A day at the rock garden
A day at the rock garden
A day at the rock garden
Mera naam ansh hain. Isse pehle mere saath aise kabhi nahi hua tha
aur shayad hota bhi nahi agar main uss din class bunk karke apne do
doston Naman aur samrat ke saath wahaan nahi jaata. Yeh baat tab ki
hain jab meri umar sirf 13 saal thi. Uss din ek alag hi din tha, patah nahi
kyun mujhe subah se thoda ajeeb sa lag raha tha aise jaise ki kuch hone
wala hain par shaayad woh issi liye tha kyunki mujhe school jaana waise
bhi pasand nahi tha aur uss din bahut zyaada garmi bhi thi . Garmi aur
school ke boring classes se pareshan main thodi der ke liye ke school ke
peeche ki hisse main bane rock garden ke paas jaake beth gaya. Pehle
wahaan ek talaab hota hain tha par patah nahi kyun woh kuch dino se
ek daam khaali padha hua tha. Kher garmi se pareshan mein, meine
socha ki thodi der pedho ki chaoon main bethke main wahaan se nikal
jaaunga. Mein wahaan betha hi tha itne mein mere hi class ke do ladke
samrat aur naman wahaan aagaye. Waise hum teeno ek doosre ko nahi
jaante hain par main samrat ko jaanta tha aur samrat naman ko.
Samrat mujhe pehle se jaanta tha aur humaari kayi din se baat bhi nahi
hui thi toh woh wahaan aakar mere saath beth gaya aur kyunki mere
paas mera bag tha jiske kaaran usein lagan ki ab saath bethkar woh
mere saath mere mummy ke haath ke banein aloo ke paranthe kha
sakta hain jo meri ghoos thi uss din bahut ladai ke baad school jaane ki
aur usko behad hi pasand thii.
Uske aate hi mujhe samajh aa gaya ki woh yahaan kyun aa raha hain
toh jab tak woh mere paas pahuncha meine apna tiffin pehli hi khol liya
aur aaj ka din jackpot tha 3 nahi balki 5 aloo ke paranthe thein mere tiffin
main . Toh maine socha ek naman ko bhi de doon aur aise hum saath
main bethein aur paraanthein khaate khaate humne baatein karna shuru
kara. Humne dher saari baatein ki aur isi main naman ne bhoothoon ki
baatein shuru ki, usne bataya ki kaise uske ghar mein kisi par kaala
jaadu hua aur bhooth aagaye.Main inn sab main nahi manta tha toh
maine kahaan yeh bhoot nahi koi insaan ki shararat hain aur zor zor se
hasne laga ispar samrat bhi mere saath judh gaya aur hum dono ne
aajkal ke bhoothon ka khoob mazaak udhaya aur kahaan ki woh kitne
bewaqoof aur bilkul hi ajeeb hote hain aur yeh sab jhooth hota hain aur
araam se apne aloo paranthe khatam kiye.Jaise hi humaare aloo
paranthe khatam hue hum wahaan se nikal gaye.
School ki chutti hone ke baad meri ek aadat thi jiske anusar maine apna
bag fir se check kiya aur dekha ki mera tiffin wahaan nahi tha toh mein
bhaag kar gaya aur dekha ki woh wahi talaab ke paas padha tha par
pata nahi kyun uss talaab ke paas bahut buri badboon aa rahi thi par kisi
tarah mummy ki maar se bachne ke liye main wahaan gaya aur mein
tiffin le aaya aur maine waapis usein apne bag main rakh liya.
Saara din araam se beeta par shaam ko jab main khel kar aaya toh meri
mummy ne mujhe apne kamre main bulaya aur zor se ek thappad
lagaya, jiski wajah jab unho ne mujhe batayi toh main khudh nahi
samajh paaya ki woh hua kaise. Hua yeh tha ki aadatani jab meri
mummy ne shaam ko mere bag se tiffin box nikala toh unko ek ajeeb si
badboon aayi aur purein tiffin par kaala aur laal rang tha aur mummy ne
jab woh khola toh uss ke andar ek mara aur sadta hua adha chuha tha
jo geela bhi tha aur jiska shareer aisa lag raha tha ki kisi ne khaa liya
hon aur kyunki meri subah mummy se ladayi ho gayi thi toh unko laga ki
maine aise hi unke saath mazaak kiya hain aur unn ko daraane ki
koshish ki hain. Par main waisa kyun karoonga itna ganda mazaak main
kisi ke saath nahi kar sakta tha kher maine socha ki uss waqt talaab ke
pass rock garden main kisi ne humein sun liya hoga aur mere saath yeh
karke mujhe daraane ki koshish kar raha hain.Uske baad puri shaam
main yahi sochta raha tha ki hua kya aur ki ek baar woh insaan mere
haath lag jaaye jisne yeh kiya hain toh main usein chorhunga nahi main
yahi sochta sochta sone ke liye chala gaya aur theek sone se pehle
mere phone pe ek notification aayi, meine jab phone khola toh main ek
naye whatsapp group ka part tha jismein samrat aur naman bhi thein.
Hum logo ne uspar baat karna shuru kiya khaaskar jo subah aur shaam
ko mere saath hua, maine jab yeh baat group par likhi toh pehle toh 1
ghante ke liye koi message nahi aaya phir kayi saari photos jo samrat ne
bheji thi jismein uska tiffin bhi bilkul same rangon se latpat tha aur uske
andar ek aadhi mari huin billi thi bilkul usi hi tareeke se padhi huin jaise
meri maa ne mujhe uss chuhein ki laash ke baarein main bataya tha.
Woh photos dekh ke mere andar ek ajeeb se bechaini huin aur mujhe
ulti aagayi aur jab ulti kar kar main waapis aaya toh maine group par yeh
baat bataayi jisko jaan kar samrat aur naman hasne lagein aur message
karne lage ki yeh darne ki baat nahi hain kyunki yeh sun kar un dono ko
pakka yakeen ho gaya hain ki yeh class main se hi kisi ka mazaak tha
aur hum sab ne yeh thaan liya tha ki hum usein nahi chorhenge aur fir
se bhooton ki kahaaniya sunaane lag gaye aur bhoothon ka mazaak
udaane wali videos aur memes bhejte rahein par naman chup tha, usko
lag raha tha ki yeh kuch aur hain aur woh good night bolkar so gaya
jabki main aur samrat memes bhejte bhejte na jaane kab so gaye
humein patah hi nahi chala.
Puri raat sukoon ki neend aayi par subah ke 4 bajne se theek adha
ghanta pehla meri aankh khuli aur mujhe laga koi meri aankh ke ek dum
paas aakar ek badboodar saans le raha hain, meine zor se chilaane ki
koshish ki par meri awaaz nahi nikli balki woh saansein tez hone lagi aur
zor se chamakti huein aakhein kahi se wahaan aayi aur mujhe ghoorte
rahi jabki meri cheekh kisi ko nahi sunayi de rahi thi balki mere kaan mai
tez ek choohein ki awaaz aa rahi thi aur aisa lag raha ki koi mere kaano
ke pardon ke andar apne daanton ke saath kaan ke pardein ko kutar
raha hain.
Main saari raat chilaata raha aur aakhir mein kareeban ek ghante ke
baad main bahut zor se chilaya aur ek bahut tez ki awaaz aayi jaisi ki
kayi kaanch ki cheezein ek saath gir gayi hon aur meri cheekh nikli aur
mein behosh ho gaya. Uske baad main kitni der tak sota raha mujhe
kuch nahi yaad bas yeh yaad hain ki main ek shor se utha , shor meri
mummy ke zor se chilaane ka aur ek bahut tez dard jo mere kaan main
ho raha tha ,main sabse pehle yeh dekhne ke liye bhaaga ki meri maa
kyun chilaayi aur maine yeh dekha ke ghar ke saari cheezein tooti huin
hain aur har jagah billi ke mooh se nikalne wali balon ka gucha hain aur
sadhein huen maas ki badboo aa rahi hain.
Mujhe aur meri maa ko kuch samajh nahi aaya kyunki humne har ek
darwaza aur khidki band kari thi aur agar koi billi aayi bhi hoti toh woh
gayi kahaan se thi.Meri maa ko abhi bhi mujh par shaq tha aur unhone
mujhe khoob daanta aisa ghinauna mazaak karne ke liye aur mein rota
rota bathroom main gaya aur khudh ko lock kar liya.
Kyunki school jaane ka time ho raha tha aur bus thodi hi der main aane
wali thi toh maina sach sab chorh kar sabse pehle nahaane jaata hoon
taaki mujhe thodi raahat mili par meine jaisi hi nahaane ke liye apni tshirt
utaari toh ussi jagah jahaan raat ko mujhe laga koi betha hua tha kisi ke
panjon ke nishaan thein jisne mera mass tak phaadh diya tha. Mujhe
kuch samajh nahi aa raha tha mere saath kya ho raha hain aur yahi
samajhte samajhte maine jab paani chalaya aur apne shareer par
saabun laga kar apne kaan saaf karne ke liye apne kaan ke andar ungli
daali toh woh choohein ke baal , sukha hua khun aur kisi ke daant ke
bahut chotein tudke mere haath main aagaye jisko dekh kar main wahi
behosh ho gaya.
