Sarkaar Ki Jimmedaari
Sarkaar Ki Jimmedaari
Sarkaar Ki Jimmedaari
raha hai aur main bhi isse achoota nahi hoon.. Isi daur main kuch budhijiviyoin se varta ke dauraan ek baat ki duhaai dee gayee ki har baat ke liye sarkaar ko dosh dena uchit nahi. Ek had tak yah baat satya bhi hai aaj jo humari samajik , shaikshik , aarthik , vaidhanik , dharmik , sanskritik durdasha ho gayee hai uska ek chor
humhare haath main bhi hai. Humne har khsetra main vikaad ki ore dhyaan dene ke sthaan per swayam ko dosharopan main uljha kar rakha hua hai. Hum me se har koi , har jagah , yahi kahta rahta hai ki is desh ka kuch nahi hone wala aur satya bhi hai yadi hum yahi sochte rahe to kuch hoga bhi nahi.Samsya yah hai ki hum sabhi jaante hain hi humara ghar ganda hai , bas hum usko saaf nahi karna chah rahe kuinki usme khud ke haath bhi gande honge.Aaj gavoin , kasboin , nagaroin , mahanagaroin main samsayoin
ka seedha dosh sthaaney jan pratinidhiyoin ko diya jaata hai , ve sthaaney prashasan ko dosh dete hain , sthaneey prashasan apne se upar ke vibhagoin ko aur is prakaar dosharopan ki ek shrinkhala ban jaatee hai.Par samsya hal nahi hoti. Kamaal ki baat yah hai janta ka ang ho kar samsya ke naam per hay tauba machaane vale log jab swayam is vyavasthaa ka ang bante hai to vo bhi yahi karte hai ,yah baat mujh pe aur aap pe bhi laagu hoti hai.Arthaat nishkarsh yah hai ki samsya ke liye doshi hum bhi hai .. Hum bhi..
Par kya Sarkaar ki koi jimmedari nahi hai.. vigat 6 dashakoin main 4 se adhik dashkoin tak ek haath ka sahara liye chalne vale is desh ke saath hue dhokhe main us haath ke pratinidhiyoin ka koi dosh nahi. Yah Satya hai ki jo log iske alawa is sarkaar ka hissa rahe hain ve bhi kam doshi nahi hai par fir bhi Desh ki asmita , Desh ke seemayoin ke saath samjhauta , aam janta ke hitoin ki upekhsa , kootnitik vifaltayein , dharmnirpekshata ke naam per samprydaay vishesh ka tushtikaran ,
Loktantra ke naam per khsadm raajtantra chala kar sarkaar doshoin se bachi hui kaise rah sakti hai. Aaj nyaay par se uthte hue vishwaas , samaaj main vyaapt asuraksha ki bhaavna , kone kone main vyaapt bhrashtachaar , badhti hui manhgaayee , vaishvik star par har baar humhari kootnitik vifalta , janta main vyaapt dharmik ashantosh , ke liye yadi hum jimmedaar hain to sarkaar ki jimmedaari bhi upekshit nahi ho sakti isliye agli baar jab humare sabse
shaktishaali hone ka din aaye , us din hum koi aisi galti na kar baithein ki satta main aaye hue log ye kah kar humhara mazaak udate rahein ki ab 5 saal tak aap bhi humhara kuch nahi bigaad sakte jaisa ki aaj kal hum jhel rahe hain.. Dhanyvaad Shailendra