Drama - Modes of Material Nature

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 6

Modes of Material Nature Yeh Laghu natika Srila Prabhupada dwara likhit BhagwadGita yatharupa par adharait hai

Based on BhagwadGita As It Is by HDG A.C.BhaktiVedanta Swami Srila Prabhupada Music : Start.dat Sutradhar: Hare Krishna ! Kaliyuga ka samaya dosho aur kalah se paripurna hain. Jahaan har jagah ladai jhagde ke hi samachar milte hain shanti door door tak nahi nazar aati.Lekin aaj hum us ladai ke vishya mein baat karenge jo chir kaal se chalti aarahi hai,.. aur jisSe koi bhi jiva nahi bach paya hai.Yeh aisa yudha hai jisme har jiva ko apni ladai svayam ladni hoti hai.. .. Aur sabse ascharyajanak baat yeh hai ki. is yudha mein jiva itna ulajh gaya hai ki woh apni asli pehchaan tak bhool gaya hai Toh yeh aisa konsa yudh hai ..???? 5 hajaar saal pehle jab Bhagwaan Sri Krishna ne Arjun ko Bhagwad Gita ka Sandesh diya .to usme ek atyadhik mahtvapurna vishyaya par Bhagwaan ne charcha ki Aur ..Woh Vishyaya hai..-?- Prakriti ke teen gun athwa shaktiyaan 1. Satvaguna 2. Rajoguna tatha 3. Tamoguna Adhyaya 14 ke 10ve shloka mein Bhagwaan ne kahaa ki Tin guno ke beech shretha ke liya spardha hamesha chalti rehti hai !! KAbhi kabhi SAtva guna , rajoguna tatha tamoguna ko prasta karke pradhaan banta hai, To kabhi rajoguna satvguna tatha tamoguna ko prast kar deta hai aur To kabhi tamo guna satva guna tatha rajoguna kop rasta kar deta hai Aur Is prakaar Shresthta ke liye Nirantar Spardha chalti rehti hai daivi hy eshaa guna-mayi / mama maayaa duratyayaa Yeh bhagwaan ki hi shakti hai jo jivo ko is dukhalya mein trast rakhti hai. Tri gun ka arth hai 3 rassiyan jiva in rassiyon ke dwara bandha rehta hai katputli ke tarah gunon ke adhin hokar nachta rehta hai. To jis Yudh ke vishaya mein hum aaj baat karenge woh Yudh baaki sabhi yudhon se bhayankar tatha Sukhshma sttar par hai.. .. Yeh Yudh hai .Prakrit ke teen guno ke beech.. Jiva sadaa In Teen Shaktiyaan ke vashibhuta hokar karya karta rehta hai Bhagwaan ne Gita mein yeh bhi bataya ki Har Karma ko karne waali yeh teen shaktiyaan hi hain lekin kyunki jiva in guno ke prabhaava mein rehta hai to uski jivan in guno se sadaa prabhavit rehta hai .. To aaj hum is laghu natika ke madhyam se yeh darshane ki koshish karenge ki kaise yeh 3 shaktiyaan karya karti hain , prakriti ke 3 gun ke prabhav mein jiv apna jivan jeeta hai..

Mode of ignorance. Frnds 3,calling. a frnd who is sleepingand saysyaar tere ghar ke neeche khade hain,,,aa jaa jaldi se kuch party shaaty kar lete hain. Frnd4 says.., Mathlab frnd 3 says.yahi yaar chicken biryani aur saath mein ek dho peck ho jaaye frnd 4 says.Aacha dost,,,abhii aata hoon THEY gather togther and walkone bicshuk come n saysbhagwaan ke naam par kuch de dho .they tk evrythng from his bowl n says chal jaa yahan se.. One frnd saysyaar aaj tho mangalwaar haikaise aaj hum chicken khaa sakte hain Other frnds..oye chup baith tu b hi kaunsA mangalwaar kaisa mangalwaarassh kar yaar zindagi meinjeele apni zindagi 2 boys n 2 girls standing One frnd says..yaar aaj college jaane ka mann nahi kar raha suna hai woh raja ek mast cheez laaya hai ek baar kisse cheez ka chaska pad jaaye tho bus Another frnd says....accha aacha chalo Mother calling of one frnd,,,hello beta kahan ho??kaise ho??? Frnds..saysshhhhhmummy kaphone hai He says.hanji mummacollege main hoonbus abhi library pahonch gaya hoon..mein aapse baad mein baat karta hoon HMMMBACH GAYA YAAR..frnd says. They all reach at one palce.start taking drugs Traits.1.meat eating 2.drinking 3.Giving pains to others, 4.drugs 5.telling lie 6. Sleep and madness 7. averse to religious principles 8. full of ignorance Andhkaar mein jivan jeeto huye ho aisey jiva minm yoniyon mein girte rehta hain. Bhagwad gita mein tamo guni vyakti kit tulna garbh mein andhkar se dhake huye bhrun se ki gayi hai. Aisi awastha mein usse bhagwaan ki bhakti mein ruchi prapt hone ki sambhavna bahut kam hoti hai.. Aise log ki ruchi madira paan, masa ahaar, jhoot, himsa mein hoti hai. Woh swayam ko to kasht phunchate hi hai,, aur doosro ke hi dukho ke karma bante hain.. .. Woh log lamo guni lohe ki janjeer se bandhe huye pagalpan mein apna jivan jeete rehta hain..

Sarita mataji Wifes Frnd Ghanshyam Pr - Husband Preeti Mataji - Wife Brij Pr Husbands Frnd Mode of Passion SCENE 1 Wife (to Husband) Rajeev, utho subha ke 10 baj rahe hain , kaam pe nahi jaana hai kya.. Husband Oh my God.. aaj to meri client ke saath meeting hai.. (gets angry now) Tum mujhe jaldi nahi utha sakti thi kya.. Wife Rajeeeev tum raat ko 3 baje club se aaye ho to kaise subha aankha khulegi.. Husband Oh shit .. I am getting late.. (Slams the door and runs to work & says to himself).. aaj fir se boss ki dant khaani padegi.. aur fir se lunch mein pizza.. Wife (calls her friend on phone) hii yaar,,,kal kitty party kitne baje start hai..??? Frnd-5 bajje shuru ho jayegiok time par pahonch jaana tum Wife-aacha sun ,mujhe na tumhara who pearl waala set chahiye..tum le aana ok yaad se..bhoolna mathhaan aur ek baat..aditi tum yeh baat kisse ko batana mat Frnd- don't worry dear ,mein kisse ko nahi bathaoongi Wife ( calls her husband ) Rajeev aap office pahunch gaye kya. Husband Haan jaan .. bolo.. Wife Rajeev , aaj mera ghar pe kuchch bhi banana ka man nahi hai.. aaj sham ko bahar Om sweets mein khayenge.. mera chat aur gol gappe khanne ka bahuth man hai.. Husband (in little sharp mood) Haan haan ..tumhare saath to bahaar hi khaana naseeb hoga.. Subhe bhi ghar se kuchch nahi khaya,,lunch mein pizaa aur sham ko Om sweets.. . theek hai theek hai dekh lunga.ok bye. Rajeev (-to frnd)-yaar aaj bhi 10 bajj gaye hain raat ke Frnd-haan yaar paisa kamana hai tho late night tho karma hee padega.. Rajeev-tera kya hua onsight jaane ka.US jaane ka kuch plan bana kya. Frnd-haan yaar.. Rajeev.. VISA process meibn hain Rajeev Yaar sahi hai,, india mein to kuchch nahi rakha.. main to kab se boss ko bol raha hun US kaYaar majja aa jayega agar mera US H1 visa lag jaye ..101 ka prasaad chadhaunga agar bhagwaan ek baar mujhe US bhijwa de aacha yaar mujhe tujhse choti si madad chahiye Frnd Haan bol Rajeev Yaar mujhe apni Flat ki kisht bharni hai aur mere pass paise kam pad rahe kya tu mujhe 40000 rupye udhar de sakta hai kya Frnd Rajeev , ek baat kahun..bura mat manna apni chadar se bahar par nahi pasarne chahiye Kisne kaha tha menge flat purchase karne ko.. Tum pehle hi mujhse 3 lakh rupye udhar le chuke ho.. .. Woh kab waapis karoge.. Rajeev Yaar, tu bhi kya bujdil ki tarah baat kar rhaa hai.. .. agar jeena hai to shaan se jio..ghut ghut ke jeena bhi koi jeena hai.. ab tu fikr mat karmujhe paise de tere saare paise 6 mahine mein lota dunga.. .. Sutradhar Jo log rajo guna ka ashraya lete hain woh hamesha atyadhik prayas mein ratt rehta hain apni indriya tripti mein lage rehta hain. Unki din ki shuruyat atyadhik

