Power Socket Script

Download as txt, pdf, or txt
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 1

**Namaskar Dosto!!!..

Swagath hai Tech Studio ke ek aur "IS IT WORTH" ke episode me. Aur aj ka jo video
hai isme me Unbox karunga ek aur unique product, Jo ki hamare daliy life me bahut
hi jada useful hai. Kya ap guess kar paa rahe hai?? Agar nahi tho chaliye mei apko
ek-doo hints deta hu.

Pehla hint: Agar apko apna laptop ka charger connect karna ho tho ap ise kha plug
karte hai?

Dusra hint: agar apko apna phone charge karna ho tho ap Usb cable kisse connect
karenge.
Ab tho sayad ap thora guesses kar paa rahe hai ki kya hone wala hai aj ka hamara
ye product.
Tho, ye hai ek Power Socket but ye normal power sockets se kafi alag hai. Aj kya
ye video hai isi product ke upar hai. Ap video ko end tak dekhiye is product ka har
ek features and specifications janne ke liye. Aur Mei Apko batunga kya ye power
socket worth hai is price me aur hai tho kui hai....
Tho unboxing ke pehle thora is product ke manufacturer ka information de deta hu
apko. Ye product bhi manufacturer karti hai Tp-Troops. Apne mera previous videos
deka hoga. Jisme meine kuch unique products unboxing kiya hai. In products ka
manufacturing Tp-Troops karta hai. Inka aur bhi low cost quality products offline
market me available hai. Mei ap sabhi ke liye description box inka website and
Amazon ka product link mention kar dunga. Agar apko inka products pasand aye tho ap
waha se buy kar sakhte hai.

Tho unboxing ke pehle thora product description share karta hu apse.


Is Power socket ta model number hai TP-5013. Ye power socket apko 4(char) standard
power socket ke sath sath apko isme dekhne milega 4 usb port. |Comedy scene like
"what"|
Is power socket me ap 8 alag tara ke power sockets connect kar payenge aur sath
me 4 usb. Iska charo(4) ports 2.0 ampare ka hai. Baki specifications and features
mei apko iska unboxing ke bad batata hu. Tho ye hai 4 Usb port plus 4 standard
socket wala power socket. Iska Colour combination kafi jada attractive hai. Cable
length hai iska 2 meter iska ek dusra variant bhi ata hai 3 meter cable length ke
sath. Is power socket ka jo plug hai vo three pin plug ke saat ata hai jisse ki
apko earthing ka problem nahi hoga. Is power socket ka:
rated current hai 10 ampare,
rated voltage hai 220volt,
rated power hai 2500 watt. Ye power socket high quality plastic ka bana hua hai ko
ki flame resistant bhi hai. Isme apko ek Switch bhi dekhne milta hai jisse ap ise
on/off kar payenge. Sockets ke andar wale parts pure copper made hai. Ab mei isme
ek charger connect karta hu in power ports me, tho ye dekhiye mei isme charger plug
karke apna phone charge kar raha hu. Ab usb ports ko test karte hai, ab mei ek usb
cable isme diye gaye usb ports ke sath connect karke apko apna mobile charge karke
dikata hu to dekhiye mera phone charge ho raha hai. Is power socket ka price hai
699 only ye apko offline stores and online stores Amazon and Tp-Troops ke website
pe bhi mil jaiyega. Mei link description box me mention kar dunga.
Iska jo cord hai pure copper made hai jo ki apka safety and reliability ensure
karta hai. Ye power socket overload protecter ke sath ata hai. Isse ap apna
desktop, laptop, Iron etc..eyse har ek electronic devices bhi easily connect kar
payenge. Iske back me apko wall holder bhi milta hai jiise ap ise apne requirements
ke anusar ise hang kar payenge.
To dosto aj ka video yahi Sampath hota hai. Dekhne ke liye bahut bahut dhanyebad.
Apko ye video pasand aya tho like and share jarur kariye. Aur agar ap naye hai tho
channel ko subsbribe kariye. Bell Icon ko bhi daba dijiye regular updates ke liye.
Mei apke liye eyse unique products rojana leke ata rahunga. Bybye..

You might also like