Shri Sai Chalisa (English) : Download More Chalisa in Hindi and English at

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 5

Shri Sai Chalisa (English)

!! Pehle Sai Ke Charano Mein, Apna Shish Namau Mein,


Kaise Shirdi Sai Aaye, Sara Haal Sunau Mein,
Kaun He Mata, Pita Kaun He, Yah Na Kisi Ne bhi Jana,
Kaha Janam Sai Ne Dhara, Prashn Paheli Raha Bana !!

!! Koi Kahe Ayodhya Ke Ye, Ramchandra Bhagavan Hai,


Koi Kehta Saibaba, Pavan-Putra Hanuman Hai,
Koi Kehta Mangal Murti, Shri Gajanan Hai Sai,
Koi Kehta Gokul-Mohan, Devaki Nandan Hai Sai. !!

!! Shankar Samjh Bhagat Kayi To, Baba Ko Bhajte Rehte,


Koi Keh Avatar Datt Ka, Puja Sai Ki Karte,
Kuch Bhi Mano Unko Tum, Par Sai Hai Sache Bhagvan,
Bade Dayalu, Denbandhu, Kitano Ko Diya Hai Jivan Daan !!

!! Kai Varsh Pehle Ki Ghatna, Tumhe Sunaunga Mein Baat,


Kisi Bhagyashali Ki, Shirdi Me Aai Thi Baraat,
Aaya Saath Usi Ke Tha, Balak Ek Bahut Sundar,
Aaya, Aakar Vehi Bas Gaya, Paavan Shirdi Kiya Nagar !!

!! Kai Dino Tak Raha Bhatkata, Bhiksha Maangi Usne Dar-Dar,


Aur Dikhai Aisi Leela, Jag Me Jo Ho Gayi Amar,
Jaise-Jaise Umar Badhi, Vaise Hi Badhati Gayi Shaan,
Ghar-Ghar Hone Laga Nagar Me Sai Baba Ka Gungaan !!

!! Dig-Digant Me Laga Gunjane Phir To Sai ji Ka Naam,


Deen-Dukhi Ki Rakhsha Karna, Yahi Raha Baba Ka Kaam,
Baba Ke Charno Me Jakar, Jo Kahta Mein Hu Nirdhan,
Daya Usi Par Hoti Unki, Khul Jate Dukh Ke Bandhan !!

!! Kabhi Kisi Ne Maangi Bhiksha, Do Baba Mujh ko Santaan,


Evam Astu Tab Kahakar Sai, Dete The Usko Vardaan,
Svayam Dukhi Baba Ho Jaate, Deen-Dukhijan Ka Lakh Haal,
Antahkaran Shri Sai Ka, Sagar Jaisa Raha Vishal. !!

!! Bhagat Ek Madraasi Aaya, Ghar Ka Bahut Bada Dhanvan,


Maal Khajana Behad Uska, Keval Nahi Rahi Santaan,
Laga Manane Sai Naath Ko, Baba Mujh Par Daya Karo,
Jhanjha Se Jhankrit Naiya Ko, Tum Hi Mera Paar Karo !!

!! Kuldeepak Ke Abhaav Me, Vyarth Hai Daulat Ki Maaya,


Aaj Bhikhari Ban Kar Baba, Sharan Tumhari Mein Aaya,
De Do Mujhko Putar Daan, Mein Rini Rahunga Jivan Bhar,
Aur Kisi Ka Aas Na Mujhko Sirf Bharosa Hai Tum Par !!
!! Anunae-Vinae Bahut Ki Usne, Charno Me Dharke Shish,
Tab Parsan Hokar Baba Ne, Diya Bhagat Ko Yeh Aashish,
‘Alla Bhala Karega Tera,’ Putar Janam Ho Tere Ghar,
Kripa Hogi Tum Par Uski, Aur Tere Us Baalak Par !!
!! Ab Tak Nahi Kisi Ne Paaya, Sai Ki Kripa Ka Paar,

Download more Chalisa in Hindi and English at www.Pandit.com


Putar Ratan De Madrasi Ko, Dhany Kiya Uska Sansaar,
Tan-Man Se Jo Bhaje Usi Ka, Jag Me Hota Hai Uddhar,
Sach Ko Aanch Nahi Hai Koi, Sada Jhooth Ki Hoti Haar !!

!! Mein Hu Sada Sahaare Uske, Sada Rahunga Usaka Daas,


Sai Jaisa Prabhu Mila Hai, Itni Hi Kam Hai Kya Aas,
Mera Bhi Din Tha Ek Aisa, Milti Nahi Mujhe Thi Roti,
Tan Par Kapda Dur Raha Tha, Shesh Rahi Nanhi Si Langoti !!

