MARSIYAE
MARSIYAE
MARSIYAE
Page-1-
Ghar Say jay Bahre Safar Syede Alam nikle Ahle Haram Pe Aaj Qiyamath Ki Rath Hai Ay Momeeno Kya Sakhth Yateemee Ki Bala Hai Aye Soogwaro Aho Buka Ka Mukham Hai Azeezo Zainabe Muzthar Ka Aaj Matham Hai Dashthe Bala Me Goom Ali Akbar Ki Laash Hai Daulath Koyi Duniya Me Pisar Se Nahi Bethar Ibne Ali Jo Baghe Risalath Luta Chuka Jab Gul Howa Chirage Haram Qaide Shaam Me Jab Khathema Baqair Howa Fouje Shah Ka Jab Sadre Zee Se Girpade Abbase Bawafa Jis Dum Nageene Khatime Paighambara Gira Pidar Ki Mauth Hai Marna Jawan Bete Ka Run Se Jab Khake Sina Akbare Zeeshan Aye Zakhmi Jo Runme Fatima Ka Gulbadan Howa Qaid Me Dukhthare Sultane Zaman Akhir Hai Azeezo Zainabe Muzthar Ka Aaj Matham Hai Ay Momeeno Kya Sakhth Yateemee Ki Bala Hai
Page-2-
2)
Ruq Kiya Shah ne sue qabre Shahinshae anam Bahr Tasleem jhuike Muttasile babe salam Izn padkar jo gaye qabr ke nazdik Imam Arz ki aaya hai aaj aakhri Ruksat kou Ghulam- Jawab Yea Makaan hum se ab ai shahe zaman choot tha hia Aaj Hazrat kay Nawase say watan choot tha hai Jawab Chaain Se Sub hai gharon main mujhe milta nahi chain Saqt aafat main hai ab apkaa ye noorul aain Tukde dil hota hai jab rokay haram karte hai bain Nanhay Bachcho kou bhala lekay kidhar jayea Hussain Jawad Shahr mein Chain na Jungle main amaan milti hai Dekhiyea Qabr musafir kou kahan milti hai Jawad Ab mere sar ke liye teiz hue hain khanjar Ahle keen Shar pe kamar Bandhe Hain ya qaire bashar Aapne di thi isi roze ki Amma ko Qabar Waleda roye thee do roz talak peet ke sar Jawad Is Nawase ko magar bhool n jana Hazrat Zibha ke waqt madad karne ko aana Hazrat Jawad
3)
4)
5)
Yea who din hai kay parinde bhi nahien chordte Ghar Mujh ko dar pesh hain in rozon main aafat ka safar Hai kaheen Qatl ka Samaan kabhi lut jaane ka dar Saat hai bachon ka ay Badeshahhe Jinoo Bashar Jawad Tang jeene se hoon paas apnay bulalo Naana Apani Turbat main Nawase kou Chipalo Nana Jawad
6)
Yea Bayan Karkay Jo Taveez Say Liptay Sarwar Youn Hilli Qabr ke tharrai Zaree e anwar Aayi turbat se ye awaazey habib e dawar Teri Gurbat kay main Sadqe Meray Mazloom pisar Jawad Koyi samja na meri Gooud kaa Paala tujko Hai aada nae Madinay say Nikala Tujko. Jawad
Page-3-
7)
Aai Mere Gaysuon o wale mere Sabir Shabbir Mere bekas mere Mazloom Musafir Shabbir Na Raha koye tera yawar o nasir Shabbir Hai Ai gor e-gareeba kay mujver shabbir Jawad Tu jaahain Jayeaga Pyare wahin chalta Hoon main Khaak Udataa huva Turbat say Nikalta Hoon Main Jawad Kayee din Say Teri Maadar kou Nahi qabr main Chain Aaye thi Shab kou mera paas yea Karti huvi Bain Ghar mera Lut taa hai Faryaad Rasool us Saqlain Subha kou apan watan Chord ke Jaata hai Hussain Jawad Kahne aayi hoon ke muh Qabr se modungi main Apnay Bache ko akela thou na Chodongi main Jawad
8)
9)
Sunkey Yea Shah Nay Kiya aakhri Ruksat ka Salam Nikle rote huve jab roza e Anwar say Imam Sheh Se usdam Yeh Kiya ro ro ke Zainab nay Kalam Qabr Par Maa ki Mujay Laychalo Ya Shahey anam Jawad Log Hamrah hai mahmihein kyou kar Roowo Maa ki turbat say phir ek baat lipat kar roowoh. Jawad Maa ki turbat pe gayea Shah ba chashme qoon baar Utri Mahmil se basad ah o fugahaan Zainabe Zaar Dourd Kar Qabr Se Lipte Jo Imame Abraar Haat Zehra ke Lahad Se Nikal aayea Ek baar Jawad Aayi Aawaz Na Ro Dil ko Qalaq Hota hai Qabr Hilti hai Kaleja mera Shaq Hota Hai Jawad Haan Bulawo Mera Abbas e-Dilawar hai Kidhar Wo fida Hai mere Bache pe main sadqe Uspar Shikam e-ghair se hai par who wera hai pisar Yea Sad sun ke biradar ko pukare Sarwar Jawad Abhi Rahwar ko aage na badhao Bhai Yaad Farmati hai Amma idhar aawo bhai Jawad Aake Abbas nay Sar Rakhdia Paeene Mazaar Aayi Zehra Ki Sada Mein Teri Gurbat Ke Nisar Apne Pyaron Ke Barabar Mein Tujhe Karti Hou Pyar Dhayaan Bhai ki Hifaazat ka rahe aai Dildaar Jawad Kohi Gurbat main Usay Maar na daale Baita Mera Shabbir Hai ub Teray Hawley Baita. Jawad
10)
11)
12)
Page-4-
2)
3)
4)
5)
6)
7)
Page-5-
Hai rath andheri aur ye basthi parayi Jungle mai maa se door mera chota bhai hai - jawab Baba bularahe hain mujhe chodo jathi heon Asghar ko apni goad me maidan se lathi heon - jawab 8) Zainab ne pyaar karke yatheema Hussain ko Godi me apni leliya os noreain ko Boli zara tho keejiyo kam shoroshain ko Kal subha dekhlogi shahe mashrekain ko - jawab Behlayi yon phoophi ke wo khamosh hogayi Ghurbath se maa ke zanu pe sar rakhke sogayi - jawab Guzri hai adhi rath falak bhi hai nohagar Girthe hai tare tootke maninde ashk tar Aur chupke chupke rothi hai ek bibi nange sar Hai chobe khaima hath mai bandhi howi kamar - jawab Kati hai rath ankheon pe Zehra ki gulezaar Masroof hai talaye mai bhai ki soogwar - jawab Awaaz ayi ghodeke tapeon ki nagahan Dekha sawar atha hai is simath be takan Badkar pukari kaun hai kya kaam hai yahan Waris hamare khathal howe lutgaye make - jawab Allah hai gawah nahi paas malo zar Chadar hamari chingayi aur ham hai nange sar - jawab Lekin badhaye ghode ko atha tha wo sawar Zainab ke paas rokliya ake rahwaar Olti nakhab chere se othra wo shesawar Beti ke samne the khade shaire kirdagar - jawab Hai khak sarpe thame kaleje ko aye hain Pursa bahen ko bhai ka dene ko aye hain - jawab Pehla ke hath baap se Zainab lipat gayi Ro ro ke kehthi thi meri kismath olat gayi Bakhi jo panjethan ki nishani thi mit gayi Baba mai apne bhai se jungle me chut gayi - jawab Amma ka ghar bhara howa barbad hogaya Sehra jo karbala ka tha abad hogaya - jawab Rokar kaha Ali ne ho qurbaan ye pidar Sorahio thodi dairke hothi hai ab saher Darpaish subha ko hai tumhe shaam ka safar Darbar me yazeed ke jana hai nange sar - jawab Mushkil kusha heon zulm ye dekhe na jayenge Beti rasan se hath tere bandhe jayenge - jawab
9)
10)
11)
12)
13)
Page-6-
14)
Ayi sadaye Fatima fariyaad ya Ali Khethi hamari hogayi barbaad ya Ali Mushkil kushaye kalkh ho do daad ya Ali Bacheon pe mere hogayi bedaad ya Ali - jawab Abaad karbala howi ghar mera lut gaya Zainab hai berida sare Shabeer kat gaya - jawab
MARSIYA
1)
Ay momeeno kya sakhth yateemee ki bala hai Is zakhm ka marham hai na is ghamki dawa hai Pocho tho yatheemon se ke ye wakhiya kya hai Kis omr me ye dhaag Sakina ko mila hai - jawab Jab khatimaye shahe sarafraaz howa tha Likha haike chautha baras aaghaaz howa tha - jawab Issin me koyi baap juda hona pisar se Furqath howi tifli me Sakina ko pidar se Pooche koyi ye dard yateemeon ke jigar se Bachpan me pidar otha ho jin bacheon ke sar se - jawab Aaghaz is andhoka anjaame khaza hai Ye daaghe yateemee nahi paighame ghaza hai - jawab Zindan me mukhiyaad jo howe sab harame shah Anboho khalaekh howa darwaze pe nagah Balwa howa is darja ke masdood howi rah Sar sharm se zanjeer pe Abid ne rakha ah - jawab Tha wo arakhe sharm aseereon ke badan me Rotha tha har ek azoo ghame shahe zaman me - jawab Mashghool jo the khail me athfaal wo saare Kahthi thi Sakina wahan hasrath se nazare Kehthi thi ke kya hogaye hamjoli hamare Baba Ali Asghar ko kahan leke sidhare - jawab Sab bachche yahan khailthe hain khanda zana hai Me khailthi thi jinse wo athfaal kahan hai - jawab Bhar bhar ke dame sard ye ki bano se gufthaar Is bachche ko dekho thoke kya khush hai ye dildaar
2)
3)
4)
5)
Page-7-
Kya naame pidar pyaar se letha hai har ek baar Ek ham hai ke hai baap ki furkhat me girafthar - jawab Dil me jo mere dard hai khaliq pe ayan hai Mai kisko kaheon baap mera baap kahan hai - jawab
