahan tak udaan hai inki .. Ye mere haath se nikle huye parinde hain
Chhodiye bhi choti choti ranjishon par be-rukhi .. Mukhtasar si zindagi hai, muskura kar
dekhiye
Zindagi hai ek kiraaye ki khushi .. Sookhte talaab ka paani hoon main
Tum nahin mile to kya hua .. Sabaq to mil gaya
Main ne to baad mein toda tha usay .. Aaina mujh pe hansa tha pehle
Meri chup ko meri haar mat samajhna .. Main apne faisle Khuda par chorh deta hoon
Bada ajeeb sa zehar tha uski yaadon mein .. Saari umar guzar gayi mujhe marte marte
Ye bhi ek rang hai shayad meri mehroomi ka .. Koi hans de to mohabbat ka gumaan hota
hai
Aey farishton, takalluf na karo likhne ka ab .. Logon ko yaad hain sab khatayein ek doosre
ki
Namak ki tarah hum hogaye Ghalib .. Har koi swaad anusaar istemaal karta hai
Khairaat mein de aaya hoon jeeti huyi baazi .. Duniya ye samajhti hai ke main haar gaya

hoon
Guftagu mein pehli si khushbu nahin .. Jaane kis kis se mila karte ho tum
Haar ne se insaan nahin toot'ta .. Haar ne ke baad logon ka rawaiyya tod deta hai.
Kuch to hai tujh mein baat, ke tujhko har ek shakhs .. Phir dekhta zaroor hai, ek baar dekh
kar
Mere lehje mein " Jee Huzoor " na tha
Iske alaawa koyi qusoor na tha
Sirf isliye ehteraam karta hoon .. Ishq hai umar mein bada mujhse
Dekh lo kitne zakhm hain dil par .. Tum to kehte the ishq marham hai
Main aap ki jagah hota to khwaab nahin dekhta .. Fridge khol kar kha leta :-)
Humein tumhari taraf roz kheench laati hai .. Woh ek baat jo tum ne kabhi kahi bhi nahin
Zindagi, thoda muskura .. Ek tasveer leni hai tere saath
Zara sa bhi nahin pighalta dil aap ka .. Aisa qeemti paththar kahan se laaye ho
Aaj tum se ek baat poochoon main .. Itna yaad aate ho to aa kyon nahin jaate
Kisi bhi mausam mein khareed lijiye janaab .. Mohabbat ke zakham hamesha taaza hi
milenge
Kehna to, pal do pal ka hai .. Kuch na kehne mein, arsa lagta hai
Sard lehje ko todne ke liye .. Garam chai ka intezaam kiya
Aakhri baar tujhe dekhna hasrat hi nahin .. Marne waale ki zaroorat bhi to ho sakti hai
Ghar se kuch khwaabon se milne ke liye nikle the hum .. Kya khabar thi haqeeqat se
saamna ho jaayega
Dil ne maani nahin meri warna .. Main tujhe bhoolne ke haq mein tha
Unhein bewafa jo kahoon to, tauheen hai wafa ki .. Woh wafa nibha to rahe hain, kabhi
idhar ! kabhi udhar :-)
Ab tak udaas hai woh mera phone kaat kar .. Usko gumaan tha, phir se meri call aayegi
Zindagi ka ye hunar bhi aazmana chahiye .. Jung kisi apne se ho to haar jaana chahiye
Samandar se keh do apni maujein sambhal kar rakhe .. Zindagi mein toofan ke liye kuch
apne hi kaafi hain
Pehle to dikhata raha woh khwaab musalsil .. Ab kehta hai khwaabon ka bharosa na kiya
kar

