Fashion Aur Humara Muashra

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 52

aur humara muashra

Allama Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi

Abde Mustafa Publications


Fashion aur humara muashra
Writer: Allama Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi

Roman Urdu Transliteration: Muhammad Aaseem Razvi


(Member Mission Qadri Welfare Society)
Publisher: Abde Mustafa Publications
Digitally Published by Sabiya Virtual Publication
Powered by Abde Mustafa Organisation

Publication Date: September 2023 Total Pages: 52


Edition: 1st
Book No.: SVPBN429

Cover Design & Formatting : Pure Sunni Graphics

All rights reserved.


No part of this publication may be reproduced, distributed, or
transmitted in any form or by any means, including photocopying,
recording, or other electronic or mechanical methods, without the prior
written permission of the publisher, except in the case of brief quotations
embodied in critical reviews and certain other noncommercial uses
permitted by copyright law.
Copyright © 2023 by Abde Mustafa Publications

we’re working together:

SAB YA
ROMAN BOOKS

graphics
A B D E M U S TA FA O R G A N I S AT I O N Abde Mustafa Publications

TECHNICAL SUNNI
E N I KA H M AT R I M O N Y S E R VI C E S I D R A S T O R E
All praise to Allah, the Lord of the Creation,
and countless blessings and peace upon
our Master Muhammad, the leader of the Prophets.
Fashion aur humara muashra 1

Contents
ABDE MUSTAFA ORGANISATION KE BAARE MEIN .................................. 2
NAYA FASHION................................................................................................. 4
NAYE FASHION KI KHARABIYAN .................................................................. 5
ISLAMI LIBAS KE FAYDE .................................................................................. 6
MUSALMANON KE UZR................................................................................ 11
DADHI KE BAHUT FAYDE HAI: ...................................................................... 16
ISLAMI SHAKL ................................................................................................. 22
ISLAMI LIBAS ................................................................................................... 23
DOOSRI ZARURI BAATEIN: ............................................................................ 24
AURATON KE LIYE PARDA ZARURI HAI.................................................... 25
PARDE KE NAQLI DALAEL: ............................................................................ 27
PARDE KE AQALI DALEELEIN:........................................................................ 31
ISLAMI PARDA AUR TAREEQA E ZINDAGI................................................ 34
AURATON KO KAB NIKALNA JAEZ HAI .................................................... 35
LADKIYON KI TALEEM ................................................................................. 37
PARDA AUR HUMARA MUASHARA............................................................. 42
DEVAR SE PARDA :......................................................................................... 43
PEER SE PARDA : ............................................................................................ 43
USTAAD SE PARDA :....................................................................................... 44
PHERI WALE SE PARDA : ................................................................................ 45
DUKANDARON SE PARDA : ............................................................................ 46
Fashion aur humara muashra 2

Abde Mustafa Organisation ke baare mein

Abde Mustafa Organisation sana 2014 eiswi se Quraano


Sunnat ki taleemaat ko print media aur digital media ke
zariye aam karne ke maqsad ke tehat kaam kar rahi hai
• Humare departments aur activities
Hum mukhtalif departments mein kaam kar rahe hain, jinki
tafseel darje zel hai:
• Abde Mustafa Publications
Ye humara main department hai jahan mukhtalif mauzuaat
aur zubano mein kitabein shaya ki jaati hain, Humari
publish ki gai kitabo ko padhne ke liye humari website par
jaayein:
www.abdemustafa.org
• Blog
Hum mukhtalif mauzuaat aur zubano mein tehreerein shaya
karte hain jo Ilmi aur Tehqeeqi hoti hain, Inhein humare
blog par dekha ja sakta hai:
amo.news/blog
• Sabiya Virtual Publication
Ye platform virtual publishing ke liye hai yaani iske tehat
kitabo ko digital formats mein internet par publish kiya jaata
hai, Is platform se musalsal digital library mein kitabo ka
izafa ho raha hai
amo.news/books
Fashion aur humara muashra 3

• Roman Books
Ye shoba Urdu kitabo ko Roman Urdu mein dhaalne ke liye
hai, Daure haazir mein Roman Urdu ke badhte hue istemal
ko madde nazar rakhte hue is project ka aaghaz kiya gaya hai
• E Nikah Matrimony Service
Ye ek matrimonial service hai jo khaas Ahle Sunnat Wa
Jama'at ke liye shuru ki gai hai, Is service ke zariye sunniyo
ka nikah sunniyo se karwaya jaata hai, Ye service sunniyo
mein rishte talash karne mein aasani faraham kar rahi hai,
Register karne ke liye humari website par jaayein
www.enikah.in
• Nikah Again Service
Ye service ta'addude azwaaj yaani ek se zaaid nikah
(polygamy) ko riwaaj dene ke liye shuru ki gai hai
• Technical Sunni
Technology se judi malumaat ko aam karne ke liye is muhim
ka aaghaz kiya gaya hai, Is mein hum ek munfarid andaaz
mein technology se related information ko pesh karte hain
taaki qaum usse faida utha sake
Mazeed malumaat ke liye ya kisi tarah ki shikayat darj karne
ke liye bila jhijak hum se rabta karein

Abde Mustafa Organisation


Fashion aur humara muashra 4

Naya Fashion

Naye Taleem Yafta Logon Ne Musalmanon Ki


Maujooda Pasti Aur Unki Beemariyon Ka Ilaaj Yah Socha
Hai Ki Musalman Magribi Tahzeeb Mein Apne Aap Ko
Fana Kar Dale Is Tarah Ki Mard To Apni Dadhiya Mundwa
Dein, Munchhe Lambi Karein, Nekar (Janghiya) Coat
Patloon, Hat (Cap) Istemal Karein, Namaz Ko Khairbad
Kah Dein Aur Apne Ko Aisa Zahir Karein Ki Yah Kisi
Angrez Ke Farzand Hain Aur Auraton Ko Ghar Se Bahar
Nikalein, Parda Tod Dein, Apni Beeviyon Ko Sath Lekar
Bazaron, Company, Baagon Aur Tafreehgahon Mein
Ghoomte Phire, Raat Ko Begum Ko Lekar Cinema Jayein,
Balki College Aur Sachoolon Mein Ladke Ladkiyan Ek Sath
Baith Kar Taleem Hasil Karein, Mard Aur Auratein Mil Kar
Tenis, Hockey Wagaira Khelein. Yah Bhoot In Aqalmandon
Par Aisa Sawar Hua Hai Ki Jo Unko Samjhata Hai Uske Yah
Dushman Ho Jate Hain Usko Mulla Ya Masjid Ka Lota Ya
Purani Type Ka Budhdha Kah Kar Uska Mazaq Uda Kar
Rakh Dete Hain. Akhbaron Aur Risalon Mein Barabar
Parda Ke Khilaf Mazameen Chhap Rahe Hain, Qur'ani
Aayaton Aur Ahadees e Shareefa Ko Kheench Taan Kar
Parda Ke Khilaf Chaspa Kiya Ja Raha Hai. Mein To Ab Tak
Na Samajh Saka Ki In Harkaton Se Muslim Qaum Taraqqi
Kyunkar Kar Sakegi? Aur Jin Sahibon Ne Apne Gharon
Mein Paris Aur London Ka Namoona Paida Kiya Hai
Unhone Ab Tak Kitne Mulk Jeete Aur Unhone
Fashion aur humara muashra 5

Musalmanon Ko Apni Zaat Se Kya Fayde Pahunchaye Aur


Islam Ki Kitni Isha'at Ki?

Naye Fashion Ki Kharabiyan

Qur'an e Kareem Farmata Hai,


"Aey Imaan Walo! Islam Mein Poore Poore Dakhil
Ho Jao Aur Shaitan Ke Qadamon Par Na Chalo
Beshak Vah Tumhara Khula Dushman Hai".
(Soorah Baqra, Aayat 208)
Insaan Ko Qudrat Ne Do Qism Ke Aaza Diye Hain Ek
Zahiri Aur Doosre Chhipe Huye. Zahiri Azw To Soorat,
Chehra, Aankh, Naak, Kaan Wagaira Hain Aur Chhipe
Huye Azw Dil, Dimag, Jigar Wagaira. Musalman Kaamil
Imaan Wala Jab Ho Sakta Hai Ki Soorat Mein Bhi
Musalman Ho Aur Dil Se Bhi Yani Islam Ka Us Par Aisa
Rang Chadhe Ki Soorat Aur Seerat Donon Ko Rang De. Dil
ََ َ
Mein ALLAH Ta'ala Aur Rasoolullah ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہٖ َو َسل َم‬ ُ ‫ َص ََّل‬Ki

Ita'at Ka Jazba Mauzein Maar Raha Ho, Usmein Imaan Ki


Shama Jal Rahi Ho Aur Soorat Aisi Ho Jo ALLAH Ke
ََ َ
Mahboob Rasoolullah ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہٖ َو َسل َم‬ُ ‫ َص ََّل‬Ko Pasand Thi

Yani Musalman Ki Si. Agar Dil Mein Imaan Hai Aur Soorat
Bhagwan Daas Jaisi Ho To Samajh Lo Ki Islam Mein Poore
Poore Dakhil Na Huye, Seerat Bhi Achchi Banao Aur Soorat
Bhi.
Ghaur Se Suno! Hazrat Mugeera Bin Shoba Jo Ki Sahabi
e Rasool Hain Ek Baar Unki Munchhe Kuch Bad Gai Thi
ََ َ ُ ‫ َص ََّل‬Ne Farmaya Ki Aey Mugeera!
Huzoor ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہٖ َو َسل َم‬
Fashion aur humara muashra 6

Tumhari Munchhe Badh Gai Kaat Lo Unhone Khyaal Kiya


Ki Ghar Jakar Kainchi Se Kaat Doonga Magar Sarkar Ka
Farman Hua Ki Humari Miswak Lo Us Par Bade Huye Baal
Rakh Kar Chhuri Se Kaat Do Yani Itni Bhi Muhlat Na Di
Ki Ghar Jakar Kainchi Se Kaatein Nahi Yahan Hi Kaat Do,
Jisse Maloom Hua Ki Badi Munchhe Huzoor Alaihissalatu
Wassalam Ko Napasand Thi. Duniya Mein Hazaron
Paigambar Tashreef Laye Magar Kisi Nabi Ne Na Dadhi
Munda'e Aur Na Munchhe Rakha'e Lihaza Dadhi Fitrat
Yani Sunnate Anbiya Alaihimussalam Hai. Hadees e Paak
Mein Hai 'Dadhiyan Badao Aur Munchhe Past Karo Aur
Mushrekeen Ki Mukhalifat Karo'.