6)
Baba mere hothe tho onhe kehthi mai baba Ab baap kahan jisko kaheon baap me dukhiya Yon koyi pidar se beti se ghafil nahi hotha Hairaan heon baba ke wo ashfaaq howe kya - jawab Aada ne hame qaid kiya shaam me lakar Baba mere kyon mujhko nahi dhoondthe akar - jawab Ye kehke Sakina pe jo rikhath howi taari Bas haaye pidar kehke kayi baar pukari Tadpi jo zamee par tho zamee hil gayi saari Jhinjhlake kaha shumr ne phir karthi hai zaari - jawab Ab khoob rulaeonga tujhe mai na dareonga Reh tujhko aseereon se juda qaid karonga - jawab Phir shumr ne bazooye Sakina ko jo pakda Kunbe ki taraf osne ajab yaas se dekha Sab khaidiyon me ek khiyamath howi barpa Sajjad ke khadmeon pe machal kar giri dukhiya - jawab Yon lipti thi bhayi se wo is khaofo khathar me Ek haath tho gardan me tha ek hath kamar me - jawab Meon dekhke Sajjad ka kehthi thi wo darkar Ab aap mere roneke zamin heon barather Gartumse choti zeesth meri hoegi kyonkar Ab roeon tho jo chahe kare shumre sithamgar - jawab Bhaiya mujhe tho shumrse is waqt bachale Ab royon tho kardeejio zalim ke hawale - jawab Ab royi so mai royi na ab roeongi zinhar Ab roeon agar baap ko apne tho gunahgaar Farmao ke ab chod de mujhko ye jafakaar Baazoo mera dukhne laga ay Abide beemar - jawab Kistarah juda kunbe se howegi Sakina Tum kehdo khasam khake na royegi Sakina - jawab Ye kehthi thi kheencha jo sithamgar ne khazara Kurtha tho phata tha wo phata aur bhi sara Tab Abide beemar ne rokar ye pukara Ay shumr ye bin baap ki bachchi hai khudara - jawab Ghafil teri dehshath se na howegi Sakina Ab aisi dari hai ke na royegi Sakina - jawab
7)
8)
9)
10)
11)
Page-8-
2)
3)
4)
5)
6)
Page-9-
7)
Haan ashakho Hussain ke aho buka karo Zehra ka sath do madade mustafa karo Haqkhe mohabathe shehay bekas ada karo Ab kooch hai Hussain ka mehshar bapa karo - twice (jawab) Lo ab vida keejiyo ale rasool ko Do akhri Hussain ka pursa Batool ko - twice (jawab) Ay tashnakaam bekaso nakaam alwida Ay mubtelaye hasratho alaam alwida Ay bekafan Ali ke gulandaam alwida Mazboha taig shumre badanjaam alwida - twice (jawab) Mazlumiyath pe apki jan apni khoyenge Jabtak hai zinda apke matham me royenge - twice (jawab) Ay shahe karbalaye moallah salam lo Ham bekason ke waliyo moula salam lo Akha salam lo shehay wala salam lo Ay Fatima ke chaand hamara salam lo - twice (jawab) Rukhsath ye akhri hai dilafgar ayen hain Maula salam lo ye azadaar aye hain - twice (jawab)
8)
9)
Azeezo Zainabe Muzthar Ka Aaj Matham Hai 1) Azeezo Zainabe muzthar ka aaj matham hai Azeezo Zeenathe Hyder ka aaj matham hai Ali ki ladli dukhthar ka aaj matham hai Ghareeb shah ki khahar ka aaj matham hai - jawab Sukoone khalab khuda ke habeeb ko deeje Bahen ka pursa Hussaine ghareeb ko deeje - jawab Dubare khaid howe jabke Syede Sajad Aseer karke sowe shaam lechale jalad Tadap ke sath howi haye Zainabe nashaad Nabi ke rauzaye akhdas pe jake ki fariyaad - jawab Shaheed hogaya bhai Hussain ay nana Magar nahi hai layeeno ko chain ay nana - jawab Phir aaj Abide bepar ke sath jathi heon Yazeede nahes ko khaufe khuda dilathi heon Khuda ne chaha tho is laal ko chudathi heon Hayath bakhi agar hai tho wapas athi heon - jawab Jo aye rahme mauth aap ayiye nana Hamari laash pe anseon bahaiye heon - jawab Ye sunke othi gayi Fatima ke rauze par Lipat ke khaber se kehne lagi ye khastha jigar Otho otho meri amma ke ayi hai dukhthar Aseer hogaya phir mera Abide muzthar - jawab Tamam gharko ojada magar na chain aya Dubara syede Sajjad par sitham dhaya - jawab
2)
3)
4)
Page-10-
5)
Phira chuka tha sithamgaar darbadar amma Dikhaya naize pe bhai ka mujhko sar amma Madeena bheja tha ghar bar lootkar amma Phir aaj hotha hai weeran sara ghar amma - jawab Chala hai khaid me phir zainulabedeen hai hai Rahegi chain se kya Zainabe hazee hai hai - jawab Rawane hogayi phir sooye shaam wawaila Khamoosh rothe the chauthe imam wawaila Azeez karthe the milkar tamam wawaila Layee rawana howe taizgaam wawaila - jawab Likha hai rahme ek manzile ghareeb ayi Bathul zadiki hai hai khaza khareeb ayi - jawab Nazar khuzadi ki nagah os shajar pe padi Ke jis me rakha tha farkhe Hussain ibne Ali Tadap ke haye Hussaina kaha zamee pe giri Othi sambhal ke tho fariyaad os shajar se ye ki - jawab Kahan hai bhai mera ay shajar batha jaldi Hussain ke liye rothi heon khak oda thu bhi - jawab Kalega agaya meon ko tadap raha tha jigar Ziyarath shahe karbobala padhi rokar Namaz padhne lagi jab ghareeb zaire shajar Abhi othaya tha na haye haye sajde se sar - jawab Sitham ka bailcha ibne thameem ne mara Lahoo mussale pe bekas ka beh gaya sara - jawab Kamar khameeda kiye Zainul-Abedeen aye Sambhal kar dile sad pash ko kharee aye Ajeeb haal se lashe pe shahe dee aye Kabhi tho charkh ko gah dekhthe zamee aye - jawab Ek ah ki sare Zainab ko leke zanu par Thadap gaye jo kaha kuch phoopi ne rorokar - jawab Adhu ka dais hai aur haye jan balab Zainab Zaba se bath bhi karthi nahi hai an Zainab Chali jahan se othaye kayi tauab Zainab Sare shigaftha hi like sooye rab Zainab - jawab Phir ayi puthliya behoosh hogayi bibi Odao khak ke khamossh hogayi bibi - jawab Aseer syede Sajjad nafz dekhthe hain Gareeb bekaso nashaad nafz dekthe hain Hai waqthe nalao fariyaad nafz dekhthe hain Nahi koyi paye imdaad nafz dekthe hain - jawab Hatake hath zamee par lita ke rone lage Amama khak pe sar se girake rone lage - jawab
6)
7)
8)
9)
10)
11)
Page-11-
12)
Hussain walo bathao kidhar gayi Zainab Otha ke zulmo sitham kooch kargayi Zainab Musaferath me jahan se guzar gayi Zainab Hazaar haif ke ghurbath me margayi Zainab - jawab Bas ek Abide muzthar hain khak adane ko Hussain agaye markhad se laash othane ko - jawab
Dashthe Bala Me Goom Ali Akbar Ki Laash Hai 1) Dasthe bala me goom Ali Akbar ki laash hai Farzande Fatima ko pisar ki talash hai Daghe jigar ko nakhoone gham ki khirash hai Sange alam se shishaye dil pash pash hai - jawab Bano ko ghash hai ahle haram dard kidhar gaye Hai hai pisar ki ghar me sadayen buland hain - jawab Chillathe hain ke baap ke pyare kidhar gaye Ay noore chashm ankheon ke tare kidhar gaye Ay meri zindagi ke sahare kidhar gaye Phoncha ke ham ko gore kinare kidhar gaye - jawab Andhair hai agar na rumhe payega pidar Awaaz doge tumtho chala ayega pidar - jawab Kisja pe tum pade ho bathao pidar nisar Awaz hamko apni sunao pidar nisar Ham girpade hain ake othao pidar nisar Chathi se phir pidar ko lagao pidar nisar - jawab Rukhsath hai apne ghar ko zara dekh bhal lo Lagjish hai hath paeon me Akbar sambhal lo - jawab
2)
3)
Page-12-
4)
Ay arze karbala mera dilbar kidhar gaya Ay dasthe nainawa maye anwar kidhar gaya Maqthal se ham shabiye payembar kidhar gaya Ay nehre alkhama Ali Akbar kidhar gaya - jawab Nikla heon main shaheed pisar ki talash ko Bathla mujhe mere dure yaktha ki laash ko - jawab Ay fauje zulm bano ke dilbar ko kya kiya Bekas ko tashnakaam ko bepar ko kya kiya Ay zalimo shabiye payembar ko kya kiya Miltha nahi mere Ali Akbar ko kya kiya - jawab Lillah do patha ke bhatakthe hain rah mai Shayed giradiya mere yusuf ko chah mai - jawab Ye kehke har taraf gaye bachashme ashkbaar Lekin mila na laashaye farzande naamdaar Khaime ki simth aaye jo rothe bahale zaar Chillayi sarko peet ke fizza jigar figar - jawab Ya shah mai bhi aneko thi fauje shaam mai Milthi nahi hai Zainabe bekas khiyam mai - jawab Ye sunke khak orathe chale sarware zama Ja phonche laashaye Ali Akbar pe naghan Dekha ke binthe Fatima ba chashme khoon fishan Karthi hai laashe Akbare mazloom par fughan - jawab Na dosh par rida hai na rukh par naqab hai Kaneon ke bunde hilthe hain ye izteraab hai - jawab Chillathi hai ke goodh ka pala kahan gaya Ankheon ka noor ghar ka ojala kahan gaya Chashm chirage syede wala kahan gaya Mera wo lambe gesonwo wala kahan gaya - jawab Do bete khoke paya tha is nonehaal ko Barchi se kisne qathl kiya mere lalko - jawab Zainab ka haal dekhke roye shaye anaam Khahar ke paas ake kiya istarah kalam Dilko sambhalo abke ye hai sabrka mukhaam Zinda hai ay bahen abhi shabeere tashna kaam - jawab Tum jao mai othatha heon Akbar ki laash ko Kahimai mai leke atha heon Akbar ki laash ko - jawab
5)
6)
7)
8)
9)
Page-13-
1) x
Daulath koyi duniya me pisar se nahi behthar Rahath koyi arame jigar se nahi behthar Lazath koyi paakiza khamer se nahi behthar Nikhath koyi booye gule tarse nahi behthar - jawab Sadmeon me ilaje dile majrooh yahi hai
2) Malik se bhare ghar ke ojad jane ko poocho Ghar waleon se ye tafrekha padjane ko poocho Maa baap se kismath ke bigadjane ko poocho Shabeer se Akbar ke bichad jane ko poocho - jawab Allah na dikhlaye alam noore nazar ka
Page-14-
Reeha hai yahi rooh yahi rooh yahi hai - jawab 3) Jis waqt ke Akbar ko laga zakhm jigar ka Seene me ruka aake dam osrashke khamar ka Girthe howe ghode se khiyaal aya pidar ka Chillaye ke ab kooch hai duniya se pisar ka - jawab Bekas ki musafir ki khabar leejiye baba Apne Ali Akbar ki madad kijiye baba - jawab Chillaye bathado Ali Akbar kidhar ayen Dhoonden tumhe ab baher me ya suye bar ayen Bethab hai dil qalb me lashkar ke dar ayen Tum oth nahi sakthe tho ham hi laash par ayen - jawab Maa baap ke jeene ka maza legaye beta Odha jo tumhara tha hame degaye beta - jawab Le aayi jo bethabiye dil laashe pisar par Jhukthe hi nazar pehle padi zakhme jigar par Ek teer laga qalbe shahe jino bashar par Seene pe kabhi haath ko mara kabhi sar par - jawab Opar ke dam os shair ko bharthe howe dekha Baba ne jawan bete ko marthe howe dekha - jawab Meon khoole ho kyon teer ko gardeon se nikalon Gar dard na ho hatheon se bazoo ko sambhaleon Girtha hai pahad osko main kistarha se taleon Marthe ose dekheon jise aghoosh me paleon - jawab Bhe bhe ke lahoo me jigar atha hai tumhara Seene se kalega nazar atha hai tumhara - jawab 11) x
Behjatha hai ankheon se lahoo khalbo jigar ka - jawab 4) Bete ki sada sunke howa sadmaye janka Ek hook kaleje me othi baith gaye shah Maloom howa jaan chali ah ke hamrah Dil thaam ke hatheon se kaha ya Asad-u-llah - jawab Rang odgaya tha gesooweon pe gard padi thi Teura ke jo sambhle tho basarath me kami thi - jawab 6) Beta hame phir ya abatha kehke pukaro Mazloom o gareebul guraba kehke pukaro Nashado girafthare bula kehke pukaro Lab tashna o mazboohe khafa kehke pukaro - jawab Jo waqt moyian hai wo hargiz na tale ga Khanjar meri gardan pe isi tarha chale ga - jawab 8) Chillaye shahe dee Ali Akbar pidar aya Otho mere pyare mere dilbar pidar aya Tum dhoondthe the ay maye anwar pidar aya Nashaad pidar bekaso bepar pidar aya - jawab Kuch dilki kaho baath karo hoosh me aao Sadkhe pidar aao meri aghoosh me aao - jawab x10) Ghash me jo suni baap ki awaz pisar ne Bas hatheon ko pehla diya os rashke qamar ne Liptaya jo chaathi se shaye jinno bashar ne Meon khoolke dikhlayi zaba tashna jigar ne - jawab Farmaya ke khatra mere jaani nahi miltha Majboor heon beta mujhe paani nahi miltha - jawab
5)
7)
9)
Ye sunthe hi bas ankheon se ansoo howe jaari Meon phairke dekha sooye sehra kayi baari Ki arz huzoor ayi hai Zehra ki sawari Phir dard otha seene me aur ghash howa tari - jawab Khole howe ankheon ko musafir howe Akbar Hichki ko bas ana tha ke akhir howe Akbar - jawab
Page-15-
1)
Ibne Ali jo baghe risalath luta chuka Bhai ki aur baap ki daulath luta chuka Poonji haram ki apni bizaath luta chuka Sab kuch baraye bakhshishe umath luta chuka - jawab Bakhi koyi shaheedeon ke dafthar me ab nahi Juz Abide mareez koyi ghar me ab nahi - jawab Tanha khade the fauj me shahe falak wikhar Jo aayi chaar simath se phir fauje budhsheyar Dekha ke hai niyam me Hyder ki zulfekhar Jurath hoyi har ek ko badhkar lagaye waar - jawab Yaade khuda me shah ne sab ko bhula diya Jab zakhm khaya shuker kiya muskura diya - jawab Muzthar na ho lage tho lage nawake sitham Kuch gham nahi jo padthi hain talware dambadam Maren na dam jo tanse ho sau baar sar khalum Rahath ye dukh samajthe hain rahe khuda me ham - jawab Paida howe hain dardo museebath ke wasthe Ye sab khubool hai hame unath ke wasthe - jawab Ye kehthe the ke sarpe lagi taighe aabdar Naiza sina ka hogaya seene ke waar paar Girne lage jo zeese imame falak wikhar Baitha zamee pe taik ke ghutneon ko rah waar - jawab Ghash me jigar pakad ke badardo alam gire Sambala gaya na kahk pe shahe omam gire - jawab Khanjar pakad ke shumer chala asthee chadhaye Bola ye ibne saad ke khuli bhi sath jaye Duno layee jo lashaye Sarwar ke paas aye Pehloo se Fatima ne sada di ke haye haye - jawab Kahnjar liye howe sitham eejaad aye hain Chaunko Hussain zibha ko jalad aye hain - jawab Bekas ka koyi yaar hai is dum na gham gusaar Mushkil ki ye ghadi hai ke hai waqte ehthezaar Kya kehrahe ho hoont jo hilthe hain baar baar Behre madad Ali ko pukaro ye maa nisar - jawab Bole Hussain zikre khuda karrahe hai hum Umath ki maghferath ki duva karrahe hai hum - jawab Kyonkar kaheon tathadule shumere sitham sheyar Pyase gale pe shai ke rakhi teghe aab daar Ghar se odhar nikal padi Zainab jigar figaar Chillayi meon Nijaf ki taraf kerke ek baar - jawab Halkhe Hussain kattha hai khanjur ki dhaar se Ya Murthuza Ali nikal aao mazaar se - jawab
2)
3)
4)
5)
6)
7)
Page-16-
8)
Ya shere kirdagaar olat do jahan ko Fariyaad se hila do zamee aasmaan ko Karthe hain zibha ahle sitham mehmaan ko Ya Mustafa bachalo mere bhaijaan ko - jawab Shamsheer chalne paye na pyaase ke halkh par Rakhdije halkh apna nawase ke halkh par - jawab Ye kehke suye mukhthale shahe umum chali Meon apna peethi howi badardo gham chali Othkar kabhi giri tho kabhi do khadam chali Aur wa guluye shah pe teghe do dum chali - jawab Phonchi tho khatema tha shahe mashrekain ka Shumere layee ke hath me tha sar Hussain ka - jawab
9)
Page-17-
Jab Gul Howa Chirage Haram Qaide Shaam Me 1) Jab gul howa chirage haram qaide shaam me Yane Sakina margayi yade imam me Dekhe sitham yazeed ke darbare amm me Shae ke salam ko gayi darus-salam me - jawab Duniya me daadrus na mila daad kah ko Jakar nisha tmancheon ke dikhlayi shah ko - jawab Ghul padgaya Hussain ki ashiq ne ki qaza Bano ne nafz dekhi tho paya na dam zara Chillayi sadqe jaon mujhe degayi dagha Apni kahi na meri suni haye kya kiya - jawab Asghar ko kuch payam bhi me ne diya nahi Tum chal basi aur amma ne rukhsath kiya nahi - jawan Baba ki pyari amma ki pyari zaban ko khool Layi heon sharbath ay meri pyasi dahan ko khool Ma rorahi hai dedaye gohar fishan ko khool Mehma bhande gale se na ja reesma ko khool - jawab Dadi kodhengi bibi ki zulfe sawar leon Lo otho ye patah howa kurtha othar leon - jawab Asghar ki bhooli bathen sunao neesar ma Akbar ka zikr karke rolao neesar ma Seli ka neel mako dikhao neesar ma Baba ko jake darpe bulao neesar ma - jawab Matham ke ghulghule hai na rone ke joosh hai Bibi jo ab khamosh hai tho sab khamosh hai - jawab Meon dhapne ka waqt hai pichla pahar howa Baba ko tere rothi heon oth sath de mera Kurthe se meon ko dhapke pehlo me baitja Amma ki beti amma ko awaz de suna - jawab Matham sara ye ghar tha tere bain karne se Zindan soona hogaya bibi ke marne se - jawab Yan kiske paas rehthi shahe karbala nahi Bibi ke naaz othane ki khathirchacha nahi Nadar ma hai paani nahi aur ghiza nahi Par ab kafan ke wasthe mutlaq rida nahi - jawab Amma ke paas rehne se eeza otha chuki Bibi tamache kha chuki gardan bandha chuki - jawab
2)
3)
4)
5)
6)
Page-18-
7)
Darpaish thi jo bibi ko mulke adam ki rah Onrozon ma ka pyaar ziyada howa tha ah Kehthi thi mujhse shaam ko phir honga tum tabah Bawar na mujhko atha tha ay noore chasme jaan - jawab Ab maa se tum bichadgayi kunbe se chutgayi Samjhi thi tum me lutgayi wallah lutgayi - jawab Akbar juda na hothe the baba se ek dum Asghar se aur tumse baheltha tha mera gham Ab na omeed hogaye dono taraf se ham Dukhiyare mere dukhki sada khayenge khasam - jawab Taqdeer kaisi phirgayi mujh khastha haalki Wo che mahine ke gaye tum chaar saal ki - jawab Baano ke bain sunke haram roye beshumaar Sunkar ye ghul pukara yazeede jafa sheaar Bhijwaya shey ka sar bhi aur onko nahi kharar Ayi khabar ke baap pe beti howi nisaar - jawab Alkhissa is janaze ko lekar chale haram Manind shamiyane ke khole howe haram Jab makhbare me shaam ke ponche aseere gham Aur khabr me othra wo murda ba chasme num - jawab Balaye qabr ahle haram roye shor se Awaz ayi bache ke rone ki goar se - jawab Jhuk jhuk se dekha bewon ne tho ye nazar pada Baithe howe hain qabr me Sultane karbala Asghar hai onki goad me khakar ko roraha Zainab ne leke hatheon pe murde ko ye kaha - jawab Apni nishani dukhtare khaibar shikan se lo Lo bhaijaan apni amanath bahen se lo - jawab
8)
9)
10)
11)
Page-19-
Jab Khathema Baqair Howa Fouje Shah Ka 1) Jab kathema baqair howa fouje shah ka Kosar pe qafela gaya pyaasi sipah ka Ghar lutgaya janabe risalath panah ka Qakh odhrahi thi haal ye tha baargha ka - jawab Bhai the ne rafiq na wo nooreain the Do behne rone wali thi aur ek husain the - jawab Deori wo subah takthe do rastha jahan sawaar Qadim wahan tha koyi na rafeeqo yaar Wo loo wo dopaher ki tapish aur wo ghubaar Parda hawa se sar ko pataktha tha baar baar - jawab Aafath thi bekasi thi mosibath thi yaas thi Be fauj badesha tha deori udaas thi - jawab Farmathe the ke wah ye taaqeer aye ajal Akbar ke baad kaunsa tha zeesth ka mahal Ab mujhko ek baras ke baad hai ek paal Mauth aye ab ye hai shajare zindagi ka phal - jawab Ek ja churi galon pe jo chalthi tho khoob tha Ye jaan onke sath nikalthi tho khoob tha - jawab Ham sabke baad qalk se jaane ko rehgaye Sar peetne ko ashk bahane ko rehgaye Is nawjawan ka daag thane ko rehgaye Piri mai ah thokre khane ko rehgaye - jawab Beta kahan qabar jo dame intheqaal le Ithna nahi koyi ke gireon tho sambhal le - jawab Naghah sooye lashe pisar japadi nazar Chillaye dil ko thaamke sulthane bherobar Sothe ho kya dhare howe ruqsaar qakh par Akbar othoke ke ghorese girtha hai ab pidar - jawab Boole pidar ko neendh mai qurbaan apke Aayo namaze asar padho sath baap ke - jawab Abbase naamdaar tarayi se othke aao Phatha hai khalb jalrahe hain sab jigar ke ghaao Chidko meri zirape jo pani kahi se paao Chalthe howe adam ke musafir se milthe jaao - jawab Gaflath ki tumko neendh hai shabbeer kya kare Meri tarah kisi ko na bekas khuda kare - jawab
2)
3)
4)
5)
6)
Page-20-
7)
Chilaya foujko pisare saadenabekar Lo ghairlo hussain ko sab milke ekbaar Palte pare sawareon ke lekar risala daar Do ghaul bandhe aye kamadaar das hazaar - jawab Theer afghaneon mai thegeon mai bhaleon mai ghirgaye Bekas husain bharchiyeon waleon mai ghir gaye - jawab Fariyaad hai wo fauj ke dal aur ek hussain Wo beshumaar thegheon ke phal aur ek hussain Wo teere jasithan wo jadal aur ek hussain Wo sainkdo payame ajal aur ek hussain - jawab Faujon me shaam ki maye taban ghira howa Bekas bhi wo ke jisse zamana phira howa - jawab Kyonkar kaheon ke arshe khuda khaak par gira Khairunissa ka mahe lakha khak par gira Sartaje badesha gada khak par gira Zeese olatke rahenuma khak par gira - jawab Wo do hazar zakhm tane chaak chaak par Kya guzri hogi jabke gire heonge khak par - jawab Fizza ne jake khaimeon me baywe ko di khabar Hai hai mere khuzade ka kattha hai tanse sar Bisthar se othke girpade sajjade nohagar Khaime se nikli bibiyan bacheon ko chod kar - jawab Hiltha tha arsh hazrathe Zainab ke bain se Gir gir ke daudhi thi ke milleon Hussain se - jawab Chillathi thi aray mera bhai hai kistaraf Luti howi Ali ki kamayi hai kistaraf Dariya kidhar hai khoon ka tarayi hai kistaraf Sone ki ja Hussain ne payi hai kistaraf - jawab Rastha de ay zameeka falak ki sathayi heon Mai apne pyare bhai se milne ko ayi heon - jawab Mai syeda heon rahem karo laash ko bathao Ay ahle khariya binthe Ali ki madad ko aao Duniya me tum kushi raho okhba me chain pao Syed kidhar hai khoon me ghaltha bathaye jao - jawab Ya lutgaye falak ne ye dukh hampe dale hain Ay bhaiyo Madeeno ke ham rehne wale hain - jawab Shay ke karahne ki jo ane lagi sada Daudi odhar nabi ki nawasi barehna pa Dekha bahen ne katthe huwe bhai ka gala Ankheon pe hath rakhke giri binthe Murtuza - jawab Gham se kaleja phat gaya Zehra ki jayi ka Otthi tho deka naize pe sar apni bhai ka - jawab
8)
9)
10)
11)
12)
13)
Page-21-
Jab Sadre Zee Se Girpade Abbase Bawafa 1) Jab sadre zee se girpade Abbase bawafa Jangul se ayi giriyaye Zehra ki bhi sada Akbar ne daud kar shahe wala se ye kaha Chaliye huzoor naher pe maregaye chacha - jawab Bedasth dushmaneon ne kiya os delair ko Ro ayiye tarayi me hyder ke shair ko - jawab Ye sunke peetthe howe othe zamee se shah Farmaya hai gazab mere bachche howe tabha Ye kya kaha ke ankheon me din hogya tabha Mazloom se bichad gaye Abbas ah ah - jawab Mudath howi tamam Sakina ke chain ki Toda falak ne aaj kamar ko Hussain ki - jawab Ye kheke soye naher chale shahe karbala Maninde baid kanpthe the shay ke dathopa Ammama tha na farkh p ene dosh par rida Tasweer war the hama tan sibthe mustafa - jawab Makhtal ki khak se tane anwar ata howa Seena khula howa tha gareban patha howa - jawab Phonche juheen tarayi me badidaye puraab Dekha tapa hai khak pe farzande buturab Shaneon pe ki nazar tho jigar ko rahi na taab Bas haye bhai kehke gira wo falak janab - jawab Bekar dastho paa the shahe kush khisal ke Le aye laash tak Ali Akbar sambhal ke - jawab Meon rakhe khoon bhare howe chehre pe di sada Bhaiya Hussain aya hai awaz do zara Haihath dono hath badan se howe juda Bazoo ke sadkhe in tere shaneon ke mai fida - jawab Bhaiya hamare hath tho bekaar hogaye Tum hath khoke jafare tayiyaar hogaye - jawab Sunkar sadaye hazrathe shabeere naambar Khola laho bhari howi ankheon ko ekbaar Sar rakhke paye shay pe ye bola wo ziwikhar Tashreef aap laye zahe izzo ifthekhar - jawab Ji chahtha hai ye ke nisare huzoor heon Kistarha utke gird phireon choor choor heon - jawab
2)
3)
4)
5)
6)
Page-22-
7)
