Dua During Umrah
Dua During Umrah
Dua During Umrah
this paper.
For dua to be accepted recite durood-e-shareef before and after making dua. Your Dua will be definitely maqbool. Inshallah.
1. Main ALLAH ke naam ke sath duwa karta hun jiske naam ke saath koi cheez zameen aur asman mein
nuksan nahi karsakti aur wo bohat sunnewala aur janne wala hai.
2. ALLAH tu mere liye kafi hai- tere siva koi mabood nahi main tujh hi par tawakkal karta hun aur tu
arsh-e-azeem ka rub hai.
3. Aye hamare rub hamari qurbaniuon aur duwayen kubool farma tu bohat sunne wala aur janne wala hai.
4. Aye ALLAH mere poshida aur zaher sab gunah maf farma.
5. Aye mere rub maaf kar aur rahem kar tu sobse achcha rahem karne wala hai.
6. Aye ALLAH main tujse duniya wa akhirat mein afiyath ka talabgar hun. Moula main tujse deen wa duniya maal wa
gharbar me afu aur afiyath ka talabgar hun. Aye ALLAH meri kamzoriyan dhanpde aur mujeh mere qaufaon se amaande
aye ALLAH aage peeche dayen bayen aur uperse khud meri madad farma aur main teri azmath ki panah chahta hun ke
main neeche se kisi azab ka maurid banun.
7. Aye ALLAH meri samaath ki hifazath farma, moula meri ankh ki bhi khud hifazath farma tere siva koi mabood nahi.
8. Aye ALLAH! Main thujse bure din aur buri raat aur buri ghadi se panah mangta hun aur bure sathi aur apni rahneki
jagah me bure hamsaye se bhi panah mangtha hun.
9. Aye ALLAH! Tu bohat maaf karnewala karim hai, tu afu ko pasand karta hai, pus mujhse darguzr farma.
10. Aye zinda aur qayam khuda ! Teri rahmath ka waastha dekar main tujhse madad ka talib hun.
11. Aye ALLAH main ibtela ki mushkilse aur badbakhti ki pakkad se aur taqdeer-e-shar se aur dushmanaon ke apne khilaf
khush honese teri panah mangta hun.
12. Aye ALLAH mera baatin mere zahir se achcha karde aur mera zahir naik aur achcha banade, aye ALLAH main tujse
duniya mein teri ataon meinse aise naik ahel wa ayal aur paak mal mangata hun jo na bargashta honewale hon aur na
gumrah kar newale.
13. Aye ALLAH harhaal mein islam kesath meri hifazath farma, khade huwe bhi aur baithe huwe aur late huwe bhi, aur kisi
dushman ya hasid ko mere per khush na karna, aye ALLAH main tujse harwo khair mangta hun jiske khazane tere hath
me hai aur main tujse har us shur se bhi panah mangtha hun jo tere khabza-e-qudrath mein hai.
14. Aye ALLAH! Teri magfirat mere gunahaon se kahin ziyada wasih teri hai aur mujhe umeed apne aamal par nahi teri
rahmat par hai
15. Aye ALLAH! Tujhe siper banakar dushman ke seenaun ke mukhabil per rakhthe hun aur hum unke thamaam shur aur
muzir asrath se teri panah mein aathe hain.
16. Aye ALLAH! Mai aajizi aur susti se teri panah mein ata hun aur buzdili aur bukhulse aur budape aur sakth dili aur gaflath
aur gurbath aur zillath wa maskanath se panah mangta hun. Main bahre aur gungepun, pagal pun aur juzaam aur bars
aur tamam buri bimariyaon se teri panah mang ta hun.
17. Aye ALLAH! Hamein bakashde humpar rahem kar humse raazi ho aur humse duwayen wa ibaadatien khubul kar aur
hame jannat mein dakhil kar aur aagse bacha aur hamare sab kaam tu khud banade.
18. Mere moula! Tujeh apne saare paak naamaon aur achchi sifataon ka waasta wo sifatein jo mujeh maloom hai aur wo bhi
jo main nahi jaanta ke tu apne is bande ke saat afu ka saluk karna.
19. Aye mere mohsin aur aye mere khuda main ek tera nakaara banda pur maasiath aur pur gaflat hun. Tune mujse zulam
par zulam dekha aur ehsan par ehsan kiya tune hamesha meri parda poshi ki aur apni beshumaar naimataonse mujeh
muthamatha kiya, so abbhi mujh nalaiq aur pur gunahgar per rahem kar aur meri bebaki aur na spaasi ko maaf farma
aur mujko mere is gunah se najath baksh ke bagair tere koi chaarager nahi – ameen suma ameen.
20. Aye mere rub har cheez teri khadim hai aye mere rub pus mujeh mahfooz rakh aur meri madad farma aur mujpar rahem
farma.
21. Aye rabbul alameen tere ehsanaon ka main shukr nahi karsakta–tu nihayat hi raheem wa kareem hai aur tere begayath
mujh per ehsan hain-mere gunah bakash ke main halakh na hojaon--mere dil me apni khas mohabbat daal take mujeh
zindagi hasil ho aur meri parda poshi farma aur mujhse aise amal karwa jinse tu razi hojaye--main tere wajeh kareem
ke sath is baatse panah mangta hun ke tera gazab mujpar warid ho-rahem farma aur duniya aur akhirat ki balaon se
mujhe bacha ke her fazal wa karam tere hath me hai-ameem suma ameen.
22. Aye mere rub her ek cheez teri khadim hai-aye mere rub pus mujeh mahfooz rakh aur meri madad farma aur mujh per
rahem farma.
23. Ya ALLAH rahem ker ameen.
24. Aye mere rub mujhe mere gham se najath de.
25. Aye khuda karde munawar seena wa dil ko mere sir se paon tak main banu makzan tere anwar ka.
26. Aye ALLAH tu khud meri madad farma ke main tera zikr wa shukr baja la sakun aur khoobsoorath ibadath ki taofeeq de
- ameen.
27. Aye ALLAH rushd wa hidayat ki batien mere dil mein daal aur mujhe mere nafs ke shar se bacha-ameen.
28. Main ALLAH ke kamil wa mukammil kalmath ki panah mein aata hun uski maqlook ke shar se.
29. Aye mere rub jo bhi tu koi cheez mujeh inayath kare main uska mahutaaj hun.
30. Aye mere rub bakashde mujhe aur rahem farma aur tu sab rahem karne walaun se behtar hai.