!! Sarita Sammukh Hone Par Bhi Mein Pyaasa Ka Pyaasa Tha,


Durdin Mera Mere Upar, Daavagni Barasata Tha,
Dharti Ke Atirikt Jagat Me, Mera Kuch Avalamb Na Tha,
Bana Bhikhaari Mein Duniya Me, Dar-Dar Thokar Khata Tha !!

!! Aise Me Ek Mitar Mila Jo, Param Bhagat Sai Ka Tha,


Janjalo Se Mukat Magar Is, Jagati Me Vah Mujhsa Tha,
Baba Ke Darshan Ki Khaatir, Mil kar Dono Ne Kiya Vichaar,
Sai Jaise Dayamurti Ke, Darshan Ko Ho Gaye Taiyar !!

!! Paavan Shirdi Nagari Me Jakar, Dekhi Matvali Murti,


Dhane Janam Ho Gaya Ki Hamne, Jab Dekhi Sai Ki Sorati,
Jab Se Kiye Hai Darshan Hamne, Dukh Saara Kafur Ho Gaya,
Sankat Sare Mite Aur, Vipadao Ka Ant Ho Gaya !!

!! Maan Aur Samman Mila, Bhiksha Me Hamko Baba Se,


Pratibimbit Ho Uthe Jagat Me, Hum Sai Ki Abhe Se,
Baba Ne Sammaan Diya Hai, Maan Diya Is Jivan Me,
Isaka Hi Sambal Le Mein, Hansata Jaaunga Jivan Me !!

!! Sai Ki Leela Ka Mere, Man Par Aisa Asar Hua,


Lagta Jagati Ke Kan-Kan Me, Jaise Ho Vah Bhara Hua,
Kashiram Baba Ka Bhagat, Is Shirdi Me Rehata Tha,
Mein Sai Ka Sai Mera, Vah Duniya Se Kahata Tha !!

!! Sikar Svayam Vastra Bechta, Gram Nagar Baajaro Me,


Jhankrit Usaki Hrid Tantri Thi, Sai Ki Jhankaro Me,
Stabdh Nisha Thi, The Soye, Rajani Aanchal Me Chand –Sitare,
Nahi Sujhata Raha Hath Ko Haath Timir Ke Mare !!

!! Vastra Bechkar Laut Raha Tha, Hay! Haat Se Kashi,


Vichitra Bada Sanyog Ki Us Din, Aata Tha Vah Ekaaki,
Gher Raah Me Khade Ho Gaye, Use Kutil, Anyaayi,
Maro Kato Luto Iski Hi Dhvani Padi Sunai !!

!! Loot Piit Kar Use Vaha Se, Kutil Gaye Champat Ho,
Aaghato Se Marmahat Ho, Usne Di Sangya Kho,
Bahut Der Tak Pada Reha Vah, Vahi Usi Haalat Me,
Jaane Kab Kuch Hosh Ho Utha, Usko Kisi Palak Me !!

!! Anjane Hi Uske Muh Se, Nikal Pada Tha Sai,


Jiski Pratidhvani Shirdi Me, Baba Ko Padi Sunaai,

Download more Chalisa in Hindi and English at www.Pandit.com


Kshubdh Utha Ho Manas Unka, Baba Gaye Vikal Ho,
Lagta Jaise Ghatna Sari, Ghati Unhi Ke Sammukh Ho !!

!! Unmadi Se Idhar-Udhar, Tab Baba Lage Bhatakane,


Sammukh Chije Jo bhi Aai, Unko Lage Patkane,
Aur Dhadhkate Angaro Me, Baba Ne Apna Kar Dala,
Huye Sashankit Sabhi Vaha, Lakh Tandav Nritya Nirala !!

!! Samjh Gye Sab Log Ki Koi, Bhagat Pada Sankat Me,


Kshubhit Khade The Sabhi Vaha Par, Pade Huye Vismae Me,
Use Bachane Ke Hi Khatir, Baba Aaj Vikal Hai,
Uski Hi Piida Se Piidit, Unka Antahsthal Hai !!

!! Itne Me Hi Vidhi Ne Apni, Vichitrata Dikhlai,


Lakh Kar Jisko Janta Ki, Shradha Sarita Lahrai,
Lekar Sangyahin Bhagat Ko, Gadi Ek Vaha Aai,
Samukh Apne Dekh Bhagat Ko, Sai Ki Aankhe Bhar Aai !!

!! Shant, Dhir, Gambhir Sindhu Sa, Baba Ka Antahsthal,


Aaj Na Jane Kyo Reh-Reh Kar, Ho Jata Tha Chanchal,
Aaj Daya Ki Murti Svayam Tha, Bana Hua Upachari,
Aur Bhagat Ke Liye Aaj Tha, Dev Bana Pratihari !!

!! Aaj Bhagati Ki Visham Pariksha Me, Safal Hua Tha Kashi,


Uske Hi Darshan Ke Khatir, The Umade Nagar-Nivasi,
Jab Bhi Aur Jaha Bhi Koi, Bhagat Pade Sankat Me,
Uski Rakhsha Karne Baba, Aate He Palbhar Me !!

!! Yug-Yug Ka Hai Sathi Yah, Nahi Koi Nai Kahani,


Aapatgrast Bhagat Jab Hota, Aate Khud Antaryami,
Bhed-Bhav Se Pare Pujaari, Manavata Ke The Sai,
Jitne Pyare Hindu-Muslim, Utne Hi The Sikh Isai !!

!! Bhed-Bhav Mandir-Masjid Ka, Tod-Phod Baba Ne Dala,


Ram-Rahim Sabhi Unke The, Krishna-Karim-Allatala,
Ghante Ki Pratidvani Se Gunja, Masjid Ka Konaa-Konaa,
Mile Paraspar Hindu-Muslim, Pyaar Badha Din-Duna !!

!! Chamatkar Tha Kitna Sundar, Parichae Is Kaya Ne Di,


Aur Neem Kadvahat Me Bhi, Mithas Baba Ne Bhar Di,
Sabko Sneh Diya Sai Ne, Sabko Santul Pyar Kiya,
Jo Kuch Jisne Bhi Chaha, Baba Ne Unko Vahi Diya !!

!! Aise Sneh Shil Bhajan Ka, Naam Sada Jo Jpa Kare,


Parvat Jaisa Dukh Na Kyu Ho, Palbhar Me Vah Dur Tare,
Sai Jaisa Data Hamne, Are Nahi Dekha Koi,
Jiske Keval Darshan Se Hi, Saari Vipada Dur Ho Gai !!

!! Tan Me Sai, Man Me Sai, Sai-Sai Bhaja Karo,


Apne Tan Ki Sudhi-Budhi Khokar, Sudhi Uski Tum Kiya Karo,
Jab Tu Apni Sudhi Taj, Baba Ki Sudhi Kiya Karega,
Aur Raat-Din Baba, Baba Hi Tu Rata Karega !!

Download more Chalisa in Hindi and English at www.Pandit.com


!! To Baba Ko Are! Vivash Ho, Sudhi Teri Leni Hi Hogi,
Teri Har Ichchha Baba Ko, Puri Hi Karni Hogi,
Jangal-Jangal Bhatak Na Pagal, Aur Dhundhane Babako ,
Ek Jagah Keval Shirdi Me, Tu Payega Baba Ko !!

!! Dhane Jagat Me Prani Hai Vah, Jisne Baba Ko Paya,


Dukh Me Sukh Me Parhar Aath Ho, Sai Ka Hi Gun Gaya,
Gire Sankato Ke Parvat, Chahe Bijali Hi Toot Pade,
Sai Ka Le Naam Sada Tum, Sammukh Sab Ke Raho Ade !!

!! Is Budhe Ki Karamat Sun, Tum Ho Jaoge Hairan,


Dang Rah Gaye Sunkar Jisko, Jane Kitane Chatur Sujan,
Ek Baar Shirdi Me Saadhu, Dhongi Tha Koi Aaya,
Bholi-Bhali Nagar-Nivasi, Janta Ko Tha Bharmaya !!

!! Jadi-Butiya Unhe Dikhakar, Karne Laga Vaha Bhashan,


Kahne Laga Suno Shrotagan, Ghar Mera Hai Vrindavan,
Aushadhi Mere Paas Ek Hai, Aur Jab Isme Shakti ,
Iske Sevan Karne Se Hi, Ho Jaati Dukh Se Mukti !!

!! Agar Mukt Hona Chaho Tum, Sankat Se Bimari Se,


To Hai Mera Namr Nivedan, Har Nar Se Har Nari Se,
Lo Kharid Tum Isko Iski, Sevan Vidhiyaa Hai Nyari,
Yadyapi Tuchch Vastu Hai Yah, Gun Uske Hai Ati Bhari !!

!! Jo Hai Santati Heen Yaha Yadi, Meri Aushadhi Ko Khaye,


Putar-Ratn Ho Prapt, Are Vah Muh Manga Phal Paye,
Aushadhi Meri Jo ann Kharide, Jivan Bhar Pachtayega,
Mujh Jaisa Prani Shayad Hi, Are Yaha Aa Payega !!

!! Duniya Do Din Ka Mela Hai, Mauj Shauk Tum Bhi Kar Lo,
Gar Isse Milta Hai Sab Kuch, Tum Bhi Isko Lelo,
Hairani Badhati Janta Ki, Lakh Iski Karastani ,
Pramudit Vah Bhi Man Hi Man Tha, Lakh Logo Ki Naadani !!

