Aaaaa
Aaaaa
Aaaaa
AHLEBAIT ASWS ne qurbaniyan tu is liye de the ke hamaray nafs ghaflat o la shaori ki nijasat se
pak hojain- yeh tu Injeel main bhi bayan kia gaya hay" phir ma ne pahaar per aik esi jamat ko
dekha jin ke jamay sufaid thay- yeh wo log hain jinhon ne apnay jammay BAR'REY ke khoon se
dhoh ker sufaid kiye hain - wo BARRA jo binaey alam ke waqt zibha howa- phir chand satoor
baad SUFAID JAMAY ki sharah bayan kerde he k " SUFAID JAMAY SE RASTBAZI KE KAAM
MURAD HAIN."
injeel bhi shahadat de rahe he ke BAR'REY ka khon nafs ka jama e batini ka mail dhohnay ke liye
hey( mukashifat e yuhanna).
ab yeh amr tu ashkar hogya ke zibhe azeem ka maqsad tazia e nafoos e khalq ha yani hamaray
nafoos ko ghaflat o la shaoori ki nijasat se pak kerna hay ta ke ham shirk e hawa parasti se nikal
sakain aur wajood e bari ka yaqeen e qalbi hasil ker sakain-magar afsoos ha hamari badnaseebi
ha ke ham ne HUSSAIN ASWS mazloom ke zikr ko hasool e dard ka zaya banany ke bajaey
HAZZ O SARWAR ke husool ka zarya bana lia.
Yeh majalis jo marifat e hussool ka zarya thain ham ne inko besood bana lia - jo karamaat o
mojzaat doran e azadari zahir hotay rehtay thay in se hamaray zehno ma yeh khiyal rasikh hogya
ke ham haq per hain- hamara mazhab hi haq hay aur yeh AHLEBAIT ASWS ka mazhab aur onka
taleem kerda hay- halan ke zahoor e mojzaat tu HUSSAIN ASWS ki haqqaniyat o azmat o jalalat
ka saboot hay ne ke hamari haqqaniyat ka- is liye ghiar shia afraad maslan sikh hindow hanafi
shafaee waghera ma se jo bhi AZAEEY HUSSAIN ASWS barpa kerte hain inke liye bhi mojzaat o
kirammat ka zahoor hota ha bal ke hamari nisbat in ke yhan kuch zaida hi hota ha - pas agar
haqqaniyat e mazhab ki yehi dallel ho tu inka mazhab ziada sacha howa jata ha - hamaray zehno
ma yeh takhayyul qaim hogya ha ke HUSSAIN ASWS hamara ha- AHLEBAIT ASWS hamaray
hain ghairon ka in se kia taluq halan ke wo tu noor e aizdi hain- jo RABUL AALAMEEN HAy- inka
faiz tu aam hay- inko jo bhi khuloos se pukary wo osi ke hian ham rehmat e aizdi ke thekedar ban
gaey- ham ne darwaza e rehmat ko gher lia- na is noor se khud faizyaad howay aur na dosron ko
is se mustafeez honay dia- afsoos ke ham ne apni nafs parasti aur shetan parasti se majalis e
muqadisa hussainia main shetan shareek kerlia-
aik raaz e fitrat tu yeh hay ke nafs ki aur takhayyul ki islah tu dard se hoti ha - hamaray quloob ko
dard denay ke liye hi AAL E RASOOL ASWS ne mazloomiyat ki zindagi akhtiyar ki aur isi liye
qurbaniyan detay rahay - magar ham ne in qurbaniyon ke asraat ko zael ker dia aur ham is main
masroof rehtay hain...
IQBAL MEMON
3rd June 2011, 02:31 PM
Yeh majalis jo marifat e hussool ka zarya thain ham ne inko besood bana lia
...