Ishq

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 18
At a glance
Powered by AI
The poems explore themes of love, longing, pain and suffering through metaphorical language and rich symbolism.

Some of the major themes explored are the passion, torment and transformative nature of love, the longing for union with the beloved, and viewing love as both intoxicating and maddening.

Fire is a common metaphor used to describe the burning, consuming nature of love.

Ishq Par Zor Nahin Hai Yeh Woh Aatish, �Ghalib�,

Jo Lagaaey Na Lage, Aur Bujhaaey Na Bane.

[Mirza Ghalib]

---------------------------------

Aaye Hai Be-Kasi-E-Ishq Pe Rona, �Ghalib�,


Kis Ke Ghar Jaayega, Sailaab-E-Bala Mere Baad.

[Mirza Ghalib]

---------------------------------

Mohabbat Mein Nahin Hai Farq Jeene Aur Marne Ka,


Usi Ko Dekh Kar Jeete Hain, Jis Kaafir Pe Dam Nikle.

[Mirza Ghalib]

---------------------------------

Aashiqi Sabar-Talab Aur Tamanna Betaab,


Dil Ka Kya Rang Karoon, Khoon-E-Jigar Hone Tak.

[Mirza Ghalib]

---------------------------------

Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Maza Paaya,


Dard Ki Dawsa Psai, Dard-E-La-Dawa Paya.

[Mirza Ghalib]

---------------------------------

Kahta Hai Kaun Naala-E-Bulbul Ko Be-Asar,


Parde Mein Gali Ke Laakh Jigar Chaak Ho Gaye,

[Mirza Ghalib]

---------------------------------

Bulbul Ke Kaarobaar Pe Hain Khandahaaye Gul,


Kahte Hain Ishq Jis Ko Khalal Hai Dimaagh Ka.

[Mirza Ghalib]

---------------------------------

Ishq Mein Jee Ko Sabr-O-Taab Kahaan


Us Se Aankhen Lagin To Khwaab Kahaan

[Mirza Ghalib]

-------------------------------

Ham Koi Tark-E-Vafaa Karte Hain


Na Sahi Ishq Museebat Hi Sahi
Ishq Tujh Ko Nahin Wahshat Hi Sahi
Meri Wahshat Teri Shohrat Hi Sahi

[Mirza Ghalib]

-------------------------------

Ishq Ne Pakda Na Tha �Ghalib� Abhi Wahshat Ka Rang


Rah Gaya Tha Dil Mein Jo Kuchh Zauq-E-Khwaari Haay-Haay

[Mirza Ghalib]

-------------------------------

Bedaad-E-Ishq Se Nahin Darta Magar 'Asad'


Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Woh Dil Nahin Raha

[Mirza Ghalib]

-------------------------------

Arz-E-Niyaaz-E-Ishq Ke Qaabil Nahin Raha


Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Woh Dil Nahin Raha

[Mirza Ghalib]

-------------------------------

Ik Lafz-E-Mohabbat Ka Itna Sa Fasana Hai,


Simte To Dil-E-Aashiq, Phaile To Zamaana Hai.

[Jigar Moradabai]

---------------------------------

Ishq Hai Peyaare, Khel Nahin Hai,


Ishq Hai Kaare-Sheesha-O-Aahan.

[Jigar Moradabai

---------------------------------

Un Ka Jo Aqeeda Hai Woh Ahl-E-Sayaasat Jaanen,


Mera Paigham Mohabbat Hai, Jahan Tak Pahunche.

[Jigar Moradabai]

---------------------------------

Ishq-E-La-Mahdood Jab Tak Rahnuma Hota Nahin,


Zindagi Se Zindagi Ka Haq Adaa Hota Nahin.

