BHRAMARAKSHAS S1 Ep 31
BHRAMARAKSHAS S1 Ep 31
BHRAMARAKSHAS S1 Ep 31
SEASON 1 EPISODE 31
SFX: The gentle flow of the river Ganga. The atmosphere is eerie, with occasional distant howls of
wind.
Narrator (tense, low voice): Tezz nadi ka paani raat ke sannate mein goonj raha tha… ek taraf rakshak
naha rahe the toh doosri taraf Acharya Suryadev Vishin ke shareer per laal rang ka chamakta hua
nishaan dekh kar chaunk gaye the.
Narrator (low whisper): Wahi nishaan... jo Shivam aur Rakshakon ne jungle mein dekha tha... ab
Vishin ke peeth par jagmag raha hai.
Acharya Suryadev (shocked, Murmuring to himself) Yeh... yeh kaise ho sakta hai? Vishin?
Narrator (tense): Acharya ka man vichlit ho jaata hai... aur woh iss baat ko batane ke liye Shivam ke
paas jate hain kyunki woh nahi chahte the ki yeh baat baki rakshako ko pata chale.
SFX: A soft splash as Acharya Suryadev steps closer to the river’s edge.
Acharya Suryadev (in a low but urgent whisper): Shivam! Bahar aao, abhi!
SFX: Soft rustling, Shivam emerging from the water quietly, wet footsteps echoing softly on the
riverbank.
Narrator: Shivam Acharya ke chehre par chhaye huye dar ko dekhkar hairan hota hai. Lekin bina kuch
kahe, woh aahista se nadi ke kinare jaakar Acharya ke paas khada ho jata hai.
SFX: Footsteps stop. The wind grows stronger for a brief moment before fading into a chilling calm.
Shivam, jo tumne jungle mein dekha tha... woh chin... tumne kaha tha woh laal rang se chamak raha
tha... yaad hai?
Shivam (nodding, confused): Ji Acharya. Wahi nishaan jo ek peed par tha… ajeeb si roshni thi
usmein. Kyun?
Acharya Suryadev (in a low, grave tone): Woh nishaan... woh Vishin ke peeth par hai. Maine abhi
dekha. Peeche mud kar dekho!
SFX: A sudden hush falls over the scene. The distant splash of water intensifies the tension.
Narrator (building suspense): Shivam ke chehre par ek pal ke liye sannata chha jaata hai. Uske
dimaag mein jungle ki yaadein dobaara ghoomne lagti hain… jab wahi Nishan usey Vishin ke shareer
per dikhayi deta hai.
Acharya Suryadev: Nahi… main sachhai ki gehrai tak pahuchna chahta hu tum Vishin ko kuch nahi
bataoge.
SFX: The sound of pages turning slowly as Acharya Suryadev opens an ancient book—his breath calm
yet urgent.
Narrator: Acharya Suryadev, purani kitabein palat-te hue, ek tareeke ki talaash mein hain... ek raasta
jo unhe sachai tak le jaa sake. Vishin ke shareer per who nishaan ab unki sabse badi chinta ban gaya
tha.
Acharya Suryadev (serious): Tumhein Vishin per nazar rakhni hogi… ek dost ki tarah nahi balki ek
rakshak ki tarah… kyunki jo nishan tumne dekha tha, aur jo maine ab dekha hai... woh ek hi hai…
Bhramrakshas ka.
CUT TO:
SFX: The clang of swords colliding, sharp and rhythmic, fills the air. The distant murmur of Rakshaks
engaged in practice, the occasional grunt of exertion, and the rustle of footsteps across the training
ground.
Narrator (calm yet tense): Gurukul ke maidaan mein Rakshak apne astra-shastra ke sath abhyas kar
rahe the. Talwaarein ek doosre se takra rahi thi… aur rukne ka naam nahi le rahi thi. Vishin jis rakshak
ke sath lad raha tha usey ek ke baad ek zor se vaar kar raha tha
SFX: The sound of swords clashing louder, more aggressive than the other battles around. Vishin’s
breathing becomes heavy, intense, as he spars fiercely with another Rakshak.
Rakshak 1 (grunting, struggling): Arrey Vishin... dheere! Tumhari gati... yeh toh... (struggling) bahut
tez hai!
Narrator: Vishin ke haathon mein talwar ka vajan hawaa ke jaisa halka ho gaya tha. Uski tezi aur
takat ko dekh kar baki rakshak soch mein padd gaye the… kyunki Vishin rukne ka naam nahi le raha
tha.
SFX: Sword clashes grow louder, faster. Rakshak 1 struggles to keep up, his movements heavy
compared to Vishin’s speed.
Rakshak 1 (desperate):
Vishin! Tum kya kar rahe ho? Mujhe maar daloge kya?
Narrator:
Talwaaron ki yeh aawaz Vishin ke andar ek ajeeb si taqat ko jagah rahi thi. Rakshak ke chehre par dar
tha... aur tabhi Vishin ka ek prahar uski talwar tod deta hai aur talwar uske hath mein lag jati hai.
SFX: The sound of a sword shattering, followed by a dull thud as Rakshak 1 stumbles back, panting in
shock.
Rakshak 1 (panicked):
Vishin...! Tum pagal ho gaye ho kya? Yeh yudh ka abhyas hai, yudh nahi!
Lekin Vishin ke chehre par ek ajeeb si badlaav tha. Uski Aankhen ladte-ladte ek pal ke liye laal ho gayi
thi. Aur tabhi, usi samay... Acharya Suryadev ne door se dekha.
SFX: Subtle wind blows as we shift perspective. The sound of Acharya Suryadev’s footsteps, slowly
moving, with a slight rustle of fabric as he stands from a distance, observing Vishin closely.
Acharya Suryadev door se Vishin per nazar rakh rahe the... Vishin ke haathon mein itni shaki unhone
itne saalo mein pehli baar dekhi thi.
SFX: The background noise of other Rakshaks fades slightly, leaving only the sound of Vishin’s erratic
breathing, his sword cutting through the air aggressively.
Acharya Suryadev (soft whisper to himself): (Whispering) Yeh... kya ho raha hai? Itni takat aur tezzi
ek rakshak mein hona namumkin hai... yeh... toh Bhramrakshas ke jaisa hai...
Vishin ka ek ek prahar ab gusse se bhara tha. Aur ek pal ke liye aisa laga jaise woh uske sath lad rahe
Rakshak ko maar hi daalega.
SFX: A sudden, powerful sword swing from Vishin as Rakshak 1 barely dodges, stumbling back with a
gasp. The sound of the blade slicing through air cuts sharply.
Rakshak 1 (shocked and gasping): Vishin! Ruk jao! Kya ho gaya hai tumhein.
Narrator: Vishin rukta hai... lekin uski aankhen laal hain, uska saans bhaari hai... aur ek pal ke liye,
aisa laga jaise uske andar kuch aur jaag gaya ho.
SFX: Heavy breathing, the slow clink of Vishin’s sword as he lowers it, a momentary stillness as
Rakshak 1 stumbles back, clutching his chest.
Acharya Suryadev ka dil ab satark ho chuka tha. Yehi shakti ko dekh kar who chaunk gaye the aur
unka shaq sach mein badalta ja raha tha.
SFX: Soft, ominous music begins to play as Acharya slowly walks toward Vishin, the tension thick in
the air. The other Rakshaks murmur in the background, uneasy.
SFX: Vishin freezes at the sound of Acharya's voice, the background murmurs stop.
Acharya Suryadev (calm, but firm): Achha lad rahe the lekin yeh tumhari talwar ka abhyas tha ya
tumhara gussa?
Narrator (ominous): Vishin chup-chap apne haath ko dekhta hai... talwar ka vajan uske haathon mein
ab bhaari mehsoos ho raha tha. Lekin jo taqat usne pehle mehsoos ki thi ab who nahi thi…
Narrator: Acharya ne Vishin ko tirchi nazar se dekha, aur waha se chale gaye.
Ratipriya (whispering into Vishin’s ears): Vishin, tum ab sirf ek Rakshak nahi ho... tumhara asli roop
kuch aur hai. Tumhe bas apni takat ka ehsaas nahi tha ... yeh shakti Bhramrakshas ki hai aur tum hi
Bhramrakshas ho…
CUT TO:
Narrator (soft, tense): Raat ki shanti mein Shivam aur Acharya Suryadev purane grantho mein likhi
huyi baato ko padh rahe the.
Acharya Suryadev (gravely, yet calm): Yeh jo tum dekh rahe ho, Shivam... yeh ek prachin kitab.
Ismein bataya gaya hai kaise ek Rakshak, agar andhkar ki shaktiyon ke prabhav mein lambe samay tak
rahe... toh dheere dheere Asura banne lagta hai.
Shivam (shocked, concerned): Acharya... kya aap ka kehna hai ki... Vishin...?
SFX: A long, tense pause, , with Shivam’s deep breathing echoing in the silence.
Shivam (determined, whispering): Acharya... kya hum usse rok sakte hain? Kya abhi waqt hai?
Acharya Suryadev (urgent, but measured): Poornima ka samay... aaj poornima ko Bhramrakshas ki
shakti apne charam par hogi. Humein Vishin par nazar rakhni hogi... us samay tak. agar hum us din ko
guzarne denge, toh ho sakta hai... uske baad kuch bhi waapas na aaye.
SFX: The distant sound of a wolf howling, a soft, eerie wind picks up in the background.
Narrator (ominous): Shivam aur Acharya ne apne agle kadam ka faisla kar liya tha... unka yeh faisla
unke rakshak Vishin ke jeevan ya mrityu ka faisla bhi ban sakta tha. Lekin ab unhein sirf intezaar
karna tha... aur nazar uski har harkat par rakhni thi.
CUT TO:
Narrator (tense, quiet): Vishin apne kamre mein akela tha. Lekin akelaapan ab uske andar ek nayi
ladaayi chhed raha tha. Sheeshe ke saamne khada, apne peeth par ek nishaan ko dekhta... ek
nishaan jo uska sab kuch badal raha tha.
SFX: A faint, ominous hum, as Vishin stares at the glowing mark on his back in the mirror. His
breathing quickens, heartbeat audible.
SFX: A subtle, eerie distortion begins to ripple through the air, as if reality itself is warping around
Vishin. The sound of a low, demonic growl echoes faintly.
Vishin ka chehra sheeshe mein dheere dheere bigadne lagta hai. Aankhen laal, aur shakal ek bade-
khoonkhar chehre ka roop le rahi thi. Achanak hi uska chehra Bhramrakshas mein badal gaya tha.
SFX: A horrifying shift—Vishin’s reflection warps fully into the monstrous face of Bhramrakshas, a
loud, deep, guttural laughter echoes menacingly.
Narrator: Yeh aawaz sunte hi ek rakshak bhaagte huye Vishin ke kamre mein ghusta hai… aur ek
khoonkhar chehra dekhta hai
SFX: Vishin growls loudly… The sound of claws tearing through the air with a sharp whoosh, followed
by the sickening thud of flesh being ripped apart. Rakshak lets out a short, sharp scream that’s
quickly cut off by a gurgling choke…. Struggles before he dies. Vishin’s heavy receding footsteps.
END: