This document discusses the views of certain individuals like Ghaznavi Sahab, Parvez Sahab, and Uzair Ahmed Siddique who claim that salat (prayer) is just a system/routine and not actually obligatory. However, the document argues that their views go against the consensus of Islamic scholars over the past 14 centuries, and that salat is indeed an obligatory part of the Islamic faith based on both the Quran and hadith. It concludes that these individuals lack proper understanding and reasoning on this issue.
This document discusses the views of certain individuals like Ghaznavi Sahab, Parvez Sahab, and Uzair Ahmed Siddique who claim that salat (prayer) is just a system/routine and not actually obligatory. However, the document argues that their views go against the consensus of Islamic scholars over the past 14 centuries, and that salat is indeed an obligatory part of the Islamic faith based on both the Quran and hadith. It concludes that these individuals lack proper understanding and reasoning on this issue.
Original Description:
islahi kitaab by mufti akmal talamza muhammad osama.
This document discusses the views of certain individuals like Ghaznavi Sahab, Parvez Sahab, and Uzair Ahmed Siddique who claim that salat (prayer) is just a system/routine and not actually obligatory. However, the document argues that their views go against the consensus of Islamic scholars over the past 14 centuries, and that salat is indeed an obligatory part of the Islamic faith based on both the Quran and hadith. It concludes that these individuals lack proper understanding and reasoning on this issue.
This document discusses the views of certain individuals like Ghaznavi Sahab, Parvez Sahab, and Uzair Ahmed Siddique who claim that salat (prayer) is just a system/routine and not actually obligatory. However, the document argues that their views go against the consensus of Islamic scholars over the past 14 centuries, and that salat is indeed an obligatory part of the Islamic faith based on both the Quran and hadith. It concludes that these individuals lack proper understanding and reasoning on this issue.
Download as DOCX, PDF, TXT or read online from Scribd
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 9
KUCH LOG (UZAIR AHMED SIQQIQUI,, PARVAIZ,,, ABU ZAFAR NOSHERVI) KEHTAY HAIN K
SALAAT KA TARJUMA NIZAAM HAI,, OR KEHTY HAIN JESY 15 SO SAAL SE MUSALMAAN
NAMAZ PARH RAHEN HAI WO GHALAT HAI NA NABI NE AESE KIYA NA SAHABA NE NA BARY BAARY IMAMO NE(MAZALLAH). PEHI BAT AJ SE KAMO BESH 15 SO SAAL TAK KSI KO YE KHYAL Q NA AYA?? SAB KE SAB JAHIL THY?? KISI NE IS BARY ME SOCHNY SAMJHNY KI KOSHISH NAI KI?? YE EIK BEWAKOFI KI BAAT LAGTI HAI. Q K AJ SE KAMO BESH PANDRA SO SAL K DORAAN MUSALMAN CHAND PE GAYE,,, NAYE NAYE CHIZEN IJAAD KIN,,, ISLAM K LIYE BHT BARY BARY KARNAAMY SAR ANJAAM DIYE PER KISI BECHARY KO YE KHYAL NA AYA K SALAAT NAMAZ NAI OR HUM JO SAJDA RUKU KR K NAMAZ PARHTY HAI WO ISLAM NAI BLKY EK MAZAAK HAI(MAZALLAH). KOI BHI INSANI AQAL IS BAT KO TASLEEM NAI KAREGI. OR BS YE 5, 6 LOGON KO ALLAH NY ITNI AQAL ATA KI YEHI YE SAB SOCHNY PER MAJBOOR HUE WESE TO SAB GUMRAHI PER THY AGR YE 5, 6 LOG NA HOTY TO MUSALMAN GUMRAH HE REHTY. PER AFSOS HAQIQATAN YE 5, 6 LOG KHUD GYMRAH HAIN OR LOGON KO BHI GUMRAH KAR RAHY HAI. JAVAID AHMED GHAMDI KA NAM TO AP NY SUNA HE HOGA WO BHI IN 5, 6 AFRAAD ME SHUMAAR HOTY HAIN JO EK NAYA ISLAM BNANE KI KOSHISH KAR RAHY HAIN OR JAVAID AHMED GHAMDI APNY USTAAD AMEEN AHSAN ISLAHI SAHAB K BARY ME LIKHTY HAIN K ME NY ISLAHI SAHAB KO PEHLI BAR 1973 ME DEKHA OR PHR US KE BAD KSI OR TARAF NAI DEKHA MERE LIYE US WAQT IN KA DARWAZA DAR-E- NAKSHODA HE THA LEKIN ME NY HIMMAT KI OR IS BAND DARWAZY PER BETH GAYA PHIR WO DARWAZA KHULA OR AESA KHULA K APNY HE GHAR KA DARWAZA BN GAYA OR IS DIN AAJ TAK JO BHI DOLAT MILI HAI KHUDA KI ANAYAT SE OR ISI DAR SY MILI HAI. IS HAWALY KA MAQSAD YE THA KE GHAMDI SAHAB, PARVEZ SAHAB, UZAIR AHMED SIDDIQUE, ZAFAR NOSHRVI SAHAB YE KCH LOG HAIN JO NAMAZ KO NHI MANTY OR BHI BHT SI CHIZON ME IKHTILAAF KARTY HAIN TO AB BHI INKI RAYE KO GHALAT HE MANNA PAREGA Q K AQABIRON, ULAMA,, MUFTIS, OR BHT SE MUSNAD LOGON KI AKSARYAT INK KHILAAF HAI OR AMEEN ISLAHI SAHAB K IS AQEEDY K TEHAT IN SAB KO BHI AKSARYAT KI BAT MANNA PAREGI. KISI IJHTIHAD PER IJMA HO JANE K BAD ISKI HASIYAT SIRF EK RAAYE KI NAI REH JATI BLKY WO SHARIYAT K NASUS KI TARHAN EK HUJJAT-E-SHAREE BAN JATI HAI JISKI MUKHALFAT JAIZ NAHI
IS TARHAN AGAR AYIMMA ARBA AGR KISI BAT PER MUTAFIQ HON TO ISKI HASIYAT BS EK DO RAAYE KI NAHI REH JATI AGRCHA HUM ISKO ISTILAHI IJMA KA DARJA NA DE SAKEN OR IS SE IKHTILAAF KARNY KO NA JAIZ NA THERAYEN ISLAHI SAHAB KI IBAARTON SE YE BAT MALOOM HUI K AGAR TAMAAM AYIMMA ARBA MALOOM HUI KE AGAR TAMAM AYIMMA MUJTAHIDEEN KISI EK BAT PER MUTAFIQ HOON TO ISME IKHTILAAF JAIZ NAI KHOWA UNKI DALEEL BAZAHIR GHAAT HE Q NA MALOOM HOTI HO JAB K HAMARI DALEEL BAZAHIR BHI APKI AQAL KO TASLEM HOGI INSHA ALLAH. OR YE BAT BHI MALOOM HUI K AYIMMA ARBA BHI AGAR KISI EK BAT PER MUTTAFIQ HON TO WO MEHEZ EK RAAYE NHI BLKE IS SE UPER KA DARJA RAKHTI HAI. YE HAZRAAT WO AQABIR HAIN JINK BAARY ME KHUD GHAMDI SAHAB NY KAHA HAI K ILM EDEEN ME MUSLIM HASIYAT K HAAMIL THY. TO ILM E DEEN K MAIDAAN ME 12,,, 13 SADIYUN SE MUSLIMA HAISIYAT K HAMIL HAZRAAT JIN KI MUTAFAQQA BAT BEHEZ EK RAAYE KI NAHI BLKE IS SE KAHIN OONCHA DARJA RAKHTI HAI. AGAR PARVEZ SAHAB, UZAIR ZAFAR SAHAB OR GHAMDI SAHAB APNI MEHAZ EK RAAYE KI BINA PER ISKI MUKHALFAT KAREN BLKE IJMAAYI MASLAY KI MUKHALFAT BHI KAREN TO ME IS KE ELAWA OR KIA KAHHUN.