uttejna mein hotiunki jada se jada paisa kamana aur jhuti shaan or dikhawa ki ichcha ki koi seema nahi hoti.. Rajo gun mein vyakti teekha bhojan aur aneko aneka ichcayein se bhara rehta hai.. Rajo guni vyakti ke karm tatha prayas kasto ke karan bante hai. Woh Bhagwaan ke prati anasakt rehta hai aur agar bhagwaan ke pass jata bhi hai to hai to apni indriya tripti ke samdhan ke liye. Woh Manushya jivan ke lakshya ke baare mein kuchch nahi janta.. aur kaal chakra mein ghumta rehta hai.. Rajo guna ki tula bhagwaan ne aag ke dhuyein se ki hai . aisi sthiti mein woh shudh bhakt kripa prapt kar bhagwaan ki bhakti prapt kar sakta hai Mode of Goodness - SCENE 1 Sarvpalak Pr Shanti Priya mataji Preeti mittal Bhikshuk Bhikshuk Bhiksham Dehi ..Bhiksham dehi !! Sarvapalak Pr Shanti priya.. Bhikshuk aaya hai.. usse thoda bhojan de do Shantipriya mataji (brings a plate of fruits and tell bhikshuk) Hare Krishna! Yeh Prasaaad lijiye.. Bhikshuk Bahut -2 dhanyawaad mataji !! Main har roj aapke ghar par aata hunaur har raj aap mujhe bhojan deti hain.. Bhagwaan sadaiva aap par kripa karein.. (Shantipriya dd comes inside and calls her daughter) Preeti .. preeti .. Preeti Haan Maa Shantipriya dd- Jao Gaay ko roti de aayo.. Preeti Maa ek baat batao aap har roj keval gaay ko hi kyun roti deti ho.. Shantipriya Gaay hamari ma ke samaan hai.. Aur swayam Bhagwaan kehta hain ki woh Brahma tatha gaay ke rakshak hain .. To yeh hamara kartavaya hai ki Gaay ki raksha karein Preeti Achha maa Shantipriya dd (Calls her music teacher on phone)- Hare Krishna Guruji/Masterji ! Jo aapne kal raag seekhaya tha uske kuchch swar mujhe theek se nahi aa rahe hain.. to aap please mujhe uski practice karwa dijiye.. Teacher (On phone) Theek main sham ko aa jaunga .. Hari Hari Preeti Pitaji kal Shayana ekadashi hai. Main Ekadashi ke liye kuchch samaan le aati hun.. Lekin pitaji mera ek doubt dur kijiye .ki hamein ekadashi vrat rekhne ki kya jarurat hai ... Bhagwaan ne jivan khaane peene ke liye hi to diya hai.. To fir Yeh Ekadashi vrat ki kya jarurat hai. Sarvpalak Pr ( Opens Bhagwad Gita as it is and tells His daughter Preeti) Bhagwaan Bhagwad gita mein kehte hain ki hamein kissi pristhiti mein 3 cheejein nahin chhodni chahiyein --- yagya, tapasya aur daan.

To vrat karna ek tapasya hai..jiska udeshya Bhagwaan ko prasann karna hai .. Aur isse hamari chetna bhi swachch hoti hai.. Vaco vegam mansa krodha vegam Preeti - Pitaji, Mere sabhi mitron ke pass achcha se achcha mobile phone hai. Har ek ke ghar mein AC lambi gadiyan aur sabhi aisho aaram ki suvidha hai. Mere sabhi mitra movie theatre aur bade bade hotelon mein jakar bhojan karte hain. Hamare pass yeh sab kyun nahin hain. Hum kyun bade theatre aur hotel mein nahi jaate Sarvpalak Pr Preeti iska uttar hamein Bhagwad gita se hi prapt hota hai. Bhagwan BG mein yeh spast kar rahe hai ki Manushya jivan ka lakshya is bhav sagar se par hona hai. Aur agar hum in vishya vasna mein lipt honge to hum apne marg se bhrast ho jayenge. Sutradhar Satvya guna mein vyakti daani , Sada santusht , dhir , jnani, tapasvi, , karunapurna tatha satvik sangeet mein ruchi lene waala hota.. unke punya karma hote hain. Satvguna mein vyakti Shastro ke niyamo ka palan karta hai tatha papon se mukt hota hai. Satvguni manushya kissi bhi prasthiti mein avichlit nahi hota Aur jo satva guna mein apna sharir tyagta hai usse Maharishiyon ke vishudh uchchatar lokon ki prapti hoti hai. BG 14.14 Lekin Satvguna sarvshretha sthiti nahi hai.. Woh ek sone ki janjeer ki tarah hai. Jo hamein is bhav sagar se bandh kar rehta hai. Bhagwaan ne hamein in tino guno se pare vishudh satva guna sthiti (BG 2.45) "nistrai-gunyo bhavarjunaa" -"O Arjuna ! become transcendental to these three modes." Kya hum kabhi in 3 guno ko langh sakte hain. How to overcome three modes of material nature? Krishna bhagwad gita mein batate hain Bhagavad Gita verse 7.14. daivi hy eshaa guna-mayi / mama maayaa duratyayaa maam eva ye prapadyante / maayaam etaam taranti te "This divine energy of Mine, consisting of the three modes of material nature, is difficult to overcome. But those who have surrendered unto Me can easily cross beyond it. " Bhagavad Gita verse 14.26 maam ca yo 'vyabhicaarena / bhakti-yogena sevate sa gunaan samatityaitaan / brahma-bhuyaaya kalpate "One who engages in full devotional service, unfailing in all circumstances, at once transcends the modes of material nature and thus comes to the level of Brahman."

Bhagwaan ki sharan lene ka arth hai Bhakti yoga. Jisme Bhagwaan or jiva mein sambadh sthapit hote hain. Bhakti-yoga means that the Lord is there, the devotee is there and the activity of exchange of love between the Lord and the devotee is there. Krishna says in

Visudh ke kahin udaharan hamein Srimad Bhagwatam mein dekhne ko milte hain jaise.. Prahlaad maharaj, Ambarish mahraj. Narada Muni..Or .. Kaliyuga bhagwaan ke param bhakta Srila Prabhupada ki kripa se hamein Sarvochch Bhakti yoga ka marg dikhaya hai. Swayama Chaitanya Mahaprabhu ki shiksha ka pure vishwa mein prachaar kiya.. Pure vishwa mein unhone Sri Jagannatha ratha yatra ka udghatan kiya or viswa bhar mein shudh bhakti ka prachar kiya.. Yeh laghu natika Srila Prabhupada Ki prasanta ke liye prastut ki gayi hai. Kripya koi bhi truti ke liye kshama kijiye.. Or sabhi participants ke protsahan ke liye 3 baar hari bol bolenge

You might also like