[Jigar Moradabai]

---------------------------------

Allah Allah, Yeh Kamaal-E-Irtabaat-E-Husn-O-Ishq,


Faasle Hon Laakh, Dil Se Dil Juda Hota Nahin.
[Jigar Moradabai]

---------------------------------

Ye Ishq Nahin Aasaan Bas Itna Samajh Leeje


Ik Aag Ka Darya Hai, Aur Doob Ke Jaana Hai

[Jigar Moradabadi]

-------------------------------

Is Ishq Ke Haathon Se Hargiz Na Mafar Dekha


Utni Hi Barhi Hasrat Jitna Hi Udhar Dekha

[Jigar Moradabadi]

-------------------------------

Ham Ishq Ke Maaron Ka Itanaa Hi Fasana Hai


Rone Ko Nahin Koi Hansne Ko Zamaana Hai

[Jigar Moradabadi]

-------------------------------

Jab Tak Shabaab-E-Ishq Mukammal Shabaab Hai


Paani Bhi Hai Sharaab, Hawa Bhi Sharaab Hai

[Jigar Moradabadi]

-------------------------------

Ishq Laa-Mahdood Jab Tak Rah-Numa Hota Nahin


Zindagi Se Zindagi Ka Haq Ada Hota Nahin

[Jigar Moradabadi]

-------------------------------

Duniya Ki Fikr, Deen Ki Baaten, Khuda Ki Yaad,


Sab Kuchh Bhula Diya Tere Do Din Ke Payaar Ne.

[Akhtar Sheerani]

---------------------------------

Zauq-E-Naadeed Mein Lazzat To Hai Magar Naaz Nahin


Aa Mere Ishq Ko Maghroor Bana De Aa Kar

[Akhtar Shirani]

-------------------------------

Ishq Hi Ishq Hai Duniya Meri


Fitna-E-Aql Sey Bezaar Hoon Mein

[Majaz]

-------------------------------
Ye Mere Ishq Ki Majbooriyaan Ma�az-Allah
Tumhara Raaz Tumhin Se Chupa Raha Hun Main

[Majaz]

-------------------------------

Uthen Ge Abhi Aur Bhi Toofaan Mere Dil Se


Dekhoon Ga Abhi Ishq Ke Khwaab Aur Zyaada

[Majaz]

-------------------------------

Umr To Saari Kati Ishq-E-Butaan Mein, �Momin�,


Aakhri Waqt Mein Kya Khaak Musalmaan Honge.

[Momin]

---------------------------------

Mareez-E-Ishq Par Rahmat Khuda Ki


Marz Barhta Gaya Joon-Joon Dawa Ki

[Momin]

-------------------------------

Maktab-E-Ishq Ka Dekha Yeh Nirala Dastoor


Us Ko Chhutti Na Mili Jis Ne Sabaq Yaad Kiya

[Momin]

-------------------------------

Ibtedaa-E-Ishq Hai, Rota Hai Kya,


Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya.

[Mir Taqi Mir]

---------------------------------

Sakht Kafir Tha Jis Ne Pahle �Mir�,


Mazhab-E-Ishq Ikhtiyaar Kiya

[Mir Taqi Mir]

---------------------------------

Hoga Kaso Deewar Ke Saaya Mein Para �Meer�,


Kya Kaam Mohabbat Se Us Aaraam Talab Ko.

[Mir Taqi Mir]

---------------------------------

Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq,


Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq.
[Mir Taqi Mir]

---------------------------------

Yeh Zard Zard Chehra, Yeh Laaghri Badan Mein,


Kya Ishq Mein Hua Hai, Ai �Meer� Haal Tera.

[Mir Taqi Mir]

---------------------------------

Laga Na Dil Ko Kahin, Ke Suna Nahin Tu Ne


Jo Kuchh Ke �Meer� Ka Is Aashiqi Ne Haal Kiya.

[Mir Taqi Mir]

---------------------------------

Ishq, �Meer�, Ek Bhaari Pathhar Hai,


Kab Yeh Tujh Naa-Tawaan Se Uthta Hai.

[Mir Taqi Mir]

---------------------------------

Mere Saleeqe Se Meri Nibhi Mohabbat Mein,


Tamaam Umr Mein Naa-Kaamiyon Se Kaam Liya.