Meon rakh ke meon pe kehne lage shahe kushkhisaal Abbas mai kin ankheon se dekheon tera ye hal Is dum bhi hai tumhe mere adaab ka khiyaal Jab zibha honge hum tho kise hoyega malal - jawab Sadkhe Hussain tere tane pash pash ke Ek baar hamko gird tho phirne do laash ke - jawab Ye sunke os dilair ne ek sard ah ki Mashkize pe tadap ke bahasrath nigha ki Sar sharam se chupa liya godi me shah ki Halath tabha hogayi hyder ke mah ki - jawab Jab dil ko bekali ho tho kistarha kal pade Zanu pe shay ke ankheon se anseon nikal pade - jawab Farmaye shay ne kisliye rothe ho bar bar Lo ab kuch apna haal kaho tum pe mai nisar Kya ji pe hai bani jo tadapthe ho bar bar Ki arz os jari ne ke hai waqthe ekhtezaar - jawab Akha se chootne ka khalakh hai gulaam ko Paonga ab kahan shahe gardeon mukham ko - jawab Ye kehthe the ke phir gayi ankheon ki puthliyan Hichki ke sath agayi sookhe labeon pe jaa Hasrath se dekh kar tarafe shahe inso jaa Duniya se kooch kargaye abbase naujawa - jawab Choda jari ne sath shahe mashrekhain ka Ek ghul utha ke margaya ashiq Hussain ka - jawab
8)
9)
10)
Page-23-
Jis Dum Nageene Khatime Paighambara Gira 1) Jis dum nageene khatime paighambara gira Raunakh othi zamee se imame zama gira Girne pe sab guroho liye barchiyaan gira Hai hai na in jafaeon pe bhi asmaan gira - jawab Zehra se poochiye ye khalaq noore ainka Tapna zamee pe aur tadapna Hussain ka - jawab Sab thumb gaye magar na thama shumere badshiyam Sar peetne kija hai rakha osjaga khadum Seena daba tho aur bhi tadpe shahe omam Shoro fughan suna ossi halath me dam ba dam - jawab Khathil se poocha dekh khidar ghul ye hotha hai Hai hai Hussain kehke koyi runme rotha hai - jawab Wo bola koyi hoga mai dekheon bhala khidar Ab taig par nigha hai shairag pe hai nazar Han jab sawar hone laga tha me seene par Saidani ek nikli thi khaime se nagge sar - jawab Is dam hamari fauj me tho eid hothi hai Mujhko yakheen hai ye wohi bibi rothi hai - jawab Shai bole aur koyi nahi ye bahen bahen Ashiq bahen Hussain ki tashna dahen bahen Bhooli hamare pyaar me maa ka chalan bahen Balwa kahan kahan ye meri khas tha tan bahen - jawab Kahthil pukara aage bhi baher ye ayi thi Shai bole jab sina Ali Akbar ne khai thi - jawab Wo rona be kasi ka wo ghabrana yaas ka Wo thartharana dilka wo orna hawas ka Kehna bilak bilak ke ye kalma hiras ka Ay shumr waastha Ali Asghar ki pyaas ka - jawab Lillaha theen roz ke pyaase ko chorde Sadkha nabi ka onke nawase ko chorde - jawab
2)
3)
4)
5)
Page-24-
6)
Thamja khuda ko maan habeebe khuda ko maan Zehra ko maan hazrathe mushkil kusha ko maan Saugande fikhro fakhaye aale aba ko maan Apni rasool zadi ki thu iltega ko maan Sare buzurg margaye mujh bad naseeb ke Mera koyi nahi hai siwa is ghareeb ke - jawab Sonpa kise bahen ko mai poochoongi bhai se Pardase me bichad the ho Zehra ki jayi se Ye bekhatha hai pooch le sari khudayi se Dawa hai kya tujha meri ma ki kamayi se - jawab Kuch qarz hotho baich ke ghar ko ada karoon Samjhaon kistarah tujhe mai ah kya koron - jawab Ay shumr mai gale se lagaleon tho zibha kar Bhai se milke khaime me jaleon tho zibha kar Kuch dard apne dilka sunaleon tho zibha kar Syed ko khibla roo mai litaleon thu zibha kar - jawab Pani tho bhooke pyaase ko ay badkhisaal de Hai waqthe zibha ankheon pe kadpa tho dalde - jawab Ye kehthe kehthe susth howi dam olat gaya Sar peetthi ye rahgayi sar shai ka kat gaya Yon laash par giri ke jigar sabka phat gaya Bahen gale me dalke lasha lipat gaya - jawab Maa ki tarha thi aashaqe shahe zaman bahen Ye bhai bhai kehthi thi laasha bahen bahen - jawab
7)
8)
9)
Page-25-
Pidar Ki Mauth Hai Marna Jawan Bete Ka 1) Pidar ki mauth he marna jawan beta ka Safar jahan se karna jawan bete ka Ghazab hai khoon mai bharna jawan bete ke Sitham hai ji se guzarna jawan bete ka - jawab Shabab tha ke shahe mashrekhain se choote Moheboo peeto ke Akbar Hussain se choote - jawab 2) Khuda pidar ko na dhiklaye marge rahathe jaa Kalega zakhmi ho jab dil ko phir kharar kahan Odhar tho seenaye Akbar se guzri noke sina Lahoo idhar howa chasme imame deen se rawa - jawab Tarap ke janibe gardeon nigha ki shaiy ne Zameen hil gayi ek aisi aah ki shaiy ne - jawab 3) Pukarthe howe daude mere shaheed pisar Mere jawa mere mehroo mere sayeed pisar Mere hasee mere yusuf mere rasheed pisar Khareeb ho kaheen maidan se ya bayeed pisar - jawab Pidar pe aaj nayi waredath hai beta Khabar nahi mujhe din hai ke rath hai beta - jawab 4) Kidhar gaye mere gul pairahan Ali Akbar Mere khaleeq mere kam sukhan Ali Akbar Jawana marg ghareebul wathan Ali Akbar Ojad kar gaye mera chaman Ali Akbar - jawab
Page-26-
Bulake ghar se yahan ashkhiya ne loot liya Duhayi haike muje karbala ne loot liya - jawab 5) Pukarthe the ke ay shair phir pukar mujhe Nahi bathane ke lasha ye nabakar mujhe Tere firakh me hai zeesth nagawar mujhe Sada sunade mai sadkhe phir ek bar mujhe - jawab Gale lagalo ke seena hamara jaltha hai Kalega mu se koyi damme ab nikaltha hai - jawab 6) Pukari dewdi se bano pisar milake nahi Bathao marhame zakhme jigar milake nahi Sitham ke abar me mera khamar milake nahi Ali ke laal wo aali gohar milake nahi - jawab Shitab lao mere mantheon ke pale ko Tumhi se loongi mai apne muradeon wale ko - jawab 7) Sada ye sunthe hi sultane behrobar daude Ye darde dil the ke thame howe jigar daude Khabhi tho fauj pe maninde shere nar daude Kabhi idhar gaye rothe kabhi odhar daude - jawab Luti howi wo kamayi basad talash mili Zamee pe khoon me ghaltha pisar ki laash mili - jawab 8) Ajeeb halathe farzande naujawa dekhi Atash se hoonteon pe nikli howi zaban dekhi Khamar se chehre pe zardi labeon pe jaa dekhi Kalega phatgaya seene mai jab sina dekhi - jawab Pidar ke saamne bete ka dam okhadtha tha Hussain dekhthe the aur ghar ojadthe tha - jawab 9) Khareeb laashe pisar baitkar ye farmaye Zameene garm se beta otho ke ham aaye Sada ye sunthe hi Akbar ne hath phailaye Lipatke laash se shai lab pe ye sukhan laye - jawab Gale lagalo Mohammed ka mai nawasa heon Zaban dikhake kaha ya Hussain Pyasa heon - jawab 10) Ye kehke shahse kheenchi gareeb ne ek aah Jigar me hone laga dard aahke hamrah Ajeeb yaas ki nazreon se dekhkar rukhe shah Kahake ashhodohan lailaha illalla - jawab
Page-27-
Bas aur kehna sake kuch ye haal ghair howa Sooye behishith gaye khatema bakhair howa - jawab
Run Se Jab Khake Sina Akbare Zeeshan Aye 1) Run se jab khake sina Akbare zeeshan aye Maa ki khidmath me koyi aan ke mehmaan aye Ghar me laashe ko liye shahe shaheedan aye Nohagar khak basar chaak garebaan aye - jawab Di sada khathul huye Yusefe saani bano Milgayi khak me Akbar ki jawani bano Dekh le akhri deedar pisar martha hai Samne ankheon ke ye noore nazar martha hai Abkoyi dam me mera rashke Qamar martha hai Meon se bahar hai zaban tashna jigar martha hai - jawab Dum hai seene mai ruka zakhmeon se kheon jari hai Shaher bano tera ghar lutne ki taiyaari hai Phonchi khaime me jo hazrath ki ye purdard sada Muztarib hogaye naamuse rasoole dosare Kaha chilla ke Sakina ne ke hai hai bhaiya Fizza daudi suye dar phainkke sarpar se rida - jawab Peetthi Zainabe muzthar nikal ayi bahar Bano ghabrake khule sar nikal ayi bahar - jawab Shai ke khande pe jo dekhe Ali Akbar ko nidhal Haath pehla ke ye chillayi ke hai hai mere laal Kya gazab hogaya ay badhshahe nake khisaal Raas aya na mere bache ko atharwan saal - jawab Tukre thegeon se badan ho gaya sara hai hai Kaun tha jisne mere shair ko mara hai hai - jawab
2)
3)
4)
Page-28-
5)
Ruke bano se ye farmane lage sarware deen Sarna peeto abhi zinda hai mera mahe jabeen Saans athi ha pa har dam hai dame bazpasi Kooch inka bhi hai aur ham bhi hai marne ke kharee - jawab Sab chute ab na raha koyi hamara bano Is jawan bete ke ghamne hame mara bano - jawab Kehke ye laashe pisar khaime me laye Sarwar Hath Akbar ke sambhale tha koyi aur koyi sar Shay ne farzand ko ahistha litaya jakar Girke pehlu me thadapne lagi maa khasthe jigar - jawab Kehthi thi dil pe sina zulm ki khayi beta Ankh kholo nahi marthi hai ye dayi beta - jawab Sun ke mada ki sada khowl diye didaye num Hath uthakar kaha rowo na mere sarki khasum Paas akar hame chathi se lagalo isdum Ran sa aye hai tumhari hi mulakhat ko hum - jawab Phir ye ghar shah ke iqbaal se dekha ham ne Par tumhe ake ajab haal se dekhe ham ne - jawab Baal bikhre hain kyon painkh di sarpar se rida Neel kyon seene pe hai kyon hai garebaan phata Khak kyon meon pe mali ho ye pisar tumpe fida Shah duniya me salamath rahe ye kya ye kya - jawab Lutgayi ye na sukhun meon se nikalo amma Mai tho jeetha heon kaleje ko samhalo amma - jawab Zakhmi hone ki mere kisne khabar phonchaee Jhoot hai mai ne tho hargiz nahi barchi khayi Aap thak bete ko taqdeer salamath layi Dekhe hazrath ke khadam than me mere jaan ayi - jawab Marq se phele ho matham ye zabu hai amma Mere kapdeon pe tho Abbas ka khoon hai amma - jawab Arzoo hai ke pahle phoole mera nakhle murad Tum dulhan biyah ke lao mera ghar ho abaad Dekhleon ankheon se apni me tumhari aulad Phir mai duniya se jo guzreon tho rahe rooh bhi shaad - jawab Dadi kehlaongi ruthba mera barthar hoga Tera farzand bhi hamshakle payamber hoga - jawab Akhi sunke ye Akbar ne basad ranjo malal Dard chathi me otha gair howa aur bhi haal Dil me ye soonchke rone laga wa nail khisal Ham safar karthe hain amma ko hai shaadi ka khayal - jawab Bar me hoyega kafan khak pe chera hoga Na dulhan hogi na aulaad na sehra hoga - jawab
6)
7)
8)
9)
10)
11)
Page-29-
Zakhmi Jo Runme Fatima Ka Gulbadan Howa 1) Zakhmi jo runme Fatima ka gulbadan howa Aur purze purze tanme libase gohan howa Gash pushthe zuljanah se sehahe zaman howa Dasthe alam se chak nabi ka kafan howa - jawab Zakhmeon ke meon se khoon ke dariya obal pade Sar nange khabar se shahe mardan nikal pade - jawab Mazloom kahthe jatha tha mai begunah heon Maro na mujhko sibthe risalath panah heon Tum logeon ka khuda ki khasam khair kha heon Is khaul par khuda ko me raktha gawah heon - jawab Kuch rahem atha tha na kisi nabekar ko Shamsheere marthe the garibud dayar ko - jawab Naiza laga jo seene pe tharra ke rehgaye Baitha jo teer mathe pe tewra ke rehgaye Girne lage jo hatheon ko latkake rehgaye Shukre khuda zaban se farma ke rehgaye - jawab Akbar na the julu me na Abbas paas the Mazloom beech me tha adu aas paas the - jawab Seene pe bhala rakhke giraya Hussain ko Ji bhar ke zalimeon ne sathaya Hussain ko Girne pe khak toda banaya Hussain ko Hai zulm ki ye had ke gash aya Hussain ko - jawab Par dekhiyo hawas shahinshaye naik ke Sajde me sarjhukadiya hatheon ko taik ke - jawab
2)
3)
4)
Page-30-
5)
Dewdi pe aye sab harame badshahe deen Boli ye peet peetke sar Zainabe hazee Aya koyi yaha hai musalman ya nahi Baitha hai kis buzurg ke seene pe ye layi - jawab Ay ibne saad Fatima ka kunba rotha hai Tho dekhtha hai bhai mera zibha hotha hai - jawab Bola umar ke roklo khaime ka samna Ek ghaul ake khaime ke darpar khada howa Is zulm se bas aur bhi Zainab ka dam ghuta Fizza ko run me bheja ke Hazrath ko dekha - jawab Makhthal ko wo badhi thi ke mudkar ek ah ki Katthi hai bosa gahe risalath panah ki - jawab Pani wo mangthe hain pilatha nahi koyi Is dard ko khayal me latha nahi koyi Kya khaher hai ke paas bhi atha nahi koyi Seene se behaya ko othatha nahi koyi - jawab Ama tumhari peetthi hain bilbilathi hain Wo bete se lipat thi hain huren chudathi hain - jawab
6)
7)
) Zainab ne baal kholke run ko khadam badhaye Saidaniya bhi sath chali gardane jhukaye Zainab pukari haye mere bhaijaan haye Bhaiya pukarlo ye bahen kistaraf ko jaye - jawab Bhejeon kise talash ko sab mere margaye Ankhen bahan ko dhoondthi hai tum khidar gaye - jawab 9) Nagha chale umarki taraf runse ehle shaam Alfatha ki nida howi baje baje tamam Wanse badhi jo bahi ki ashiq wo chand gaam Besar mila thataptha howa lashaye imam - jawab Jo waqthe zibha sibthe payember ka haal tha Wo lashaye Hussain pe khawher ka haal tha - jawab
Page-31-
Qaid Me Dukhthare Sultane Zaman Akhir Hai 1) Qaid me dukhthare sultane zaman akhir hai Baap ki yaad me awara wathna akhir haie Zulm uthe nahi mehboose rasan akhir hai Kehthi thi aap girafthare mahen akhir hai - jawab Qaid me yon tho gunahgaar bhi kam marthe hain Jistarha khanaye tareek me ham marthe hain - jawab 2) Marazul mauth hai aur kasrathe andoho fughan Haif sad haif howe naza ke asaar ayan Karwate lene lagi jaane imame do jahan Kuch ajib yaas se daam thodthi thi wo nadan - jawab Karb me baap ki ashiq jo zamee par tadpi Maa bhi dil thaam ke beti ke barabar tadpi - jawab 3) Royi saidaniya sajade hazee ghabraye Jald tashreef Sakina ke sirhane laye Bediyan pehne howe ashk bahathe aye Oska meon dekhthe hi azo badan tharraye - jawab Sadmaye ye furkhathe mehboose rasan se roye Naza me khoob gale milke bahen se roye - jawab 4) Osne ahisthe kaha ham hain musafir bhai Bakhash do jurmo khatha sabiro shakir bhai Sadmaye qaid ne mara hame akhir bhai Mauth sarpar hai khuda hafizo nasir bhai - jawab
Page-32-
Samne hakime azlam na bulaye tumko Ham chale qaid se Allah bachaye tumko - jawab 5) Hasil ay bhai meri aaj tamanna hogi Khuld me aaj ye shabir ki shaida hogi Aaj phir shah ke seene pe meri jaa hogi Par ye gham hai ke tumhe dafan me eeza hogi - jawab Na siwa dafano kafan ke mera sama karna Isi kurthe me mujhe khaak me pinha karna - jawab 6) Phoopi amma ko bohat ranj na khane dena Ashk amma ko na har waqt bahane dena Shumar ko meri lahed par bhi na ane dena Laye wo dafn ka sama tho na lane dena - jawab Zulm se dilbare zehra ka gala kata hai Nahakh osne mere baba ka gala kata hai - jawab 7) Chup howi hay pidar kehke Sakina zeeja Murdani chahgayi os chand se meon par nagha Shor tha gulshane fani se chali dukhthare shah Hichki beti ne jo li maa ne kaha bismillah - jawab Royi sarpeet ke nacharo pareshan Zainab Khaak pe bait ke padhne lagi Quran Zainab - jawab 8) Dastho pa sard howe rang badal the dekha Khaak par nannhi si gardan ko bhi dhal the dekha Os mareeza ghame shay ko na sambhal the dekha Boli banoye hazee dam jo nikal the dekha - jawab Baap ke paas gayi meri Sakina hai hai Margayi dukhthare sultane madina hai hai - jawab 9) Shor tha haye gazab dafan ki tadbeer nahi Aur waris koyi juz abide dilgeer nahi Aaj abbas nahi hazrathe shabir nahi Inthehaye sithame lashkare bepeer nahi - jawab Tarfa saman kiye hamko sathane keliye Ek chadar nahi mayiath ke odane keliye - jawab 10) Kehthe the peet ke sar ale payamber hai hai Syede bekafan o goar ki dukhtar hai hai Margayi soognashine shaye safdar hai hai Hoga aisa na koyi bekaso bepar hai hai - jawab Dare zinda ka nigheban bhi osdam roya
Page-33-
Shore matham jo sona hakime azlam roya - jawab 11) Tha maraz aur ye mohtaaj thi bistar keliye Na mayasar thi dava bekaso muztar keliye Na diya tuna ye muhtaaj rahi sar keliye Kaan par hath dhare rehthi thi gohar keliye - jawab Margayi phir bhi aseeri ka guma bakhi hai Reesma ka abhi shaneon me nisha bakhi hai - jawab
1)
Azeezo Zainabe Muzthar Ka Aaj Matham Hai Azeezo Zainabe muzthar ka aaj matham hai Azeezo Zeenathe Hyder ka aaj matham hai Ali ki ladli dukhthar ka aaj matham hai Ghareeb shah ki khahar ka aaj matham hai - jawab
Sukoone khalab khuda ke habeeb ko deeje Bahen ka pursa Hussaine ghareeb ko deeje - jawab