Iske Alawa Bahut Si Naqli (Riwayatein) Daleelein Di Ja


Sakti Hain Magar Humare Naye Taleem Yafta Log Naqli
Dalael Ke Muqable Aqali Baaton Ko Zyada Mante Hain
Goya Gulam Ke Phool Ke Muqable Mein Gende Ke Phool
Unko Zyada Pyare Hain Isliye Aqali Baatein Bhi Arz Karta
Hoon.

Islami Libas Ke Fayde

Suno! Islami Shakl Aur Islami Libas Mein Itne Fayde


Hain,
1. Government Ne Hazaron Mahkame Bana Diye Hain
Railway, Daak Khana, Police, Fauj Aur Kachhari Wagaira
Aur Har Mahkame Ke Liye Wardi (Dress) Alahida Alahida
Muqarrar Kar Di Ki Agar Laakhon Aadmiyon Mein Kisi
Fashion aur humara muashra 7

Mahkame Ka Aadmi Khada Ho To Saaf Pahchan Mein Aa


Jata Hai. Agar Koi Sarkari Naukar Apni Duty Ke Waqt Apni
Wardi (Dress) Mein Na Ho To Us Par Jurmana Hota Hai
Agar Baar Baar Kahne Par Na Mane To Barkhast (Suspend)
Kar Diya Jata Hai. Isi Tarah Hum Bhi Muhkam e Islam Aur
Saltanat e Mustafwi Aur Hukoomat e Ilaahiya Ke Naukar
Hain Humare Liye Alahida Shakl Muqarrar Kar Di Ki Agar
Laakhon Kafiron Ke Beech Khade Ho To Pahchan Liye
Jayein Ki Mustafa Alaihissalam Ka Vah Gulam Hai, Agar
Hum Ne Apni Wardi (Dress) Chhod Di To Hum Bhi Saza
Ke Mustahiq Honge.

2. Qudrat Ne Insaan Ki Zahiri Soorat Aur Dil Mein Aisa


Rishta Rakha Hai Ki Har Ek Ka Doosre Par Asar Padta Hai.
Agar Aapka Dil Gamgeen Hai To Chehre Par Udasi Chha
Jati Hai Aur Dekhne Wala Kah Deta Hai Ki Khair To Hai
Chehra Kyun Udaas Hai? Dil Mein Khushi Hai To Chehra
Bhi Surkh Wa Safed Ho Jata Hai Maloom Hua Ki Dil Ka
Asar Chehre Par Hota Hai. Isi Tarah Agar Kisi Ko Dil Ki
Beemari Hai To Hakeem Kahte Hain Ki Usko Achchi Hawa
Mein Rakho, Achche Aur Saaf Kapde Pahnao, Usko Falan
Dawa Ke Paani Se Gusl Do Kahiye Beemari To Dil Mein
Hai Yah Zahiri Jism Ka Ilaaj Kyun Ho Raha Hai? Isliye Ki
Agar Zahir Achcha Hoga To Andar Bhi Achcha Ho Jayega.
Tandurust Aadmi Ko Chahiye Ki Rozana Gusl Kare, Saaf
Kapde Pahne, Saaf Ghar Mein Rahe To Tandurust Rahega,
Isi Tarah Giza Ka Asar Bhi Dil Par Padta Hai. Suar (Pig)
Khana Shariyat Ne Isiliye Haraam Farma Diya Ki Isse Be
Fashion aur humara muashra 8

Gairati Paida Hoti Hai Kyunki Suar Be Gairat Janwar Hai


Aur Suar Khane Wali Qaumein Bhi Be Gairat Hoti Hain
Jiska Tajurba Ho Raha Hai (Suar Khane Se Hi Jaan Lewa
Beemari Swine flu Hoti Hai). Agar Cheete Ya Sher Ki
Charbi Khai Jaye To Dil Mein Sakhti Aur Barbariyat Paida
Hoti Hai, Cheete Aur Sher Ki Khaal Par Baithna Isiliye
Mana Hai Ki Isse Guroor Paida Hota Hai. Garze Ki Manna
Padega Ki Giza Aur Libas Ka Asar Dil Par Padta Hai, To
Agar Kafiron Ki Tarah Libas Pahna Gaya Ya Kuffar Ki Si
Soorat Banai Gai To Yaqeenan Dil Mein Kafiron Se
Muhabbat Aur Musalmanon Se Nafrat Paida Ho Jayegi
Garze Ki Aakhir Mein Yah Beemari Muhlik Sabit Hogi.
Isiliye Hadees e Paak Mein Aaya Hai,
'Jo Kisi Doosri Qaum Se Mushaahabat Paida Kare Vo
Unmein Se Hai'.
Khulasa Yah Hai Ki Musalmanon Ki Si Soorat Banao
Taaki Musalmanon Hi Ki Tarah Seerat Paida Ho.

3. Hindustan Mein Aksar Hindu Muslim Fasaad Hota


Rahta Hai Aur Bahut Jagah Sun Ne Mein Aaya Ki Fasaad Ki
Halat Mein Baaz Musalman Musalmanon Ke Hathon
Maare Gaye Kyunki Pahchane Na Gaye Ki Yah Musalman
Hai Ya Hindu, Chunanche Teesre Saal Jo Bareilly Aur
Pilibheet Mein Hindu Muslim Fasaad Hua Us Jagah Se
Khabarein Aai Ki Bahut Se Musalmanon Ko Khud
Musalmanon Ne Hindu Samajh Kar Fana Kar Diya Yah Is
Naye Fashion Ki Barkatein Hain. Mere Vali e Niamat
Murshide Barhaq Hazrat Sadrul Afazil Maulana
Fashion aur humara muashra 9

Muhammad Naemuddin Sahab Qibla Daam Zillohum


(Rahmatullah Alaihi) Ne Farmaya Ki Ek Dafa Hum Rail
Mein Safar Kar Rahe The Ki Ek Station Se Ek Sahab Sawar
Huye Jo Ba Zahir Hindu Maloom Hote The, Gaadi Mein
Jagah Tang Thi Ek Lalaji Se Unka Jagah Lene Ke Liye
Jhagda Ho Gaya Lalaji Ke Sathi Zyada The Isliye Lalaji Ne
Un Hazrat Ko Khoob Pita Musalman Musafir Beech Bachav
Mein Zyada Na Pade Kyunki Samajhte The Ki Hindu Aapas
Mein Lad Rahe Hain Humara Zyada Zor Dena Khilafe
Maslehat Hai. Bechare Shaamat Ke Maare Pit Kat Kar Ek
Taraf Khade Ho Gaye Jab Agle Station Par Utare To
Unhone Kaha 'Assalamualaikum' Tab Maloom Hua Ki Ye
Hazrat Musalman Hain Tab Hum Ne Afsos Kiya Aur Unse
Arz Kiya Ki Hazrat Aapke Fashion Ne Aapko Us Waqt
Pitwaya. Mein Jab Kabhi Bazar Wagaira Jata Hoon To
Sochta Hoon Ki Salam Kise Karoo Maloom Nahi Ki Hindu
Kaun Hai Aur Musalman Kaun? Bahut Dafa Kisi Ko Kaha
'Assalamualaikum' Unhone Kaha 'Bandagi Sahab' Hum
Sharminda Ho Gaye. Mera Irada Yah Hota Hai Ki Jahan
Tak Ho Sake Musalman Ki Dukaan Se Cheez Kharedu
Magar Dukandar Ki Shakl Aisi Hoti Hai Ki Pahchan Nahi
Hoti Ki Yah Kaun Hain Agar Dukaan Par Koi Board Laga
Hai Jisse Naam Maloom Ho Gaya Ki Yah Musalman Ki
Dukaan Hai To Khair Warna Bahut Dushwari Hoti Hai.
Garz Ki Musalmanon Ko Chahiye Ki Shakl Aur Libas Mein
Kuffar Se Alahida Rahein.
4. Kisi Ko Nahi Maloom Ki Uski Maut Kahan Hogi Agar
Hum Pardes Mein Mar Gaye Jahan Humari Jaan Pahchan
Fashion aur humara muashra 10

Wala Koi Na Ho To Sakht Mushkil Darpesh Hogi, Log


Pareshan Honge Ki Inko Dafan Karein Ya Aag Mein Jala
Dein Kyunki Soorat Se Pahchan Na Padegi. Chunanche
Chand Saal Peshtar Aligarh Ke Ek Sahab Ka Rail Mein
Inteqal Ho Gaya Khabar Hone Par Raat Mein Laash Utaar
Li Gai Magar Ab Yah Fikr Hui Ki Yah Hai Kaun Hindu Ya
Musalman? Inko Supurde Khaak Karein Ya Aag Mein
Dalein. Aakhir Unka Khatna Dekha Gaya Tab Pata Laga Ki
Yah Musalman Hain. Khulasa Yah Hai Ki Kuffar Ki Si Shakl
Aur Unka Libas Zindagi Mein Bhi Khatarnak Hai Aur
Marne Ke Baad Bhi.

5. Zameen Mein Jab Beej Boya Jata Hai To Awwalan Ek


Seedhi Si Shaakh Hi Nikalti Hai Phir Aakar Har Taraf
Phailti Hai Phir Usmein Phal Nikalte Hain Agar Koi Shakhs
Uski Charon Taraf Ki Shakhon Aur Patton Ko Kaat Dale
To Phal Nahi Nikal Sakta Isi Tarah Kalam e Tayyaba Ek
Beej Hai Jo Musalman Ke Dil Mein Boya Jata Hai Phir
Soorat Aur Hath, Panv, Aankh, Naak Ki Tarah Us Darakht
Ki Shakhein Chali Ki Is Kalma Ne Musalman Ki Aankh Ko
Gair Sooraton Se Alahida Kar Diya, Hath Ko Haraam
Cheezon Ke Chhoone Se Rok Diya, Soorat Par Imaani Aasar
Paida Kar Diye, Kaan Ko Geebat Sun Ne Aur Zubaan Ko
Jhooth Bolne Aur Geebat Karne Se Roka. Jo Shakhs Dil Se
Musalman To Ho Magar Kafiron Ki Si Soorat Banaye Apne
Hath, Panv, Zubaan, Aankh, Naak, Kaan Ko Haraam
Kamon Se Na Roke Vo Usi Shakhs Ki Tarah Hoga Jo Aam
(Mango) Ke Beej Bo De Aur Uski Tamam Shakhein
Fashion aur humara muashra 11

Wagaira Kaat Dale Jis Tarah Vo Bewakoof Phal Se


Mahroom Rahega Usi Tarah Yah Musalman Islam Ke
Phalon Se Mahroom Rahega.

6. Pakka Rang Vah Hota Hai Jo Kisi Paani Ya Dhobi Se


Na Chhoote Aur Kachcha Rang Vah Jo Chhoot Jaye. To
Aey Musalmanon! Tum ALLAH Ke Rang Mein Range
Huye Ho:
"Hum Ne ALLAH Ka Rang Liya Aur ALLAH Ke
Rang Se Behtar Kiska Rang".
(Soorah Baqra, Aayat 138)
Agar Tum Kuffar Ko Dekh Kar Apne Rang Ko Kho
Baitho To Jaan Lo Ki Tumhara Rang Kachcha Tha Agar
Pakka Rang Hota To Auron (Doosron) Ko Rang Aate.

Musalmanon Ke Uzr

Hum Musalmanon Ke Vo Uzr Bhi Pesh Kar Dein Jo Ki


Vo Bayan Karte Hain Aur Jisse Apni Majbooriyon Ka Izhaar
Karte Hain.

Uzr (1) : Khuda Dil Ko Dekhta Hai Shakl Ko Nahi Dekhta


Dil Saaf Chahiye. Hadees Mein Hai-
'Beshak ALLAH Tumhari Sooratein Nahi Dekhta
Balki Vah Tumhare Dil Dekhta Hai'.
Yah Uzr Padhe Likhe Musalman Karte Hain.
Jawab : Achcha Sahab! Agar Zahir Ka Koi Aitebar Nahi Dil
Ka Aitebar Hai To Aap Mere Ghar Khana Khao Ya Sharbat
Fashion aur humara muashra 12

Piyo Aur Mein Nihayat Umda Badam Ka Sharbat Ya Umda


Biryani Khila Doo Pila Doo Magar Gilaas Ya Raqabi Mein
Upar Ki Taraf Khoob Achchi Tarah Gandagi Paleedi
(Napak Cheez) Laga Doo Aap Us Bartan Mein Kha Loge?
Hargiz Nahi Kyun Janab! Bartan Ka Kya Aitebar Uske
Andar Ki Cheez To Achchi Hai. Jab Tum Bure Bartan Mein
Achchi Giza Nahi Khate Pite To Rab Ta'ala Tumhari Buri
Sooraton Ke Sath Achche Aamaal Kyunkar Qubool
Farmayega? Agar Qur'an Shareef Padho To Lutf Jab Hai Ki
Munh Mein Qur'an Shareef Ho Aur Soorat Par Uska Amal
Ho Agar Tumhare Munh Mein Qur'an Hai Aur Soorat
Qur'an Shareef Ke Khilaaf To Goya Apne Amal Se Tum
Khud Jhoothe Ho. Badshah Ke Aane Ke Liye Ghar Aur
Darwaza To Saaf Karo Kyunki Badshah Darwaze Se Aayega
Aur Ghar Mein Baithega Isi Tarah Qur'an Shareef Ke Liye
Dil Aur Soorat Donon Sambhalo. Hadees Ke Maana Yah
Hain Ki ALLAH Ta'ala Sirf Tumhari Sooraton Ko Nahi
Dekhta Balki Sooraton Ke Sath Dil Ko Bhi Dekhta Hai.
Agar Iska Yah Matlab Hota Jo Tum Samajhte Ho To Phir
Sar Par Choti, Kaan Mein Janewa Aur Paanv Mein Dhoti
Baandh Kar Namaz Padhna Jaez Hona Chahiye Tha
Halanki Fuqha Farmate Hain Ki Choti Rakhna, Zunnar
Bandhna Kufr Hai.

Uzr (2) : Islami Shakl Se Humari Izzat Nahi Hoti Jab Hum
Angrezi Libas Mein Hote Hain To Humari Izzat Hoti Hai
Kyunki Vah Taraqqi Yafta Qaum Ka Libas Hai.
Jawab : Aadmi Ki Izzat Libas Se Nahi Balki Libas Ki Izzat
Fashion aur humara muashra 13

Aadmi Se Hai Agar Tumhare Andar Koi Jauhar Hai Ya Agar


Tum Izzat Aur Taraqqi Wali Qaum Ke Fard Ho To
Tumhari Har Tarah Izzat Hogi Koi Bhi Libas Pahno Agar
In Cheezon Se Khali Ho To Koi Libas Pahno Izzat Nahi
Hogi. Abhi Kuch Din Pahle Gandhi Aur Uske Doosre Sathi
'Gol Mez Conference' Mein Shareek Hone Ke Liye London
Gaye Jab Khaas Parliament Ke Daftar Pahunche To Mr.
Gandhi Usi Choti Aur Usi Langoti Mein The Jo Unka Apna
Qaumi Libas Hai

Subhash Chandra Bose Ne Ek Baar London Ka Safar


Kiya To Apni Gaay Aur Apni Dhotiya, Lotiya Apne Sath Le
Gaye Kahiye Kya Us Libas Se Unki Izzat Ghat Gai. Aaj
Musalmanon Ke Siwa Tamam Qaumein Sikh, Hindu Balki
Kathiyawad Mein Bohre Aur Khoza Humesha Apne Qaumi
Libas Mein Rahte Hain, Sikh Ke Munh Par Dadhi, Sar Par
Baal, Hath Mein Lohe Ka Kada Har Jagah Rahta Hai Kyun
Sahab Kya Vah Duniya Mein Zaleel Hai. Sach Hai Jo Unki
Is Libas Mein Izzat Hai Vah Tumhare Suit Boot Mein Nahi.
Doston! Agar Izzat Chahate Ho To Sachche Musalman
Bano Aur Apni Muslim Qaum Ko Taraqqi Do.

Aur Dekha To Yah Jata Hai Ki Jab Se Musalmanon Ne


Gairon Ka Libas Pahanna Shuru Kar Diya Hai Unki Zillat
Aur Pitai Mein Aur Izafa Hi Hua Hai Izzat Milna To Door
Ki Baat Hai Kyunki Ab Dushmana Ne Islam Musalmanon
Se Darte Hi Nahi Vah Samajhte Hain Ki Unko Apne Libas
Se Zyada Humara Libas Pasand Hai, Ye Apni Qaumiyat
Fashion aur humara muashra 14

Kho Kar Humare Andar Jam Ho Jana (Mil Jana) Chahate


Hain To Inko Achchi Tarah Murga Banao. Lihaza
Musalamanon Ko Ab Se Hosh Mein Aa Jana Aur Apni Alag
Shanakht (Pahchan) Banana Chahiye. Musalman Doosron
Ko Apne Mein Milane Ke Liye Paida Hua Hai Na Ki
Doosron Mein Milne Ke Liye. Aaj Saari Qaumein Yahi
Chahati Hain Ki Doosron Ko Apne Mein Milaye Magar
Musalman Doosron Mein Milne Ko Pasand Karta Hai To
Bhala Doosron Ko Apne Mein Kya Milayega Aur Sachche
Islam Ki Daawat Kaise Dega! Musalman Pahle Khud
Sachcha Ho, Apne Deen Ka Paband Ho To Saari Duniya
Khud Qareeb Hogi Aur Izzat Karti Nazar Aayegi.

Uzr (3) : Aakhir Dadhi Mein Kya Fayda Hai Ki Maulvi Iske
Itne Peechhe Pade Hain?
Jawab : Dadhi Aur Tamam Islami Libas Ki Khoobiyan Hum
Bayan Kar Chuke Hain Ab Bhi Arz Karte Hain Ki Islam Ke
Har Kaam Mein Sadaha (Saikdon) Hikmatein Hain, Suno!
Miswak Sunnat Hain Ismein Bahut Fayde Hain Daanton Ko
Mazboot Karti Hai, Masoodhon Ko Faydemand Hai, Munh
Ko Saaf Karti Hai, Ganda Dahani (Munh) Ki Beemari Ko
Door Karti Hai, Meda Ko Durust Karti Hai Yani Khana
Hazm Karti Hai, Aankhon Ki Roshani Badhati Hai, Zubaan
Mein Quwwat Paida Karti Hai, Daanton Ko Saaf Rakhti
Hai, Jankani (Dam Nikalne Ka Waqt) Ko Aasan Kart Hai,
Balgum Ko Kaat'ty Hai, Pitt Door Karti Hai, Sar Ki Ragon
Ko Mazboot Karti Hai, Maut Ke Waqt Kalma Yaad Dilati
Hai Garz Ki Iske Fayde 36 Hain Dekho Shami Aur Tib Ki
Fashion aur humara muashra 15

Kitabein.
Isi Tarah Khatna 150 Beemariyon Ke Liye Faydemand
Hain Baah Ko Qawi Karta Hai, Insaan Ki Quwwat e
Mardangi Ko Badhata Hai, Us Jagah Mail (Gandagi)
Wagaira Jama Nahi Hone Deta (Jaraseem Se Bachata Hai),
Tandurust Aulad Paida Karta Hai, Khatna Wale Ki Aurat
Kisi Aur Ki Taraf Ragbat Nahi Karti Baaz Beemariyon Mein
Doctor Gair Muslimon Ke Bachchon Ka Bhi Khatna Kara
Dete Hain.

Nakhun Mein Ek Zahreela Maadda Hota Hai Agar


Nakhun Khane Ya Paani Mein Doobo Diye Jayein To Vah
Khana Beemari Paida Karta Hai Isiliye Angrez Wagairah
Chhuri Kaante Se Khana Khate Hain Kyunki Isaiyon Ke
Yahan Nakhun Bahut Km Katwate Hain Aur Purane
Zamane Ke Log Vah Paani Nahi Peete The Jismein Nakhun
Doob Jayein. Magar Islam Ne Iska Yah Intezam Farmaya Ki
Nakhun Katwane Ka Hukm Diya Aur Chhuri Kaante Ki
Musibat Se Bacha Liya. Isi Tarah Munchhon Ke Baalon
Mein Zahreela Maadda Maujood Hain Agar Munchhe Badi
Badi Ho Aur Paani Peete Waqt Paani Mein Doob Jayein To
Paani Sehat Ke Liye Nuqsaan Deh Hoga Isiliye Ab
Maujooda Fashion Ke Log Munchh Mundwane Lage Hain
Islam Ne (Pahle Hi) Yah Intezam Farma Diya Ki Munchhe
Kaat Ne Ka Hukm De Diya Kyunki Munchhe Mundwane
Se Namardi Paida Hoti Hai.
Fashion aur humara muashra 16

Dadhi Ke Bahut Fayde Hai:


Fayda (1) : Dadhi Mard Ke Chehre Ki Zeenat Hai Aur
Munh Ka Noor Jaise Aurat Ke Liye Sar Ke Baal Ya Insaan
Ke Liye Aankh Ki Palak Aur Bhavein Zeenat Hain Usi Tarah
Mard Ke Liye Dadhi. Agar Aurat Apne Sar Ke Baal Mundwa
De To Buri Maloom Hogi Ya Koi Aadmi Apni Bhavein
(Baraute) Aur Chikein Saaf Kara De To Vah Bura Maloom
Hoga Usi Tarah Mard Dadhi Mundwane Se Bura Maloom
Hota Hai.

Fayda (2) : Dadhi Mard Ko Bahut Se Gunahon Se Rokti


Hai Kyunki Dadhi Se Mard Par Buzurgi Aa Jati Hai Usko
Bure Kaam Karte Huye Yah Gairat Hoti Hai Ki Agar Koi
Dekh Lega To Kahega Ki Aisi Dadhi Aur Tere Aise Kaam!
Dadhi Ki Bhi Tujh Ko Laaj Na Aai Is Khyaal Se Vah Bahut
Si Chhichhori Baaton Aur Khullam Khulla Bure Kaam Se
Bach Jata Hai, Yah Aazmaish Hai Ki Namaz Aur Dadhi
Bifazlihi Ta'ala Buraiyon Se Rokti Hai.

Fayda (3) : Dadhi Ke Baalon Se Quwwat e Mardangi


Badhti Hai Ek Hakeem Sahab Ke Paas Ek Namard Aaya
Jisne Shikayat Ki, Ki Meine Apni Kamzori Ka Bahut Ilaaj
Kiya Kuch Fayda Na Hua Unhone Farmaya Ki Dadhi Rakh
Le Ye Uska Aakhri Aur Teer Bahadaf Nuskha Hai. Phir
Farmane Lage Ki Qudrat Ne Insaan Ke Baaz Azwo Ka Baaz
Se Rishta Rakha Hai Upar Ke Daant Aur Dadhon Ka
Aankhon Se Ta'alluq Hai Agar Koi Shakhs Upar Ki Dadhein
Nikalwa De To Uski Aankhein Kharab Ho Jati Hain, Paanv
Fashion aur humara muashra 17

Ke Talwon Ka Bhi Aankhon Se Ta'alluq Hai Ki Agar


Aankhon Mein Garmi Ho To Talwon Ki Malish Ki Jati Hai
Agar Neend Na Aaye To Paanv Ke Talwon Mein Namak
Aur Ghi Ki Malish Neend Lati Hai. Isi Tarah Dadhi Ka
Ta'alluq Khaas Mard Ki Quwwaton Aur Mani Se Hai Isi
Wajah Se Aurat Ko Dadhi Nahi Hoti Aur Nabalig Bachcha
Jismein Mani Ka Maadda Nahi Hota Aur Hijda (Namard)
Yani Zanaana Ke Dadhi Nahi Hoti Balki Agar Kisi Mard Ko
Dadhi Ho Aur Uske Phote (Khusiya) Nikaal Diye Jayein To
Dadhi Khud Ba Khud Jhad Jayegi Jisse Maloom Hota Hai
Ki Aam Logon Mein Jo Mashhoor Hai Ki Maulviyon Ki
Aulad Bahut Zyada Hoti Hai Aur Maulvi Ki Beevi Aawara
Nahi Hoti Iski Wajah Dadhi Hi Hai Aur Naaf Ke Neeche
Ke Baal Quwwat e Mardangi Ke Liye Nuqsaan Deh Hain
Isiliye Shariyat Ne Unke Saaf Karne Ka Hukm Diya Hai
Agar Ho Sake To 8ve Roz Warna 15ve Ya 20ve Din Zarur
Astura Le Garze Ki Sunnat Ke Har Kaam Mein Hikmatein
Hain.
Hum Ne Ek Kitab Likhi 'Anwarul Quran' Jismein
Namaz Ki Rak'atein, Wujoo, Gusl Aur Tamam Islami
Kaamon Ki Hikmatein Bayan Ki Hain Hatta Ki Yah Bhi
Usmein Bataya Gaya Hai Ki Jo Sazayein Islam Ne Muqarrar
Farmai Hain Maslan Chori Ki Saza Hath Kaatna, Zina Ki
Saza Rajm Karna Usmein Kya Hikmatein Hain. Neez Hum
Ne Apne 'Tafseer e Naemi' Mein Islami Ahkaam Ke Fawaed
Achchi Tarah Bayan Kar Diye Uska Mutala (Study) Karo.
Munchh Ke Baal Bhi Quwwat e Mardangi Ke Liye
Faydemand Hain Magar Unki Nok Mein Zahreela Asar Hai
Fashion aur humara muashra 18

Isliye Unko Kaat To Do Magar Bilkul Na Mundo.

Uzr (4) : Aaj Duniya Mein Har Jagah Dadhi Mundo Ki


Hi Badshahat Hai, Maal Wa Daulat Aur Hukoomat Unhi
Ki Hai Jisse Maloom Hota Hai Ki Yah Barkat Wali Cheez
Hai (Musalman Yah Mazaq Mein Kahte Hain) Halanki
Sunnat Ka Mazaq Bahut Bura Hai.
Jawab : Agar Dadhi Mundwane Se Badshahat Mil Jati
Hai, Hukoomat, Daulat, Izzat Hath Aati Hai To Janabe
Wala! Aapko Dadhi Mundate, Het (Cap) Lagate, Coat,
Patloon Pahante Huye Arsa Guzar Gaya Aapko To
Hukoomat Kya Koi Cheez Bhi Nahi Mili. Phir Tamam
Bhangi, Chamar, Chuhade Aur Har Qaum Yah Kaam Karti
Hai Vah Kyun Badshah Nahi Ban Gai? Doston! Izzat,
َ
Hukoomat, Daulat Tum Ko Jo Bhi Milega Vah Huzoor ‫َص َّل‬
ََ ‫ََُ ی َ ی‬
‫اٰل َعل ْی ِہ َوالِہٖ َو َسل َم‬‫ ہللا تع‬Ki Gulami Se Milega.
'Aur Tumhi Sar Buland Rahoge Agar Imaan Wale
Ho'.
Aaj Gairon Ko Isliye Tumhara Haakim Kar Diya Gaya
Ki Tum Mein Hukoomat Ki Ahmiyat Na Rahi Warna Yah
Tamam Izzatein Tumhare Hi Liye Thi Yaad Rakho Ki Saari
Qaumein Aage Badh Kar Taraqqi Karengi Magar Tum 1350
Baras Peechhe Hat Kar Dekho To Sultan Aurangzeb,
Shahjahan Wagaira Isi Tarah Arab Wa Ajam Ke Taqreeban
Saare Islami Badshah Dadhi Wale Hi Guzare.