KIA YE BAAT AQAL K KISI DARJAY ME QABIL-E-QABOOL HO SAKTI HAI K 14 SO SADIYUN TAK TAMAM AHL-E-ILM BIL ITTIFAAQ EK CHEEZ KO DEEN KI BAAT ANTY HAIN OR IN 14 SO SADIYUN BAAD YE KCH AESE LOG JIN KI AQAL-O-FEHAM KO KOI SANAD BHI HASIL NAHI HAI UTH KAR YE DAAWAY KARNE LAGEN K CHODA SO SAAL TAK SB K SB AHL-E-ILM GHALAT KEHTY RAHY OR INHO NE EK GHALAT BAT KO DEEN ME SHAMIL KARDIA. YE KOI SCIENCE K MASAAYIL TO NAHI HAIN HAWAAS-O-TAJURBAAT SE PICHLON KI BAT KA GHALAT HONA SABOIT HOJAYE. YE TO DEEN KI BAATEN HAIN JO NABI(AP PE SALAM) NY SAHABA KO SIKHAYIN OR SAHABA NE AGLI NASLON KO OR PHIR NASAL DR NASAL YE SILSILA CHALTA RAHA. CHOONKE IN SAHIBAAN KO BHT SE MUTAFAQQA MASAYIL ME IKHTILAAF HAI LIHAZA AGR INKI BAAT TASLEEM KARLI JAYE TO MANNA PAREGA K AB TAK UMMAT KO HIDAYAT-O- WAZLALAT KA MURAKKAB HE MUNTAQIL HOTA CHALA AYA HAI. NA KHUDA HE APNY QURAN KE MAYINY(MEANING)KI HIFAZAT KR SAKA OR NA HE UMMAT DEEN KI KUCH HIFAAZAT KAR SAKI. ME SAMJHTA HOON K KOI BHI HOSH-O-AQAL WALA SHAKS IN NATAYIJ KO MANNAY PER AMADA NAI HOGA. LIHAAZA AQAL-O-DANISH KA FAISLA YEHI HOGA K JO SHAKS AESA TARZ-E-AMAL IKHTIYAR KARY BILA HICHKICHAHAT SAMJHLO K WO SHAKS KHUD AQALO FEHEM SE KHALI HAI. ME AGAR MUKHTASAR TAREEN ALFAAZ ME IN SAHIBAAN K BAARY ME TABSARA KARUN TO WO YE HAI K YE HAZRAAT BHT SI BATON ME YE SAMJHTY HAIN K PURI UMMAT 14 SO SAL SE GUMRAHI OR ZILALAT ME MUBTILA RAHI OR JO DALEEL K NAAM KA ISTESAAL KARTA HAI TO SAHRIYAT KA HE NAHI BLKE AQAL-O-FEHEM KA FAISLA BHI YEHI HAI K WO SHAKS AQAL-O- FEHEM SE BILKUL AARI HAI. IN HAZRAT KE USSOL-O-DALAYIL KA JO NAQSHA AAGY ARAHA HAI US PER ME YE KEHNY PER MAJBOOR HOON,,
AGR SALAT NAMAZ HOTI TO USKA TAREEQA BHI QURAN ME MOJOOD HOTA. ISKE JAWB ME HUM ARZ KARTY HAIN K PEHLI BAT YE KOI DALEEL NAI HAI K KOI KAM US WAQT HE JAIZ HO SAKTA HAI JAB USKA TARIQA QURAN ME MOJOOD HO,, Q K YE HAZRAAT MUNKIR-E-HADIS HAIN IS LIYE ME QURAN SE HE SAB SAABIT KARUNGA PHIR UN HAZRAT KI AHADEES KA ZIKER KARUNGA OR UN AHADEES SE SABIT KARUNGA JO HAZRAAT IN SAHIBAAN KI NAZAR ME MUSNAD OR HAQ PER HAIN. AGAR IN HAZRAAT KI BAAT MAN BHI LI JAYE K SALAAT EK NIZAAM KA NAAM HAI TABH BHI NAMAZ KA INKAR GHALAT HOGA Q K HAQIQATAN NAMAZ BHI EK NIZAAM KA HE NAAM HAI, MUSALMANO ME EK NIZAAM QAYIM HAI K WO DIN ME 5 MARTABA ALLAH KI KHUSHNOODI HAASIL KARNY K LIYE NAMAZ ADA KARTY HAIN. JESE KISI OFFICE ME EK NIZAAM QAYIM HOTA HAI KE IS TYM AANA HAI YE KAAM KARNA HAI OR ISKA YE INAAM MILEGA YANI SALARY, SALAAT BHI ISI FAIL KA NAAM HAI MUSALMAN EK MAKHSOS WAQT ME NAMAZ ADA KARTY HAIN OR ALLAH UNHE BESHUMAAR INAMAAT SE NAWAZTA HAI. IS TARHAN HAR BADSHAH APNI RIAYA KI FALAH-O-BEHBOOD K LIYE DARBAAR-E-AAM KA WAQT MUQARRAR KARTA HAI TA K US WAQT APNY KHAAS LUTF-O-KARAM SE APNI RIAYA KO NAWAAZAY, RIAYA KO HUMQALAMI KA SHARF BAKSHAY OR HAR SHAKS BA AASAANI APNI MAROZAAT BAARGAH-E-SHAAHI ME PESH KAR SAKY. ISI TARHAN SHEHANSHAH-E- AALAM ALLAH AZAWAJAL NY BHI APNI MAKHLOOQ OR APNI RIAYA K LIYE NAMAZ KI SURAT ME YE NIZAAM QAYIM FARMAYA K USKA BNDA BHI APNE RAB KI BARGAH ME APNE MAROZAAT PESH KAR SAKTA HAI KOI ROK TOAK NAHI, AMEER O GHAREEB BILA IMTIYAAZ SAB IS BARGAH K GHULAAM HAIN OR SAB GHULAMON ME MOAZIZ WO HAI JO SAB SE ZADA HAZIR BAASH, MUTEEH OR FARMA BARDAAR HO. ISI IZN-E-AAM PER KAFALAT NAI KI GAYI BALKE HAR FARD-O-BASHAR, AAQIL, BHAALIGH PER 5 WAQTA BARGAH-E-KHUDAWANDI ME HAZRI LAZIM QARAR KARDI GAYI TAA K HAR SHAKS KA TALUQ APNY KHALIQ SE QAYIM-O- DAYIM RAHY, ABAD KA MAHBOOD SE RABTA MAZBOOT TAR HOJAYE OR GHAFLAT-O- NISYAAN K PARDAY DILON PER NA PAR SAKEN.
PHIR JAB TUM NAMAZ PARH CHUKO TO ALLAH KI YAAD KARO KHARY OR BETHY OR KARWATON PER LAITAY PHIR JAB MUTMAIN HO JAO TO HASB-E-DASTOOR NAMAZ QAYIM KARO BESHAK NAMAZ MOMINON PER WAQT BANDHA HUA FARZ HAI AB AP KHUD DEKHIYE AGAR SALAT KA TARJUMA NIZAAM KIYA JAYE TO IS AYAT KA TARJUMA HE AJEEB HOJAYEGA, NAMAZ WAQT BANDA FARZ HAI IS SE SABIT HOTA HAI K NAMAZ MUQARRA WAQT ME PARHNA FARZ HAI. BESHAK MURAAD KO POHNCHY EEMAAN WALY, JO APNI NAMAZON ME GIRGIRATY HAIN IS AAYAT SE B SABIT HUA K SALAT NAMAZ HE HAI AGR YAHAN NIZAM TARJUMA KIYA JAYE TO NIZAAM ME GIRGIRATY HAIN EK AJEEB MAFHOOM BN JAYEGA. NIGHBAANI KARO SAB NAMAZON KI OR BEECH KI NAMAAZ KI OR KHARY HO ADAB SE ALLAH K HUZOOR IS AYAT SE SAB SABIT HO JATA HAI NAAMAZ ME HE BANDA ADAB SE RAB K HUZOOR KHARA HOTA HAI NA K NIZAAM ME,, SALAT KO NIZAM KEHNY WALY SIWAYE GUMRAH KARNE K OR KCH NAI KARNA CHAHTY. AEY EEMAN WALO JAB NAMAZ KI AZAAN HO JUMMY K DIN TO ALLAH K ZIKER KI TARAF DOURO OR KHARID-O-FIROKHT CHORDO YE TUMHARE LYE BEHTER HAI AB AP BTAYEN AZAAN NAMAZ K LYE HOTI HAI K NIZAAM