2)
Dubare khaid howe jabke Syede Sajad Aseer karke sowe shaam lechale jalad Tadap ke sath howi haye Zainabe nashaad Nabi ke rauzaye akhdas pe jake ki fariyaad - jawab Shaheed hogaya bhai Hussain ay nana Magar nahi hai layeeno ko chain ay nana - jawab
3)
Phir aaj Abide bepar ke sath jathi heon Yazeede nahes ko khaufe khuda dilathi heon Khuda ne chaha tho is laal ko chudathi heon Hayath bakhi agar hai tho wapas athi heon - jawab Jo aye rahme mauth aap ayiye nana Hamari laash pe anseon bahaiye nana - jawab
4)
Ye sunke othi gayi Fatima ke rauze par Lipat ke khaber se kehne lagi ye khastha jigar Otho otho meri amma ke ayi hai dukhthar Aseer hogaya phir mera Abide muzthar - jawab Tamam gharko ojada magar na chain aya
Page-34-
Dubara syede Sajjad par sitham dhaya - jawab 5) Phira chuka tha sithamgaar darbadar amma Dikhaya naize pe bhai ka mujhko sar amma Madeena bheja tha ghar bar lootkar amma Phir aaj hotha hai weeran sara ghar amma - jawab Chala hai khaid me phir zainulabedeen hai hai Rahegi chain se kya Zainabe hazee hai hai - jawab 6) Rawane hogayi phir sooye shaam wawaila Khamoosh rothe the chauthe imam wawaila Azeez karthe the milkar tamam wawaila Layee rawana howe taizgaam wawaila - jawab
Likha hai rahme ek manzile ghareeb ayi Bathul zadiki hai hai khaza khareeb ayi - jawab 7) Nazar khuzadi ki nagah os shajar pe padi Ke jis me rakha tha farkhe Hussain ibne Ali Tadap ke haye Hussaina kaha zamee pe giri Othi sambhal ke tho fariyaad os shajar se ye ki - jawab Kahan hai bhai mera ay shajar batha jaldi Hussain ke liye rothi heon khak oda thu bhi - jawab 8) Kalega agaya meon ko tadap raha tha jigar Ziyarath shahe karbobala padhi rokar Namaz padhne lagi jab ghareeb zaire shajar Abhi othaya tha na haye haye sajde se sar - jawab Sitham ka bailcha ibne thameem ne mara Lahoo mussale pe bekas ka beh gaya sara - jawab 9) Kamar khameeda kiye Zainul-Abedeen aye Sambhal kar dile sad pash ko kharee aye Ajeeb haal se lashe pe shahe dee aye Kabhi tho charkh ko gah dekhthe zamee aye - jawab Ek ah ki sare Zainab ko leke zanu par Thadap gaye jo kaha kuch phoopi ne rorokar - jawab 10) Adhu ka dais hai aur haye jan balab Zainab Zaba se bath bhi karthi nahi hai an Zainab Chali jahan se othaye kayi tauab Zainab Sare shigaftha hi like sooye rab Zainab - jawab
Page-35-
Phir ayi puthliya behoosh hogayi bibi Odao khak ke khamossh hogayi bibi - jawab 11) Aseer syede Sajjad nafz dekhthe hain Gareeb bekaso nashaad nafz dekthe hain Hai waqthe nalao fariyaad nafz dekhthe hain Nahi koyi paye imdaad nafz dekthe hain - jawab Hatake hath zamee par lita ke rone lage Amama khak pe sar se girake rone lage - jawab 12) Hussain walo bathao kidhar gayi Zainab Otha ke zulmo sitham kooch kargayi Zainab Musaferath me jahan se guzar gayi Zainab Hazaar haif ke ghurbath me margayi Zainab - jawab Bas ek Abide muzthar hain khak adane ko Hussain agaye markhad se laash othane ko - jawab Ay Momeeno Kya Sakhth Yateemee Ki Bala Hai 1) Ay momeeno kya sakhth yateemee ki bala hai Is zakhm ka marham hai na is ghamki dawa hai Pocho tho yatheemon se ke ye wakhiya kya hai Kis omr me ye dhaag Sakina ko mila hai - jawab Jab khatimaye shahe sarafraaz howa tha Likha haike chautha baras aaghaaz howa tha - jawab 2) Issin me koyi baap juda hona pisar se Furqath howi tifli me Sakina ko pidar se Pooche koyi ye dard yateemeon ke jigar se Bachpan me pidar otha ho jin bacheon ke sar se - jawab Aaghaz is andhoka anjaame khaza hai Ye daaghe yateemee nahi paighame ghaza hai - jawab 3) Zindan me mukhiyaad jo howe sab harame shah Anboho khalaekh howa darwaze pe nagah Balwa howa is darja ke masdood howi rah Sar sharm se zanjeer pe Abid ne rakha ah - jawab Tha wo arakhe sharm aseereon ke badan me Rotha tha har ek azoo ghame shahe zaman me - jawab 4) Mashghool jo the khail me athfaal wo saare Kahthi thi Sakina wahan hasrath se nazare Kehthi thi ke kya hogaye hamjoli hamare Baba Ali Asghar ko kahan leke sidhare - jawab
Page-36-
Sab bachche yahan khailthe hain khanda zana hai Me khailthi thi jinse wo athfaal kahan hai - jawab 5) Bhar bhar ke dame sard ye ki bano se gufthaar Is bachche ko dekho thoke kya khush hai ye dildaar Kya naame pidar pyaar se letha hai har ek baar Ek ham hai ke hai baap ki furkhat me girafthar - jawab Dil me jo mere dard hai khaliq pe ayan hai Mai kisko kaheon baap mera baap kahan hai - jawab 6) Baba mere hothe tho onhe kehthi mai baba Ab baap kahan jisko kaheon baap me dukhiya Yon koyi pidar se beti se ghafil nahi hotha Hairaan heon baba ke wo ashfaaq howe kya - jawab
Aada ne hame qaid kiya shaam me lakar Baba mere kyon mujhko nahi dhoondthe akar - jawab 7) Ye kehke Sakina pe jo rikhath howi taari Bas haaye pidar kehke kayi baar pukari Tadpi jo zamee par tho zamee hil gayi saari Jhinjhlake kaha shumr ne phir karthi hai zaari - jawab Ab khoob rulaeonga tujhe mai na dareonga Reh tujhko aseereon se juda qaid karonga - jawab 8) Phir shumr ne bazooye Sakina ko jo pakda Kunbe ki taraf osne ajab yaas se dekha Sab khaidiyon me ek khiyamath howi barpa Sajjad ke khadmeon pe machal kar giri dukhiya - jawab Yon lipti thi bhayi se wo is khaofo khathar me Ek haath tho gardan me tha ek hath kamar me - jawab 9) Meon dekhke Sajjad ka kehthi thi wo darkar Ab aap mere roneke zamin heon barather Gartumse choti zeesth meri hoegi kyonkar Ab roeon tho jo chahe kare shumre sithamgar - jawab Bhaiya mujhe tho shumrse is waqt bachale Ab royon tho kardeejio zalim ke hawale - jawab 10) Ab royi so mai royi na ab roeongi zinhar Ab roeon agar baap ko apne tho gunahgaar Farmao ke ab chod de mujhko ye jafakaar Baazoo mera dukhne laga ay Abide beemar - jawab
Page-37-
Kistarah juda kunbe se howegi Sakina Tum kehdo khasam khake na royegi Sakina - jawab 11) Ye kehthi thi kheencha jo sithamgar ne khazara Kurtha tho phata tha wo phata aur bhi sara Tab Abide beemar ne rokar ye pukara Ay shumr ye bin baap ki bachchi hai khudara - jawab Ghafil teri dehshath se na howegi Sakina Ab aisi dari hai ke na royegi Sakina - jawab
Page-38-
Shakhi ne sibthe payember ka sar othara hai - twice Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Haaye hussain pyaase hussain (JAWAB) 4) Kidhar gaye mere abbaso khasimo Akbar Wo mere aaono Mohammed wo mere noore nazar Mai tujhko doondho kahan bezaban Ali Asghar twice Bathao bibio roen mai aaj kiskis par Jahan mai Zainab dilger besahara hai Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Haaye hussain pyaase hussain (JAWAB) 5) Ye ranjo gham sitamozoor aur jafa kabtak Rasool zadiyan balwe me berida kabtak Rahegi qaid me aulade murtuza kabtak - twice Nabi ki aal pe ye zulme narewa kabtak Mujhe tho mauth hi alam me ab gawara hai Mere gareeb ko lakheon ne milke mara hai Haaye hussain pyaase hussain (JAWAB)\
Pounchay qareebay shahray madina tou roo diyea Abid kaa dil dukhoun say bhar aayaa tou roo diyea Paawo main aablay thay chaly aur thhair gayea Rouza rasool kaa nazaer aayaa tou roo diyea Baitay zameen pay sar kou jukayea huvay imam Saayaa kiya kisi nay ridaa kaa tou roo diyea Abbas ki wafa kaa shujaath kaa zikr thaa Baitay naa aakay baad kou pouchaa tou roo diyea Ummal baneen kou baitou kaa pursaa diyaa mager Sugra kou daysakay naa dilaasa tou roo diyea Farmaatay thaytay shaheed huvay aaqraabaa tamam Basheer kou kisi nay joo pouchaa tou roo diyea Rudaday karbala ki sunaayaa kiyea imam Jub zikr shahray shaam kaa aayaa tou roo diyea.