Teen din baad jab mujhe hosh aaya toh main hospital mein tha aur mein
ek kaan se sun nahi paa raha tha, jab mummy aur doctor ne mujhe uski
wajah batai toh mera iss baat main yakeen aur badhta gaya ki iska
zaroor kuch kal ke rock garden aur kahaaniyon se lena dena tha.
Yeh sab mere saath har kshan har minute ho raha tha aur mujhe unn
awaazon ke ilawa na kuch sunaayi deta tha aur uss badboo ke ilawa na
koi gandh aati thi aur har raat wahi ghaon, har subah wahi sukhaa
khoon meri haalat aise ho gayi thi ki doctor ne bhi haath jodh diye thein.
Har raat maa kamre main hi rehti par woh ghaon wahaan kaise aate
thein yeh baat na hi hospital cctv bata paaya aur na hi maa.
Yeh sab ek hafte tak chalta raha aur tab jaake khatam hua jab har
dharm ke gyaani logo ne har din alag alag prakaar ki pujaayein ki. Unn
sab ke baad jab maine hosh sambhala toh mujhe patah chala ki, samrat
ke saath bhi bilkul waisa hua jaisa mere saath hua par unn panjon ne
usko bahut zyaada ghayal kar diya tha aur uska sirf kaan ka parda hi
nahi balki kaan se lekar dimaag tak saari nasein ko shayad ussi chuhein
ne puri tarah se tabah kar diya tha aur woh coma main jaa chuka tha.
Jab maine nanan ka haal pucha toh patah chala ki woh ham dono se
hospital main milne toh aaya tha aur woh bhi kayi baar par fir ek din woh
aur uska pura parivar sheher chorh kar kahi chala gaya, shayad naman
ko uss waqt samajh aagaya thi ki kya ho raha hain aur woh usse jitna
door ho sakein rehna chahta tha. Main uski yeh baat isliye samajh sakta
tha kyunki hospital se choothte hi maine aur meri maa ne bhi yahi kiya
aur hum bahut door jaakar bas gaye.
Bahut saalon tak kuch nahi hua hum teeno ne ek doosre se baat karne
ki bilkul koshish nahi kari aur yeh mann hi mann soch liya tha ki na hi
karenge. Sab bahut accha chal raha tha ab meri shaadi ho gayi thi aur
ek chota sa paanch saal ka beta bhi tha jiska naam main Anuj rakha tha
main zindagi main itna khush kabhi nahi tha par ek raat theek subah ke
4 baje se adha ghanta pehle patah nahi kyun meri aankh khuli, meri
aankh jab khuli toh wahi badboo aur awaazein waapis aagayi thi. Mujhe
kuch nahi samajh aaya ki main kya karoon main bhaagkar apne bete
anuj ke room main gaya iss darr se ki kahi uske saath toh woh nahi ho
raha jo mere saath ho raha tha, par main wahaanjab pahuncha toh
wahaan ek dum sannata tha.Maine apni mann ke shaanti ke liye usein
utha kar usse baar baar poocha ki usein kuch awaazein toh nahi sunayi
di ya kuch aankhein ya kaan main dard, maine uska kaan bhi light
jalakar dekha woh yeh sab dekh kar darr gaya aur bhaag kar meri biwi
smita ke paas jaakar so gaya.Mujhe uss waqt kuch nahi samajh aa raha
tha ki aisa ek dum se itne saal baad kyun hua main wahaan se apne
kamre main gaya 4 sleeping pills aur li apni rajai aur takiya uthaya aur
anuj ke kamre main aakar so gaya.
Mein uss raat ek second dhang se nahi soya jab bhi aankhein band
karta wahi sab waapis mere saath hone lagta tha jo uss din ke baad hua
tha.Badhi mushkil se meri ek ghante ke liye aankh lagi. Jab meri maa ne
mujhe uthaya, aur yeh bataya ki samrat aur naman dono ki maut ho gayi
toh mere kuch bhi palle nahi padha aur main yeh sochne laga ki kal raat
jo hua woh ek ittefaq tha ya koi sandesh. Mein bas yeh sochta raha ki
samrat pehle se hi coma main tha toh uske saath toh yeh kabhi na kabhi
hona hi tha par naman,uska in sab se jahaan tak mujhe yaad hain usne
toh kuch kahaan bhi nahi tha, wahaan mein yahi soch raha tha aur meri
saans soonkh rahi thi ki mera kya hoga jab maa ne mujhe yeh bataya ki
Naman darasal school ke pichli wali road se guzar raha tha, woh darasal
dilli kisi kaam se gaya tha aur uske subah ki flight thi aur airport jaate
waqt uski road accident main maut ho gayi.Airport jaane ka woh sabse
tez raasta toh tha par woh wahaan se gaya hi kyun jabki ussein patah
tha ki ussi deewar ke theek peechein wahin rock garden tha jahaan yeh
sab shuru hua tha , yeh baat mujhe pach nahi rahi thi.
Mujhe ab kuch nahi samajh aa raha tha aur woh chuhein ki awaazein
aur woh badboo ab har jagah fir se mera peecha kar rahi thi. Mein aaj
office jaane miss nahi kar sakta tha kyunki meri ek client ke saath bahut
important meeting thi toh meine apna saara dhyaan wahaan lagaane ki
koshish kari.Kisi tarah meeting khatam karke jab main apne office main
jaake betha toh wahaan woh badboo pehle se hi majood thi aur jab
lunchtime main khaana khaane ke liye main apna tiffin khola toh wahi
khoon aur chuha wahaan majood tha theek waise hi jaisa maa ne
bataya tha uss din school se aane ke baad.
Iske baad mujhe pura yakeen ho gaya tha ki woh jo kuch bhi tha
wahaan uss din jisne humaari zindagi tabah kar di thi woh waapis
aagaya hain. Shor aur badhta jaa raha aur ab khoon aur kaan main dard
dono hi waapis aa gaye thein kisi tarah main sabse ladkar mushkil se
ghar pahuncha aur khaana khaakar puja karke kai saari sleeping pills
khaakar so gaya.
Meina socha ki bas agar aaj raat nikal jaaye toh shayad zindagi bhar
kuch nahi hoga.Uss waqt main sach kahoon toh mujhe bas apni jaan ki
padhi thi,main uss khatre ko apne saamne dekh raha tha aur usi ke
baatein main sochte sochte meri aankh lag gayi thi par 4 bajne theek
aadha ghanta pehle mere saath wahi hua jo uss raat hua tha, wahi
aankhein, wahi panjein, wahi daant, wahi chuhan, wahi khoon aur dher
saari ghabrahaat aur khoon sukha aur nikaal dene wala dard.
Mein jaise kaise un sab se nikla aur tabhi mere phone par ek ke baad
ek lagaatar message aane lagein. Meine phone khola aur woh
messages dekh kar mera sar ghoom gaya kyunki messages samrat aur
naman ke yaahan se tha aur woh bhi voice mesage aur woh jaise jaise
main messages dekh raha tha naye messages bheje jaa rahe thein.
Meine bahut himmat karke sabse pehle naman ka message chalaya
jismein shayad woh gaadi chala raha tha aur bahut tez ki haanf raha tha
aur yeh bata raha ki yeh sab jo ho raha hain woh sach hain aur fir woh
ek dum se shaant ho gaya aur uske baad bahut shaanti se bola ki "Uss
din tum jab wahaan par aaye toh main uss chuhein ko pakad rahi thi aur
maine usko pakad liya tha par main taar me phass kar kuen main gir
gayi, mein wahaan shaanti dafn thi shaanti par tumhe iss din mere hone
ya na hone ka mazaak nahi udhana nahi chahiye tha " Usne yeh kahaan
aur fir shaant ho gaya aur fir tez ki chilaya aur phone main se wahi
chuhon aur kai saari billiyon ki awaazein aani lag.Mujhe kuch samajh
nahi aa raha tha ki yeh kya hua maine ek dum se apne aap ko ek kamre
main lock liya aur ek cigerate jalayi halaaki meri himmat nahi ho rahi thi
par fir bhi maine na jaane ko kyun samrat ka message bhi chalaya
jismein woh tez tez ki chilaake keh raha tha " Woh sach hain, woh tumhe
aur tumhare pure parivaar ko nahi chodhenge, anuj ko bachaon anuj ko
bachaon" aur fir woh bhi ek dum se shaant ho gaya. Maine kisi tarah
apne hosh sambhaale fir tabhi woh awaazein fir se shuru ho gayi aur
woh gandh woh toh jaise pure ghar main fail gayi main uss kamre se
nikalkar bhaagkar anuj ke kamre main gaya jahaan ab woh awaaz
badhti hi jaa rahi aur woh gand bhi aur main jab wahaan pahucha toh
main bas dekhta hi raha kuch kar nahi paaya kyunki shayad bahut der
ho gayi thi mujhe saaf saaf wahi dikh raha tha jo mujhe uss raat dikha
tha wahi do aankhein aur wahi awaaz bas ab baat yeh thi ki jahaan woh
do aankhein bethi thi wahaan khoon hi khoon tha aur anuj ki aankhein
aur kaan dono se bina ruke khoon beh raha tha jab maine paas jaane ki
himmat ki toh wahi aadhi mari huin billi aur chuha ne usein andar se
khaana shuru kar diya tha aur dheere dheere usein chod kar meri taraf
aana shuru kar chuke thein.