[Mir Taqi Mir]

---------------------------------

Aawaargaan-E-Ishq Ka Poochha Jo Main Nishaan,


Musht-E-Ghubaar Saba Ne Le Kar Udaa Diya.

[Mir Taqi Mir]

---------------------------------

Har Chand Main Ne Shauq Ko Pinhaan Kiya, Wale,


Ek Aadh Harf Payaar Ka, Munh Se Nikal Gaya.

[Mir Taqi Mir]

---------------------------------

Jin Jin Ko Tha Yeh Ishq Ka Aazaar, Mar Gaye,


Aksar Hamaare Saath Ke Beemaar Mar Gaye.

[Mir Taqi Mir]

---------------------------------

Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pahuncha


Aarzoo Ishq Wa Mudda�a Hai Ishq

[Mir Taqi Mir]


-------------------------------

Aashiq Sa To Saada Koi Aur Na Hoga Duniya Mein


Ji Ke Zyaan Ko Ishq Mein Us Ke Apna Waara Jaaney Hai

[Mir Taqi Mir]

-------------------------------

Ishq Hamaare Khayal Pada Hai, Khwaab Gaya, Aaraam Gaya


Ji Ka Jaana Thahar Raha Hai, Subha Gaya, Ya Shaam Gaya

[Mir Taqi Mir]

-------------------------------

Kabho Wo Tawajja Idhar Kar Rahe Ga


Hamein Ishq Hai To Asar Kar Rahe Ga

[Mir Taqi Mir]

-------------------------------

Aalam-Aalam Ishq Junoon Hai Duniya-Duniya Tohmat Hai


Dariya-Dariya Rota Hoon Main Sahra-Sahra Vahshat Hai

[Mir Taqi Mir]

-------------------------------

Sakht Kafir Tha Jis Ne Pehlay Meer


Mazhab-E-Ishq Ikhtiyaar Kiya

[Mir Taqi Mir]

-------------------------------

Mohabbat Tark Ki Main Ne, Garebaan See Liya Main Ne,


Zamaane Khush Ho Ab To, Zahr Yeh Bhi Pee Liya Main Ne.

[Sahir Ludhianvi]

---------------------------------

Dil-Ke Mu'aamle Mein Nateeje-Ki Fikr Kya?


Aage Hai Ishq Jurm-O-Sazaa-Ke Maqaam Se.

[Sahir Ludhianvi]

---------------------------------

Takht Kya Cheez Hai Aur Laal-O-Jawaahar Kya Hai


Ishq Waale To Khudaayi Bhi Lutaa Detey Hain

[Sahir Ludhianvi]

-------------------------------

Zindagi Sirf Muhabbat Nahin Kuchh Aur Bhi Hai


Zulf-O-Rukhsaar Ki Jannat Nahin Kuchh Aur Bhi Hai

Bhookh Aur Pyaas Ki Maari Huyi Is Duniya Mein


Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahin Kuchh Aur Bhi Hai

[Sahir Ludhianvi]

-------------------------------

'Faraz' Hum-Bhi Ajab Bastiyon Mein Baste Hain,


Kahaan Ka Ishq? , Rah-O-Rasm Ko Taraste Hain.

[Ahmad Faraz]

---------------------------------

Ishq Tanha Hai Sir-E Manzil-E-Ghum


Kaun Yeh Bojh Uthaane Aaye

[Ahmad Faraz]

-------------------------------

Pehley Pehal Ka Ishq Abhi Yaad Hai �Faraz�


Dil Khud Yeh Chaahta Tha Ke Ruswaaiyaan Bhi Hon

[Ahmad Faraz]

-------------------------------

Har Eik Ishq Ke Ba�d Aur Uss Ke Ishq Ke Ba�d


�Faraz� Itna Bhi Aasaan Na Tha Sambhal Jaana

[Ahmad Faraz]

-------------------------------

Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa


Donon Insaan Hain To Kyon Itne Hijaabon Mein Milein

[Ahmad Faraz]