Dahleezay ilm-0-fazal say kar kay sawal mang Jis cheez ka hai duniya main milnaa muhaal mang Jannat na mang maang ziyarat Hussain ki Khairaat maagni hai to phir baymisaal maal Haqikatay rukhay yazdaa kaa roup paa tay chalo Khudi ka falsafa daarain kou seekaatay chalao Hussain naizay pa chard kar yea kehgaya shoukath Agar chay sur pay naa hou phir bhee sur uthakay chalo
Page-39-
Daal rakhaa hai maalayak nay musallah farsh pay Batrahaa hai bazmain aalam kaa tawalla farsh pay Hum Ali walo kou miljaata hai Allah farsh pay Ek moula aarah pay hai ek moula farsh pay Farsh walay aarsh pay jaatay nahi hai jhoomnay Aarsh walay farsh pay aatay hai iskou chumnay Teri sangnayee-0- ka dil na baydeedaar hogayea Na shahray khuld kissayea misaalay yaar hogayea Mawali chord kay karbal iram jaana hai chatay Mager jaatay hai jannat na teri baikaar hogayea --------------------=====--------------------meri aamal ki sub kaapiya rahmaat wali hai mawaadat irtaka chaahat aadab barkaat wali hai khuda bhi mrstarak karta nahi mari naamaaz-o- kou naamazay kum saahi jitni bhee hai salwaat wali hai yea choudaa hi tou ilahi nizam zinda hai inhhi kay naam say khaliq ka naam zinda hai manaa kay gashan batatay hai hum zamanay kou humhi woo loge hai jin kaa imaam zinda hai maat souch kay hur ek noukar kou sultan samaj main aajayea mankin hi nahi hur khari kou Quran samaj main aajayea miqdaat abuzar khamber aur ammar bhi jeewan bhar shoukath masroof rahay is koushish main salman samaj main aajayea
Tashnagi Mashq-o-Alam Bali Sakina Abbas Hai Teray Naam Say Mansoob Yea Charcha Abbas Sabr-o-Izzaare Wafa Joshay Alamdaar-e-Hussain Shair Jarrar Hama Waqt thay Ghamkhaar Hussain Tashnalab Hotay Huvay Suratay Dariyaa Abbas Tashnagi Mashq-o-Alam. Katgayea Haat Chidhi Mashq-e-Sakina Afsoos Tar Huva Khoo Say Alam Naher Pe Aqaa Afsoos Kyon na ho Noha Kuna Saniyea Zehra Abbas Tashnagi Mashq-o-Alam. Raah Takti hai Sakina Dar-e-Qaime Pay khadi Tashnalab Bachi pay kaisi Hia yea Aafat ki Ghadi Khud kou Bahlaati hai De De kay Dilasaa Abbas Tashnagi Mashq-o-Alam. Gir Gayee Sar Say Rida Zainab-e-Muztaar ki Uthoo Lash uthti Nahi Shabbir Say Akber ki Uthoo Aao Dedo Zara Sarwar Ko Sahara Abbas Tashnagi Mashq-o-Alam. Hogaya Tukday Badan Ibne Hassan kaa Dekho Marhaala Aagaya Baazo main Rasan kaa Dekho Qaid Honay ko hai Shabbir ka Kunbaa Abbas Tashnagi Mashq-o-Alam.
Page-40-
Martaa Bali Sakina kou Bhala Shirm-e-Layeen Tang Ho Jati Jo Tum Hotay Sitamgar pay Zameen Bhagne Ko Bhee na Miltaa Usay Rastaa Abbas. Tashnagi Mashq-o-Alam. Agg Qaimo maain lagi Ahlay Haram Qaid Huvay Bekajawaa Suway Zindan Layee Laikay Chalay Saniyea Zehra nay Hasrat Say Pukaraa Abbas Tashnagi Mashq-o-Alam. Baat Khatoon-e- Qayaamat na Kabhi Taalaygi Hashr Ki Dhoop na Rehan pay Aanay Daige Sirf Halkaa Saa Karaygay joo Ishaara Abbas.
Tashnagi Mashq-o-Alam.
Tashnalab Abbas Saqayea Haram, Hum Aaazadaro pa farmaday Karam As Salam Aay Dilbaray Ummul Bani As Salam Aay Kaaba-e-Sabro yaqeen Dar pa Teray laayea hai Fariyaad hum Tashnalab Abbas Saqayea Haram, Muztarib Sajdou kaa jaari hai Safar Hai Tasawour main teray khadmo pa sar Teri Choukat say na ub uthangay hum Tashnalab Abbas Saqayea Haram, Tu Tamanna-e-Ali Jaan-E-Ali Tu Hussain Ibn-e-Ali ki Zindagi Hum pa tutay hai zamany kay sitam Tashnalab Abbas Saqayea Haram, Haal mera tuj pa hai saara aaya Aashk aakho say musalsal hai rava Muj pay joo Guzri karu kaisay Raqam Tashnalab Abbas Saqayea Haram, Hum kou dayday Apnay Parcham ki Hava
Page-41-
Saaibaan Teray Alam kaa ho Aaata Dil mein ho Bus Karbala walo kaa Gum Tashnalab Abbas Saqayea Haram, Sunlay ub Tutay Huvay dil ki Sada Tuj kou Zainab ki Rida kaa waasta Doour Hogayea yea Sub Ranj-o-Alam Tashnalab Abbas Saqayea Haram, Tuj say Kartaa hai Rasheed ub iltayjaa Jald moula apnay rouzay par Bula Rakhlay Aaqa apnay Shaiyer kaa bharam Tashnalab Abbas Saqayea Haram, _____________XXX_________________
Hai Mashwara aay mohtaram, Naaday Ali Partay Raho Pas aa sakaygay na phir kohi Gum, Naaday Ali Partay Raho Kashti Giri Jub Nuh ki, Qaasid nay yea aawaz di Tufaan jaayeaga yea tham, Naaday Ali Partay Raho. Jub Maarayka Khaybar kaa thaa, Ahmad say Khaliq Nay Kaha Pouchay Hyder Ek dum, Naaday Ali Partay Raho. Zikray Ali Ibadat Teri, Banjayea Ek Aaadath Teri Phir Zindagi Na Parjayea Kam, Naaday Ali Partay Raho. Turbat Say hum dartay nahi, Jaannat Talab kartay nahi Partay huvay niklay yea dum, Naaday Ali Partay Raho. Bintay Asad kay maaha ki, Zahid Najaf kay Shah ki Midhat keeyea jaawo raqam, Naaday Ali Partay Raho.
Band pani kar diya aalay Payamber kay Liyea Margaye Atfal-e-Hyder Ek saagar kay Liyea Shah Khaytay thay Kohi Aulaad Wala Kiya Nahi
Page-42-
Thoda Saa Pani Joo Day Day Meray Asger Kay Leyea Phir Nazar Ki sooway Naheray Alqama aur yea Kaha Meray Gayraadaar kiya Khaytay hou Qaahar kay Leyea Wo h Bharay Darbar main jub Daakila Hamsheer kaa Kuch tou karnaa Intaayzaam us waqt Chadar kaay leya Roo kay khati Thee yea Zainab Bay Riad hu Aaj main Aay layeeno kuch tou dayna aasraa Sur kay leyea Kiya Karu Bhai Mera Shaanay Kaatakay Soogaya Warna main mohtaaj hoti Ek chaader kay leyea
Page-43-