Q

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 3

Bismillahir Rahmanir Rahim

Q.1 Allah Kahan Hai?


A- Saato Aasman Ke Upar Arsh Par Allah Mustawi Hai
(Surah Taha: 5)
Aur Dekhne Aur Sunne Ke Aitbaar Se Har Jagah
Maujood Hai (Surah Taha : 46)

Q.2 Hum Sab Kaun Hai?


A- Musalman

Q.3 Hamara Mazhab (Dharm) Kya Hai?


A- Islam

Q.4 Islam Ka Kalima Kya Hai?


A- La Ilaha Illal Allah Isko Kalma E Tauheed Aur
Kalma E Taiyyiba Bhi Kehte Hai.

Q.5 Iske Maane (Meaning) Kya?


A- Allah Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laayak Nahi Hai

1|Page
Q.6 Islam Ki Buniyaad (Pillars Of Islam) Kitne Cheezo
Par Hai?
A- Islam Ki Buniyaad Paanch (5) Cheezo Par Hai
1. Tauheed
2. Namaz
3. Roza
4. Zakat
5. Hajj

Q.7 Imaan Ki Buniyaad Kitne Cheezo Par Hai?


A- Imaan Ki Buniyaad 6 Cheezo Par Hai
1. Allah Par Imaan Laana
2. Rasoolo Par Imaan Laana
3. Kitaabo Par Imaan Laana
4. Farishto Par Imaan Laana
5. Qiyamat Ke Qaayam Hone Par Imaan Laana
6. Taqdeer Ki Acchai Aur Buraai Par Imaan Laana

Q.8 Deen Ki Buniyaad Kitne Cheezo Par Hai?


A- Deen Ki Buniyaad Teen (3) Cheezo Par Hai
1. Imaan
2. Islam
3. Ehsaan

2|Page
Q.9 Kalme E Shahadat Kya Hai?
A- Kalma E Shahadat Ye Hai-
Ash Hadu Anlah Ilaha Illal Allah Wa Ash Hadu Anna
Muhammadan Abduhu Wa Rasoolu

Q.10 Iske Maane Kya Hai?


A- Iske Maane Hai-
Main Gawahi Deta Hoon/Deti Hoon Ke Allah Ke
Siwa Koi Ibadat Ke Laayak Nahi Aur Main Gawaahi
Deta Hoon/Deti Hoon Ke Muhammad (Sallallahu
Alaihi Wasallam) Allah Taala Ke Bande Aur Unke
Rasool Hai.

Q.11 Din Aur Raat Me Kitne Waqt Ki Namaaz Farz


Hai?
A- Din Aur Raat Me Paanch (5) Waqt Ki Namaaz Farz
Hai

3|Page

You might also like