1 File
1 File
1 File
1. Agar tum kisi ko dokha dene mein kamyaab ho jate ho to ye mat socho ki wo kit
na bewaqoof hai, balki ye socho ki usko tum par aitbaar kitna tha.
2. Gusse ki haalat me koi faisla mat karo aur agar khush ho to koi vaada mat kar
o.
3.Hamesha apni choti choti ghaltiyon se bachne ki koshish karo, kyunki insaan pa
hadon se nahi balki chote chote pattharon se thokar khata hai.
4. Tumhari niyyat ki aazmaish us waqt hoti hai? Jab tum kisi aise insaan ki mada
d karo jis se tumhe koi cheez ki umeed na ho.
5. Zindagi ko is tarah jiyo jaise hamesha zinda rehna hai. Aur aakhirat ki fikr
aise karo jaise agle hi pal marr jana hai.
6. Agar kisi ka zarf aazmana ho to use zyada izzat do, Wo aala zarf hua to aap k
o aur zyada izzat dega. Aur agar kam zarf hua to khud ko aala samjhega.
7. Kabhi apne dost ki sacchai ka imtehan na lo, kya pata us waqt wo majboor ho a
ur tum ek accha dost kho baitho?
8. Jab aankein nafs ki pasandeeda cheezein dekhne lage to dil anjaam se andha ho
jata hai.
9. Kisi ko tum chaho aur woh tumhe thukra de? To yeh uski badnaseebi hai. Aur ag
ar koi tumhe na chahe aur tum use zabardasti apna banana chaho? To yeh tumhare n
afs ki zillat hai.
10. Main jannat ke shauq me ibadat nahi karta kyunki yeh ibadat nahi tijarat hai
.Main dozakh ke khauf se bhi ibadat nahi karta kyunki yeh ibadat nahi ghulami ha
i.Main ibadat sirf isliye karta hoon kyunki mera RAB ibadat ke qabil hai aur koi
nahi.
11. Agar dost banana tumhari kamzori hai? To tum duniya ke sabse taqtwar insaan
ho.
12. Zindagi me kabhi haalat ke saath samjhauta karna pade to ghabrana mat "Dost"
, Jhukta wohi hai jisme jaan hoti hai, akadna to murde ki pehchan hoti hai.
13. Insan ke bimaar hone ki ek badi wajah doston ki judai hai.
14. Apno ko hamesha apne hone ka ehsaan dilate raho warna waqt aapke apno ko aap
ke bina jeena sikha dega.
15. A wise man first thinks and then speaks and a fool speaks first and then thi
nks.
16. Jab main dastarkhan par do rang ke khane dekhta hoon to main mayus ho jata h
oon ki aaj phir kisi ka haq mara gaya.
17. Kisi se mohabbat karne se pehle apne dil me qabristan banalo, ta ki uski cho
ti choti ghaltiyon ko dafna sako.
18. Duniya me char dafa waqt ruk gaya tha:1-Jab Nabi-e-Kareem (pbuh) meraj par g
aye the.2-Jab Hazrat Bilal (r.a) ne azan nahi di thi.3-Jab Bibi fatima-tu-Zehra
(r.a) ke sir se dupatta sirq gaya tha aur do baal nazar aa rahe the.4-Jab Hazrat
Ali (r.a) ki namaz qaza ho rahi thi.
19. Jisne kisi ko akele me nasihat ki? Usne use sanwaar diya. Aur jisne kisi ko
sab ke saamne nasihat ki? Usne Uske mazeed bigaad diya.
20. Mujhe dua qabool hone ki fikr nahi? Mujhe sirf dua maangne ki Fikr hai. Jab
mujhe dua maangne ki taufeeq hogayi hai to qabooliyat bhi uske sath hasil hojaye
gi.
21. Teen rishte be-naqaab hojate hai. (Budhape mein aulaad, musibat mein dost au
r ghurbat me biwi)
22. Lambi dosti ke liye do cheezon par amal karo. (Apne dost se gusse me baat ma
t karo aur apne dost ki gusse me kahi hui baat dil pe mat lo)
23. Duniya mein behtreen insaan wo hai jiske liye koi roye aur badtareen insaan
wo hai jiski wajah se koi roye.
24. Koi tumse bhalai ki umeed rakhe to use mayus mat karo, kyunki logon ki zarur
aton ka tumse waabasta hona tum par ALLAH ki inayat hai.
25. Kisi ka dil mat dukhao, ho sakta hai wo tumhe aise chahta ho jaise marne wal
a zindagi?
26. Jiska raabta khuda ke saath ho wo naakam nahi hota. Naakam wo hota hai jiski
umeedein duniya se waabasta ho.
27. Insaan bhi kya cheez hai, daulat kamane ke liye apni sehat kho deta hai.Phir
sehat ko wapis pane ke liye apni daulat khota hai.Mustaqbil ko soch kar apna ha
al zaya karta hai, phir mustaqbil me apna maazi yaad karke rota hai.Jeeta aise h
ai jaise kabhi marega hi nahi, aur marr aise jata hai jaise kabhi jiya hi nahi.
28. Apne din ka aaghaz sadqa dene se shuru karo. Us din tumhari koi dua radh nah
i ki jayegi aur acchi baat batana bhi sadqa hai.
29. Namaz padhne ke dauran tumhari kaifiyat in do me se ek honi chahiye. (Tum AL
LAH ko Dekh rahe ho ya phir ALLAH tumhe dekh raha hai)
30. Yeh na socho ki ALLAH dua fauran qabool kyun nahi karta? Yeh shukr karo ki A
LLAH humare gunahon ki saza fauran nahi deta.
31. Insaan ko acchi niyyat pe wo inaam milta hai, jo use acche aamal par bhi nah
i milta.
32. Pareshani khamosh hone se kam, sabr karne se khatam aur shukr karne se khush
i me badal jati hai.
33. Agar log Namaz-e-Fajr ka sawab aur fazeelat ko jaan le to raat ko is khauf s
e sona chhod denge ki kahi neend ki wajah se namaz na choot jaye.
34. Namaz ki fikr apne upar farz karlo, khuda ki qasam duniya ki fikr se azad ho
jaoge aur kamyabi tumhare qadam choomegi.
35. Daulat milne par log badalte nahi, balki Be-naqaab hote hai.
36. Kabhi bhi apni jismaani taaqat aur daulat par bharosa na karna kyunki bimaar
i aur ghurbat aane me der nahi lagti.
37. Insaan gunah karne ki wajah se jahannum me nahi jata? Balki gunah par mutmae
en rehne aur tauba na karne ki wajah se jahannum me jata hai.
38. Duniya usko yateem samajhti hai jiske maa baap na ho, lekin main yateem usko
samajhta hoon jiske acche dost na ho.
39. Nafrat gunah se karo, gunah karne wale se nahi. Shayad! tumhari mohabbat me
aa kar wo gunah karna hi chhod de?
40. Insaan ka fuzool shauq me waqt kho dena is baat ki daleel hai ki ALLAH us se
naraz hai.
41. Momin woh nahi jiski mehfil paak hai, momin woh hai jiski tanhai paak hai.
42. Agar kisi ko yeh ghuroor ho ki wo tumse jitni martaba naraz ho to tum use ma
na loge? To behtar hai tum uska ghuroor tootne na do.
43. Jo tumhe khushi me yaad aaye? Samajhlo tum us se mohabbat karte ho. Aur jo t
59. Khaas aur aam dost me itna hi farq hota hai: Aam dost sirf tareef karta hai.
Lekin khaas dost tareef ke saath-saath tanqeed bhi karta hai.
60. Jhoothe ki sabse badi saza yeh hai ki uske sach ka bhi Aitbaar koi nahi kart
e.
61. Kisi ko paane ki Tamanna mat karo, Balki is qabil hojao log aapko paane ki t
amanna kare.
62. Tanhai me gunaah se bacho, kyunki iska gawah khud Allah'taala hota hai.
63. Log tumhari aqal se tumhari shaksiyat ka wazan karte hai. Lehaaza tum apni a
qal ka wazan ilm se badhao.
64. Tumhara nafs bohot keemti hai. Ise jannat se kam kisi keemat pe mat bechna.
65. Apna behatreen waqt namaz ke liye muqarrar kar do, kyunki tumhare sab kaam t
umhari namaz ke baa'is qubool honge.
66. Insaan ka kirdaar uski zaban ke neeche dafan hota hai.Agar kisi shakhs ke ki
rdaar ka pata lagana ho? To use sakht gusse ki haalat me dekho.
67. Duniya me kabhi kisi acche insaan ko talaash mat karo, balki khud acche ban
jao. Ho sakta hai ki tumhare is amal se kisi aur ki talaash khatam ho jaye?
68. Jis tarah shabnam ke qatre murjhaye hue phool ko taazgi dete hai, usi tarah
acche alfaz mayus dilon me roshni bharte hai.
69. 5 Cheezon ki 5 jagah par hifazat karo:1-Mehfil me zaban ki.2-Bazar me aankh
ki.3-Namaz me dil ki.4-Dastarkhan par pet ki.5-Nigah me haya ki.
70. Jahan sadqat aur khuloos nazar aaye? Wahan dosti ka haath badhao. Warna tumh
ari tanhai tumhari behtareen saathi hai.
71. Yeh zindagi do din ki hai: Ek din tumhare haq me aur ek din tumhare khilaf.J
is din tumhare haq me ho us din ghuroor mat karna aur jis din tumhare khilaf ho
us din sabr karna.
72. Lambi umeedon se parhez kiya karo, kyunki yeh doosri nematon ko tumhari naza
r me chota bana deti hai aur tum unki shukr guzari nahi karte.
73. Sabr ki do surtein hai. (Jo na-pasand ho use bardasht karna aur jo pasand ho
uska intezar karna)
74. Dosti ki zeenath ek doosre ki baat ko bardasht karna hai. Be-aib dost talaas
h mat karo warna akele reh jaoge.
75. Hazrat Ali (r.a) ne farmaya ki: "Main poori zindagi me sirf ek raat sukoon s
e soya hoon".Poocha gaya "Wo kaunsi"?
Hazrat Ali (r.a) ne farmaya: "Jis din Hazrat Mohammed (pbuh) ne farmaya ki Aye A
li! kal tumhe maal-e-ghanimat taqseem kar ke aana hai. Kyunki sirf us raat mujhe
yaqeen tha ki main subha zinda uthunga"
*Subhan'Allah*
76. Zindagi ko zaruriyat ki taraf le jao khwahishat ki taraf nahi. Kyunki zaruri
yat to faqeeron ki bhi poori hoti jati hai aur khwahishat Baadshahon ki bhi adho
ori reh jati hai.
77. Log pyaar ke liye hote hai aur cheezein istemaal ke liye. Baat us waqt bigad
ti hai jab cheezon se pyaar aur logon ko istmaal kiya jaye.
78. Na insaan apni marzi se paida hua aur na apni marzi se marega. Phir wo inke
beech ka arsa apni marzi se kyun guzarna chahta hai??
79. Jis darakht ki lakdi narm hogi, uski shakhein zyada hogi. Narm tabiyat ikhti
yar karo taaki tumare dost zyada ho.
80. Aqlaaq ki keemat kuch nahi deni padti hai. Magar us se har cheez khareedi ja
sakti hai.
81. Jab insaan ki aqal mukammal ho jati hai, to uski guftagu mukhtasar ho jati h
ai.
82. Agar koi accha lage to us se kam mila karo, agar koi zyada accha lage to us
se sirf dekha karo aur agar koi dil me utar jaye to use sirf yaad kiya karo.
83. Acche logon ki ek ya nishani bhi hai ki unko yaad rakhna nahi padta wo yaad
reh jate hai.
84. Tum kala libaas mat pehna karo, Kyunki beshak yeh firon ka libaas hai.
85. Rizq ke peeche apna imaan kharab mat karo. Kyunki naseeb ka rizq insaan ko a
ise talaash karta hai jaise marne wale ko maut.
86. Lakhon ko dost banana koi badi baat nahi, badi baat yeh hai ki aisa dost ban
ao jo tumhara saath us waqt de jab lakhon tumhare dushman ho.
87. Aitbaar aur pyar do aise parindey hai? Agar in me se ek udd jaye to doosra
khud hi udd jata hai.
88. Jis shaks me wafadari na ho? Uske saath dosti karne ka matlab khud ko zaleel
karna hai.
89. ALLAH ke nazdeek sabse zyada gunahgar cheez jhoot bolne wali zaban hai.
90. Din ko rizq talaash karo aur raat ko use talaash karo jo tumhe rizq deta hai
.
91. Jo apne aap ko mohtaaj banata hai wo hamesha mohtaaj hi rehta hai.
92. Insaan apni touheen maaf to kar sakta hai par bhool nahi sakta.
93. Tum accha karo aur zamana bura samjhe? Yeh tumhare haq me behtar hai bajaye
iske tum bura karo aur zamana tum ko accha samjhe.
94. Tum gulaab ka phool ban jao, kyunki yeh phool uske haathon me bhi khushboo c
hhod jata hai jo ise masal kar phenk deta hai.
95. Apni kismat pe wo rota hai jo sajde me nahi rota.
96. Bura dost aag ki tarah hai, agar jalta hai to aapko bhi jala dega aur agar b
ujha hai to aapke haath kale kar dega.
97. Har kisi ko itni ehmiyat do jitni wo tumko deta hai. Agar kam doge ghamandi
kehlaoge aur agar zyada doge khud gir jaoge.
98. Koshish karo ki tum duniya me raho, Duniya tum me na rahe. Kyunki kashti jab
tak pani me rehti hai, khoob terti hai. Lekin jab pani kashti me aa jata hai to
wo doob jati hai.
99. Jab bhi farig waqt mile to apni maa ke paas ja ke baitha karo, kyunki maa ke
saath guzara hua waqt qayamat ke din nijat ka baa'is banega.
100. Kisi ke khuloos aur pyar ko uski bewakoofi mat samjho, warna kisi din tum k
huloos aur pyar talaash karoge aur log tumhe bewakoof samjhenge.
101. Agar duniya me sukoon hota to ALLAH ko kaun yaad karta? Sukoon to sirf unlo
gon ke paas hai jo ALLAH ki raza ko apni raza samajhte hai.
102. Agar kisi par ehsaan karo to use doosron se bhi chupaya karo.
103. Sabse bada gunaah wo hai ho karne wale ki nazar me chota ho.
104. Jo zara si baat pe dost na rahe? Samajh lena wo dost kabhi tha hi nahi.
105. Jab tum kisi se mohabbat karo to us se zara bhi mohabbat na maango, kyunki
tum ne mohabbat ki hai tijarat nahi.
106. Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho to tum use door se dekh rahe ho ya phir
ghuroor se.
107. Log dukh nahi dete, logon se waabasta umeedein dukh deti hai.
108. Kisi ki madad karte waqt uske chehre ki jaanib mat dekho, ho sakta hai uski
sharminda aankhein tumhare dil me ghuroor ka beej bo de?
109. Jab tum duniya ki muflisi se tang aa jao aur rizq ka koi raasta na nikle? T
o tum sadqa de kar ALLAH se tijarat karo.
110. Zindagi ustaad se bhi zyada sakht hoti hai, ustad sabaq de kar imtehan leta
hai aur zindagi imtehan le kar sabaq deti hai.
111. Wo gunah jis ka tumhe ranj ho, ALLAH ke nazdeeq us neki se behtar hai jis s
e tum me.