K LYE?? JUMME K NIZAAM K LYE KOI AZAAN HUI HAI?? AZAAN TO HAI HE NAMAZ K LYE. YAHAN SE AZAAN KA BHI SABOOT MILA. OR NAMAZ K LYE KHARID-O-FIROKHT CHOR DO AGR SALAT NIZAAM HOTA TO NIZAAM CHALANY K LYE KHARID-O-FIROKHT Q CHORI JATI?? OR NAMAZ QAYIM KARO OR ZAKAAT DO OR RUKU KARNE WALON K SATH RUKU KARO RUKU KA BHI HUKUM AGAYA YANI NAMAZ KA TARIQA BHI SABIT,, OR RUKU MATLAB JHUKNA OR JHUKA NAMAZ ME RAB K AAGAY JATA HAI NA K NIZAAM ME. OR JO KEHTY HAIN HUM JO NAMAZ PARHTY HAIN AESE JHUK JHUK K HINDO POOJA KARTY HAIN TO JHUKNE KA HUKUM QURAN SE SABIT HAI AB KIA WO LOG QURAN KO BHI GHALTA KAHENGY(MAZALLAH). OR SABAR OR NAMAZ SE MADAD CHAHO OR BESHAK NAMAZ BHAARI HAI MAGAR UN PER JO DIL SE MERI TARAF JHUKTY HAIN JO KEHTY HAIN K HUM NAMAZ PARHTY HAIN PER BURY KAAM SE NAI RUKTY NA TARAQQI KARTY HAIN JAB K NAMAZ BURY KAMO SE ROKTI HAI OR KAIYABI KI RAAH HAI,, OR AZGREEZ KHOOB TARAQQI KAR RAHE HAIN. TO ISKA JAWAB IS AYAT ME AP NE DEKHA JO DIL SE JHUKTY HAIN YANI KHUSHU-O- KHUZU K SATH OR NAMAZ ME KIA PARH RAHEN HAIN UN ALFAAZ KA TARJUMA SAMJH KAR OR KHOOB DIL SE PARHTY HAIN, UNKO NAMAZ BURAI SE ROKTI BHI HAI OR WO KAMIYAB BHI HOTY HAIN. ANGREEZ KAMIYAB TO HAIN BT BURAI ME JITNY WO MUBTILAH HAIN KOI MOMIN NAI HO SAKTA. MOMIN KI NISHANI HAI JO DIL SE NAMAZ OR TAMAM AHKAAM PURA KARE. HUM NA NAMAZ DIL SE PARHTY HAIN NA SAMJH K PARHTY HAIN IS LYE HME BARKATEN NASIB NAI HUIN OR HUM NE ISKA QASOOR SALAAT PER DAL DIA K SALAT NAMAZ HAI HE NAHI HALAN K GHLTI SALAT KI NHI HAMARI HAI. TO ALLAH KI PAAKI BOLO JAB SHAAM HO OR JAB SUBAH HO. OR USI KI TAREEF HAI ASMANO OR ZAMINON ME OR KUCH DIN RAHE OR JAB TUMHE DUPHER HO YAHAN SE SABIT HUA SUBAH YANI FAJAR ME BHI NAMAZ ME PAKI BAYAN KI JATI HAI, DUPHER ZOHR ME OR SHAM ME BAQI 3 NAMAZEN. OR NAMAZ QAYIM RAKHO DIN KE DONO KINARON OR KUCH RAAT KE HISSON ME, BESHAK NEKIYAN BURAIYUN KO MITA DETI HAIN, YE NASIHAT HAI NASIHAT MANNY WALON KO OR SABAR KARO K ALLAH NEKON KA NEIK AJAR ZAYA NAHI KARTA AB DEKHAIN KTNI SAAF WAZAY HAI SAB KCH,, DIN ME NAMAZ KA HUKUM HAI DIN K DONO KINARON OR RAAT K KCH HISSON ME YANI FAJAR OR ISHA KA PHIR SABOOT. OR PHIR YE B KAHA K NEKIYAN BURAIYUN KO KHTM KARTI HAI MTLB NEIKI KA KAM HAI NAMAZ PARHNA OR PHR SABAR KA BHI HUKUM HUA K JALDI MAT KARO AJAR MILEGA PER WAQT AANE PER. IN HAZRAAT