Lateefa : Ek Musalman Hum Se Kahne Lage Ki Islam Ne


Hum Ko Taraqqi Se Roka Meine Kaha Vah Kaise? Farmane
Fashion aur humara muashra 19

Lage Usne Sood To Haraam Kar Diya Aur Zakaat Farz Kar
Di Phir Yah Sher Padha,
'Kyunkar Ho In Usoolon Mein Iflaas Se Najaat
Yahan Sood To Haraam Hai Aur Farz Hai Zakaat'
Aaj Doosri Qaumein Sood Ki Wajah Se Taraqqi Kar
Rahi Hai Agar Hum Bhi Sood Ka Len Den Karein To Hum
Bhi Taraqqi Kar Sakte Hain.
Hum Ne Arz Kiya Ki Aaj Duniya Mein Jo Bhi Musibat
Hai Vah Sood Hi Ki Wajah Se Hai Bade Bade Businessman
Ka Ekdam Jo Diwaliya Ho Jata Hai Vah Ya To Satte (Juye)
Ki Wajah Se Ya Hundi Ke Len Den (Soodi Karobar) Se.
Agar Aadmi Apni Punji Ke Mutabiq Kaam Kare Aur
Mehnat Wa Mashaqqat Aur Dayanat Daari Se Tijarat Kare
To Uski Tijarat Thos Aur Insha ALLAH Lazawaal Hogi Aur
Zakaat Ki Wajah Se Saari Qaum Ki Maali Halat Achchi
Rahegi Ba Sharte Ki Zakaat Ko Saheeh Maana Mein Kharch
Kiya Jaye. Zakaat Nikaal Ne Se Apna Maal Mahfooz Ho Jata
Hai Jaise Ki Government Ka Haq Ada Karne Se Maal
Mahfooz Ho Jata Hai. Zakaati Maal Barbad Nahi Hota
Balki Badhta Hai, Angur Aur Ber Ke Darakht Ki Shakhein
Kaat Ne Se Zyada Phal Aata Hai Usi Tarah Zakaat Dene Se
Maal Zyada Hota Hai. Qudrat Ne Har Cheez Se Zakaat Li
Hai Aapke Jism Par Jo Beemariyan Aati Hai Yah Tandurusti
Ki Zakaat Hain, Nakhun Aur Baal Katwaye Jate Hain Yah
Azwon Ki Zakaat Hai To Chahiye Ki Maal Ki Bhi Zakaat
Ho. Musalmanon Ke Zawaal Ki Wajah Unki Bekari, Tijarat
Se Nafrat Aur Aawargi Hai. Yah To Tajurba Hai Ki
Musalman Ke Liye Sood Phalta Nahi Aakhir Kaar Tabahi
Fashion aur humara muashra 20

Lata Hai Doosri Qaum Sood Se Badh Sakti Hai Magar


Musalman Sood Lene Se Na Badhega Balki Insha ALLAH
Zakaat Dene Se. Pakhana Ka Keeda Pakhana (Goo) Kha Kar
Zindagi Guzarta Hai Magar Bulbul Ki Giza Phool Hai.
Musalmanon! Tum Bulbul Ho, Phool Yani Halal Kamai
Hasil Karke Khao, Haraam Par Na Lalchao, Halal Mein
Barkat Hai, Haraam Mein Be Barkati Dekho Ek Bakri Saal
Mein Ek Ya Do Bachche Hi Deti Hai Aur Hazaarha
Bakriyan Har Roz Zabah Ho Jati Hain Aur Kutiya Saal Mein
6-7 Bachche Deti Hai Aur Kutta Zabah Nahi Hota Magar
Phir Bhi Bakriyon Ke Jhund Ke Jhund Aur Rewad Dekhne
Mein Aate Hain Aur Kutton Ka Rewad Aaj Tak Nazar Kyun
Na Pada? Isiliye Ki Bakri Halal Hai Aur Kutta Haraam
Lihaza Bakri Mein Barkat Hai.

Uzr (5) : Dadhi, Munchh, Kapda Humari Apni Cheezein


Hain Jis Tarah Chahein Istemal Karein Maulvi Log Is Par
Kyun Pabandiyan Lagate Hain Ghar Ki Kheti Hai Jis Waqt
Chaho Aur Jis Tarah Chaho Kaato Aur Istemal Karo.
Jawab : Yah Khyaal Galat Hai Ki Yah Humari Apni
Cheezein Hain Har Cheez Rab Ta'ala Ki Hai Hum Ko
Chand Roza Istemal Ke Liye Di Gai Hai Phir Har Cheez
Maalik Hi Ki Hogi. Kisi Ne Kisi Se Charkha Manga To Jo
Soot Kaat Liya Vah Apna Aur Phir Charkha Charkha Wale
Ka, Aamaal Soot Hain Aur Yah Jism Charkha Karkhane Se
Kisi Ko Ek Machine Mili Ho Magar Vah Aadmi Us Machine
Ke Kal Purjon Ko Chalane Se Bekhabar Hai To Machine Ke
Sath Ek Kitab Bhi Milti Hai Jismein Har Purje Ke Istemal
Fashion aur humara muashra 21

Ka Tareeqa Likha Hota Hai Aur Company Ki Taraf Se Kuch


Aadmi Bhi Machine Sikhane Wale Muqarrar Hote Hain Ki
Be Ilm Log Us Kitab Ko Dekhein Aur Us Ustaad Se
Machine Chalana Seekhein Agar Yoon Hi Koi Galat Salat
Machine Chalana Shuru Kar De To Bahut Jald Machine
Tod Dalega Aur Mumkin Hai Ki Machine Se Khud Bhi
Chot Kha Jaye. Isi Tarah Humara Jism Machine Hai Hath
Paanv Wagaira Uske Purje Hain. Yah Machine Hum Ko
Qudrat Ke Karkhane Se Mili Hai Iska Istemal Sikhane Ke
Liye Karkhane Ke Maalik Ne Apni Kitab Di Jiska Naam Hai
Qur'an Majeed Aur Is Machine Ko Sikhane Ke Liye Ek
Ustadon Ka Ustaad Duniya Bhar Ka Muallim Bheja Jiska
َ ُ ‫َص ََّل‬
Naam e Paak Hai Muhammad Rasoolullah ٖ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہ‬
ََ
‫ َو َسل َم‬Us Ustazul Kul Ne Hum Ko Machine Chala Kar Dikha
Di Aur Qur'an Ne Pukar Diya Ki,
"Beshak Tumhe'n Rasoolullah Ki Pairwi Behtar Hai"
(Soorah Ahzaab, Aayat 21)
Aey Gafilon! Aey Machine Walo! Agar Machine Saheeh
Tareeqe Se Chalana Chahate Ho To Rasoolullah ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ‬
َ ُ ‫َص ََّل‬
ََ ‫ی‬
‫ َوالِہٖ َو َسل َم‬Ke Tareeqe Par Chalao Jaise Jism Par Jaan Hukoomat
Karti Hai Ki Har Azw Uski Marzi Se Harkat Karta Hai Usi
ََ َ ُ ‫ َص ََّل‬Ko
Tarah Is Jaan Par Us Sultan e Kaunain ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہٖ َو َسل َم‬
Haakim Banao Ki Jo Harkat Ho Unhi Ki Raza Se Ho Isi Ka
Naam Tasawwuf Hai Aur Yah Hi Haqeeqat, Maarefat Aur
Tareeqat Ka Magz Hai. Hazrat Sadrul Afazil Daam
Zillohum (Rahmatullah Alaihi) Ne Khoob Farmaya,
'Khol Do Seena Mera Fateh e Makka Aakar,
Ka'aba e Dil Se Sanam Kheench Ke Kar Do Bahar,
Fashion aur humara muashra 22

Aap Aa Jaiye Qaalib Mein Mere Jaan Ban Kar,


Saltanat Keejiye Is Jism Mein Sultan Ban Kar'.

Islami Shakl

Islami Shakl Yah Hai Ki Sar Ke Baal Ya Sab Rakhe Ya


Sab Katwa De Ya Sab Mundaye Kuch Baal Rakhna Kuch
Katwana Mana Hai Jaise Ki Angrezi Baal Mein Hota Hai
Aur Jaise Ki Baaz Log Beech Sar Par Paan Rakhwate Hain
Ya Baaz Log Sar Ke Agle Hisse Par Chhajje Rakhwate Hain
Ya Baaz Jahil Musalman Kisi Buzurg Ke Naam Ki Bachchon
Ke Saron Par Gair Muslimon Ki Tarah Choti Rakhte Hain
Yah Sab Mana Hai Aur Jisko Kul Baal Rakhne Ho Vah Ya
To Kaan Ki Lau Tak Ya Kandhon Tak Rakhe Yani Ta
Bagosh (Kaan) Ya Ta Badosh (Kandha) Ki Yah Sunnat Hai
Aur Zyada Lambe Baal Rakhna Aur Usmein Choti, Maang
Auraton Ki Tarah Karna Mana Hai.

Munchh Is Qadar Kaat Na Zaruri Hai Ki Upar Ke Hont


Ki Dori Khul Jaye Bilkul Na Katwana Ya Bilkul Mundwa
Dena Mana Hai Aur Dadhi Ek Muththi Rakhna Zaruri Hai
Yani Thoddi Ke Neeche Jo Baal Hain Unko Apni Muththi
Mein Pakde Jo Muththi Se Aage Nikle Ho Vah Katwa De
Yani Muththi Se Km Karna Bhi Mana Aur Muththi Se
Bahut Zyada Lamba Rakhna Bhi Mana Hai. Ab Rahi Aas
Paas Ki Dadhi Yani Jabadon Par Ke Baal Vah Jis Qadar Gol
Dayre Mein Aa Jayein Vah Na Katwaye Aur Jo Dayre Se
Nikal Jayein Vah Katwa De Yani Jab Ki Thoddi Ke Neeche
Fashion aur humara muashra 23

Ke Baal Ek Muththi Lambi Ho Aur Uske Dayre Mein Jis


Qadar Baal Aa Jayein Uska Katwana Bhi Mana Hai. Naak
Ke Baal Katwana Aur Bagal Ke Baal Ukhedna Sunnat Hai
Agar Bagal Ke Baal Bhi Asture Se Munde Jayein To Bhi Harz
Nahi, Naaf Ke Neeche Ke Baal Mundna Sunnat Hai Kainchi
Se Kaat Na Nahoosat Ka Sabab Hai. Hath Paanv Ke
Nakhun Katwana Bhi Sunnat Hai Behtar Yah Hai Ki Saara
Kaam Har Hafta Mein Ek Baar Zarur Kare Agar Har Hafta
Na Kar Sake To 40 Din Se Zyada Der Na Lagaye.