-------------------------------

Ashiqi Be-Dili Se Mushkil Hai


Phir Muhabbat Usi Se Mushkil Hai

Ishq Asghaaz Hi Se Mushkil Hai


Sabr Karna Abhi Se Mushkil Hai

[Faiz Ahmad Faiz]

---------------------------------

Kaam Ishq Ke Aare Aataa Raha


Aur Ishq Se Kaam Ulajhtaa Raha

Phir Aakhir Tang Aa Kar Hum Ne


Donon Ko Adhoora Chhor Diya
[Faiz Ahmed Faiz]

-------------------------------

Ishq Ki Darya-Dili Darkaar Hai


Doobne Waale Ka Beda Paar Hai

[Hashr Sahsarami]

---------------------------------

Aashiq Ki Bhi Katati Hain, Kya Khoob Tarah Raaten,


Do-Chaar Ghari Rona, Do-Char Ghari Baaten.

[Mirza Sauda]

---------------------------------

Jab Ishq Sikhata Hai Aadaab -E-Khud-Aagaahi,


Khulte Hain Ghulamon Par, Asraar-E-Shahanshahi.

[Allama Iqbal]

---------------------------------

Mohabbat Se Shifa Paai Hai Beemaar Qaumon Ne,


Kiya Hai Apne Bakht-E-Khufta Ko Bedaar Qaumon Ne.

[Allama Iqbal]

---------------------------------

Mohabbat Ke Lieye Dil Dhoond Koi Tootne Wala,


Yeh Woh Mai Hai Jise Rakhte Hain Naazuk Aab-Geenon Mein.

[Allama Iqbal]

---------------------------------

Pukhta Hoti Hai Agar Maslahat-Andesh Ho Aql,


Ishq Ho Maslahat-Andesh To Hai Khaam Abhi.

[Allama Iqbal]

---------------------------------

Anokhi Waza� Hai Saare Zamaane Se Niraale Hain,


Yeh Aashiq Kaun Si Basti Ke Yaa-Rab Rahne Waale Hain.

[Allama Iqbal]

---------------------------------

Bayabaan-E-Mohabbat Dasht-E-Ghurbat Bhi, Watan Bhi Hai,


Yeh Weerana Qafas Bhi, Aashiyana Bhi, Chaman Bhi Hai.

[Allama Iqbal]
---------------------------------

Terey Ishq Ki Intahaa Chaahta Hoon


Meri Saadgi Dekh Kya Chaahta Hoon

[Allama Iqbal]

-------------------------------

Ishq Dam-E-Jibraeel, Ishq Dil-E-Mustafa


Ishq Khuda Ka Rasool, Ishq Khuda Ka Kalaam

[Allama Iqbal]

-------------------------------

Ishq Bhi Ho Hijaab Mein Husn Bhi Ho Hijaab Mein


Yaa Tu Khud Aashkaar Ho Yaa Mujh Ko Aashkaar Kar

[Allama Iqbal]

-------------------------------

Sitaaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain


Abhi Ishq Ke Imtihaan Aur Bhi Hain

[Allama Iqbal]

-------------------------------

Koh-Kan-O-Majnoon Ki Khaatir Dasht-O-Koh Mein Hum Na Gaye


Ishq Mein Hum Ko �Meer� Nehaayat Paas-E-Izzat Daaraan Hai

[Allama Iqbal

-------------------------------

Be-Khatar Kood Para Aatish-E-Namrood Mein Ishq


Aqal Thi Mehv-E-Tamasha Lab-E-Baam Abhi

[Allama Iqbal]

-------------------------------

Nahin Ishq Mein Is Ka To Ranj Hamen Ke Qarar-O-Shakeb Zara Na Raha,


Ghum-E-Ishq To Apna Rafeeq Raha, Koi Sur Bala Se Raha Na Raha.

[Bahadurshah Zafar]

---------------------------------

Shaayad Isi Ka Naam Mohabbat Hai, �Shefta�


Ik Aag Hai Jo Seene Ke Andar Lagi Hui.

