Sarv Daleey Baithak-Kitni Ummeed
Sarv Daleey Baithak-Kitni Ummeed
Sarv Daleey Baithak-Kitni Ummeed
parinaam ke hi samaapt hone vaali hain yah stithi ab lagbhag spasht ho hi gayee hai ki Sarkaar kisi bhi prakaar se apne upar kisi bhi prakaar ka niyantran nahi chahti aur Civil Society ko sarkaar ka Jokepal sweekar nahi. Janta ki Adalat TV program main Kal Anna Hazare per chale
case ke dauran janta main se kisi ne Anna ji ko dhamkaane ke lahze main yah bhi kaha ki Anna ji andolan aapke virudh bhi ho sakta hai! Unke swar aise lag rahe the jaise ki Kapil Sibbal, Digvijay Singh, Chidambram, ke sajha swar ke saath utar aaye ho! Unki salah thee ki anna ya civil society yadi LOKPAL jaisa koi bill parit karvaana chahte hain to unhe janta ke dwara chun kar sadan main pahunchna chaiye aur fir is tarah ka koi prayaas karan chaiye.. Parantu unhone yah spasht nahi kiya ki aisa kuin..
Kya aaj janta ko jo samsyaye hain unke samaadhaan ke liye jaanta ke ek ek vyakti ko chun kar sansad main jaana hoga tabhi uska koi hal sambhav hai , Kya aaj saansad sansad se upar ho gaye hain.. Kya samaaj sevak aur sudharakoin ka koi vazood nahi , kya unke prayaas aur unke aandolaoin ka loktantra main koi mahatva nahi.. humhe vishva ke sabse bade loktantra ka dava karne se pahle yah samjhna hoga ki loktantra ki seedhi paribhasha yah hai ki Shasn Janta ka , Janta ke dwara aur Janta ke liye hota hai ya fir yuin kahe ki Satta
dhariyoin ki sheershata ke kram main Janta sarvooch hai Jan pratinidhi nahi.. Yadi janta ne koi galat pratinidhi ya sarkaar chuni hai to use yah kahkar chup karana ki aapne humhe ab unhe 5 saal to jhelna hi padega ek prakaar se aanshik raajtantra hi hai.. Atah ab humhe dhyaan kendrit karna hoga agle mahine Mansoon satra se pahle hone vaali sarvdaleey baithak aur uske paschaat hone vaali cabinet ki baithak aur ant main
sansad ke mansoon satra ki safalta per.. Ek do din main yah to saaf hi ho jayega ki lokpal ka kaun sa praaroop sarkaar sadan ke patal par chahti hai par sarvdaleey baithak yah tay karegi ki aakhir janpartinidhiyoin ki yah bheed kya chahti hai? Fir yah spasht hoga ki humne jinhe chun rakha hai vo Janta ko ya satta ko adhik mahatva dete hain aur usse bhi adhi yah tay karne main aassaani hogi ki agli baar kise chunna hai kuinki ho sakta hai is satra main yaa aane vale samay main yen ken prakaren Jokepal pass ho jaye aur civil
society ki mango ki upyogita bhi janta ke ssamne sidh ho jaye. Dhanyvaad Shailendra