KO YEHI GILA HAI K AJAR NAI MILTA TO APKI KHIDMAT ME ARZ HAI K ALLAH NE WAQT MUQARRAR KARDIA HAI, OR BAZ DAFA AJAR KISI OR SURAT ME MIL BHI JATA HAI HME KHBAR TAK NAI HOTI,, MASLAN AJ HAMARA ACCIDENT HONE WALA THA PER NAMAZ KI BADOLAT RAB NE HAME BACHA LIA TO YE AJAR HE HUA NA PER INSAN KO KHBER TAK NAI HOTI OR ALLAH ATA BHI KAR DETA HAI,,, HO SAKTA HAI KOI AFAT HUM PE ANE WALI THI NAMAZ KI BARKAT SE RAB NE BACHA LIYA. TO BS AQEEDA DRUST HOTO SAB MILTA HAI OR AGAR DUNIA ME NA BHI MILY TO AKHRAT ME TO ZAROOR NEKIYUN KA JAR MILEGA. LEKIN JIN AQIDON SE HUM NAMAZ PARHTY HAIN TO UN AQIDON SE TO KUCH HASIL NAI HO SAKTA. NAMAZ QAYIM RAKHO SURAJ DHALNY SE RAT KI ANDHERI TAK OR SUBAH KA QURAAN, BESHAK SUBAH K QURAAN ME FARISHTY HAZIR HOTY HAIN. OR RAT K KCH HISSY ME TAHJUD KARO YE KHAS TUMHARE LYE ZADA HAI. OR TUM HAMARI KON KOUN SI NEMATON KO TUKHRAOGE,, TO AB FAISLA AP KAREN KE SALAT KO NIZAAM KEH KAR NAMAZ SE LOGON KO DOOR KARNE WALY HAZRAT ALLAH K QALAAM KO JHUTLA RAHE HAIN OR BOL QURAN K BOLTY HAIN HUM BAS QURAN KO MANTY HAIN HADIS KO NAHI ASAL ME YE NA QURAN KO MANTY HAIN NA HADIS KO AEY EMAAN WALO RUKU KARO OR SAJDA KARO OR APNY RAB KI BANDAGI KARO OR BHALY KAM KARO, ISI UMEED PER K TUMHE CHUTKARA HO JO NAMAZ KO HINDU KI IBADAT BTATY HAIN K SAJDA TO HINDO KARTY HAIN HAMARA TARIQA NAI TO UNKO JAWAB MIL GAYA HOGA K ALLAH KHUD BANDON KO SAJDY KA HUKUM DE RAHA HAI LEKIN SIRF ALLAH KO SAJDA KARO JINHY HINDU POJHTY HYN UNHY NAHI. AB AETARAZ PEDA HOTA HAI LOG QABER PER JA KAR SAJDA KARTY HAIN WO SHIRK HO GAYA PPEHLI BAT QABER PER SAJDA NAJAIZ HAI OR JO YE KAAM KAR RAHA HAI WO JAHALAT ME MUBTILAH HAI NA K WO KSI K KEHNY PER AESA KARTA HAI. OR SHIRK ITNA ASAAN NAI JITNA BNA DIA GAYA HAI. AGR KOI WAQYI SAJDA KAR RAHA HAI TO PEHLY YE CONFRM KAREN K SAJDA-E- TAZEEM KAR RAHA HAI YA SAJDA-E- IBADAT?? AGR SAJDA-E- TAZEEMI KAR RAHA HAI TO GUNAH-E-KABIRA KA MURTAQIB HOGA NA K MUSHRIK(LEKIN YE AMAL B NAJAIZ OR SAKHT GUNAH OR JAHANUM ME LEJANY WALA AMAL HAI,, OR HAN AGAR SAJDA-E-IBADAT KAR RAHA HAI TO MUSHRIK HOJAYEGA. LEKIN HAMARE HAN TO SHIRK K FATWAY LAGANY ME SAB MAHIR HAIN JISKO JHUKE HUE DEKHA OR SHIRK KI TOUP SE MUSHRIK MUSHRIK KI FIRING KARNA SHRU KAR DETY HAIN. OR IMAANDAARI SE BATAYEN KSI GAAON KA UNPARH JAHIL GAWAAR JISKO KCH B NA PATA HO