Mard Ko Apne Hath Paanv Mein Menhadi Lagana


Zeenat Ke Liye Mana Hai Shadiyon Mein Iska Bahut Riwaaj
Hai Ki Dulhan Ki Tarah Dulha Ke Paanv Ya Hath Menhadi
Se Rangeen Kar Dete Hain Yah Shar'an Mana Hai Isse
Bachna Chahiye.

Islami Libas

Islami Libas Yah Hai Ki Mard Ko Naaf Se Ghutne Tak


Ka Jism Dhankna (Chhupana) Farz Hai Agar Namaz Mein
Khula Raha To Namaz Na Hogi Aur Namaz Ke Siwa Bhi
Agarche Akele Mein Bhi Ho Bila Wajah Khole To Gunahgar
Hoga. Iske Siwa Baqi Libas Mein Behtar Yah Hai Ki Pagdi
(Imaama) Sar Par Bandhe Aur Puri Aasteen Ki Kamees Ya
Kurta Pahne Aur Takhnon Se Uncha Tahband Ya Pajama
Pahne In Kapdon Ke Siwa Achkan, Westcoat Jo Kuch Bhi
Pahne Vah Kafiron Ke Libas Ki Tarah Na Ho. Pagdi Ke
Neeche Topi Hona Chahiye Aur Agar Topi Na Ho To Bhi
Fashion aur humara muashra 24

Sar Ki Khopdi Dhank (Chhupa) Le Agar Khopdi Khuli Rahi


Aur Aas Paas Pagdi Lapeti Rahi To Sakht Bura Hai Aur Agar
Faqat Topi Pahne To Aisi Topi Se Bache Jo Kuffar Ya
Fasiqon Ki Khaas Topi Hai Jaise Gandhi Cap, Hait,
Hinduwani Gole Topi. Ek Qayda Yaad Rakho Vah Yah Hai
Ki Jo Libas Kafiron Ki Qaumi Nishani Ho Uska Istemal
Musalmanon Ko Haraam Hai Jaise Hait Aur Hinduwani
Dhoti Wagairah Aur Jo Libas Kafiron Ki Mazhabi Pahchan
Ban Chuka Hai Uska Istemal Kufr Hai Jaise Ki Hinduwadi
Choti, Zunnar Aur Isai Qaum Ka Sulaibi (+ Is Shakl Ki)
Nishan Wagairah Yani Jis Libas Ko Dekh Kar Log Jane Ki
Yah Hindu Ya Isai Ka Libas Hai Us Libas Se Musalmanon
Ko Bachna Azhad Zaruri Hai.

Doosri Zaruri Baatein:


َ
ُ ‫َص َّل‬
• Apne Ghar Mein ALLAH Ta'ala Aur Rasoolullah ‫ہللا‬
ََ ‫ََ ی َ ی‬
‫اٰل َعل ْی ِہ َوالِہٖ َو َسل َم‬‫ تع‬Ka Charcha Rakho.
• Apne Beevi Bachchon Ko Namaz Ka Sakht Paband
Banao, Saat Baras Ke Bachchon Ko Namaz Ka Hukm Do.
• Aur Das Baras Ke Bachchon Ko Maar Maar Kar Namaz
Padhao.
• Raat Ko Jaldi So Jao Subah Ko Jaldi Jago, Apne
Bachchon Ko Jald Jaga Do Kyunki Vah Rahmat Ke Nazil
Hone Ka Waqt Hai.
• Bachchon Ko Taleem Do Ki Vah Har Kaam Bismillah
Se Shuru Karein.
• Aur Subah Ke Waqt Tumhare Gharon Se Qur'an e
Kareem Ki Aawazein Aati Ho Ki Qur'an Shareef Ki Aawaz
Fashion aur humara muashra 25

Musibaton Ko Taalti Hai, Ek Ghanta In Nek Kaamon Mein


Kharch Karo Phir ALLAH Ka Naam Lekar Duniyavi
Karobar Mein Mashgool Ho Jao To Insha ALLAH Barkat
Hi Barkat Hai.

Auraton Ke Liye Parda Zaruri Hai

Auraton Ke Liye Parda Zaruri Hai Aur Be Pardagi Bahut


Hi Nuqsaan Deh Hai. Aey Muslim Qaum! Agar Too Apni
Deeni Aur Duniyavi Taraqqi Chahati Hai To Auraton Ko
Islami Hukm Ke Mutabiq Parde Mein Rakh! Hum Iske
Mut'alliq Ek Mukhtasar Si Guftagoo Karke Parde Ke Aqali
Aur Naqli Dalael Aur Be Pardagi Ke Nuqsanaat Bayan Karte
Hain.
Qudrat Ne Apni Makhlooq Ko Alahida Alahida Kaamon
Ke Liye Banaya Hai Aur Jisko Jis Kaam Ke Liye Banaya Hai
Uske Mutabiq Uska Mizaaj Banaya Hai. Har Cheez Se
Qudrati Kaam Lena Chahiye Jo Khilafe Fitrat Kaam Lega
Vah Kharabi Mein Padega Iski Saikadon Misalein Hain
Topi Sar Par Rakhne Aur Joota Paanv Mein Pahanne Ke
Liye Hai Jo Joota Sar Par Baandh Le Aur Topi Paanv Mein
Laga Le Vah Deewana Hai, Gilaas Paani Peene Aur
Ugaldaan Thookne Ke Liye Hai Jo Koi Ugaldaan Mein
Paani Piye Aur Gilaas Mein Thooke Vah Poora Pagal Hai,
Bail Ki Jagah Ghoda Aur Ghode Ki Jagah Bail Kaam Nahi
De Sakta Isi Tarah Insaan Ke Do Giroh Kiye Gaye Hain Ek
Aurat Doosre Mard, Aurat Ko Ghar Mein Rah Lar
Anduruni Zindagi Sambhal Ne Ke Liye Banaya Gaya Hai
Fashion aur humara muashra 26

Aur Mard Ko Bahar Phir Kar Khane Aur Bahar Ki Zaruriyat


Ko Poora Karne Ke Liye Banaya. Misaal Mashhoor Hai Ki
50 Auraton Ki Kamai Mein Vah Barkat Nahi Jo Ek Mard Ki
Kamai Mein Hai Aur 50 Mardon Se Ghar Mein Vah
Raunaq Nahi Jo Ek Aurat Se Hai Isiliye Shauhar Ke Zimme
Beevi Ka Saara Kharch Rakha Hai Aur Beevi Ke Zimme
Shauhar Ka Kharcha Nahi Kyunki Aurat Kamane Ke Liye
Bani Hi Nahi Isiliye Auraton Ko Vah Cheeze Di Jin Se Unko
Majbooran Ghar Mein Baithna Pade Aur Mardon Ko Unse
Aazad Rakha Jaise Bachche Janna, Haiz Wa Nifaas Aana,
Bachchon Ko Doodh Pilana Wagairah Isiliye Bachpan Se Hi
Ladkon Ko Bhaag Daud, Uchhal Kood Ke Khel Pasand
Hote Hain Jaise Kabaddi, Kasrat, Dand Lagana Wagairah
Aur Ladkiyon Ko Qudrati Taur Par Vah Khel Pasand Hote
Hain Jinmein Bhagna, Daudna Na Ho Balki Ek Jagah
Baithe Rahna Pade Jaise Gudiya Se Khel, Seena Pirona,
Chhoti Chhoti Rotiya Pakana, Jhadoo Dena Wagairah. Aap
Ne Kisi Chhoti Bachchi Ko Kabaddi Khelte, Dand Lagate
Na Dekha Hoga Isse Maloom Hota Hai Ki Qudrat Ne
Ladkon Ko Bahar Ke Liye Aur Ladkiyon Ko Ghar Ke Andar
Ke Liye Paida Kiya Hai. Ab Jo Shakhs Auraton Ko Bahar
Nikale Ya Mardon Ko Andar Rahne Ka Mashwara De Vah
Aisa Hi Deewana Hai Jaisa Ki Vah Jo Topi Paanv Mein Aur
Joota Sar Par Rakhne Ka Mashwara De. Jab Aapne Itna
Samajh Liya Ki Mard Aur Aurat Ek Hi Kaam Ke Liye Na
Bane Balki Alahida Alahida Kaamon Ke Liye To Ab Jo Koi
In Donon Fareeqon Ko Ek Kaam Supurd Karna Chahe Vah
Qudrat Ka Muqabla Karta Hai Usko Kabhi Bhi Kamyabi
Fashion aur humara muashra 27

Na Hogi Goya Yoon Samjho Ki Aurat Aur Mard Zindagi Ki


Gaadi Ke Do Pahiye Hain Anduruni Aur Ghareloo Kaamon
Ke Liye Aurat Aur Bahar Ke Liye Mard Agar Aapne Aurat
Aur Mard Donon Ko Bahar Nikaal Diya To Goya Aapne
Zindagi Ki Gaadi Ka Ek Pahiya Nikaal Diya To Yaqeenan
Gaadi Na Chal Sakegi.
Ab Hum Parda Ke Mut'alliq Aqali Aur Naqli Dalael Arz
Karte Hain.

