Aabha Draft2
Aabha Draft2
Aabha Draft2
POLICE OFFICER
Kya babu, ban liye Imran Hashmi...
(after a pause with laugh)
chalo ab ek ek karke ao, bail karwao
aur chalte bano.
All the couples come, pay the fine and leave together in
shame, face covered all the while. Out of the couple which
was initially seen mingling, the boy came and shamelessly
avoided the girl and got himself bailed out. The girl sits
shattered and hopeless. Aabha notices the girl as the guy
leaves and feels empathy for her.
POLICE OFFICER
Tu...
(pointing at the girl)
idhar aa.
POLICE OFFICER
Tera aashiq to gaya.
(after a pause)
Chal...ghar pe phone mila. MILA!
AABHA
Umm...Tumhara koi dost wagarah ho to
usko bhi call kr skte hain.
POLICE OFFICER
Koi jarurat nahi hai, Aabhaji. Baap ko
phone milao iske.
AARTI
Ye kulfi... yar aaj bhi utni hi swaad
hai. Main hamesha kesar wali leti thi
aur tu-
AABHA
Pista.
(both laugh.)
AARTI
Ek baar yaad hai, Rani aur meri kya
ladai hui thi. Jab maine kulfi uski
nayi dress pe gira di thi. Bilkul
ucchal padi thi.
(laughs again)
AABHA
Haan...kitne dino tak muh phula k
rakhi thi wo.
AARTI
Haan...wese Aabha, ek baat batau.
(leans in)
Wo kulfi galti se nahi giri thi!
(giggles)
AABHA
Iske baad bhi tum dono ekdum pakki
saheli ban gayin thi.
AARTI
(slurping in between)
Are tabki baat alag thi...meri usse
too abb baat bhi nhi hoti. Woh Shimla
gayi thi honeymoon pe uski dost se pta
Created using Celtx
3.
AABHA
Mahesh bhi too bilkul gentleman type
hi hai.
AARTI
Woh toh hai hi.
(giggles)
Honeymoon pe Kaathmandu le ke gaye
the, aur salgirah pe ye banarasi.
(sighs happiness)
Shyd agle saal Vaishno Devi jayein!
AARTI
Arre. Ye pichhle gali waali Neelu hai
na...maine sunna woh ghar chhodke
bhaag gayi?
(Aabha confirms)
Kabhi lagta hai sahi kiya...
AABHA
Haa woh kisi dusre sheher hi hai.
AARTI
Acha, Brijesh kidhar ko hai aajkal?
AABHA
Yaha toh nahi rehta...bahar hi gaya
hoga.
AARTI
Dekh, ye bhi chala gaya.
Triggers flashback
BRIJESH
Sunn...Kulfi khaegi?
AABHA
Abhi...Sardi mein??
BRIJESH
(thinks for a sec)
Toh hot chocolate piyegi? Mall ke
paas?
AABHA
(in surprise)
Hot chocolate?
(dramatic pause)
Tu pilaega?
BRIJESH
(flirtatiously)
Haan haan kyun nhi.
AABHA
Chal sakte hain.
They hang out and enjoy, drinking hot chocolate. Many days
following they go around and eat sometimes together like
dates. /Montage/
AABHA
Kahi chalega?
POLICEMAN
(pointing at Aabha)
Tu! Idhar aa.
POLICEMAN
Tera babu shona toh gaya tujhe chhor
ke. Chal ab yaha naam likh apna.
POLICEMAN
(looks up)
Machhiyaar? Accha Shalini ki beti hai
tu?
POLICEMAN
(angrily)
Chup kya hai, bol na! Shalini ki hi
beti hai na tu?
AABHA
(afraid)
Haan.
POLICEMAN
Lo! Ek saal huva nahi aur beti ke par
nikal aaye. Aur tere baap se toh kuchh
umeed rakh bhi nahi sakte.
AARTI
Tune kuch socha Shaadi ka?
(nods no, pause)
Dekh Aabha tera baap toh ladka
dhoondega nhi. Tu hai toh ghar sambhal
raha hai. Uske liye toh accha hi hai,
seva mil rahi hai. Tujhe hi ladka
dekhna hoga.
(looks at Aabha)
tera wala.
(her kulfi falls on Aabha)
Maine jaan buj ke nahi giraayi, mummy
kasam!
Aabha returns home and sees her father sleeping on the bed.
She covers him with a blanket and picks up the paper in his
hand and finds a matrimonial agency's ad.
Aabha wakes up still half asleep makes tea for her father.
She serves the tea and leaves. His father drinks the tea.
FATHER
(says to himself)
Acchi hai.
Age: 25(strikethrough) 28
Caste:
AARTI
(gossiping)
Tujhe pata chala? Himanshu Riya ko
propose karne wala hai.
AABHA
Sacchi?
AARTI
Haan! Aur Surya Disha se chaanta khaa
gaya!
AABHA
Woh kyu?
AARTI
Arey, hafto se uske peeche
mandra//ghum raha tha. Saaf dikhta tha
bhaav ni deri fir bhi. To chaanta to
padhna hi tha aaj.
AARTI
Wese Aditya ka bhi kahi chlra hai
lagta hai...
AABHA
Tune pee rakhi hai?
ADITYA
Hain...haan...dosto ke saath
tha...jaane kisne cold drink me bhaang
mila di...Aabha kasam se mene jaan ke
kuch nahi karaa...
AABHA
Accha theek hai theek hai, pehle khud
ko sambhaal.
AABHA
(worried)
Aditya! tujhe ghar chor au?
ADITYA
Arey Aabha pareshan mat ho yar...mujhe
itni bhi ni chadhi.
AABHA
Koi nahi mai chhodh deti hu, teri
haalat theek nahi hai
ADITYA
Arey par... maa baap gussa karenge.
AABHA
Is haalat me unko muh dikhaoge tab
gussa to karenge hi.
ADITYA
Mujhe dekh ke nahi...tujhe dekh ke
AABHA
Umm...maine shaadi ke liye form bhara
hai.
FATHER
(folds his paper weakly)
Koi ladka chunle toh batana.
the sofa. Few dry snacks are on the table and are greeting
butterly.
FATHER-IN-LAW-TO-BE
Humare ghar toh khaane ko khaana nahi
prasad hi maante hai Annapurna Maa ka!
Mithai ki dukaan jo thehri humari,
rasoi mein ekdum pakke hai. Bitiya ko
bhi bada maja aayega khana banane
mein.
FATHER
Aabha bhi sab ghar ka kaam kar leti
hai.
MOTHER-IN-LAW-TO-BE
Umesh bhi humara ladies ki bohot
respect karta hai. Koi drinking,
smoking, bad habits nahi rakhta.
Her husband gestures her to not talk about it. Umesh also
tries to keep his face straight.
FATHER-IN-LAW-TO-BE
(to fill the awkward pause)
Beta, aapko kuch puchhna hai Umesh se?
MOTHER-IN-LAW-TO-BE
Haa haa, Aabha beta, puchho puchho.
(Aabha simply can't ask)
FATHER
Dono ko akele mein baat karni ho toh
chhat pe chale jao.
MOTHER-IN-LAW-TO-BE
Haa, sahi keh rahe hai aap. Nahi toh
bas sharmate rahenge, hehehe.
UMESH
(overly smiles whole time)
Ji uncle.
(looks at Aabha)
UMESH
Aapki hobbies kya hai?
AABHA
(after thinking little)
Aise kuchh khaas toh nahi hai.
UMESH
Arre Aabhaji kuchh toh raha hoga na
jaise kadai-bunayi ya kuch...
AABHA
Main gaane sunti thi....hoon.
UMESH
Sahi keh rahe hai aap. Timepass ke
liye theek hai.
(silence)
UMESH
Toh aap Constable hain?
AABHA
Ji.
UMESH
Very respectable...hamari family ki
bhi kafi respect hai. Abhi toh humari
chauthi dukaan bhi khulne wali hai.
AABHA
Badhaai ho.
UMESH
Earning hum karlete hai achhi khaasi.
Haan...par aapko in sab baato ki
chinta karne ki koi zarurat nahi hai.
Aap sirf ghar ka kaam dekhlo toh bhi
kaafi hai...
AABHA
(a little surprised at the
implication)
Acha...
UMESH
Toh yahi aapka hometown hai?
AABHA
Ye Haan.
UMESH
Accha...to aapka pehle kabhi kisi ke
UMESH
Ab shaadi ki baat kar rahe hai toh
jaan na tha ki aap kabhi pehle kisi ke
saath intimate huye hai?
AABHA
(a little disgusted)
Aap hue hain?
UMESH
Ladko ka toh chalta hai, bas ladkiyo
ka thora...na hi ho to...accha hai.
(laughs it out)
FATHER-IN-LAW
Thik hai phir... Hum chalte
hain...jaisa hoga vaisa bataenge...
Namaste
FATHER
Namaste
FATHER
Kya tha yeh?!
THE END