Mere jalte makaan ko kya maloom .. Mere ghar ke charaagh mujrim hain
Kya khaak taraqqi ki hai aaj ki duniya ne .. Mareez e ishq to aaj bhi la-ilaaj baithe huye
hain
Ghaur kiya insaan ki zindagi par jab main ne .. Baat mitti se shroo ho kar khaak mein ja
mili
Ek tanha shajar ne mujhse kaha .. Mere saaye mein roz baitha kar
Kitna chalaak hai mera yaar ke usne mujhe .. Tohfe mein ghadi di hai magar waqt nahin
Sab ko bula kar zehar de diya jaaye .. Aaj sab khwaahishon ki daawat ho
Har ek baat mein jiski mithaas thi .. Bichada to zindagi kadwi kar gaya
Chand khushiyon ko jama karne mein .. Aadmi kitna bikhar jaata hai
Lamhe lamhe ka dar chala jaaye .. Woh mujhe chorh kar chala jaaye
Thodi talkhi bhi tabiyat mein zaroori hai .. Log pee jaate, samandar jo na khara hota
Talkh = Kadwa
Usne poocha chai mein cheeni kitni .. Main ne kaha bas ungli ghuma dijiye
Har shakhs mein dhoondhta hoon khud ko .. Shayad main kisi mein kho gaya hoon
Badi soch par koi paabandi nahin hai .. Tajjub hai phir bhi logon ki soch choti kyon hai?
Cheezon ki qeemat milne se pehle hoti hai .. Aur insaano ki qeemat khone ke baad
Ghalat fehmiyon se bhi khatam ho jaate hain rishte .. Har baar qusoor ghaltiyon ka nahin
hota
Bacchon ko dukh sehna bachpan mein hi sikha do .. Mat lao woh khilone jo toot'te nahin
hain
Ubalte paani mein chehra nazar nahin aata .. Tumhara ghussa jab utre, to faisla karna
Jab se ek shakhs mere dhyaan mein hai .. Kitni khushbu mere makaan mein hai
Khushi apni thi, baant di hum ne .. Gham tha uska, sambhal ke rakha
Aadmi parakhne ki bhi ek nishaani hai .. Guftagu batati hai kaun khandaani hai
Husn aisa tha, ke umr bhar ka dekhna kam parh jaaye...
HBhoolne waali baatein, sab yaad hai .. Isi liye to zindagi barbaad hai
Haal poocha, na khairiyat poochi .. Aaj bhi usne, haisiyat poochi
Saari baatein keh jaane ko dil karta hai .. Tere saath hi beh jaane ko dil karta hai

Aaj phir raat ko royega samandar Aatif .. Aaj phir ret par kuch likh kar mitaya usne
Tamaam alfaaz ke maani badal gaye .. Woh apne chehre pe so gayi hai kitaab rakh kar
Khuda se kya mohabbat karega .. Nafrat jise insaan se ho
Uski mohabbat bhi kiraye ke ghar ki tarah thi .. Jitna bhi sajaya magar, apna na hua
Har koi mujhse pooche teri kahani .. Ab kya sunaon unhein baatein puraani
Ek lambi muddat ke baad .. Hansi aayi bhi to apne hi haal par
Aur kab tak nahin milenge hum .. Aap ke paas to ghadi hogi
Agra ka Taj Mahal is baat ka gawaah hai .. Ke aurat marne ke baad bhi mard ki jeb khali
karwa sakti hai :-)
Pesh to hoga adalat mein muqadma, beshak .. Jurm qatil hi ke sar ho, ye zaroori to nahin
Taqdeer badal jaayegi apne aap hi .. Muskurana seekh le bas, wajah talaash na kar
Uski muskurahat se hi khil uthta hoon .. Bas yehi hai mera, art of living
Adam ! woh mile, main ne jaan waar di .. Badi mukhtasar hai kahani meri
Zara si khaak uda dena zameen se lekar .. Koi jo pooche ke anjaam e zindagi kya hai
Gila jo karna, to soch kar karna .. Mujh ko ab poora hisaab aata hai
Sirf ek qadam utha tha ghalat raah e shauq mein .. Manzil tamaam umr mujhe dhoondhti
rahi
Agar main kainat ka CEO hota to is baat par aap ko kuch sitaare gift deta, lekin kyonki
nahin hoon .. Isliye sirf Shukriya
Rehne ke liye ghalat fehmi buri jagah nahin hai .. Main weekend aksar wahin guzaarta
hoon :-)
Neend ki goliyaan usay bhi do .. Chaand ko bhi ye bimaari hai
Us shakhs ko to bichadne ka saleeqa bhi nahin aata .. Jaate jaate khud ko woh yahin
chorh gaya
Khat tere raat bhar yun parhta hoon .. Jaise kal imtehaan ho mera
Tez raftaar hua hai zamana kuch is qadar .. Log mar jaate hain jeene ka hunar seekh ne
tak
Dukh apna agar hum ko batana nahin aata .. Tum ko bhi to andaza lagana nahin aata
Bada ajeeb sa khauf tha, us sher ki aankhon mein .. Jisne jungle mein hamare qadmon ke
nishaan dekhe the

Main ne har rang daal ke dekha .. Us pe har rang bhala lagta hai
Tum na laga paoge andaza meri tabahi ka .. Tum ne dekha hi kahan hai mujhko shaam
hone ke baad
Rangon se dar nahin lagta sahab .. Rang badalne waalon se lagta hai
Keh ke ghaddar meri neendon ko .. Mere khwaabon ne khudkushi karli
Main khud bhi apne liye ajnabi hoon .. Mujhe ghair kehne waale, teri baat mein dam hai
Tum hi rakh lo na apna bana kar .. Sab ne hi chorh diya tumhara samajh kar
Muddaton di hai unke darwaaze par dastak .. Dard haath ka ab saha nahin jaata
Muddat se koi dastak hi nahin .. Gham darwaaze ka dekha nahin jaata
Shaam ko tera hans ke milna .. Din bhar ki mazdoori hai
Silsila khatam kyon karna, jaari hi rehne do .. Ishq mein baaqi, thodi bohat udhaari bhi
rehne do
Koi umeed bar nahin aati, koi soorat nazar nahin aati .. Chaar bajne hi waale hain, shaam
ki chai nazar nahin aati
Kuch log phone par aksar kehte hain 'Aur Sunao' .. Dil chahta hai unko khoob Sunaon :-)
Main akela hi chala tha jaanib e manzil magar .. Log saath aate gaye aur karwaa'n banta
gaya
Mujh ko to hosh nahin, tum ko khabar ho shayad .. Log kehte hain ke tum ne mujhe
barbaad kiya
Kya kya dilon ka khauf chupaana pada humein .. Khud dar gaye to sab ko drana pada
humein
Mohabbat ke taqaze, jaise peeche chhoot jaate hain .. Bohat din saath rehne se bhi rishte
toot jaate hain
Main khoob jaanta hoon aaj kal ke rishton ko .. Mile jo waqt to aksar nibhaye jaate hain
Raaste ko bhi dosh de, aankhein bhi kar laal .. Chappal mein jo keel hai, pehle usay nikaal
#NidaFazli
Esa, Allah, Eeshwar, saare mantar seekh .. Jaane kab kis naam par mile ziyada bheek
#NidaFazli
Aey mujh par hansne waale, sun .. Ja tujhko Allah hansta rakhe
Kab tak saath nibhata aakhir woh mera .. Usay mujhse koi faayeda nahin tha
Kisi ne tawaif se poocha "Kotha kab se chali rahi ho"?

Woh boli "Isay Kotha mat kahiye, ye to shareef logon ki sharafat ka qabristan hai."
Kuch is tarah se naraaz hain woh hum se .. Jaise unhein kisi aur ne mana liya ho
Shor se ghabra ke jab ghar aa gaya .. Khamoshi ke shor se ghabra gaya
Duniya tujhe bhi sar aankhon par bitha legi .. Bas tu haan mein haan milaana seekh le
Kabhi kabhi aadha jumla .. Poora insaan kha jaata hai.
Har mushkil aasaan hoti hai .. Jab tak zinda Maa hoti hai
Baat teri suni nahin main ne .. Dhyaan mera tere lehje par tha
Phool samajh ke ab tak titli baithi hai .. Yunhi haath pe tera naam likh daala tha
Uski khamoshiyan bolti rahi .. Lafz mere saare chup rahe
Hum ne jab yaad kiya, yaad woh aaya Mohsin .. Isse ziyaada usay paband e wafa kya
karte
Main samandar hoon, khamoshi meri majboori hai .. De sako to kisi toofan ki dua do
mujhko
Saanson par bandhi zanjeer thi, jo tod di hum ne .. Ab hum bhi jaldi soyenge, ke
mohabbat chorh di hum ne
Udaas rehta hai mohalle mein baarish ka paani aaj kal .. Suna hai kaaghaz ki kashti
banane waale ab bade hogaye
Akhbaar ke saath dabe paon chali aati thi .. TV ne khabron ko shor machana sikha diya
Udaasiyon ke mausam mein khush-haali nikal aayi .. Mere takiye se tere kaan ki baali
nikal aayi
Zara si tabiyat kya kharaab huyi meri Wasi .. Bacche vakil ko bula kar laaye hakeem se
pehle
Har ghar mein ek qaid-khana hota hai .. Wahin, jahan TV rakha hota hai
Bohat door tak jaati hai hansi .. Jahan tak ho sake, muskuraiye
Ye bhi Khuda ki qudrat hai ke insaan ko haathi ya sher ne nahin .. Machcharon ne
pareshan kar rakha hai.
Uske jaane ke baad bhhed khula .. Woh musafir tha, raasta tha main
Ghuroor chaand ka choor karne ko .. Tumhara chhat par tehelna zaroori hai
Shayari us pe sajti hai sahab .. Jiski aankhon mein ishq hota hai
Zid uski thi, chaand ka deedaar karne ki .. Hunar mera, ke saamne uske aaina rakh diya

Usay lekar jo gaadi ja rahi hai .. Main shayad uske neeche aa gaya hoon
Shaan pe buzurgon ki, ishq kar diya qurbaan .. Woh bhi khandaani thi, main bhi
khandaani hoon
Kuch logon ko theek karna sirf waqt ka kaam hai .. Aap tension na lijiye.
Tanha woh nahin hota jo akela ho .. Tanha woh hota hai jiske liye koi dua karne waala na
ho.
Woh saath thi mere, ya main saath tha uske .. Woh zindagi ke kuch din, ya zindagi thi
kuch din
Aaj akhbaar dekhna hi nahin .. Aaj iraada hai muskurane ka
Sirf sikka chale mohabbat ka .. Ek aisa bhi daur aana chahiye
Chahne waale saath chalein to .. Raaste manzil ho jaate hain
Uske saamne ro kar yaar .. Aankh ne accha nahin kiya
Paas bitha ke khayalon mein tumhein .. Ek chuski bhari hai chai ki
Dikhaya hai kisi ne aaina kya .. Jo chehre ki safai kar raha hai
Main ne poocha ke jaan nikalti hai kaise .. Zaalim ne mera mobile charging se nikaal kar
apna laga diya
Main ne kaha ke aap ko hum denge apna dil .. Usne kaha ke usko kaleji pasand hai
Agar insaan chhaon dene waale darakhton ki qadar na kare .. Toh dhoop uska muqaddar
ban jaati hai.
Bohat ghuroor hai dariya ko apne hone par .. Jo meri pyaas se uljhe to dhajjiyan udd
jaayein
Unki aankhon ne ibteda ki thi .. Meri deewangi jawabi hai
Saari duniya mei'n hukumat jo zanaanii hotii,
Aalamii jang jo hotii to zubaanii hotii. :-)
(Aalamii jang - World war)

Tujhse baatein hazaar karni hain .. Par tujhe dekhta hi rehta hoon
Meri manzil koi nahin phir bhi .. Raasta poochta hi rehta hoon
Palak jhapak .. Warna aankhon mein doob jaonga
Ajeeb lutf tha nadaaniyon ke aalam mein .. Samajh aayi to baaton ka woh maza bhi gaya

Tumhein chai pasand thi na .. Isliye roz hi peete hain


Zindagi ek Aah hai .. jo Waah mein lapet kar pesh ki gayi hai. - Manto
Usne phool jab chuwa hoga .. Hosh khushbu ke udd gaye honge
So main ne baat badal di, gale laga ke usay .. Sahi shakhs, ghalat baat par ada hua tha :-)
Uske andar dabi hai kaunsi aag .. Barf se kyon dhuwaan nikalta hai
Woh shakhs jo ginwata hai pedon ke faayede .. Lagta hai kisi saaye se mehroom hua hai
Usne poocha hai haal e dil aise .. Ajnabi jaise raasta pooche
Mujhe kaaghaz ki kashti mein bitha kar .. Woh khud baarish ka paani hogaya hai
Intezaar woh maut hai .. Jo qiston mein milti hai
Aap ke baad bhi rahe zinda .. Shayad zulm isi ko kehte hain
Khula ye bhed lekin, tujhe ganwa ne ke baad .. Doghlapan bhi zaroori hai dosti ke liye
Nafraton ke beech zinda hoon .. Karishma aur kise kehte hain
Khamoshi bolne se rokti nahin hai .. Khamoshi bolna sikhati hai
Hum ne kab maanga hai tum se mohabbat ka sila .. Bas kabhi raaste mein milo to chai
pila dena
Kaun si baat kahan, kaise kahi jati hai..
Ye saleeqa ho to har baat suni jati hai..
Nafrat ho jaayegi tujhe khud se .. Agar main tere andaaz mein tujhse baat karoon
Lekin ye badi khoobsurat ghalat fehmi hai .. Aap bhi hamare saath kuch din is mein
rahiye :-)
Zindagi, ab kahan le chali hai mujhe .. Itna kaafi nahin tera qaidi hoon main
Ye mera farz banta hai, main uske haath dhulwaon .. Suna hai usne meri zaat par khichad
uchaala hai
Koi to zindagi mein aisa aaye .. Jo roz acchi chai bana ke pilaaye
Aisi ki taisi aise kaam ki .. Ke chai bhi na mile shaam ki
Apni nazdikiyon se door na kar mujhe .. Mere paas jeene ki wajah bohat kam hai
Manzilon ka naraaz hona bhi jayaz tha .. Ajnabi raahon se hum dil jo laga baithe
Bhala mohabbat ka din kyon manayein .. Mohabbat ek din ki baat hai kya
Ek zamane se hai chaha aap ko .. Bhoolne ko bhi zamana chahiye

Kaisi tarteeb se kaaghaz pe gire hain aansoo .. Koi bhuli huyi tasveer ubhar aayi hai
Unhein charaagh bujha kar bhi aazmao kabhi .. Jo roshni mein chamakte dikhayi dete
hain
Log bade humdard, zamana accha .. Phir bhi yaaro, zakhm chupana accha
Woh koi qaafila hota to main samajhta bhi .. Ab ek shakhs bhi roka nahin gaya tujhse
Woh mujhe sonp gaya .. Fursatein sard shaamon k
Jamal, khel nahin hai koi ghazal kehna .. Ek baat batani hai, ek chupani hai #JamalEhsani
Kabhi aa kar inhein saaf karde .. Tere vaadon pe dhool jam gayi hai
Tera aana bada zaroori hai .. Aaj kal mein udaas rehta hoon
Do qadam chal kar tum nahin aate .. Chandni aasmaan se aati hai
Haath se haath chhurana hi zaroori to nahin .. Saath reh kar bhi kayi log bichad jaate hain
Seene ki jagah kaan mein dhadakta hai dil .. Jab se kaha hai usne, main phone karoongi
Khayi thi qasam, ke unse na bolenge hum .. Jab woh saamne aaye to honton pe salaam
aa gaya
Sirf isliye ehteraam karta hoon .. Ishq hai umar mein bada mujhse
Usne phool jab chuwa hoga .. Hosh khushbu ke udd gaye honge
Mujhe tasveer apni doosri do .. Puraani aansuon mein bheeg gayi hai
Door ka aadmi nahin hoon main .. Mujhe nazdeek se pukaara kar
Muddaton baad koi chaap sunayi di hai .. Mera saaya hai, mujhe dhoondhne aaya hoga
Ye mere aeb mujhe batata hai .. Ghar ka ab aaina badalna hai
Aey dost, jhoot aam tha duniya mein is qadar .. Tu ne bhi sach kaha to fasana laga mujhe
Nazar udaas hai .. Nazar hi aa jao
Meri ungli pakad ke chalte the, ab mujhe raasta dikhate hain .. Ab mujhe kis tarah se
jeena hai, mere bacche mujhe sikhate hain
Jinko aasaani se deedaar mayassar hai tera .. Woh kahan baagh mein phoolon ki taraf
dekhte hain
Zara der se seekhe hain hum ne mohabbat ke usool .. Hum pe laazim hai tujhse ishq
dobaara karna
Tumhare naam ka matlab mujhe nahin maloom .. Tumhare naam se phir bhi mujhe
matlab hai

Mashwara to khoob dete ho ke khush raha karo .. Kabhi kabhi wajah bhi de diya karo
Main ne mohallat hi na di usko bichad jaane ki .. Zindagi bhar usay baaton mein lagaye
rakha
Tere hanste huye chehre se yehi lagta hai .. Tujhse bichda hi nahin hai kabhi tera koi
Masjidein hain namaziyon ke liye .. Apne ghar mein kahin Khuda rakhna #NidaFazli
Ye Sheikh o Brahman humein acche nahin lagte .. Hum jitne hain, ye utne bhi sacche
nahin lagte #NidaFazli
Jhoot ko jhoot kaha, sacch ko ye sacch bola hai .. Usko samjhaiye, woh shakhs bohat
bhola hai #NidaFazli
Dushmani lakh sahi, khtam na kijiye rishta .. Dil mile ya na mile haath milate rahiye
#NidaFazli
Ghaas par khelta hai ek bacha, paas Maa baithi muskurati hai .. Mujhko hairat hai jaane
kyon duniya, Kaaba o Somnath jaati hai #NidaFazli
Koi Hindu, koi Muslim, koi Isai hai .. Sab ne insaan na banne ki qasam khayi hai - Nida
Fazli
Main ne poocha tha ke husn kise kehte hain .. Ek baccha teri tasveer utha laaya tha
Kahin zameen se talluq na khatam ho jaaye .. Bohat na khud ko hawa mein uchaaliye
sahab
Jaane kaunsa paththar nikle .. Bin soche tum lafz na bolo
Agar main yunhi khaak udata raha .. Ye rasta mere naam ho jaayega
Kahin jahan mein, sukh bhi nahin hai ghar jaisa .. Kahin jahan mein, dukh bhi nahin hain
ghar jaise
Guftagu hum se, aur khayalon mein koi aur hi .. Haal uska bhi hai meri namazon jaisa hi
Khaak ko khaak mein milaane ka .. Maut kitna ajab bahana hai
Mohabbat mein parakhna aap ka haq hai, magar suniye .. Zaroorat se ziyaada aazmaish
gham bhi deti hai
Unhein bewafa jo kahoon to, tauheen hai wafa ki .. Woh wafa nibha to rahe hain, kabhi
idhar ! kabhi udhar
Hum aaine se zara sar jhuka ke milte hain .. Ye jaanta hai bohat kuch hamare baare mein
Sookhe patton ki aahat, ab bhi mujhko chaunkati hai .. Yaad hai mujhko un par chalna
tum ko accha lagta hai
Hamari muskurahat par na jaana .. Diya to qabr pe bhi jalta hai

Jo chehra keh raha hai, maan lo bas .. Kisi se haal mat poocho kisi ka
Is it a coincidence that help is called Ma-dad in Hindi?
Abhi ghairon ke dukh pe bheegna bhooli nahin aankhein .. Abhi kuch roshni baaqi hai
logon ke zameeron mein
Kat gayi umar kisi tarah Qateel .. Woh buri thi ke bhali yaad nahin
Haal e dil isliye bayaan na kiya .. Woh koi itna be khabar to nahin
Woh aksar poocha karti thi mujhse, tum mujhe kabhi chorh kar to nahin jaoge .. Kaash
main ne bhi pooch liya hota
Saahil se bandhi nao pe guzri thi qayamat .. Jab beech samandar mein koi doob raha tha
Woh meri raakh udate huye bole mujhse .. Phir se ek baar zara aa ke mohabbat karna
Main to pal bhar bhi jiya nahin .. Umar kis ne guzaar di meri
Chahte ho agar pur sukoon zindagi .. Khwaahishon ko zara mukhtasar kijiye
Kaash tujhe sardi ke mausam mein lage mohabbat ki thand .. Aur tu mujhe tadap ke
maange Chai ki tarah
Mujhe chorh aao logon ki bheed mein .. Main akela rehna chahta hoon
Woh sar bhi kaat deta to hota na kuch malaal .. Afsos ye hai usne meri baat kaat di
Kuch logon ki har daur mein parhti hai zaroorat .. Kuch log kabhi dil se nikaale nahin jaate
Jab talak sheesha raha, baar baar toda gaya .. Ban gaya paththar, to sab ne devta maana
mujhe
Na Mandir mein na Masjid mein .. Kehte hain Khuda ko sacche dil se Hospital mein
ziyaada yaad kiya jaata hai.
Usay main ne jawani mein dekha tha Wasi .. Budhape mein bhi hosh aaya nahin
Bhool gaye ho chahne waalon .. Kya yaad bhi mehngi kardi sarkaar ne
Jiski goad mein itni pyaari beti ho woh ghareeb kaise ho sakta hai?
Main tum ko dekh kar har baat bhool baitha hoon .. Tum hi batao mujhe tum se kaam kya
hai
Is talluq mein nahin mumkin talaaq .. Ye mohabbat hai koi shaadi nahin
Aap ke saath jo guzarti hai .. Zindagi hum usi ko kehte hain
Hairat na kijiye, yehi usool e sansaar hai .. Dhoka wahin pe hoga, jahan aitebaar hai
Na idhar gayi, na udhar gayi .. Jo nigaah tujh pe thehar gayi

Main zindagi ka bojh liye doob to gaya .. Ruswa kiya hai laash ne paani pe tair kar
Itna pyaara hai woh chehra ke nazar parhte hi .. Log haathon ki lakeeron ki taraf dekhte
hain
Zindagi, tujhko to bas khwaab mein dekha hum ne...
Badshaah woh hota hai jo dilon par raaj kare .. Taj to murghe ke sar par bhi hota hai.
Mujh mein aur meri biwi mein bada ajeeb sa ittefaq hai .. neend ki goliyaan woh khati hai,
aur sukoon mujhe milta hai. - Ibn e Insha
Kaise ho, kya hai haal, poocho mat .. Mujhse mushkil sawaal poocho mat
Usne poocha janaab kaise ho .. Is khushi ka hisaab kaise ho
Pata nahin log apni auqaat mein se kaise nikal jaate hain .. Mujhse to sardi mein razai
mein se bhi nahin nikla jaata.
Kambakht maanta hi nahin dil usay bhulaane ko .. Main haath jodta hoon to woh paon
parhta hai
Sher darasal hain wohi Hasrat .. Sunte hi dil mein jo utar jaayein
Aaj mausam kuch ziyada hi sard hai aey dil .. Chalo kuch khwaahishon ko aag lagate hain
Faisla sahi tha, sab kuch durust karne ka .. Ghalti ye hogayi, shroo khud se na kar saka
Sawaal na jaane kya tha .. Jawaab lekin sirf tum the #Nazneen
Zindagi sakht kaam hai, ek din .. Saans lena tujhe thaka dega
Allah jaane qabar hai kis na-murad ki .. Armaan ro rahe hain sirhaane mazaar ke
Chaand par tumhara naam likhne ko jee chahta hai .. Magar kya karein, ye khayal hi
dopahar ko aata hai
Faqat zanjeer badli ja rahi thi .. Main samjha tha rihaai hogayi hai
Woh shayad aa rahe hain milne ko .. Hawa khushbu pehan ke guzri hai
Raasta to seedha tha, jaane kya hua hum ko .. Tere dar se uth kar, hum apne ghar nahin
aaye
Abhi kuch din thehar jao darakht ko kaatne waalon .. Abhi udna nahin seekha hai bacchon
ne parindon ke
Mera chai ka formula ye hai .. Patti thok ke, shakar rok ke, aur doodh pao litre :-)
Tum aasmaan pe jaana to chaand se kehna .. Jahan pe hum hain, wahan chandni bohat
kam hai
Khayalon ka kohra, yaadon ki dhundh, chai ki chuski, aur thode thode tum

Sab kuch keh dena kamaal nahin hota .. Kamaal hota hai kuch na keh ke sab kuch keh
dena.
Humein samajhne ke liye koi aur lehja lao .. Ye tumhari waah waah se aage ki baat hai
Seekhna hoga muskurane ka hunar ab zamane mein .. Badi mushkilein aati hain udaasi
ka sabab batane mein
Mujh ko yahan par aur to koi kaam nahin tha .. Main duniya mein tujhse milne aaya hoon
Bohat bareek nuqta hai, gar samajh pao doston .. Suqraat agar zehar na peeta, toh mar
jaata
Yun to ek aawaaz doon, aur bula loon tumhein magar .. Koshish ye hai ke, khamoshi ko
bhi aazmaa loon zara
Charaghon ko khush fehmi hai .. Hawa ko dost kehte hain
Ghazab ki dhoop hai shehar mein, phir bhi pata nahin .. Logon ke dil yahan, pighalte kyon
nahin
Na karo jurrat, kabhi kisi pe hansne ki .. Ye waqt hai janaab, chehre yaad rakhta hai
Umar bhar muntazir rahoonga magar .. Aane mein umar na laga dena
Mujh ko sona bana ke mitti se .. Usne mitti ke bhav bech diya
Yunhi ghairon ko bura kehta tha .. Woh to apno se bhi acche nikle
Tumhare baad bas itna hua hai .. Main ab khidki se baarish dekhta hoon
Bistar ki silwaton se ye mehsoos ho raha hai .. Toda hai dam kisi ne karwat badal badal ke
Uska hans dena hamare haal par, accha laga.....
Dhai akshar ki baat kehne mein, kitni takleef utha rakhi hai .. Tu ne aankhon mein chupa
rakhi hai, main ne honton mein daba rakhi hai
Usay maloom tha main uski khoj mein nikloonga .. Woh qatra qatra, nagar nagar, zarra
zarra bikhar gaya
Nahin hote hain, magar hote hain .. Kuch talluq ajeeb hote hain
Suna hai aaj uski aankhon mein aansoo aa gaye .. Woh bacchon ko sikha rahi thi,
mohabbat aise likhte hain
Aap se main ne jo kabhi na kaha .. Usko mera kaha samajh lijiye #JaunEliya
Is tarah tujhse kiye hain shikwe .. Mujh ko apne se gila ho jaise
"Pyaar haqeeqat mein us waqt marta hai .. Jab kisi ke liye dil mein nafrat bhi khatam ho
jaaye."

Baat na karte, koi baat nahin .. Ek nazar dekh to liya hota


Main jab se akela peene laga hoon .. Chai mein bhi kadwahat aa gayi hai
Is abr ka mere yaar se, bada milta julta mizaaj hai..Kabhi toot kar baras gaya, Kabhi
berukhi se guzar gaya..!
Tu be-inteha baras ke to dekh .. Mitti ka bana hoon, mehak uthoonga
Aao kuch der meri chahat ki chhaon mein aaraam karlo .. Thak gaye honge, mujhse
nafrat karte karte
Dil se dukh dard ka ehsaas mita deti hai .. Zindagi roz naya khwaab dikha deti hai
Main khaak ho ke bikhar bhi gaya to gham kaisa .. Mujhe to yun bhi tere raaste mein
rehna tha
Rehte hamare paas to ye toot'te zaroor .. Accha kiya jo aap ne sapne chura liye
Tum baat karte ho insaano ki .. Array yahan agarbattiyon ke mazhab hote hain
Tehzeeb sirf baaton mein hi nahin .. Aankhon mein bhi zaroori hai
Ek shakhs yaad aaya .. Aaj dekh kar paththar
Chorh ke ja rahe ho, toh ek baat sunte jaana .. Seedhe bhaad mein jaana, daayein
baayein na mud jaana
"Khaali pet ka mazhab Roti hota hai."
Jaaun kyun butkhaane saey Kaabe ko main; haath saey yeh bhi thikana jaayega
Jo dekhney mein bohat hi kareeb lagta hai; ussi ke baare mein soacha toh faasla nikley
Jis qadar raftaar se tu chal rahi hai zindagi .. Sacch kahoon, chalaan banta hai teri raftaar
par
Usne haathon pe haath rakha hai .. Meri qismat badalne waali hai
"Insaan sab se sasta .. Mohabbat ke naam par bikta hai."
Ek to lehja hai is qadar shireen .. Aur phir bolte bhi Urdu ho
Woh hote .. Majaal thi gham hote

You might also like