Parde Ke Naqli Dalael:


َ
• Sab Musalman Jante Hain Ki Nabi E Kareem ‫ہللا َت َع یاٰل‬
ُ ‫َص َّل‬
ََ ‫َ ی‬
‫ َعل ْی ِہ َوالِہٖ َو َسل َم‬Ki Beeviyan Musalmanon Ki Maayein Hain Aisi
Maayein Ki Tamam Jahan Ki Maayein Unke Qadamein
Paak Par Qurban. Agar Vah Beeviyan Musalmanon Se Parda
Na Karti To Zahiran Koi Harz Nahi Maloom Hota Tha
Kyunki Aulad Se Parda Kaisa Magar Qur'an e Kareem Ne
Un Paak Beeviyon Ko Khitab Karte Huye Farmaya,
"Aur Apne Gharo'n Me'n Thehri Raho Aur Be
Pardah Na Raho Jaise Agli Jaahiliyat Ki Be Pardagi"
(Soorah Ahzaab, Aayat 33)
Ismein To Un Beeviyon Se Kalaam Tha Ab Musalmanon
Se Hukm Ho Raha Hai,
"Aur Jab Tum Unse Baratne Ki Koi Cheez Maa'ngo
To Parde Ke Baahar Se Maa'ngo".
(Soorah Ahzaab, Aayat 53)
Dekho Beeviyon Ko Udher Gharon Mein Rok Diya Aur
Musalmanon Ko Bahar Se Koi Cheez Mangne Ka Yah
Tareeqa Sikhaya.
Fashion aur humara muashra 28

• Mishkat Babunnazar Ilalmakhtooba Mein Hai Ki Ek


ََ َ ُ ‫ َص ََّل‬Apni Do Beeviyon
Din Rasoolullah ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہٖ َو َسل َم‬
Hazrat Umme Salma Aur Maimoona Raziyallahu Ta'ala
Anhuma Ke Paas Tashreef Farma The Ki Achanak Hazrat
Abdullah Ibne Umme Maktoom Raziyallahu Ta'ala Anhu Jo
Ki Nabeena The Aa Gaye Huzoor Ne Un Donon Beeviyon
Se Farmaya Ki ‫' احتجبا منه‬In Se Parda Karo' Unhone Arz Kiya
Ya Rasoolullah! Yah To Nabeena Hain Farmaya Tum To
Nabeena Nahi Ho.
(Mishkat Masabeeh Babunnazar Ilalmakhtoobah Alfaslussaani Page 269
Majlise Barkaat)
Is Se Maloom Hua Ki Sirf Yahi Zaruri Nahi Ki Mard
Aurat Ko Na Dekhe Balki Yah Bhi Zaruri Hai Ki Ajnabi
Aurat Gair Mard Ko Na Dekhe, Dekho Yahan Mard
Nabeena Hain Magar Parde Ka Hukm Diya Gaya.
ََ َ ُ ‫َص ََّل‬
• Ek Ladai Mein Huzoor E Anwar ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہٖ َو َسل َم‬
Tashreef Le Ja Rahe The Aage Aage Anjasha Raziyallahu
Ta'ala Anhu Kuch Geet Gaate Huye Ja Rahe The Lashkar
Ke Sath Kuch Ba Parda Auratein Bhi Thi Hazrat Anjasha
Bahut Khush Aawaz The Irshad Farmaya Aey Anjasha! Apna
Geet Band Karo Kyunki Mere Sath Kachchi Sheeshiyan
Hain.
(Dekho Mishkat Babul Bayan Washsher)
Ismein Auraton Ke Dilon Ko Kachchi Sheeshiyan
Farmaya Jisse Maloom Hua Ki Parde Mein Rah Kar Bhi
Aurat Mard Ka Aur Mard Aurat Ka Gaana Na Sune.
(Aafiyat Isi Mein Hai)
ََ َ ُ ‫ َص ََّل‬Ke Zamane Mein Auraton
• Huzoor ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہٖ َو َسل َم‬
Fashion aur humara muashra 29

Ko Bhi Hukm Tha Ki Namaze Eid Aur Doosri Namazon


Mein Hazir Hua Karein, Isi Tarah Waaz Ke Jalson Mein
Shirkat Kiya Karein Kyunki Islam Bilkul Naya Naya Duniya
ََ َ ُ ‫ َص ََّل‬Ka Waaz
Mein Aaya Tha Agar Huzoor ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہٖ َو َسل َم‬
Auratein Na Sunti To Shariyat Ke Hukm Apne Liye Kaise
Maloom Karti Magar Phir Bhi Unke Nikalne Mein Bahut
Pabandiyan Laga Di Gai Thi Ki Khushboo Laga Kar Na
Niklein, Beech Rasta Mein Na Chalein, Kisi Gair Se Baat
Na Karein.

Fajar Ki Namaz Is Qadar Andhere Mein Padhi Jati Thi


Ki Auratein Padh Kar Nikal Jayein Aur Koi Pahchan Na
Sake, Auratein Mardon Se Bilkul Peechhe Khadi Hoti Thi
Lekin Hazrat Umar Raziyallahu Ta'ala Anhu Ne Apni
Khilafat Ke Zamane Mein Unko Masjidon Mein Aane Aur
Eidgah Jane Se Bhi Rok Diya Auraton Ne Hazrat Aaysha
Siddiqa Raziyallahu Ta'ala Anha Se Shikayat Ki, Ki Hum Ko
Hazrat Umar Raziyallahu Ta'ala Anhu Ne Nek Kaamon Se
Rok Diya Hazrat Aaysha Siddiqa Raziyallahu Ta'ala Anha
Ne Farmaya Agar Huzoor Alaihissalam Bhi Is Zamane Ko
Dekhte To Auraton Ko Masjidon Se Rok Dete. (Dekho Shaami
Wagaira)
In Ahadees Mein Gaur Karo Ki Vah Zamana Khair Wa
Barkat Ka, Yah Zamana Shar Wa Fasaad Ka, Us Waqt Aam
Mard Parhezgaar, Ab Nihayat Aazad Fussaq Wa Fujjar, Us
Waqt Aam Auratein Paak Daman Haya Wali Aur Sharmili,
Ab Aam Auratein Be Gairat, Aazad Aur Besharm Jab Us
Waqt Auraton Se Parda Karaya Gaya To Kya Yah Waqt Us
Fashion aur humara muashra 30

Waqt Se Achcha Hai?


• Hum Ne Mukhtasar Tareeqe Se Qur'an Wa Hadees Ki
Roshani Mein Parde Ki Zarurat Bayan Ki Ab Fiqh Ki Bhi
Sair Karte Chaliye Fuqha Farmate Hain Ki Aurat Ke Sar Se
Nikle Huye Baal Aur Paanv Ke Kate Huye Nakhun Bhi Gair
Mard Na Dekhe. (Dekho Shaami Babussitar)
Aurat Par Juma Ki Namaz Farz Nahi Eid, Bakri Eid Ki
Namaz Wajib Nahi Kyun? Isliye Ki Yah Namazein Jama'at
Se Masjidon Mein Hi Hoti Hain Aur Auraton Ko Bila
Zarurat e Sharai Ghar Se Nikalne Ki Ijazat Nahi, Aurat Par
Haj Ke Liye Safar Karna Us Waqt Tak Farz Nahi Jab Tak Ki
Uske Sath Apna Mahram Na Ho Yani Baap, Beta Ya
Shauhar Wagaira Aurat Ka Munh Gair Mard Na Dekhe.
(Dekho Shaami Babussitar)

Hazrat Fatima Zahra Raziyallahu Ta'ala Anha Ne


Waseeyat Farmai Thi Ki Mujhe Raat Mein Dafan Kiya Jaye
Kyun? Isliye Ki Agar Din Mein Dafan Kiya Gaya To Km Az
Km Dafan Karne Walo Ko Mere Jism Ka Andaza To Ho
Jayega Yah Bhi Manzoor Nahi Garz Ki Parda Ki Wajah Se
Shariyat Ne Bahut Se Hukm Auraton Se Utha Liye.

Gaur To Karo! Ki Jab Auraton Ko Masjid Jane Ki Ijazat


Nahi, Qabristan Jane Ki Ijazat Nahi, Eidgah Mein Jakar
Namaz Padhne Ki Ijazat Nahi To Bazaron, Collegon Aur
Company Baagon Mein Sair Ke Liye Jane Ki Ijazat Kyunkar
Hogi Kya Bazar, College Aur Company Baag Masjidon Aur
Makka Shareef Se Badh Kar Hain?
Fashion aur humara muashra 31

Zaruri Note : Jin Ahadees Mein Auraton Ka Bahar


Nikalna Aata Hai Vah Ya To Parda Farz Hone Se Pahle Tha
Ya Kisi Zarurat Ki Wajah Se Parde Ke Sath Tha. Un Ahadees
Ko Bagair Soche Samjhe Boojhe Bepardagi Ke Liye Aad
Banana Mahaz Nadani Hai Isi Tarah Us Zamane Mein
Auraton Ka Jihadon Mein Shirkat Karna Is Wajah Se Tha
Ki Us Waqt Mardon Ki Tadad Thodi (Km) Thi Ab Bhi Agar
Kisi Jagah Musalman Mard Thode Se Ho Aur Kuffar Zyada
Aur Jihad Farz e Aen Ho Jaye To Auratein Jihad Mein Zarur
Jayein. Un Jihadon Ko Is Zamane Ki Be Hayai Ke Liye Aad
Na Banao Ab Jihad Ke Bahane Se Auraton Ko Mardon Ke
Samne Nanga Pared Karaya Jata Hai Baaz Dafa Mujahideen
Ne Zaruratan Ghodon Ke Peshab Piye, Darakhton Ke Patte
Khaye Kya Ab Bhi Bila Zarurat Yah Kaam Karaye Jayenge?
ALLAH Ta'ala Vah Waqt Na Laye Jab Jihad Mein Auraton
Ki Zarurat Pade.

Parde Ke Aqali Daleelein:


Yahan Tak To Naqli Dalael Se Hum Ne Parde Ki
Zarurat Sabit Kar Di Ab Aqali Daleelein Bhi Suniye,
• Aurat Ghar Ki Daulat Hai Aur Daulat Ko Ghar Mein
Chhupa Kar Rakha Jata Hai Har Ek Ko Dikhane Se Khatra
Hai Ki Koi Chori Na Kar Le. Usi Tarah Aurat Ko Chhupana
Aur Gairon Ko Na Dikhana Zaruri Hai.
• Aurat Ghar Mein Aisi Hai Jaise Chaman Mein Phool
Aur Phool Chaman Hi Mein Hara Bhara Rahta Hai Agar
Tod Kar Bahar Laya Jaye To Murjha Jayega Usi Tarah Aurat
Ka Chaman Uska Ghar Aur Uske Baal Bachche Hain Usko
Fashion aur humara muashra 32

Bila Wajah Bahar Na Lao Warna Murjha Jayegi.


• Aurat Ka Dil Nihayat Nazuk Hai Bahut Jald Har Tarah
Ka Asar Qubool Kar Leta Hai Isliye Usko Kachchi
Sheeshiyan Farmaya Gaya. Humare Yahan Bhi Aurat Ko
Sinfe Nazuk Kahte Hain Aur Nazuk Cheezon Ko Pattharon
Se Door Rakhte Hain Ki Toot Na Jaye, Gairon Ki Nigahein
Uske Liye Mazboot Patthar Hain Isliye Usko Gairon Se
Bachao.
• Aurat Apne Shauhar Aur Apne Baap Dada Balki Saare
Khandaan Ki Izzat Aur Aabroo Hai Aur Uski Misaal Safed
Kapde Ki Si Hai Safed Kapde Par Mamooli Sa Daag Dhabba
Door Se Chamakta Hai Aur Gairon Ki Nigahein Uske Liye
Ek Badnuma Daag Hain Isliye Usko In Dhabbo Se Door
Rakho.
• Aurat Ki Sab Se Badi Tareef Yah Hai Ki Uski Nigah
Apne Shauhar Ke Siwa Kisi Par Na Ho Isliye Qur'an e
َّ ‫ق ِٰص ٰر ُت‬
Kareem Ne Hooron Ki Tareef Mein Farmaya ‫الط ۡر ِف‬
"Aankh Utha Kar Gair Mardon Ko Na Dekhne
Waliyan"
(Soorah Rahman, Aayat 56)
Agar Uski Nigah Mein Chand Mard Aa Gaye To Yoon
Samjho Ki Aurat Apne Jauhar Kho Chuki Phir Uska Dil
Apne Ghar Baar Mein Na Lagega Jisse Yah Ghar Aakhir
Tabah Ho Jayega.
Aitraaz : Baaz Log Parde Ke Mas'ale Par Do Aitraaz Karte
Hain,
(1) Auraton Ko Gharon Mein Qaid Rakhna Un Par
Zulm Hai Jab Hum Bahar Ki Hawa Khate Hain To Unko
Fashion aur humara muashra 33

Is Niamat Se Mahroom Kyun Rakha Jaye.


(2) Aurat Ko Parde Mein Rakhne Ki Wajah Se Usko
Tape Diq (T.B) Ho Jati Hai Isliye Zaruri Hai Ki Unko
Bahar Nikaala Jaye.
Jawab : (1) Awwal Sawal Ka Jawab To Yah Hai Ki Ghar
Aurat Ke Liye Qaid Khana Nahi Balki Uska Chaman Hai.
Ghar Ke Karobar Aur Apne Baal Bachchon Ko Dekh Kar
Vah Aisi Khush Hoti Hai Jaise Chaman Mein Bulbul Ghar
Mein Rakhna Us Par Zulm Nahi Balki Uski Izzat Wa Ismat
Ki Hifazat Hai Usko Qudrat Ne Isiliye Banaya Hai. Bakri
Isiliye Hai Ki Raat Ko Ghar Mein Rakhi Jaye Aur Sher
Cheeta Aur Muhafiz Kutta Isliye Hai Ki Unko Aazad Firaya
Jaye. Agar Bakri Ko Aazad Kiya To Uski Jaan Khatre Mein
Hai Usko Shikari Janwar Phaad Dalenge.

(2) Doosre Sawal Ka Jawab Mein Kya Doo Khud


Tajurba De Raha Hai Vah Yah Ki Aurat Ke Liye Parda Tape
Diq Ka Sabab Nahi Humari Purani Buzurg Auratein Ghar
Ke Darwaze Se Bhi Bekhabar Thi Magar Vah Janti Bhi Na
Thi Ki Diq Kise Kahte Hain Aur Aajkal Bepardagi Mein
Awwal Number Do Soobe Hain Ek Kathiyawad Aur Doosra
Punjab Magar ALLAH Ta'ala Ki Shaan Hai Ki In Hi Donon
Soobon Mein Diq Zyada Hai. UP Mein Aam Taur Par
Shareefon Ki Bahu Betiyan Parda Nasheen Hain ALLAH
Ta'ala Ke Fazl Se Unmein Diq Bahut Hi Km Hai Balki Kaha
Jaye Ki Diq Hai Hi Nahi To Bhi Beja Na Hoga Aur Janab
Agar Parde Se Diq Paida Hoti Hai To Mardon Ko Diq Kyun
Hoti Hai?
Fashion aur humara muashra 34

Doston! Diq Ki Wajah Kuch Aur Hai Yaad Rakho


Tandurusti Ke Do Bade Usool Hain Unki Pabandi Karo
Insha ALLAH Tandurust Rahoge Awwal Yah Ki Bhookhe
Ho Kar Khao Aur Pet Bhar Kar Na Khao Balki Roti Se
Bhookhe Utho Aur Doosre Yah Ki Thak Kar So'o. Pahle
Auratein Chaay (Tea) Ko Janti Bhi Na Thi Ghar Mein
Mehnat Wa Mashaqqat Ke Kaam Karti Thi Chakki Pisna,
Galla Saaf Karna, Inse Khoob Paseena Aata Tha, Bhookh
Khul Kar Lagti Thi Aur Raat Ko Charpai Par Khoob
Behoshi Ki Neend Aati Thi Isliye Tandurust Rahti Thi. Aaj
Hum Dekhte Hain Ki Parde Wali Auratein Hashshash
Washshash Maloom Hoti Hain Unke Chehre Tar Wa Taaza
Hote Hain Magar Aawara Aur Be Parda Auratein Aisi
Maloom Hoti Hain Jaise Ki Is Phool Ko Loo Lag Gai Ho.
Doston! Yah Sab Bahane Hain Zaruri Hai Ki Makaan
Khule Huye Hawadaar Aur Saaf Ho. Apne Makanon Ke
Sahan Bade Aur Khule Huye Hawadaar Rakho Aur Auraton
Bachchon Ko Chaay Aur Doosri Khushk Cheezon Se
Bachao Aur Doodh Ghi Wagaira Ka Istemal Rakho, Auraton
Ko Aaram Talab Na Banao.

Islami Parda Aur Tareeqa e Zindagi

Aurat Ka Jism Sar Se Paanv Tak Satar Hai Jiska


Chhupana Zaruri Hai Siwaye Chehre Aur Kalaiyon Tak
Hathon Aur Takhnon Se Neeche Tak Paanv Ke Ki In Ka
Chhupana Namaz Mein Farz Nahi Baqi Hissa Agar Khula
Hoga To Namaz Na Hogi, Lihaza Uska Libas Aisa Hona
Fashion aur humara muashra 35

Chahiye Jo Sar Se Paanv Tak Usko Dhaka (Chhupa) Rakhe


Aur Is Qadar Barik Kapda Na Pahne Jisse Sar Ke Baal Ya
Paanv Ki Pindliyan Ya Pet Upar Se Nanga Maloom Ho,
Ghar Mein Agar Akeli Ya Shauhar Ya Maa'n Baap Ke Samne
Ho To Dupatta Utaar Sakti Hai Lekin Agar Damad Ya
Doosra Qarabat Daar Ho To Sar Ba Qayda Dhaka
(Chhupa) Hua Hona Zaruri Hai Aur Shauhar Ke Siwa Jo
Bhi Ghar Mein Aaye Vah Aawaz Se Khabar Kar Ke Aaye.
Ajnabi Aurat Ko Siwaye Chand Sooraton Ke Dekhna Mana
Hai-
1. Tabeeb (Doctor) Mareeza Ki Marz Ki Jagah Ko.
2. Jis Aurat Ke Sath Nikah Karna Hai Usko Chhup Kar
Dekh Sakta Hai.
3. Gawah Jo Aurat Ke Mut'alliq Gawahi Dena Chahe.
4. Qazi Jo Aurat Ke Mut'alliq Koi Hukm Dena Chahe Vah
Bhi Ba Qadar e Zarurat Dekh Sakta Hai.
Mas'ala: Aawara Auraton Se Bhi Shareef Auratein Parda
Karein. (Durre Mukhtar)

Auraton Ko Kab Nikalna Jaez Hai

Aurat Ko Apne Ghar Se Nikalna Bhi Mana Hai Siwaye


Chand Jagahon Ke Maslan:
1. Qaabila : Yani Daayi Ka Pesha Karne Wali Aurat Ghar Se
Nikal Sakti Hai.
2. Shahida : Gawahi Dene Ke Liye Aurat Qazi Ke Darbar
Mein Ja Sakti Hai.
3. Gaasila : Jo Aurat Murda Auraton Ko Gusl Deti Hai Vah
Fashion aur humara muashra 36

Bhi Is Zarurat Se Nikal Sakti Hai.


4. Kaasiba : