Kalam e Maroof
Kalam e Maroof
Kalam e Maroof
Meri rag rag me hai nasha yaaro Pee liya jabse jaam Bismillah
2 - Hamd
Teri zate paq hai aye khuda teri shaan jalle jalalahu, Koi kya kare hamd-o-sana teri shaan jalle jalalahu.
Koi kehta tujko Ram hai koi leta allah naam hay, Tu hi sab ka hai maalik khuda teri shaan jalle jalalahu.
Jise chahe apna banaye to jise chahe dar dar phiraye tu, Tere dar pe hay shah-o-gada teri shaan jalle jalalahu.
Tu hi arsh pe jalwa nashi tuhi farsh pe parda nashi, Tu hi charsoo jalwa numa teri shaan jalle jalalahu.
Koi banda tera amir hai koi dar ka tere faqir hai, Tu hi badshah hai jahaan ka teri shaan jalle jalalahu.
Fehmi piya ka ye dar mila jise khuda ka wo ghar mila, Mila peer se hi muddua teri shaan jalle jalalahu.
Maroof ki rakh tu laaj ko ruswa na kar mohtaj ko, Mera kaun hay tere siva teri shaan jalle jalalahu.
Noore Mohammed nure khuda hai sallallaho alaihe wasallam, Mohammed ko samjho na haq se juda hai sallallaho alaihe wasallam.
Mohammed ko chaha wo chaha khuda ko Mohammed ko bhula wo bhula khuda ko, Mohammed ko dekha wo dekha khuda hai sallallaho alaihe wasallam.
Mohammed ko samjha wo samjha khuda ko Mohammed ko paya wo paya khuda ko, Sirre Mohammed Sirre khuda hai sallallaho alaihe wasallam.
Allah hai dariya nabi bulbula hai nukte me Be ke bhed chhupa hai, Mohammed hai upar niche khuda hai sallallaho alaihe wasallam.
Meem ka perda utha kar to dheko kaun nabi aur kaun khuda hai, Mohammed nabi hai Mohammed khuda hai sallallaho alaihe wasallam.
Peer Mohammed Peer khuda hai Fehmi piya se ye ukdah khula hai, Har shay me peer hi jalwa numa hai sallallaho alaihe wasallam.
Mohammed ka jalwa hai jalwa khuda ka Mohammed ka banda hai banda khuda ka, Maroof ye to haq ki sada hai sallallaho alaihe wasallam.
4 - DAROOD-E-PAAK
Allahumma salleala Mohammedun Ya rabbe sallu alaihi wasallam Piyare nabi ko haq ne bulaya Arshe bari ko apne sajaya Apne noor ki chadar bichaya Rab ne nabi ko ispe bithaya Haq ne khushi se masarda sunaya.........
Allahumma salleala Mohammedun Ya rabbe sallu alaihi wasallam Noore Mohammed noore khuda hai Shaane Mohammed shaane khuda hai Deede Mohammed deede khuda hai Sirre Mohammed sirre khuda hai Saare nabiyon me rutba badhaya.........
Allahumma salleala Mohammedun Ya rabbe sallu alaihi wasallam Zaahir ka bhi hai baatin Mohammed Awwal ka bhi hai aakhir Mohammed Kaise batau ke kya hai Mohammed Har dum wo jalwa numa hai Mohammed Dono jahan me saani na saaya.........
Allahumma salleala Mohammedun Ya rabbe sallu alaihi wasallam Mere nabi hay arsh ki izzat Mere nabi hay farsh ki zeenat Mere nabi hay rab ki kudrat Mere nabi hay sahib-e-azmat Noore nabi se sab hay banaya.........
Allahumma salleala Mohammedun Ya rabbe sallu alaihi wasallam Mere nabi quraan hai laaye Mere nabi irfaan hai laaye Mere nabi imaan hai laaye Mere nabi nishaan hai laaye Daaman me unke sab kuch hay aaya.........
Allahumma salleala Mohammedun Ya rabbe sallu alaihi wasallam Taaj-e-shifaat pahen key aaye Shaan-e-nabuuat saath me laaye Karne imaamat farsh pe aaye Dars-e-tarikat sab ko padhaaye Farsh pe arsh ka naksha dikhaaya.........
Allahumma salleala Mohammedun Ya rabbe sallu alaihi wasallam Kahi bane wo Aadam safi hai Kahi bane wo Nuhe Nabi hai
Kahein bane wo Musa nabi hai Kahein bane wo Maula Ali hai Meem key parde me kya kya chupaya.........
Allahumma salleala Mohammedun Ya rabbe sallu alaihi wasallam Piyare nabi key sadke me maula Aale nabi ke sadke me maula Ibn-e-Ali key sadke me maula Apne wali key sadke me maula bakhsh de hum ko bhi tu Khudaya.........
Allahumma salleala Mohammedun Ya rabbe sallu alaihi wasallam Fehmi piya key saaye me aaya Noore nabi ko inme hai paaya Allah Nabi se dum ko sajaaya Salleala se jhula jhulaaya Maroof noor ka sajda karaaya.........
Huro malayak dhoom machaye salleala ko sunaye Mohammed aagaye hay Amina bi ke bal bal jaye noor se ghar ko sajaye Mohammed aagaye hai
Rab ke piyare hai naam Mohammed paagaye Noore khuda ka jalwa banke jagme aagaye Khushbu se aalam mehkaye rehmat ko barsaaye Mohammed aagaye
Arshe bari ko aaj noor se haq ne saja diya Farshe zameen ka bhi rutba rab ne badha diya Rehmat-e-haq bhi wari jaye Allah sadkah lutaye Mohammed aagaye hai
Rukh pe nabi ke mere noore khuda ka jamal hai Har ek kamal wala paaye inse kamal hai Aise nabi ko jo bhi paaye kyu na woh itraye Mohammed aagaye hai
Noor ka jhula jab daste haq ne bana diya Noor ka bistar bhi haq ne isme bicha diya Noor ki dori isme lagaye jhula nabi ko jhulaye Mohammed aagaye hai
Saare payamber me aap ka aala mukaam hai Rab ka har wali aap ke dar ka gulam hai Aap ke dar se rutba paaye pal me wali hojaye Mohammed aagaye hai
Aalam-e-arwah ka maujzah hai ye bakhuda Saf baaadab khade the sare ambiya-o-aoliya Gause aazam kandha lagaye khwaja sar ko jhukaye Mohammed aagaye hai
Fehmi piya ka jab noori silsila milgaya Dono jahan ka aaj hum ko wasila milgaya Kalma banke dam me aaye har dam me kehlaaye Mohammed aagaye hai
Unpe daroodo ka bhejo tohfa pyaar se Roshan hum bhi hai maroof isi sarkar se Ishq-e-nabi ki shama jalaye noore nabi me nahaye Mohammed aagaye hai
Sifaat-e-khuda hai sifaat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam Khuda khud hai goya bazaat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam
Khudayee bhi raksaa hai chaaro hurf me Zahur-e-do aalam sifaat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam
Mohammed hi wahdat Mohammed hi kasrat Khuda khud hai zaahir bazaat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam
Woh noor-e-haqeeki hai noor-e-mujassam Zara khud me dekho sifaat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam
Woh Mehmood ban kar hai zar-e-zameen men Khula hum pe ukdah mammaat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam
Madine ki mitti ka sadkah hai sab kuch Mili peer fehmi hayat-e-Mohammed Sallallaho alaihe wasallam
Tassawur me aane lage hai Mohammed Sallallaho alaihe wasallam Aye maroof padhlo salate Mohammed Sallallaho alaihe wasallam
Mohammed khuda hai khuda hai Mohammed Khuda se bata kab Juda hai Mohammed
Khuda noore Ahmed se roshan hua hai Haqeekat me haq ki ziya hai Mohammed
Libase Mohammed hai baatin me Allah Khuda banke jalwanuma hai Mohammed
Gaye laa makaa me hai pal me Mohammed Makaa laa makaa ka pata hai Mohammed
Har ek zarra-zarra gawah ban gaya hai Khula raaz haq-ul-wara hai Mohammed
Mohammed hai zaahir Mohammed hai baatin Mohammed hi jalwa numa hai Mohammed
Mile peer Fehmi Mohammed ke ghar se Bataye hame raaz kya hai Mohammed
Mohammed ka naksha hai aankho me maroof Ke dil ka wazifa bana hai Mohammed
Sabre Husain ka dekho nazara Teen din ka bhuka pyasa Ali ka dulara Noor-e-nabi aap hay Ibn-e-Ali aap hay Lakht-e-jigar Fatima Dilbar Hasan aap hay Panjatan ka tum se hi Ye naksha hai pyara Ummat ka gam tha kawi Dube the piyare nabi Sallallaho alaihe wasallam Aansu ki thi ek jhadi Bole phir ibn-e-Ali Ek din bakhshaa hi lenge waada hai hamara Likha khuda ka aagaya Karbala ka din aagaya Bahattar ka ye kafila Aagosh-e-gam aagaya Tapte sehra me tha woh Mohammed Sallallaho alaihe wasallam ka piyara Noor-e-nabi ki chamak
Sher-e-khuda ki jhalak Saif-ul-allah thi haath me Tharra gaya ye falak Jis taraf talwar thi Tharraya aalam saara Aayi Nida gaib se Waada-e-wafa kijiye Sajde me Ibn-e-Ali Sar ko kata dijiya Ummat ki khatir nibhaya Waada niyara Teero se channi Husain Tegon se zakhmi Husain Neze pe sar the Husain Sunte the sab ki Husain Karbala bhi cheenkh uthi Dekh kar nazara Sakina ki aas ho Zainab ki laaj ho Chacha hu kaasim ke tum Shahido ke sartaaj ho Aa bedin bole Piyaare baba hamara
Aisa na sajdah kiyaa abtak kisne kabhi Bhulegi na zameen phir aisa sajdah kabhi Aaj bhi hai taazah dekho sajdah tumhara
Ramze shahaadat hai Fehmi inaayat hai ye Ummat ko tha bakhshana Kaisi hikmat hai ye Ek sajdah ke liye tha Karbalaa ye saaraa Maroof shahadat hussain khune jigar se likhe Hum hai gulaame hussain jaari hai ye silsila Wakte akhir hum ko bhi ho Aap ka nazara
9 - MANKABAT GAUSULWARA
Bagdad wale aaka parda zara hatao Mehfil me apni aao bigdi meri banao
Sar pe hai taj tera haato me paak daaman Sadke "Abu saeed" ke meri gairat mitao
Hai tumhara haat mera, mera haat hai tumhara Ye quraan keh raha hai naadaan ko batao
Hai nazre tumhari kaba hai tumhara dil madina tum noor ho sarapaa mujhe noor me milao
Sab aafate balai bimari har mitegi Gausulwara ka nara dil se zara lagao
Tere naam ki hai nisbat jo me Qadri bana hu Rakho laaj Qadri ki nisbat ko tum nibhao
Hai chiraage Qadri hum roshan hai dono aalam Is roshani me aaya roshan use banao
Giyara adad me raaze Gausulwara chupa hai Tum raaz ko ye paakar sar ko wahi jhukao
Pirane peer bole laa khauf aye murido Himmat agar hai tum me hum se nazar milao
Noorani silsila hai Fehmi piya ka mere Nisbat ki khak me ab Rehmat ki gul khilao
Ye Gaus ki ataa hai ye Gaus ka karam hai Sarkar jis ko chaho Maroof use banao
Gause Aazam dastagir Allah hu Allah Tum ho peero ke bhi peer Allah hu Allah Naksha piyara hai dilgeer Allah hu Allah
Dozakh ka ab khauf nahi hai na mehshar ka gam Abdul Qadir Jillani jab rakhte hai apna bharam Hum hai Qadri Fakir Allah hu Allah
Kalma dam me aate hi hum noorani keh laaye Farshe zameen se arshe bari hum dam me aaye jaaye kalma Gaus ki jaagir Allah hu Allah
Ham me dam hai dam me tum ho tum me noor hai zam Ham dam ka raaz banke noor hai noor me gum Laakho murshid ek peer Allah hu Allah
Andha dekhe gunga bole kodhi achcha ho jaaye Laakh karishme ek nazar me Gaus piya dikhlaaye Nazre Gaus ki aksir Allah hu Allah
Abd bhi hai Qadir bhi hai Abdul Qadir Jillani Allah nabi ke noor se woh ho gaye noorani Tum ho noor ki tasvir Allah hu Allah
Jaan liya hu maan liya hu pehchan liya nazar ko kharka taaj pehen ke baithe dekhlo idhar ko ban ke aaye Fehmi peer Allah hu Allah
Aap ki hi nisbat se hum Qadri keh laaye Banda Maroof aapka sar chaukat pe jhukaaye Dedo Irfaa ki Jaagir Allah hu Allah
Khwaja hind ke sarkar Allah re Allah Saare waliyo ke dildar Allah re Allah Unpe tan man hai Nisar Allah re Allah
Allah ki surat chupi hai Khwaja ki surat me Yani dono noor samaye ek hi murat me Mohini surat me dildar Allah re Allah
Kalme ka Irfaa leke Khwaja hind me aaye Allah nabi ka raaz saara pal me hai bat laaye Banda Allah ka Ghar baar Allah re Allah
Khwaja Khwaja kehte kehte Allah ko hum paaye Aate jaate dam me hum khwaja ko samaaye Khwaja kehne wale paar Allah re Allah
Andar Khwaja bahar Khwaja Awwal aakhir khwaja Hu-ul-Murshid Anta-ul-Murshid baatin zaahir khwaja Khud me Khwaja ka didar Allah re Allah
Had Bole to Khwaja hai unhad bole to Khwaja Laa makaa ke bich me dekhne ko aaja Zarre Zarre me hai yaar Allah re Allah
Maangne wale khade Khwaja tumhare dar par Usmaan ka sadka mile khawaja tumhare dar par Ucha noorani darbaar Allah re Allah
Khwaja Fehmi piya bas ek nazar ho sab par tan man ki ab jholi bhardo khwaja piya ke dilbar kardo sab ka beda paar Allah re Allah
Banda nawaazi farmao banda nawaaz khwaja Ruye zaibaa dikhlao banda Nawaaz Khwaja Maroof Khwaja ko pukar Allah re Allah
12 - QADIRI DHOOM
Ghar Ghar me machi dhoom hai Allah Qadir ki Shohrat hai do jahaan me kaamil Fakir ki
Aate hai sar jhukane yaha Auliya sabhi Surat Qadir hogi pirane peer ki
Halkatta bana dekhiye woh Faiz ka shaher Shaane karimi hai dua dastagir ki
Jalwa Qadiri dekh kar munkir bhi dang hai Kya shaan hai shaukat hai ye mere Qadir ki
Allah kasam ban gaya woh waqt ka wali Jispe inaayat ho gayi roshan zamir ki
Aisa nasha hai jiska utarna mohaal hai Hum ne sharaab pili hai pirane peer ki
Ab kis ki inaayat ho ab kis ka ho karam Kafi hai mujpe ek nazar ye Fehmi peer ki
Wasfe Qadir Maroof kaise bayaan karu Milti nahi Nazir us benazir ki
13 - AADIL MILGAYE
Ek Aadil kya milgaye Dil andhera tha ab tak Zindagi bandagi ho gayee Roshani roshani ho gayee
14 - URS SOLWAH
Manaye aaj hum urs-o-chiragaa peer Aadil ka Humare peshwaye kutub-e-daura peer Aadil ka
Hare gumbad ki barkat se hara hai bijapur apnaa Jami arwaah ka markaz darakhsha peer Aadil ka
Bana hai kaba ye ishaq tera rozaye athar Tawaaf-o-sajdah hoga jane janaa peer Aadil ka
Sabak wallail padhne ko chupayaa yaar ne chehra sarapa maujjaza hai range irfaa peer Aadil ka
Tumhare naksh paa se milgaya hai dar wilayat ka Kadam mohare wilayat noor imaan peer Aadil ka
Yahi ajmer ashiq ka yahi bagdaad apna hai mukaam ahle nisbat sang-e-jana peer Aadil ka
Bada kaam aata hai nisbat ka saamaa peer ke ashiq saro pe apne lehraye ga daamaa peer Aadil ka
Nigahe peer Fehmi me nazar woh agaya jalwa Dil ashiq ki thandak ruwe taabaa peer Aadil ka
Khizr khud dhunta hai aap ke dar ka pata Maroof Badi uchi jagah hai mahele irfaa peer Aadil ka
Gaus piya ke noore nazar Khwaja piya ke saaye Mere soye bhag jagaye mere peer Aadil hai aaye
Allahu ka jaam sab ko nazro se pilaaye Zikr-e nabi aur Zikr-e- khuda se dam ko hai sajaaye Bando ko ek pal me hi maula se milaye mere peer Aadil hai aaye
Ghar Ghar me ishq nabi ki shamma ko hai jalaaye Murda dil murda nafs ko pal me hai jalaaye Gaus piyaa ki nisbat se hum sab ko woh mehkaye mere peer Aadil hai aaye
Sabme mehenga sabme sasta peer ka maikhana Peer ke haato me hai kudrat ka khazana Peer ke kadmo me hi jaan ko lutaye mere peer Aadil hai aaye
Kaun khuda hai kaun nabi hai peer ne batlayaa Raaze khafi ko raaze jalli ko peer ne sunayaa Peer ke hi sadke me hum raaz ko hai paaye mere peer Aadil hai aaye
Peer nabi hai peer khuda hai peer hai kaaba kiblaa Meem ki ghunghat me hai peer ka har jalwa Peer ka jalwa hi ab dil ko hai lubhaye mere peer Aadil hai aaye
Kaun khuda hai kaun juda hai nukte ko samjho Takte ko takta nahi hai takte ko samjho Nukte ka raaz ye peer hi bataye mere peer Aadil hai aaye
Shaher-e-bijapur me ye dhoom machi hai Gumbad pe noor wali chadar ye tani hai Murid saare jhoom ke aaj ye gaaye mere peer Aadil hai aaye
Sandal me pote ke apne karim-ul-allah aaye Jashn-e-chiraga karne ko Qadir allah hai aaye Mehtaab Allah bete ka rutba badhaye mere peer Aadil hai aaye
Fehmi piya ke peer ki ye shaadi rachi hai Poto me dhoom hai to beto me khushi hai Saare murid peer ki doli hai sajaaye mere peer Aadil hai aaye
Maroof apne dada ke sandal me chalenge Peer-e-mugaa ke rang me dil ko rangenge har saal hum peer ka jashan manaaye mere peer Aadil hai aaye
Murid saare dhoom machaaye ishqe peer me gaaye ke sandal aagaya hai Peer ka jalwa dil ko lubhaye peer se khud ko rangaaye ke sandal aagaya hai
Peer ka mukhda woh aakho me mere aise chha gayaa Noore nabi ka woh parto ban ke aagaya Peer ke darpe sar ko jhukaye kyu na tan man lutaye ke sandal aagaya hai
Allah nabi ka jalwa peer ke jalwe me zam huwa Dono jahaan me aisa piyara na koi sanam huwa Aise peer ko jho bhi paaye kyu aa woh itraye ke sandal aagaya hai
Me hu poojari unka mere woh bhagwan hai Saaso me urjaa banke rehte wahi to paraan hai Man ka mandir tan me sajaaye guru ko apne bhitaye ke sandal aagaya hai
Meem ka parda jab peer ne rukh se hata diya Hosh wo hawaas apne pal me thikane laga diya Peer peer ka nara lagaye peer me hum mit jaaye ke sandal aagaya hai
Dono jahaan me aaj peer Aadil ka naam hai Zikr kahi pe hai to charcha kahi pe aam hai Peer Aadil ko dulha banaaye sehra sarpe sajaaye ke sandal aagaya hai
Aaj Karim-ul-allah chitguppe se aagaye Dekho Qadir allah noor banke chhagaye Peer-o-murshid sath me aaye Mehtab allah gaaye ke sandal aagaya hai
Fehmi piya ki chadar nikli hai dekho badi shaan se Saare mallaik isko sarpe uthaye armaan se Peer Aadil ka jashan manaye nache aur gaaye ke sandal aagaya hai
Kabe ka kaba hai ye roza Aadil peer ka Haj se kam nahi hai Maroof sandal ye peer ka Peer ke sandal me jo jaaye haji wo keh laaye ke sandal aagaya hai
18 - CHAADAR SHARIF
Mere Latif Shah ki chaadar hai Wali-e-ba safa ki chaadar hai
Allah Mehboob kehta hai jinhe Ye usi dil ruba ki chaadar hai
Sar pe rakh kar padho darud Maaruf Ye mere rehnuma ki chaadar hai
19 - SIRRE INSAAN
Sirre insaan me kya ramz niraala nikla Mere dum se hi to aalam me ujala nikla
Rakh ke mizaane adal me do aalam ka jamaal Tola jo aala se aala mera wala nikla
Khaki parwaaz se hai khoob uruje Aadam Arsh-o-kursi se bhi aala dil-e-bala nikla
Zindagi kat gayi parde ko uthate Saaheb Dum-e-aakhir bhi tera parda nirala nikla
Dard kya cheez hai ye ishq me malum hua Chalte chalte jo mere paao me chaala nikla
Wo kisi haal me kamzor nahi ho sakta Tera aashiq teri aagosh ka paala nikla
Peer fehmi ke jo parde ko utha kar dekha Ganje makhfi ka mera yaar ujala nikla
Raaz kalme ka samajhna aasan nahi Maaruf Jab tujhe jaana to munh par mere taala nikla
20 - AYAA HO GAYE
Padh rahe hai woh apna kalaam Yaar ki hum zabaan ho gaye
21- SAANCHA-E-HAQ
Saancha-e-haq me jab zindagi dhal jaayegi Har ek gumraahi ki aadat bhi badal jaayegi
Man araf ke aaine me dekh zara gaur se tu Qad araf ki jo haqikat hai badal jaayegi
Surat-e-janaa ko tum dil me basaao pahele Gairiyat ki jo jami dhool hai dhul jaayegi
Jis ne dekha nahi is dum me basa ke dum ko Hasti-e-aabroo sab khak me dhal jaayegi
Ishq ki aag me tum khud ko jalaao Maroof Soorat-e-janaa me tasveer ye dhal jaayegi
22 - TASVEER-E-YAAR
Khird wale ulajh kar reh gaye hai Junoon-e-ishq ki tafseer hu mai
Na woh mujh se juda na mai usse alag hu Usi zanjeer ki zanjeer hu mai
Hai sar par peer Fehmi saaya afgun Ke paaye khak ki akseer hu mai
Badalti rahti hai taqdeer Maroof Har ek shaye me chhupi tadbeer hu mai
23 - KHUD PARASTI ME
Khuda khud bas gaya hai aake deewano ki basti me Ye deewane na jaane kis jagah hai apni masti me
Khuda ko dhundne walo khuda walo ke ghar jaao Khuda masroof hai din raat ahl-e-dil ki basti me
Woh masjud-e-malaaik ko nikaala khuld se jisne Ye waaiz zer karne ko chale hai kiski hasti ko
Samandar maarefat ka hai hame dar ho nahi sakta Chali hai nakhuda ki kashti ab wahdat parasti me
Nahi hilta koi patta siwaaye hukm ke unke Isi ibad'at se hai aabad saari galiyaa basti me
Jise sab shirk samjhe hai wahi hai shaan-e-tohidi Khuda masti me hai din raat dekho khud parasti me
Dui ko khud mita kar to fana fillah hona hai Ye maine seekha hai Fehmi piya ki sarparasti me
Mai khud sajde me khud hi zakir-o-mazkur Ye kya bakwaas hai Maroof aisi maye parasti me
24 - NA AAYA HU
Uruje baam par hu me nahi jaaunga pasti me Yahi tha yahi par hu numaya apni hasti me
Meri hasti ka har zarrah sunaaye soote sarmad ko Tadap uthe kayee Mansoor meri ek hasti me
Kisi se mai hu paida na koi mujh se hai paida Na banda hu na maula hu sadaa-e-'hu' ki basti me
Mai tha khud kunat-o-kanzan me to kanzan makhfi tha mujh me Mai khud baare amaanat ka uthaaya bojh masti me
Hu khud hi aap par shaida hu khud hi aap ka taalib Mai khud aashiq hu aur maashuq dono ek hasti me
Anaa mujh me Sanaa mujh me Fanaa mujh me Bakaa mujh me Mai izhaar-e-do aalam hu bulandi ho ya pasti me
Ta'ayyun mere isma'a ka piya Fehmi ho ya Maroof Ke khairul maakareen bankar hu chhaya Kun ki basti me
25 - GANJUL MAKAA
Ganj-e khafi se jab kabhi katra juda huaa Zaahir ke laut paut se zaahir khuda huaa
Hai ain me hi gain ka nukta laga huaa Nukte ke beecho beech me kaisa chupa huaa
Sirre khafi woh sar me aisa makaam hai Koi talaash kya kare khud laapata huaa
Do meem ki hi had me Mohammed ka raaz hai Aadhi kamaan se bhi ye ukdah khula huaa
Hu 'Be'ka nuktah 'Nun'me aur daal se daakhil Hijrat kiya hu 'He' se to banda khuda huaa
Rab to wahi hai jis ko samajh lo kamaal-e-ruh Jab ruh raazi ho gayee raazi khuda huaa
Ye khel peer Fahemi samajhna mohaal hai Hairaan hu mai khud hi tamasha bana huaa
Allahu, Lillah aur Lahu 'Hoo' ko jaan lo Maroof un mukaamo se mera pata huaa
26 - YAAR MIRAKSAM
Junoon-e-ishq me karte hai peshe yaar miraksam Zamaana rok na paaya sar-e-bazaar miraksam
Ye maqbool ibaadat hai ibaadat ka tarika bhi Tumhara zikr karna aur tawaf-e-yaar miraksam
Na kaabe se garz hum ko na butkhane se kuch matlab Dayaare dil me hota hai sadaa deedar miraksam
Kataya sar ko sajde me Hussain Ibn-e-Ali ne jab Pukaar uthi jabine karbala sardar miraksam
Sharaab-e-ishq nazro se pilaaya saaqiya jab se Mahek utha ye saara maikada gulzaar miraksam
Wajood Aadam-e-khaaki me hai sirre nihaa bankar Bataya naam apna peer Fehmi yaar miraksam
Samajh khud banke baithe hai samajh me aaye na Maroof Tajassus khane me aate hai wo dildar miraksam
27 - DAIR HAI
Dil me nazar me naksha jamane ki dair hai Dum ko musannifa dil ko jilane ki dair hai
Khul jaayega muamma mann wa tu ka aaj hi Anta ana ka parda uthane ki dair hai
Ye faani boot hai aaj hi mit jaayenge sabhi Raaz-e- ilaaha khud me hi paane ki dair hai
Aajayega samajh me khudi aur khuda ka raaz Dast-e yad Allah aane ki dair hai
Thokar se jee uthenge ye murde bafazl-e-haq Shaan khudi khuda me samaane ki dair hai
Jal jaaye aasman wo zameen ek aan me Aahon me apni aag lagaane ki dair hai
Hote hai peer Fahemi se taa band-e chiraag Mahefil me rang inko jamane ki dair hai
Tasveer-e-yaar aayegi Maroof saamne Khud ko nazar ke saamne aane ki dair hai
Deeda-e-zok ka armaan bane baithe hai Parda-e-zaat me insaan bane baithe hai
Aap ke dum se hi aabad hai aalam ki hayaat Chhup ke nazro se wo imaan bane baithe hai
Jaane kiya rakkha hai Aadam me khazana ya rab Sab farishte wahi darbaan bane baithe hai
Zok-e-irfaan me nikle hai makaan se baahar Nafs-e-aarif me wo mahemaan bane baithe hai
Peer Fahemi zara ab raaz-e-haqikat kahe do Nukte ke bhed me quraan bane baithe hai
Khud ko kho dena hi khuda ko paana hai Maroof Kuntu kanzan ka wo farmaan bane baithe hai
29 - ISM-E-HOO
Ek ism 'Hoo' ka masmaa bana hu mai yaaro Har ek manke me khud phir raha hu mai yaaro
Ye tukham 'Hoo' me tha poshidah nakhl, do aalam Zahoor-e-wajib wa mumkin bana hu mai yaaro
Mere hi dum se hai mauj-e-sifaat ki hasti Ke apni zaat me bahere bakaa hu mai yaaro
Me khud hu naazir wa manzoor sirre wahdat me Kaha ye gair ko sajda kiya hu mai yaaro
Ye peer Fahemi ne batlaya arsh ko palto Sharaa ke daam me aake phansaa hu mai yaaro
Ye ism 'Hoo' me hi poshidah ho gayaa Maroof Har ek shaye se nikalti sadaa hu mai yaaro
Na samjhe moumma abhi tak malaaik Hai zaahir me Aadam to baatin me rab hai
Tha ganj-e khafi me chhupa noor Ahmed Huaa kun se zaahir ye raaz gazab hai
Nafakh kah ke dakhil huaa jab jasad me Kaye Qudsiya sar baa sajda adab hai
Huaa Wahdahu se Lahu Abdahu me Azl me tha jaise wahi aaj ab hai
Khuda tukham hai to ye banda shajar hai Ye zaahir me banda wo baatin me rab hai
Na banda khuda hai siwa peer Fahemi Tajassus me iske zabaan band lab hai
31 - BHULA DIYA
Rukhsar se sanam jo pardaa utha diya Jo kuch likha padha tha wo pal me bhula diya
Kaafir nigahe naaz pe qurbaan jaaye Dil banda-e-khuda tha to kafir bana diya
Chakkar me der-o-ka'abe ke hote rahe kharaab Raaz khudi bataa ke wo sab kuch chhuda diya
Pahela sabaq 'Alif' ka zulfo se hai diya Zair-o-zabar ko paicho kham me bata diya
Hum ko bana ke aaina zulfe sanwar lee Ban ke tamasha khud hi tamasha bana diya
Un ka zahoor hote hi maadoom ho gaye Jaise ke koi shamaa ko suraj dikha diya
Sab hasratein nikal gayee khaana kharaab ki Jalwa jamal yaar ne aakar dikha diya
Aankho ke til milaane se deedaar ho gaye Fehmi piya ka aaina chahera dikha diya
Maroof uth raha hai nasheman se ab dhuwa Hans hans ke yaar ne bijli giraa diya
32 - KAFIR SANAM
Kafir sanam ka chahera ye har aan samne hai Shaan bataa me jalwa-e-rehmaan samne hai
Ka'aba kalesaa mandir wa aatish kadah sabhi Ta'amir ek qalb hai irfaan samne hai
Masjid me ho azaan ya mandir me kuch bhajan Dono makaan ka maalik sultaan samne hai
Roshan dimag wa dil hue in ke karam se aaj Ma'eraj bandagi hai ye subhaan samne hai
Muddat se phir raha hu raheta hu apni dhun me Jaane khuda kahaa hai ye insaan samne hai
Fikr-o-nazar ko masti ye Fahemi piya ne bakhshi Sabr-o-karaar haasil imaan samne hai
Maroof peer Fahemi to hai Mazhar-e khuda Parwaz-e-bekhudi hai to pahechaan samne hai
33 KHULASA-B-ISME ABD
Khuda tukhkhm hai gar to banda shajar hai Magar qabil-e-deed kis ki nazar hai
Mila tukhkham se jisne mila shajar tak Ye chhoti si hujjat ka lambaa safar hai
Huwa khud hi zaahir kahaa gaib me hu Wohi chasme bainaa wohi haq nazr hai
Mujhe kafir ka fatwa denaa hai de lo Bashr jisko kehte hai ultaa shajar hai
Samre isme Aazam ke lagte hai is me Kya ab hayat us ki noori nazar hai
Koi jaa ke pucheh khudaa me kyaa hai Wahi jaa woh Afroz shaam wo saher hai
Kaya nukte tehrir ban kar idhar hai Kiya peer Fehmi ne us dil ko roshan Unhi par nichahwar ye jaan wo jigar hai
khulaasa hai us ka bas intaa hi Maroof Hai takhme makhmal mufsil shajar hai
Dhondne Par Bhi Tere Milte Nahi Nakshey Qadam Kaise Payen Ge Bhala Jis Ka Na Saya Samjhey
Chup Key Nazro Se Magar Nazron May Rahne Wale Chashme Binai Bani Aankh Ka Parda SamJhey
Shakal Adam Se Ayan Hoti Hai Surat Kis Ki Samjhe Surat Yeh Meri Ya Tera Naqsha Samjhe
Aa Bhi Jao Mere Is Khanaye Khalwat Main Sanam Ta Ke Parda Bhi Rahe Jalwe Ka Jalwa Samjhe
Surat Yar Hui Aayena-e-Dil Se Zahir Arsh-e-Azam Kahi Ya Kabe Ka Kaba Samjhe
Peer Fahmi Ka Hai Yeh Raaz Nahani Uncha Khak-e-Athar May Chapa Gohar-e-Yakta Samjhe
Aa Gai Dast May Yeh Quwwat-e-Yade Beza Is Ko Maroof Hum In Ka Hi Sadqa Samjhe
35 - SAMAYA HAI
Noor me noor jab samaya hai Nukta tehreer ban ke aaya hai
Ja baja naam wala hai maujud Yaar ka jism hai na saaya hai
Shobda kaari hum ko dikhlane Sar Taapa kalma ban ke aaya hai
Taaj bakhsha hame khilafat ka Lee hai baiyat kaha bataya hai
Raaz apna batane khud humdum Peer Fehmi ka roop laya hai
Pehle apni khabar lo kuch MAARUF Darya katre me chup ke aaya hai
36 KHAWAB-E-ADAM
Khuwab Adam Se Peer Ne Mujh Ko Jaga Diya Apni Khudi Main Apne Khuda Ka Pata Diya
Kin Ki Sadayen Aaj Bhi Sunta Hoon Rat Din Aisi Sada Ke Arsh se Mujh Ko Gira Diya
Hai Tanziya Hasb Mera Aur Tashbiha Nasb Gaib-O-Shahud Dono Main Jalwah Dhikha Diya
Kahte Hai Lamakan Jisi Wo Sir Hai Sir Mera Arsho Zameen ka Rasta dam Main Bata Diya
Aadam Ke Aayene Main Wo Khud Ho Ke Jalwah Gar Aadam Ko Sab Farishto Ka Qibla Bana Diya
Is Meem Ke Mahal Main Suno Rab Ka Raaz Apni Khudi Ne Rasta Meraj Ka Diya
Aehsan Peer Fehmi Ka Kaise Ada Karu Maaruf Ko Libas-e-Makar Se Bacha liya
37 - JAANTE HAI
Ye zaahid to dero haram jante hai Khabar is ke aage ki hum jante hai
Zara thehro sab bhed khul jayega Wo taare nafas ka bharam jante hai
Kahan hai wo gaare hira hum ko batlao Wo jibraeel par tha karam hum jante hai
Zamee se kitna safar la maka ka Fakeer nafs har kadam jante hai
Ulajhna hai jis ko ulajh kar to dekho Kya zero zabar pecho w kham jante hai
Tere chahne wale masti me aa kar Teri be rukhi ko karam jante hai
Na chedo hame hum hai aashiq deewane K hum to mizaaje zam jante hai
Hami se hai zaahir hami se hai baatin Wo parda nashi ka bharam jante hai
Ye saare hi naqshe hai Fehmi piya k Wo duniya me rehkar Adam jante hai
Haqeeqat hamari hai itni MAARUF Ek katre me darya bahem jante hai
38 - NAKSHA-E-MOHABBAT
Mohabbat Ke Jo Naqshe Qalb May Tayyar Hote Hai Ubhar Kar Wo Tassawwor May Rukh Dildar Hote Hai
Wahi Bar-e-Amanat Ka Hua Hamil Bhi Hafiz Bhi Hawas-e-Qalb Jis Ke Har Ghadi Bedar Hote Hai
Mayyassar Jin Ko Hoti Hai Yaha IKhlas Ki Daulat Dil-e-Kaba Unhi Ki Khak se Tayyar Hote Hai
Kitab-e-Surate Jana Padhai Jab Se Dilbar Ne Jhukata Sar Ko Hoon Main Aap Ke Didar Hote Hai
Kharama Aa Rahi Hai Har Jagah Lolak Ki Khushbu Mahekta Zarra Zarra Hai Gul-e-Gulzar Hote Hai
Tajali si chamakti Hai Dil-e-Betab Pe Mere Niga-e-Peer Fehmi May Kai Asrar Hote Hai
Ke Jin Ke Qalb Pe Mohar-e-Nabuat Sabt Hai Maroof yeh Woh Sikke Hai Jo Har Daor Main Darkar Hote Hai
Wo baare amaanat ka wazan tol raha hu Good di se apni laal gohar khol raha hu
Nukte ka bhed raaz-e khafi khol raha hu Parde me chupa hu magar bol raha hu
Zaat nabi hai zaate khuda zaate peer bhi Teeno ko ek dam me hi ghol raha hu
Ganje khafi hai mere hi andar chupa hua Is waaste har daur me anmol raha hu
Shetaa se maine pucha hai aadam ka raaz kya Shetaa bola jab se mai laa hol raha hu
Fehmi piya ki chashme inaayat ka faiz hai Ashaar ki surat me haq bol raha hu
Meeza-ne maarefat me to Maaruf tol kar Allah nabi ka kitna wazan bol raha h
40 - CHAHIYE
Tum Ko Kasrat May Wahdat Agar Chahiye Pahle Zaat Wa Sifat Ki Khabar Chahiye
Yeh To Saman hai Yar Ki Deed Ka Zikar Kuch Sabar Kuch Aur Asar Chahiye
Ishq Ka Khud Ko Pahle To Eendhan Bana Ishq Ka Daawa Phir Aey Bashar Chahiye
Khak-e-Hasti Se Uthne Laga Hai Dhua Yaar Ko Jalne Wala Hi Ghar Chahiye
Peer Fehmi Yeh Nikli Hai Dil Se Sada Daulat-e-Sar Madi Sar Ba Sar Chahiye
Ishq Se Hai Yeh Roshan Fakiri Meri Booye Maroof Khair-ul-Bashar Chahiye
41 - RAAZE KHAFI
Raaze khfi se parda uthya hai peer ne Didar mujko mera karaya hai peer ne
Kya meri hakikat hai ye kya mera raaz hai Aaina mann araf ka dikhaya hai peer ne
Kis noor se banayaa hai aalim ko khuda ne Kya noor ke hai mayene bataya hai peer ne
adam ke dam me kis ka ye har dam zahoor hai Parda banayaa kis ka batayaa hai peer ne
Zer-o-zabar naa hote to tashdid ka kya kaam Pesh wa jasam ye kya hai sikaya hai peer ne
Giyaraa imaam zahera batin hai baarwah Bara imaam kya hai batayaa hai peer ne
Kabe me kon rehta hai zam-zam ke kya maine Kabe ki hakikat ko dkhayaa hai peer ne
Allah panjataan ko bhi ukli me dam ki kot Peere muga ki goli banayaa hai peer ne
Allah nabi shaitaan bane Peer fehmi bhi Charo musalle kaise sajaayaa hai peer ne
Maroof be khudi ka ye kaisa khumaar hai Waidad ka nasha mujpe chadhayaa hai peer ne
Kuch Is Qadar Khayal Ko Pukhta Banaiye Woh Aayenge Nazar May Nazar Ko Jamaiye
Naqsh-e-Qadam Bhi Yaar ke Kabe Se Kam Nahi Har Ek Qadam Pe Sajde Pe Sajde Lutaiye
Parda Nasheen Hoon Ya Koi Parda Bana Hoon Main Duba Hoon Kis Khayal May Kuch To Bataiye
Fehmi Piya Ka Kaol hai Eeman Aisa Ho Har Ek Saanse May Naya Eeman Laiye
Yeh Quwat-e-Qalam Nahi ShamSheer Se Bhi Kam Maroof Soch Kar Apna Kalam Uthaiye
43 WAJUD-E-AADMI
Wajude Aadmi ho kar khuda ki shaan layaa hu Mai apne aap me kon-o makaa ki jaan layaa hu
Chupaa ganje khafi noor-e nabi sarre ana mujme Hazaaro sir me rakh kar kimti samaan layaa hu
Hamare dam ke andar hai nihaa israr ye kitne Har ek taar-e nafs me narre irfaan layaa hu
Mera marna hi jinaa hai mera jinaa hi marna hai yahan marne se pehle marne ka samaan layaa hu
Mere Fehmi piya me dil ke andar khauf kis ka hai Chupaa ke darya katre me kayee tufaan layaa hu
Nafak kehne se pehle rooh kaha thi tann kaha Maroof Sarapa raaz ban ka raaz ka deewan layaa hu
44 - WASTE ALLAH
Jo Sajde Waste Allah Kiye Wo Naam Ke Nikle Kiye Jo Zaat Ko Meri Bade Hi Kaam Ke Nikle
Mere Sajde Ki Barkat Se Khula Wo Dar Mohabbat Ka Sabhi Sajde Mohabbat Ke Uruj-e-Baam Ke Nikle
Hazaro Pedh Jannat May Lagaya Malik-O-Maula Magar Ek Pedh Ke Dane Bohat Hi Kaam Ke Nikle
Hamari Kiya Hakikat Hai Khuda Se Puch Le Zahid Pata Chal Jayega Tujh Ko Haram Kis Kaam Ke Nikle
Hamari Kiya Khata Thi? Kiyu Utara Farsh Pe Tu Ne Chalo Niklo Sada Aai Kaleja Tham Ke Nikle
Khuda Ke Baad Sajda Kab Rawan Hai Kol Shaitan Ka Khuda Ke Naam Ke Sajde Sabhi har aam Ke Nikle
Talash-e-Yaar May Dair-O-Haram Ki Thokren Khai Hua Maloom Ke Raaste Do Gaam Ke Nikle
Hukum Tha Ek Sajde Ka Karaya Paanch Kiyu Sajde Huye Jo Char Sajde Peer Fehmi Kaam Ke Nikle
Woh Sajda Noor Wala Noor Ko Tha Raaz Kya Maroof Isi Ek Fikar May Nau Maah Bade Aaram Ke Nikle
45 - TAASEER LAYA HU
Mohammed mustafa ki bolti tasvir layaa hu Meri har saas me Allah ki tehrir layaa hu
Amanat hai khilafat hai nabuwat hai wilaayat hai Chupa kar ganje makfi seene me tanveer layaa hu
Khulasa mann araf ka ho gaya mairaj me ja kar Use didah nashi ki didni taasir layaa hu
wohi nukta hu jis me zam hua Quran ka kuraah Harf-e makhzine irfaan ki tafsir layaa hu
Alif ka takham Allah ne lgayaa laa makaa me jab kehlaa adam safi Allah wohi taamir layaa hu
Chirage mann araf ko haat me le kar zara dekho Musauvir jis me rehta hai wohi tasvir layaa hu
hamara silsila hai Qadri aur chistiya piyara Nabi ki gaus ki khwaja ki ye zanjir layaa hu
hazaro shama roshan ho gayee hai peer Fehmi se Is shamm-e khuda dani se kuch tanvir layaa hu
Batao ishq kya hai husn kya hai noor kya Maroof Hazaaro raaz dil me pechidah dilgir layaa hu
46 - BHAJAN
Mann Ke Mandar May Hai Bhajan Apna Paas Anfaas May Hai Kishan Apna
Ram Ko Paalo Apne Tann Mann May Rama Rag Rag May Hai Raman Apna
Nahi Aana Yaha Nahi Jana Wahan Zarre Zarre May Hai Watan Apna
Yeh Amanat Kahan Se Aai hai Woh Rakha Tha Kahan Ratan Apna
Paanch Hurfoon May Sara Aalam Hai Chey May Aakar Chupa Hai Sajan Apna
Main Khuda Hoon Magar Nahi Allah Yaar Samjhe Nahi Sukhan Apna
Roop Har Ka Liye Hai Fehmi Peer Hari Se Ho Gaya Milan Apna
47 - BAZAR-E-ISHQ
Ishq Ke Bazar Main Khud Ko Luta Kar Dekh Le Yaar Khud Maojud Hai Parda Utha Kar Dekh Le
Justaju Karna Hai Kiya Dair-O-Haram May Yaar Ki Apne Dil May Ishq Ki Shamma Jala Kar Dekh Le
Raaz-e-Hasti Shash Jahet Ek Aan May Khul Jayegi Mann Araf Ke Raaz Ko Khudi May Pa Kar Dekh Le
Kon Allah Kon Banda Kon Shaitan Hai Yahan Parda-e-Gaflat Zara Gafil Utha Kar Dekh Le
Panjatan Allah Nabi Hai Kalme Ke Har Taar May Har Nafas Ke Taar Ko Dam May Baja Kar Dekh Le
Peer Ke Kadmo May Rehna Hai Uruj-e-Bandagi Har Ada Se Peer Peer Fehmi Ko Mana Kar Dekh Le
Maane Baiyyat Ke Yahi Hai Bech De Apni Khudi Ho Ja Tu Maroof Haq Hasti Mita Kar Dekh Le
48 - DOGANA
Kalma-e-Tayyab Ka Hai Yeh Afsana Ek Musalleh Pe Hai Yeh Dogana
Dekh Lete Hai Band Aankho se Kis May Kitna Hai Zarf-e-Paimana
Dam May Un Ke Khudai Raksa Hai Kon Jane Kahan Hai Diwana
Jis Ne Hasti Ko Apni Pehchana Wahi Adam Yahan Hai Durr Dana
Khud Ki Mairaj Us Ko Kehte Hai Khud May Maroof Khud Ko Paya Hai
49 - TAMASHA
Kya Tanmasha Hai Zindagani Ka Aadmi Bulbula Hai Pani Ka
Ramze Kalma Samajh Arey Nadan Is May Pehla Sabak Hai Fani Ka
Dam May Adam Ki Haq Sanasi Hai Hai Maza Dam May Lan Tarani Ka
Saaf Kehne Laga Hai Malkul Maut Bhed Bhari Hai Zindagani Ka
50 - RAAZ-E-HASTI
Kahan Mehrab Hai Kahan Mimber Kahan Khudba Kahan Hai Dogana
Aanth Allah Jo Kehte Hai Is Tann May Kahan Aakhir Chupe Hai Batlana
Jis May Allah Nabi Hai Shaitan Hai Peer Fehmi Ka Hai Wo Maikhana
Jis Ne Kalma Padha Woh Kafir Hai Kuch To Maroof Raaz Samjhana
51 - BATANA PADA
Nafs-e-Shaitan Ko Jannat May Pada Ek Dana-e-Gandum Khilana Pada Laam Alif Ki Ajab Khincha Tani Hui Meem Ka Ek Parda Uthana Pada
Ek "La" Se Mila "La" Jis Ghadi Ek Nukta Chupa Ek Nukta Khula La Makan May Andhera Pada Bohat Noor Ki Is Ko Shama Jalana Pada
Bhed Sar-e-Nahani Ka Hai Pur Gasab Khak Aur Noor Ka hai Yeh Khel Ajab Raaz Apna Batane Ke Waste Khud Farishto Se Sajda Karana Pada
Ban Ke Ahmed Gaye Woh Sare Arsh Par Ban Ke Adam Rahe Woh Sare Faresh Par Farsh Par Dhum Hai Arsh Par Dhum Hai Kuch Batana Pada Kuch Chupana Pada
Jab Nafakh Kahe Ke woh Yaar Dakhil Hua Amur-e-Rabbi Ka Us Dam To Aqida Khula Dam Ki Kiya Hai Haqikat Batane Hame Dam May Aana Pada Dam May Jana Pada
Bhes May Peer Fehmi Ke Aaya Hai Woh Kiya Hai "La" Kiya Hai "Ilah" bataya Hai Woh Khud Sharab Tahura Pila Kar Hame dam May Ka Jhula Jhulana pada
Panjatan Paak Ka Khub Barzak Hai Yeh Ek Moamma Ahi Yeh Khuda Ki Kasam Kiya Haqikat Hai Maroof Pane Hame Khud May Gotey May Gota Milana Pada
52 HUSN-O- ISHQ
Nafse ammara ke andar Ishq jalwah geer hai Jis taraf daalo nazar kya husn ki tasveer hai
Noor ki saache me dhal kar husn ayaa hai yaha kuhe sine ki tajalli ishq ki tanveer hai
sadara ke aage gayaa bas noor ahmed ka jamal Laa makaa ki zulmato me noor ki tanveer hai
Noon me tha poshidah par wow se woh khud hua Re se woh phir rab banaa ye noor ki tafsir hai
haa ki mani hai wajud seen se sarre khuda Noon se noor nabi ye husn ki taamir hai
Ain me nukta numaa hai kulle shain shin se Kaf se kul amre rabbi ishq ki tafsir hai
Nafs ki tirkot me hai zaat ka moti chupa tin nukto me muzammir yaar ki tadbir hai
Peer fehmi se mila Maroof nukte ka ye raaz Zam hua hai quran bhi kya nukte ki taseer hai
53 - MEEM KA PARDA
Ek Meem Ke Parde May Kya Khel Nirala Hai Kasrat Ke Andhero May Wehdat Ka Ujala Hai
Zulumma Jahula Ban Kar Bar-e-Uta Uthaya Is Bar-e-Amanat Ka Kuch Bhed Nirala Hai
Qatre May Chupa Darya Jaise Sadaf May Moti Woh Band Hai Bande May Aur Khud Ko Sambhala Hai
Har Naam Ke Hai Mani Aur Allah Hai Be Mani Is Raaz Ko Pao Kiyu Naam Me Tala Hai
Kiya Cheez Pilayee Hai Fehmi Ke Tasadduk May Ye Nagma Khafi Ka Hai Tum Ne Hi Uchala Hai
Mann Araf Ka Aaina Maroof Khud May Dekho Qad Arf Ke Jalwon Se Har Dam May Ujala hai
54 - PARDAYE SURAT
Kis jaga baithe ke tasveer numaai hogi Pehle adam ki yaa hawwa ki banayi hogi
Us ko shaitaan ka aata na bhala kaise khayal ganja makhfi me woh halchal jo machayi hogi
Kis ki surat pe ye surat ko banayi hogi Sur-e ain se tasveer numayee hogi
Peer fehmi ke parde me woh surat piyari Noor hi noor ke Saache me banayee hogi
Lohe hasti se ana ko to mitao Maroof Warna har bat teri sirf badayee hogi
55 - CHALE GAYE
Raaz-e-Khafi Se Parda Uthate Chale Gaye Ghar Ghar May Mohammad Ko Dikhate Chale Gaye
Pucha Khuda Kahan Hai Yeh Raaz-e-Khudi Hai Kiya Aayena Mera Mujh Ko Dikhate Chale Gaye
Wahdat Ka Maiqada Hai Sharab-e-Tahur May Aankho Se Apne Jaam Pilate Chale Gaye
Mansoor Daar Se Yahi Deta Raha Sada Saanson May Anal Haq Woh Sunate Chale Gaye
Manzil May Ek La Ke Hai Hosho Hawas Gum La Ka Nazara Hoo May Karate Chale Gaye
Apni Khudi Khuda Hai, Khuda May Khudi Chupi Raazz-e-Khuda Khudi Main Banate Chale Gaye
Har Ek Nafas Khudai Hai Kalme Ke Taar May Kalme Ka Taar Dam May Bajate Chale Gaye
Roshan Dimago Dil Hua Un Ke Karam Se Aaj Kalme Ki Shama Dam may Jalate Chale Gaye
Fehmi Piya Hai Har Jagah Hai Noori Libas May Har Shai may Noor ban Kar Samate Chale Gaye
Kis Se Kahoge Raaz Yeh Maroof Chup Raho Diwangi May Raaz Sunate Chale Gaye
Husne Azal Ka Nagma Suna Kar Chale Gaye Dam Ko Musaffa Dil Ko Jila Kar Chale Gaye
Samjhe Nahi Hai Kon Bashar Ke Libas May Ek Meem Ka Tha Parda Utha Kar Chale Gaye
Hai Be Khabar Farishte Wo To Dam Ka Raaz hai Zikre Khafi Se Dam Ko Saja Kar Chale Gaye
Ishq Khudi Se Badh Kar Nahi Hai Koi Nasha Inni Ana Nazr Se Pila Kar Chale Gaye
Noor Se Hi Ho Gaya Aalam Ka Yeh Zhoor Is Noor May Woh Noor Ko Mila Kar Chale Gaye
Chauda Tabak Ka Raaz To Ek La May Hai chupa Pehla Sabak Hai Kalma Padha Kar Chale Gaye
Kaba Kalisa Mandir wa Masjid May Kiya Mila Pandit wa Mullah Thokre Kha Kar Chale Gaye
Dam Tha Bana Imam Wo Tann Ke Musalle Par Tann May NAmaz-e-Ruh Padha Kar Chale Gaye
Surat Pe Kis Ki Shayda Yeh Fehmi Piya Huye Apne Hazr Wajood Dikha Kar Chale Gaye
Sar Se Yeh Pair Tak Tere Lakho Quraan Hai Maroof Ek Dam May Padha Kar Chale Gaye
57 - KHAYAL AAYA
Khuda Ko Ganje Makhfi Se Nikalne Ka Khayal Aaya Bana Kar Noor Ka Naqsha Samane Ka Khayal Aaya
Khilafat Aur Nabuwat Ko Chalane Ka Khayal Aaya Amama Noor Ka Sar Pe Sajane Ka Khayal Aaya
Banaya Barzq-e-Qubra Ba Shakle Adam Wa Hawwa Khuda Ko Apni Surat Jab Dikhane Ka Khayal Aaya
Pahen Kar Noor Ka Jama Woh Nikla Yaar Parde Se Khuda Ko Jab Mohammed Ban Ke Aane Ka Khayal Aaya
Har Ek Manke May Lakho Ambiya Hai Auliya Sare Hazro Naqshe Adam May Chupane Ka Khayal Aaya
Jagane Khwabe Gaflat se Bajaya Saaz Wehdat Ka Mohammad Peer Fehmi Ko Jagane Ka Khayal Aaya
Banaya Kis Liye Aalam Haqikat Jaan Lo Maroof Kahani Ishq Ki Apni Sunane Ka Khayal Aaya
Teerchi baanki hai ishq ki ye gali Har gahdi imtehaan rehta hai
Kon aata hai kon jaata hai Kalmaa-e taiyab ka dhyaan rehta hai
wahi paate hai hosh ko apne Jis ka dam per hi dhyaan rehta hai
Peer Fehmi hai saaki-e doraah Har ghadi Meherbaan rehta hai
Hai makaa ab tera kaha Maroof Tujhme ek laa makaan rehtaa hai
Ek Nukte May Hai Allah Nabi Aur Shaitan Khas Nukte Ka Hai Irfan Yeh Hum Jante Hai
Jism Ka Jama Pahen Kar Wo Bashar Aaya Hai Wahi Bande May Hai Rehman Yeh Hum Jante Hai
Nafakh Kehte Hai Jise Pucho Khuda Se Pehle Kis Liye Ho Tum Pareshan Yeh Hum Jante Hai
Ek Sajde Se Bata Kiyu Hua Shaitan Munkir Kiyu Hai Zid Par Ada Yeh Hum Jante Hai
Maane Pucho To Mohammad Ke Mohammed Se Tum Kiya Mohammed Ka Hai Irfan Yeh Hum Jante Hai
Piya Fehmi Ke Yahan Kalma Milega Tum Ko Yeh Hai Bakshish Ka Hi Saman Yeh Hum Jante Hai
Kadmo May Hai Jis Ki Khudai Hai Chupi Aye Maroof Hai Kahah Woh Tera Mehman Yeh Hum Jante Hai
60 - RAAZ-E KHAFI
Peero murshid raaze makhfi hum ko ye batlaye hai Allah ke hi haato beek ke allah ko hi paaye hai
Aa raha saason me apne phir ibadat ka maza Aati jaati saans me hum zikre haq ko paaye hai
Dil hai bas insaa ka kaaba kaabe se mehraj hui Kalbe momin arsh allah raaz ko hum paaye hai
Zoke nazar hai itna uncha arsh bhi chota lage Rooh-ilah me ruk jate hai hum ye kaha par aaye hai
Pardaye zulmat hai hum me is ka zara bhi dar nahi Noor ko barsane waalesaath apne aaye hai
Kya nafi asbaat hai is se kya haasil hai hame jaan-e jaa khilwat ka hum parda uthane aaye hai
Haa jate zarra nawazi se mubarra ho gaye Banda parwar jalwa apna aap me dikhlaye hai
Sur taa pa kalma numa hai zaate hasti sahs jahet Peer Fehmi raaze kalma is tarah samjhaye hai
Nehno akrab ganje makhfi man araf raaze khafi Bhed ye kudrat ke hai Maaruf ne jo paaye hai
Bees Pe Aath Huruf Ka Woh Pahan Kar Jama Dar Badar Yaar Phira Tha Mujhe Maloom Na Tha
Arsh Se Farsh Pe Aaya Hai Mohammed Ban Kar La Ke Parde May Chupa Tha Mujhe Maloom Na Tha
Shab-e-Meraj May Do Noor Ka Yeh Raaz Khula Khuda Khud Banda Numa Tha Mujhe Maloom Na Tha
Hai Kahan Yaar Ke Hatho Ki Dekh Turpai Kitna Bandha Woh Girah Tha Mujhe Maloom Na Tha
Kon Anfas Ke Hai Parde May Aata Jata Paas Anfas Pata Tha Mujhe Maloom Na Tha
Beshtar Kun Ke Wahi Tha To Wahi Aya Hai Peer Fehmi Hi Khuda Tha Mujhe Maloom Na Tha
Panjatane Paak Ka Maikhana Bana Hai Maroof Meri Rag Rag May Nasha Tha Mujhe Maloom Na Tha
Zaate waihedat se kasrat me aane ko hum Ek tinka alif ka bananaa padaa Naa binaa ki ek rehbari ke liye Laam ki is ko lazzat chakhana padaa
Laam alif dono ek sath milte rahe Ek laa ki achanak surat bani Paane ko alif laam ki lazzate Mim ko raahe ulfat batana padaa
Ye alif laam me mim ke waaste Saikdo ishq ke bangaye raaste Jo bhi samjha hai woh marde kaamil hua Nasamajh hai ise raah dikhana padaa
Ye nukta alif hi se aadam hua Sab farishto ne adam ko sajda kiya Ye mukamaat samjhaane aadam ko phir Pehla apna khalifa banana pada
Is alif me ek naam gum naam tha Phir aadam se hawwa ka ukdah khula Lazzte meem paane in dono ko Mewah gandum ko jannat me khana padaa
Ek alif me ahad wa ahmed base Is alif me adam wa iblis chupe char alif ka jab raaz khulne lagaa Banke Allah miyaan unko aana pada
Ek kandil me noor do do rakha Peer Fehmi se ye bhed aakhir khulaa Laa makaah ke makaah me is kandil ko 'Hoo' ki kuhti me is ko tangana pada
Raaz ki baat hai raaz me rakh ise Raaz paa kar na shoro gul tu macha Kya hakikat hai Maroof paane ise Zaat-e wahadat ka pardaa uthana pada
63 - JALAL WA JAMAL
Noor-e-Jamal Samjho Kiya Noor-r-Jalal Hai Dono May Fark Kitna Hai Aur Kiya Kamal Hai
Allah bhi Noor Hai To Mohammad Bhi Noor Hai Yeh Noor Hai Jalal Woh Noor-e-Jamal Hai
Allah Ke Noor Se Hai Mohammad Ka Noor Jab Noor-e-Jalal Se Hua Kaisa Jamal Hai
Kis Noor Se Hua Yeh Shaitan Ka Zhoor Noor-e-Jalal Samjhe Ya Noor-e-Jamal Hai
Peshaniya Aadam May Thi Dono Ki Kirne Kis Noor Ko Tha Sajda Malak Se Yeh Sawal Hai
Shaitan Noor-e-Haq Ka Pujari Yeh Kaha Sajda Karo Dono Ko Yeh Kab Halal Hai
Marne Se Pehle Marna Tassawof Ka Kol Hai Woh Kon Tha Jo Mar Gaya Kis Ko Wisal Hai
Kiya Noor Ke Hai Maani Yeh Fehmi Piya Se Paya Zam Hona Khud Ke Noor May Har Dam Kamal Hai
Ek Saans Hai Jalali Jamali Hai Ek Saanse Maroof Yeh Dalil Hai Nahi Kil wa Kaal Hai
Sair karne aaya hun sair karke jaunga Maikashon ki jannat ko farsh pe basake
Ye kitab-e-ulfat ka pehla hai sabak Jaan-o-imaan dil mera unpe sab lutaunga
Kaabe kaaba hai mere yaar ka kuncha Har kadam par dogana sajdon ko lutaunga
Man araf ke dariya mein gauta jab lagaunga Kad araf ke moti ko dam badam mein paunga
Kaun padh raha hai ye kaaba dair ke kutbe Luhe hasti ko meri naqsh-e-laa banaunga
Zikr-e-hoo mein chudha ye dar khule hain aye maaruf Mustafa ka dar har dar ko batunga
65 - KHUDA SE PEHLE
Mohammed naam tha mera khuda ke naam pele piyala noore wehdat ka piya har jaam se pehle
Ana noor-e-mohammed kehte nikla ganj-e-khafise nabuat ka amama sirpe tha islam se pehle
Namaz-e-ashiqui zahid na samjha hai na samjhega namaz-e-wasl dogana padhi aramse pehle
Padhaie ek sau chaudha rakaten saat manzil mein kiye chaudha wo sajde ba adab har gaam se pehle
Kiya zikr-e-jali sirr-e-khafi noorie-o-akhfa bhi tha paancho zikr mein masruf subha-o-sham se phele
Mohammed ban ke aaye peer fehmi har zamane mein naqab-e-manaraf jisne uthaei baam se pehle
Kaha tha kaaba butkhana siwae aapke maaruf mera he naam tha maujood har ek nam se pehle
66 - ALIF-LAAM-MEEM
Paanch alif se he allah miyan hai Raaz ye laa ilaaha se khula hai
Kiya namaz aur roza hai samjho Kiya zakat aur hajj mein chupa hai
Laam alif mein he ghar meem ka hai Meem ye nun maaruf pata hai
Ishq ki shamma jalane kaun ayay hai yahan Jism ko noorie banane kaun ayay hai yahan
Dam ke ye do taar mein he zindagi ka saaz hai Nagma haa hoo he sunane kaun aya hai yahan
Ishq ke bande bhi hum hain ishq ke maula bhi hum Ishq mein hasti mitane kaun aaya hai yahan
Ishq ki buniyad par hai husn ki taamir jab Dono aalm ko sajane kaun aaya hai yaahan
Kismein himmat hai jo dekhe yaar ka husno jamal Husne yakta ko dikhane kaun aaya hai yahan
Ganj-e-makhfi se nikal kar peer fehmi aagaye Kunto kanzan ko sunane kaun aaya hai yahan
Jhoomna hai jhumiye isbaat pe maaruf tum Ishq ki duniya basane kaun aaya hai yahan
Banke nukta imaam aaya hai Pal mein dono jahan sajaaya hai
Nahano aqrab ke hain yahi maane Allah bande mein aasmaaya hai
Teen nukton se ek aalif bana Raaz che nukton mein chupaaya hai
Peer fehmise raaz ye hai khula Nukta tehreer ban ke aaya hai
69- MAKAA-O-MAAKEEN
Allah makeen to ye mohammed makaan hai Dono mile to raaz khula kiya ye jaan hai
Chaaro haraf ki dekh tajjalli kahan padi Qalb ye jagmagaya mohammed ki shaan hai
Atthara anasir se hai ye meem ka mahal Ek meem ke mahal mein ye kauno makaan hai
Sair fi allah karo khud ke wajood mein Apne he makaan mein wo chupa laamkaan hai
Allah farsh par to mohammed hai aarsh par Aadam ke dam mein dono ki ye khinch taan hai
Apna hai mehndi har ghadi har aan samne Gafil ka mehndi gaib mein dono jahan hai
Beshak hai peer fehmi bashar ke libaas mein Ye bashar mislekum bhi mohammed ki shaan hai
Maaruf hai makaan aur makeen ke darmiyan Samjho zara ye kis jagah apna nishan hai
70 - DEKHO
Ye raaz-e-khuda khud mein paakar to dekho Ek inni ana allah ko gaakar to dekho
Khudaie khudi mein khudi hai khuda mein Khudi ko khuda mein mila kar to dekho
Wahi jalwa farma hai dairo haram mein Khudaie ka parda utha kar to dekho
Kahan par hai allah kahan hain mohammed Indono ko khud mein he pakar to dekho
Khuda khud hai banda kahenge ye zahid Sharab-e-analhaq pila kar to dekho
Mere peer fehmi hain taar-e-nazar mein Nazar se nazar tum mila kar dekho
Har ek saans hoo hoo sunati hai maaruf Ye saanson ka baaja bajakar to dekho
71 - DIKHANA HOGA
Ek din khana-e-khilwat mein to aana hoga Laa nafi khud mein he kar karke dikhana hoga
Range allah ke gar raaz ko pana hai jise Nisbat-e-rang se phir dil ko rangana hoga
Kaun allah hai yahan kaun mohammed hain rasul Ek soo teen mein guota to lagana hoga
Peer fehmi ke hain sine mein wo raaz-e-gauhar Sina ba sina us raaz ko paana hoga
Raahe haqiqt mein tasdeeq zaruri maaruf Isliye laa mein he ilaha ko jamana hoga
72 NABUAT KI AAG
Aag hai nabuat ki mere aashiyane mein Kohe toor jalta hai ek jhalak dikhane mein
Jab diya ana ki jala lamakan ke zulmat mein Noor noor chaya hai in ke aashiyane mein
Nafas,rooh,dil ka nishan hai khudi mein dekho zara Sirr,noor,zaat-e-khafi mere tan ke khane mein
Meem ke he parde mein chup gaya ahad hai wo Ban ke noor-e-ahammed wo aagaya zamane mein
Lam,aalif aur meem ka raazye khula hum par Do aalif 'la' ek bana meem ke fasane mein
Lana inka mansha tha hum yaha chale aaye Jana apni marzi se zaraf hai deewane mein
Dekhlo aae deewano peer fehmi aagaye hain Kitni raatein ye guzregi ek jhalak ye pane mein
Man araf ki kandeel mein noor ana ka tha maaruf Noor naar wahi hua dil ke aashiyane mein
Tuhi mansoor mein soor ki surat Sirr-e-mansoor dekho daar mein hai
Analhaq kehne wala kaun tha wo Kis ka sir wo bataio daar mein hai
Siwa unke nahi koi maujood Deed wala maqam yaar mein hai
Rehmate haq sada barasti hain Kaun banda jo gunhegar mein hai
Peer fehmi ka hai karam sabkuch Warna banda ye kis shumar mein hai
Chalo maaruf wahan ki saer karen Jahan lakhon khuda qatar mein hai
Hum hain maaruf uski rehmat mein Jis ke khud bhi khuda khumar mein hai
74 - RAKHTE HAIN
Munh mein haqki zaban rakhte hain Khud mein kauno makan rakhte hain
Kaun hum hain kahan se aaye hain Ba khabar log dhiyan rakhte hain
Man araf kad araf ka raaz khula Abd mein rab shaan rakhte hain
Bandh karte hain nau/9 wo darwaze Daswe dar ka ka giyaan rakhte hain
Peer fehmi ne bakhsha raaz-e-khafi Hum bhi haq ka nishan rakhte hain
Karne khud ki tilawaten maaruf Khud mein ummul quraan rakhte hain
Har jagah baat banhi jati hai Sadqa murshid ka paye jate hain
Baat jo bhi karo samajh ke karo Baat ke par lagaye jate hain
Rind ko par laga parind bna Udne wale udaye jate hain
Tere daman se sab kuch mila hai Raaz ganj-e-khafi ka khula hai Main tera hogaya tu mera hogaya Ishq mein tereye zindagani rahe
Mere zaahir pe tu chagaya hai Banke batin tuhi aagaya hai Meri khilwat mein tu meri jalwat mein tu Dono aalm mein teri nishani rahe
Ktna aala ye murshid mila hai Allah wala ye murshid mila hai Mila murshid ka ghar khula batin ka dar Tere jalwon ki murshid rawani rahe
Raaz kalme ka unse milega Bhed ye manaraf ka khulega Kalma unka dharamrakhe sab ka bharam Sabki saanson kalma roohani rahe
Peer fehmise uqda khula jab Parda inni ana ka utha ab Main hun tera pata tu hai mera pata Raaz-ehasti meri lamkani rahe
Ye jo maaruf nisbat badi hai Nisbat-e-auliya ki kadi hai Qaadri silsila gaus ka silsila Gauseaazam ki nisbat lasani rahe
Kalma saanson mein jisne dala hai Uski har saans mein ujala hai
Kisne shaitan ko raaz batlaya Daal mein kuch na kuch to kala hai
Jisne raaz-e-khafi ko jan liya Wahi momin hai kalme wala hai
Main bhatak raha tha dar dar Tere saaye mein jo aya
79 - MERA SANAM
Bahut piyar karte hain murshid se hum Khuda na kare ye mohabbat ho kam
Tassawur tumhara meri bandagi hai Tumhein dekhna kiya khuda se hai kam
Koi gum hua hai jalwon tere Koi ga raha hi sanm he sanam
Tera dar dare mustafa ban gaya hai Yahan sir jhukate hain sare sanam
Wahin mera kaaba wahin hai madina Jahan par tumhara hai naqshe kadam
Tere dar ki mitti bahut kimti hai Ke lakhon bane hai irm-o-haram
Mere peer fehmi ki nisbat badi hai Isi ki badaulat hai hamara bharam
Khula nukta maaruf ye mere sanam se Khuda noor bankarkhudi mein hai zam
Taaj wale bhi aaye hue hain Bekason ki qadeer allah dekho
laaj wale bhi aaye hue hain laaj sabki nibhaye hue hain
Rehmaten naaz farma rahin hain Peer mehtab shah qaadri bhi
noor mein roohen lehra rahin hain wajad mein aaj aayen hue hain
Zindagani sanwarne lagi hai Jo bhi mehfil mein aaye hain wo sab
rooh parwaz karne lagi hai dam mein kalma basaye hue hain
apne pehchan hone lagi hai dono alam pe chahye hue hain
Sab muridon ke rukh par khushi hai Peer fehmi ko saj dhaj ke dekho
saare khulfa mein zinda dili hai aaj dulha banaye hue hain
Peer maaruf ne ye raaz khola Hum mein hum he smaye hue hain
81 - KHAK-E-PAA
Apne murshid ki khak-e-paa hun main Din-o-duniya ka badshaha hun main
Ji nahi sakta hun juda hokar Wo hain dariya to bulbula hun main
Surat-e-shaikh main fana hokar Rubaru shakl -e- dilruba hun main
Ganje makhfie se hum nikal aaye Shauke irfan ka walwala hun main
Jiske jawon mein gumhuye musaa Wahi surat ka mudduaa hun main
Peer fehmi ki har ada piyari Aan-o-dil se hua fida hun main
Aisi namaz maaruf mujhe peer ne padhaie Sajde mein sir jhuka hai wo namaz kaunsi hai
83 - HO GAYA
Apne murshid ki main khak-e-pa ho gaya Saare kaunain ka badshah ho gaya
Jis tajjalli ko musa gire dekh kar Dekhne ka mujh ko hausla ho gaya
Apne murshid ke ishque mein jo bhi mita Dono aalam ka wo dilruba ho gaya
Allah hoo ke jalwe jahan dekhiye Jisne 'hoo' ko hai samjha baka ho gaya
Jisko pate hain arif har ek shan mein Gafilon ke liye muamma ho gaya
Jo tajjalli ke parde mein abtak chupa Peer fehmi se jalwa numa ho gaya
Meem ahammed ka maaruf ye uqda khula Jo hai murshid wahi mustafa ho gaya
84 - JAAM-E-WEHDAT
Wehdat ka jaam peer ne aisa piladiya Apne khaiyal ke siwa sabkuch bhuladiya
Allah ka irfan to asan hai magar Mushkil hai raaz-e-mohammed mursil bata diya
Allah ka bhed he to insan ka bhed hai Raaz-e-khudi se parda murshid hata diya
Momin wahi hai jismein shane khuda dikhe Jismein jhalak nahi use kaafir banadiya
Inki nigha-e- naaz ka aisa karam hua Mujh ko ghame firak se dam mein chuda diya
Jalwa jamale yaar ka har shai mein dekh kar Humne sire niyaz adabse jhuka diya
Main kaun hu tu kaun hai taua n ki baat hai Be quaid jalwe yaar ne mujh ko dikha diya
Fehmi piya ki shaane skhawat to dekhiye Baande ek pal he maula bana diya
Maaruf dare yaar se mala maal hai Kaise bataun peer ne kis kis ko kiya diya
85 - KISNE
Qudsiyan ba adab hain sajde kiye Mujh ko kaaba bana diya kisne
Saanson mein hoo ka he tarana hai Dam ko kalma padha diya kisne
Banke gumnam tha main kanzan mein Naam-e-aadam rakha diya kisne
Koi madhosh hai koi bismil Rukhse parda hata diya kisne
Naam pucha to wo kaha hans kar Peer fehmi bata diya kisne
86 - PADEGA
Nahi manta main nahi janta main Tumhen rukhse parda hatana padega
Mere hath mein hai daman tumahara Meri laje nisbat nibhana padega
Nahi kuch chalegi teri lan tarani Wahan dilse kalma sunana padega
Mere peer fehmi hai sadqe tumhare Mohammed ka chera dikhana padega
Agar chahte ho thikana to maaruf Mohabbat mein sab kuch lutana padega
87 - MEEM KA MEHAL
Adam hawwa mein chupkar hai aaya Zaat -o- sifaat ka khel rachaya
Yeh kalme ki kalse taala khulega Fehmi piya se bhed hai paya gaya
Alif laam ka sab chakar hai maaruf Ek nukte mein sara quraan samaya
Zat-O-Sifaat ka Khel Rachaya Haa-Hoo-He Ka Raag Sunaya Ganje Khafi Ka Bhhed Bataya Andar Khuda Hai Baahar Nabi
Arshe Bari Par Haqne Bulaya Khuld-e-Bari Ko APne Sajaya Haqne Tajalli Ka Parda Uthaya Andar Khuda Hai Baahar Nabi
Baaghe Iram Ke Patto ko Dekho Naame-e-Nabi aur Naam-e-Kudha Hai Arshe Bari Par Kalma Hai Chaya Andar Khuda Hai Baahar Nabi
Frike Bahttar Hain Kalme ke Andar Islam Do Hain Kalme k Andar Momin He Kalma Ban Kar Hai Aaya Andar Khuda Hai Baahar Nabi
Kalme Ki kal Hai Arzo Sama main Kalma He Haq Baatil Ka Nisha Hai Kalma He Awwal-O- Aakhir Hai Aya Andar Khuda Hai Baahar Nabi
Baare Amanat'Mohr-e-Nabuat Sirre Wilayat Taaje Khilafat Kalme Ke Sadke Main Sab Kuch Hai Paya Andar Khuda Hai Baahar Nabi
Fehmi Piya Ke Bhes Main Aya Aadam Jaadam Zikr Karaya Raaz-e-Khudi Ka Parda Uthaya Andar Khuda Hai Baahar Nabi
Insan-e- Kamil Kalma Bana Hai Kalma he Maaruf Khud Ka Pata Hai Zahir ne Apne Baatin Ko Paya Andar Khuda Hai Baahar Nabi
89 - NAHI MILTA
Lakh Dhoondo Pata Nahi Milta Bin Wasile Khuda Nahi Milta
Pucho Murshid Se Kiya Nahi Milta Khud main sab Kuch Hai Kiya Nahi Milta
Lakh Karle Khuda Khuda Zahid Bin Mohammed Khuda Nahi Milta
Dair-o-Kabe Main Dhundte Ho Jise Tere Dil Main Chupa Nahi Milta
90 - MILA GAYA
91 - SALAAM IMAMA-E-HUSAINR.RZ
Falak par malaik bhi aansu bahae Jo dekha yeh manzar salamun alaik
Katae hain sirko lutae hain gharko Nufu-e- bahattar72 salamun alaik
Tumhara gharana hai noorie gharana Gawah sureh athar salamun alaik
Tumhi se hui haq -o- batil ki pehchan Imamon ke rehbar salamun alaik
Hai hasni husaini mere peer fehmi Yeh tan man nichawar salamun alaik
Yeh maaruf kalam bhi kahe baa adab se Wo sir ko jhukake salamun alaik
Aaqa madine wale dilne tumhe pikara Lelo salam hamara lelo salam hamara
Laulak wo sehra bandhe tumhare sirpar Jhukne lagi khudai aaqa tumhare darpar Khud he khudane apne jab namse pukara
Faryaad karrahe hain girkar sambhal rahe hain Hum yaad mein tumhari karwat badal rahe hain Sarkar ab to chamke aankhon mein wo nazara
Sarkar-e-dojahan ka jisne wasila paya Jisne nabi ke dar pe sir apna hai jhukaya Uska bulandi par hai taqdeer ka sitara
Khushbu-e-ishqe ahammed mehke humare tan mein Tum cheer kar to dekho aahque ke is kafan mein Aankhen khuli phati rahengi dekhoge jo nazara
Faryaad sun humari au bekasonke waali Aayen hain jo sawali jaayen na hath khali Aate ho tum madad ko jab dilse jo pukara
Gausulwara se maango khwaja piya se maango Mehboob ka yeh dar hai lekin adabse maango Hogi muraad puri daman ko jo pasara
Fehmi piya ka aashique sarkar ka deewana Sarkar ne he bakhsha irfan ka khazana Allah ki kasam main sarkar hu tumhara
Inka karam hai shamil to baat ban gaee hai Shahe arab ke sadke jholi bhari hui hai Maaruf jaan apni aage tumhare hara.