[Shefta]

---------------------------------

Shughl Behtar Hai Ishq-Baazi Ka,


Kya Haqeeqi Wa Kya Majaazi Ka.

[Wali]

---------------------------------

Mohabbat Ko Samajhna Hai To Naseh Khud Mohabbat Kar,


Kinaare Se Kabhi Andaaza-E-Toofaan Nahin Hota.

[Wali]

---------------------------------

Ishq Ne Dil Mein Jagah Ki To Qaza Bhi Aai,


Dard Duniya Mein Jab Aaya To Dawa Bhi Aai.

[Fani Badayuni]

---------------------------------

Yeh Ishq Ne Dekha Hai, Yeh Aql Se Pinhaan Hai,


Qatra Mein Samunder Hai, Zarra Mein Beyaabaan Hai.

[Asghar Gondvi]

---------------------------------

�Asghar� Hareem-E-Ishq Mein Hasti Hi Jurm Hai,


Rakhna Kabhi Na Paaon Yahaan Sar Lieye Huey

[Asghar Gondvi]

---------------------------------

Hoti Nahin Dua Qabool Dard-E-Ishq Ki,


Dil Chahta Na Ho To Zabaan Mein Asar Kahaan

[Altaf Hussain Hali]

---------------------------------

Ik Umr Chahiye Ke Gavarah Ho Naish-E-Ishq


Rakhi Hai Aaj Lazzat-E-Zakhm-E-Jigar Kahan

[Altaf Hussain Hali]

-------------------------------

Jo Rah-E-Ishq Mein Qadam Rakhkhen,


Woh Nasheb-O-Faraaz Kya Jaanen.

[Daagh Dehlvi]

---------------------------------

�Daagh� Tha Dard Tha Gham Tha Ke Alam Tha Kuch Tha
Ley Liya Ishq Mein Jo Hum Ko Mayassar Aaya

[Daagh Dehlvi]
-------------------------------

Mu�amala Hai Aaj Husn-O-Ishq Ka


Dekhiye Woh Kya Karen Ham Kya Karen

[Daagh Dehlvi]

-------------------------------

Khabr-E-Tahayyur-E-Ishq Sun, Na Janoon Raha, Na Pari Rahi,


Na To Tu Raha, Na To Main Raha, Jo Rahi So Be-Khabri Rahi.

[Siraj Aurangabadi]

---------------------------------

Woh Ajab Ghari Thi Jis Ghari Liya Dars Nuskha-E-Ishq Ka,
Ke Kitab Aql Ki Taaq Mein, Jeon Dhari Thi Teon Hi Dhari Rahi.

[Siraj Aurangabadi]

---------------------------------

Kuchh Aag Di Hawas Mein To Taameer-E-Ishq Ki,


Jo Khaak Kar Diya Ise Irfaan Banaa Diya.

[Asghar Gondvi]

---------------------------------

Main Kya Kahun Kahan Hai Mohabbat, Kahan Nahin,


Rag Rag Mein Daudi Phirti Hai, Nashtar Lieye Huey

[Asghar Gondvi]

---------------------------------

Sunte Hain Ishq Naam Ke Guzre Hain Ik Buzurg,


Hum Log Bhi Faqeer Usi Silsile Ke Hain.

[Firaq Gorakhpuri]

---------------------------------

Tarke-E-Mohabbat Karne Walo, Kaun Aisa Jag Jeet Liya,


Ishq Se Pahle Ke Din Socho, Kaun Bada Sukh Hota Tha.

[Firaq Gorakhpuri]

---------------------------------

Husn Parasti Paak Mohabbat Ban Jaati Hai, Jab Koi,


Vasl Ki Jismaani Lazzat Se Roohaani Kaifiyat Le.

[Firaq Gorakhpuri]

---------------------------------
Wohi Ishq Rahmat, Wohi Ishq Shaamat,
Wohi Zinda Kar De, Wohi Maar Daale.

[Firaq Gorakhpuri]

---------------------------------

Hayat-E-Be-Mohabbat Sar-Ba-Sar-Maut,
Mohabbat Zindagi Ka Doosra Naam

[Firaq Gorakhpuri]

---------------------------------

Khuloos-E-Dil Se Pukaare Jo Ek Baar Mujhe,


Us Aadmi Ka Abhi Tak Hai Intezaar Mujhe.

[Firaq Gorakhpuri]

---------------------------------

Hazaar Baar Zamana Idhar Se Guzra Hai,


Nai Nai Si Hai Teri Rah-Guzar Phir Bhi.

[Firaq Gorakhpuri]

---------------------------------

Mohabbat Mein Meri Tanhaaiyon Ke Hain Kai Unwaan,


Tera Aanaa, Tera Milnaa, Tera Uthnaa, Tera Jaanaa.

[Firaq Gorakhpuri]

---------------------------------

Too Ishq Hi Ki Pashemaaniyon Ko Rotaa Hai


Tujhe Khabar Hi Nahin Husn Bhi To Pachhtaaya

[Firaq Gorakhpuri]

-------------------------------

Nashaat-E-Ishq Ke Khulte Hi Bhed, Aankh Bhar Aayi


Abhi To Hanste They, Yeh Haal Kyon Achaanak Hai

[Firaq Gorakhpuri]

-------------------------------

Yaksar Jahaan-E-Husn Bhi Badla Hua Sa Hai


Duniya-E-Ishq Aur Nazar Aa Rahi Hai Aaj

[Firaq Gorakhpuri]

-------------------------------

Agar Bakhshe Zahe-Rahmat, Na Bakhshe To Shikayat Kya,


Sar-E-Tasleem Kham Hai Jo Mizaaj-E-Yaar Mein Aaey.
[Aatish]

---------------------------------

Apne Milne Se Mana Mat Kar


Is Mein Be-Ikhtiar Hain Hum Bhi.

[Meer Dard]

---------------------------------

Aashiqi Qaid-E-Shareeyat Mein Jab Aa Jaati Hai,


Jalwa-E-Kasrat-E-Aulaad Dikha Jaati Hai.

[Akbar Allahabadi]

---------------------------------

Azeeyat, Museebat, Malaamat, Balaayen,


Tere Ishq Mein Hum Ne Kya Na Dekha!

[Meer Dard]

---------------------------------

Sab Khoon-E-Dil Tapak Hi Gaya Boond-Boond Kar


Ai �Dard� Bas Ke Ishq Se Main Tha Shikast-E-Dil

[Meer Dard]

-------------------------------

Tum Mere Paas Hote Ho Goya,


Jab Koi Doosra Nahin Hota.

[Momin]

---------------------------------

Ishq-Baazi Ki Tamnna Agar Rakhta Hai �Ameer�


Dil Agar Ek Diya Hai, Laakh Jigar Paida Kar

[Ameer Minaai]

-------------------------------

Jise Ishq Ka Teer Kaari Lage,


Usey Zindagi Kyon Na Bhaari Lage.

[Wali]

---------------------------------

Main Rah-E-Ishq Ka Tanha Musaafir


Kise Aawaaz Doon, Koi Nahin Hai

[Shamim Jaipuri]

-------------------------------
Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai, Kyon Dard Ke Rone Rota Hai
Ab Ishq Kiya Hai To Sabr Bhi Kar Is Mein To Yahi Kuchh Hota Hai

[Hafeez Jalandhri]

-------------------------------

Tere Ladne Pe Khula Mujh Pe Tere Ishq Ka Haal


Tujhe Itni Thi Muhabbat Mujhe Maloom Na Tha

[Munavvar Lukhnavi]

-------------------------------

Waaqif Hai Josh-E-Ishq Se Apne Tamaam Shahar


Aur Hum Yeh Jaante Hain, Koi Jaantaa Nahin

[Josh Malihabadi]

-------------------------------

Waqt Na Dekhe Umr Na Dekhe Jab Chaahe Majaboor Kare


Maut Aur Ishq Ke Aage To Koi Chale Na Bahaana Ji

[Ganesh Bihari Tarz]