!! Khabar Sunane Baba Ko Yah, Gaya Daudkar Sevak Ek,


Sunkar Bhrikuti Tani Aur, Vismaran Ho Gaya Sabhi-Vivek,
Hukam Diya Sevak Ko, Satvar Pakad Dushat Ko Lao,
Ya Shirdi Ki Sima Se, Kapti Ko Dur Bhagavo !!

!! Mere Rahte Bholi-Bhali, Shirdi Ki Janta Ko,


Kaun Nich Aisa Jo Sahas Karta Hai Chalane Ko,
Pal Bhar Me Hi Aise Dhongi, Kapati Niich Lutere Ko,
Mahanash Ke Mahagart Me, Pahuncha Du Jivan Bhar Ko !!

!! Tanik Mila Aabhas Madari Krur, Kutil Anyayi Ko,


Kaal Nachta Hai Ab Sir Par, Gussa Aaya Sai Ko,
Palbhar Me Sab Khel Band Kar, Bhaga Sir Par Rakhkar Pair,
Sochta Tha Man Hi Man, Bhagvan Nahi Hai Ab Khair !!

!! Sach Hai Sai Jaisa Daani, Mil Na Sakega Jag Me,


Ansh Ish Ka Saibaba, Unhe Na Kuchh Bhi Mushkil Jag Me,

Download more Chalisa in Hindi and English at www.Pandit.com


Sneh, Shil, Saujany Aadi Ka, Aabhushan Dharan Kar,
Badhata Is Duniya Me Jo Bhi Manav-Seva Ke Path Par !!

!! Vahi Jit Leta Hai Jagati Ke, Jan-Jan Ka Antahsthal ,


Uski Ek Udasi Hi Jag Ko, Kar Deti Hai Vihval,
Jab-Jab Jag Me Bhaar Paap Ka, Badh Badh Hi Jata Hai,
Use Mitane Ke Hi Khaatir, Avatari Hi Aata Hai !!

!! Paap Aur Anyae Sabhi Kuch, Is Jagti Ka Har Ke,


Dur Bhaga Deta Duniya Ke, Danav Ko Kshan Bhar Me,
Sneh Sudha Ki Dhaar Barsane, Lagati Hai Is Dunia Me,
Gale Paraspar Milne Lagte, Hai Jan-Jan Aapas Me !!

!! Aise Hi Avatari Sai, Mrityulok Me Aakar,


Samta Ka Yah Paath Padhaaya, Sabko Apna Aap Mitakar,
Naam Dwarka Masjid Ka, Rakkha Shirdi Me Sai Ne,
Daap, Taap, Santaap Mitaya, Jo Kuchh Aaya Sai Ne !!

!! Sada Yaad Me Mast Ram Ki, Baithe Rahte The Sai,


Pahar Aath Hi Ram Naam Ka, Bhajate Rehate The Sai,
Sukhi-Rukhi Taaji-Baasi, Chahe Ya Hove Pakvaan,
Sada Pyaar Ke Bhukhe Sai Ki Khatir The Sabhi Saman !!
!! Sneh Aur Shradha Se Apni, Jan Jo Kuch De Jate The,
Bade Chaav Se Us Bhojan Ko, Baba Paavan Karte The,
Kabhi-Kabhi Man Bahlane Ko, Baba Bag Me Jate The,
Pramudit Man Nirakh Prakriti, Chata Ko Ve Hote The !!

!! Rang-Birange Pushap Bag Ke, Mand-Mand Hil-Dul Karake,


Bihad Viraane Man Me Bhi, Sneh Salil Bhar Jaate The,
Aisi Sumadhur Bela Me Bhi, Dukh Aapaat Vipada Ke Mare,
Apne Man Ki Vyatha Sunaane, Jan Rahte Baba Ko Ghere !!

!! Sunakar Jinki Karun Katha Ko, Nayan Kamal Bhar Aate The,
De Vibhuti Har Vyatha, Shanti Unke Ur Me Bhar Dete The,
Jane Kya Adbhut, Shakati, Us Vibhuti Me Hoti Thi ,
Jo Dhaaran Karte Mastak Par, Dukh Saara Har Leti Thi !!

!! Dhane Manuj Ve Saakshaat Darshan, Jo Baba Sai Ke Paaye,


Dhane Kamal Kar Unke Jinse, Charan-Kamal Ve Parsaye,
Kash Nirbhay Tumko Bhi, Sakshaat Sai Mil Jaata,
Barso Se Ujada Chaman Apna, Phir Se Aaj Khil Jata !!

!! Gar Pakdata Mein Charan Shri Ke, Nahi Chodata Umrabhar,


Mana Leta Mein Jarur Unko, Gar Ruthte Sai Mujh Par !!

-------------------------------------------------------------------------------------------------------

Download more Chalisa in Hindi and English at www.Pandit.com

You might also like