AGR AP US SE BHI JA KAR POCHENGY TO WO BHI YEHI KAHEGA K ME ALLAH KO HE SAJDA-E-IBADAT KARTA HON. TO AGR KOI WAQAYI QABER KO SAJDA KAR RAHA HAI TO PEHLY JA KR CONFRM TO KARLEN K SAJDA-E-IBADAT KAR RAHA YA TAZEEMI. KHER EK GUNAH-E- KABIRA HAI OR DOSRA KUFRU SHIRK. IMAM ABU HANIFA FARMATY HAIN JIS SHAKS NY JAN BOJH KAR NAMAZ QAZA KI USY QAID KAR K SAKHT SAZA DI JAYE OR ITNA MARA JAYE K US K BADAN SE KHOON BEHNY LAGY, YAHAN TAK K WO TOBA KARY YA USI HALAT ME MAR JAYE. IMAM AHMED BIN HAMBLE JIN KA HAWALY UZAIR AHMED SIQQUI APNI BOOKS ME AKSAR DETY HAIN WOHI IMAM AHMED BIN HAMBLE FARMATY HAIN: EK DAFA MOSAM-E-KHIZAAN ME RASOOL(AP PE SALAM) NE EK DARKHT KI TEHNI KO PAKAR KAR HILAYA TO US KE PATTY GIRNY LAGY. TAB NABI(AP PE SALAM) NY FARMAYA JAB MUSALMAN BANDA SIRF ALLAH KI RIZA K LIYE NAMAZ PARHTA HAI TO US KE GUNAH IS TARHAN JHARTY HAIN JIS TARHAN IS DARAKHT K PATTY(LEAVES) JHARTY HAIN. IMAM MAAILK LIKHTY HAIN: ABBU MASOOD ANSAARI NU HAZRAT MUGHAIRA SE FARMAYA K HAZRAT JIBRAEEL(AP PE SALAM) AYE OR INKE HAMRAH NABI(AP PE SALAM) NY NAMAZ ADA FARMAYI. PHIR DOSRAY TEESRAY OR CHOTHY WAQT KI NAMAZ BHI SAATH PARHI. IS TARHAN 5 NAMAZON K OUQAAT(WAQT) MUQARRAR HUE. YE RIWAYAT BASHEER BIN ABI MASOOD ANSARI SE LI GAYI YE HADEES UZAIR AHMED SIDDIQUI NY APNI HE KITAAB ARMAGHAN-E-AJAM ME ZIKER KI HAI. AB AP KHUD BATAYEN YE TAMAM AYIMMA ARBA ITNAY BARY OR ILM WAALY LOG THY JAB YE SALAT KO NAMAZ KEHTY OR ADA KARNY ME ITNI SAKHTI KARTY THY TO HUM KON HOTY HAIN APNE PAS SE BATAIN KARNE WALY. UZAIR AHMED SIDDIQUI NY KHUD ZIKER KIYA APNI KITAAB ME OR PHR GUMRAH KARNY K LYE NAMAZ KO GHALAT BHI KAHA EK JAGA SAHI KAHA EK JAGA GHALAT IS SE SAAF ZAHIR HAI ASAL ME YE LOG ISLAM KO BARBAAD KAR RAHE HAIN KISI SAZISH K TEHAT. YE JITNAY BHI 5, 6 HAZRAT (UZAIR, PARVAIZ, ZAFAR, GHAMDI, ZAKIR NAYIK)HAIN, YE LOG IMAM HANISFA, MAALIK, SHAAFI, HUMBLE IN 4 IMAAMON KO HAQ MANTY HAIN PER AFSOS INKI BATON PER BHI AMAL NAHI KARTY, ASAL ME LOGON ME GHALAT FEHMIYAN DAALNA INKA PESHA HAI ISI SE INKA GHAR CHALTA HAI. WARNA AYIMMA ARBA NY JO APNI ASANEED ME LIKHA HAI WO BHT SOCH SAMJH KAR OR TEHQEEQ SE LIKHA HAI. AB AP KHUD ANDAZA LAGAEN JINKO ITNA SA BHI ILM NHI YEHI LOG QURAAN KA TARJUMA BHI KAR RAHE HAIN OR PATA NAHI KON KON SI KTABEN BHI LIKH KAR LOGON KO GUMRAH KAR RAHE HAIN.