-------------------------------

Ishq Se Ghabara Rahi Hai Un Ki Yaad


Rukte Rukte Aa Rahi Hai Un Ki Yaad

[Shakeel Badayuni]

-------------------------------

Gham-E-Aashiqi Sey Kah Do Rah-E-Aam Tak Na Pahunche


Mujhe Khauf Hai Yeh Tohmat Mere Naam Tak Na Pahunche

[Shakeel Badayuni]

-------------------------------

Mere Hum-Nafas, Mere Huam-Navaa, Mujhe Dost Ban Ke Dagha Na De


Main Hoon Dard-E-Ishq Se Jaan-Balab, Mujhe Zindagi Ki Duaa Na De

[Shakeel Badayuni]

-------------------------------

Jahaan-E-Ishq Mein Sohani Kahin Dikhaai De


Ham Apni Aankh Mein Kitne Chenaab Rakhte Hain

[Hasrat Jaipuri]

-------------------------------

Aql Ayyaar Hai Sau Bhes Badal Leti Hai


Ishq Bechara Na Soofi Hai Na Mulla Na Imaam
[Aarzoo Lackhnavi]

-------------------------------

Ai Hazrat-E-Dil Ishq Mein Gham Bhi Hain Sitam Bhi


Aakhir Is� Sahiy� Us� Sahiy� Kis� Sahiy�

[Nooh Naarvi]

-------------------------------

Go Ishq Bahot Mushklil Tha Magar Aasaan Na Tha Yun Jeena Bhi
Iss Ishq Ne Zinda Rehne Ka Mujhey Dars Diya Pindaar Diya

[Ubaid Ullah Aleem]

-------------------------------

Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar Diya


Ishq Ke Is Safar Ne To Mujh Ko Nidhaal Kar Diya

[Parveen Shakir]

-------------------------------

Maut Ka Khauf Ho Kya Ishq Ke Deewaane Ko


Maut Khud Kaanpti Hai Ishq Ke Deewaane Se

[Sahir Hoshiarpuri]

-------------------------------

Jab Sooraj Bhi Kho Jaaye Ga Aur Chaand Kahin So Jaaye Ga


Tum Bhi Ghar Der Se Aao Ge Jab Ishq Tumhen Ho Jaaye Ga

[Saeed Rahi]

-------------------------------

Dekhnaa Bhi To Unhen Door Se Dekha Karna


Sheva-E-Ishq Nahin Husn Ko Rusavaa Karna

[Hasrat Mohani]

-------------------------------

Daulat-E-Dil Bhi Gayi Jaan Bhi Hai Mushkil Mein


Kya Yahi Ishq Mein Inaam-E-Wfaa Hota Hai

[Abdullah Nazir]

-------------------------------

Iss Shahar Mein Aainda Na Dekhen Ge Wo Hum Ko


Kya Kya Na Kiya Ishq Mein, Kya Kya Na Karen Ge

[Ibne Insha]
-------------------------------

Dil Ishq Mein Be-Paayaan Sauda Ho To Aisa Ho


Darya Ho To Aisa Ho, Sahra Ho To Aisa Ho

[Ibne Insha]

-------------------------------

Hai Husn-O-Ishq Ki Fitrat Mein Farq Bas Itna


Woh Hans Rahe Hain Hum Aansoo Bahaaye Jaate Hain

[Ehsaan Danish]

-------------------------------

Ishq Nahin Jo Zeest Ko Daulat-E-Aagahi Na De


Mehr Nahin Jo Khaak Ko Khila�t-E-Raushni Na De

[Zakia Sultana]

---------------------------------

Kya Kahoon Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq


Jaan Ka Rog Hai, Balaa Hai Ishq

Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho


Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq

Ishq Ma�shooq, Ishq Aashiq Hai


Ya�ni Apna Hi Mubtala Hai Ishq

Ishq Hai Tarz-O-Taur Ishq Ke Tayin


Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq

Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pahuncha


Aarzoo Ishq Waa Mudda�a Hai Ishq

Koi Khwaahaan Nahin Mohabbat Ka


Too Kahe Jins-E-Naarawaa Hai Ishq

�Meerji� Zard Hote Jaate Hain


Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq

[Mir Taqi Mir]

-------------------------------

Ishq Baqaa-E-Rooh Hai, Ishq Ghizaa-E-Rooh Hai


Yeh Jo Nahin To Dahar Mein, Lutf-E-Hayaat Hi Nahin

-------------------------------

Ishq Aawaara Kahan Qaid Dar-O-Baam Kahan


Be-Nawaaon Ke Liye Saaya-E-Deewaar Bahot

-------------------------------

Ishq Ruswaa Terey Har Zakhm-E-Farozaan Ki Qasam


Merey Seeney Mein Kayi Harey Aur Bhi Hain

-------------------------------

Ishq Ka Ek Jast Ne Tai Kar Diya Qissa Tamaam


Is Zameen-O-Aasmaan Ko Be-Karaan Samjha Tha Main

-------------------------------

Ishq Ka Jurm Sahel Kaam Nahin


Ke Har Ek Laayaq-E-Saza Thahrey

-------------------------------

Ishq Ka Khel Bhi Hai Doosrey Khelon Jaisa


Maat Ka Jin Mein Nahin Hausla Kheley Kyon Hai

-------------------------------

Ishq Karta Hai To Phir Ishq Ki Tauheen Na Kar


Yaa To Behosh Na Ho, Ho To Phir Hosh Mein Na Aa

-------------------------------

Ishq Karne Ke Siwa Hum Ne Kiya Hi Kya Hai


Baais-E-Fakhr Hai Jo Wajh-E-Pareshaani Hai

-------------------------------

Ishq Ko Poochhta Nahin Koi


Husn Ka Ehteraam Hota Hai

-------------------------------

Ishq Ko Jurm Samajhtey Hain Zamaane Waale


Jo Yahan Pyar Kare Ga Who Saza Paaye Ga

-------------------------------

Ishq Ko Husn Sey Khali Na Samjho


Naala-E-Ahl-E-Wafa Ghaur Sey Sun

-------------------------------

Ishq Ki Chot To Lagti Hai Hare Ke Dil Par


Zarf Ke Farq Sey Awaaz Badal Jaati Hai

-------------------------------

Ishq Mein Jis Key Yeh Ahwaal Bana Rakha Hai


Ab Wahi Kahta Hai Is Waza�a Mein Kya Rakha Hai

-------------------------------

Ishq Mein Zaat Kya Anaa Kaisi


In Muqaamaat Sey Guzar Jaao

-------------------------------
Ishq Mein Sar Phorna Bhi Kya Key Yeh Be-Mehr Log
Joo-E-Khoon Ko Naam Dey Detey Hain Joo-E-Sher Ka

-------------------------------

Ishq Mein Manzil-E-Aaraam Bhi Thi


Hum Sar Kooch-E-Wahshat Thahrey

-------------------------------

Ishq Ne Seekh Hi Li Waqt Ki Taqseem Ke Ab


Who Mujhe Yaad To Aata Hai Magar Kaam Ke Baad

-------------------------------

Ishq Who Arsa-E-Pur-Khaar Hai Humdum Ke Jahaan


Zindagi Raas Na Aaye To Qaza Bhi Na Mile

-------------------------------

Yeh Raaz-E-Ishq Chhupaane Se Chhup Nahin Sakta


Zabaan Jo Kah Na Saki Aankh Se Ayaan Bhi To Hai

-------------------------------

Woh Shokh To Masroof-E-Muhabbat Tha Kahin Aur


Ham Ishq Jo Karte Bhi To Bekaar Hi Karte

-------------------------------

Ila Ya Ayyuhas Saaqi Asa Kaasa Wa Navil Ha


Ke Ishq Aasaan Namood Awwal Valey Uftaad Mushkil Ha

[Hafiz Shirazi]

You might also like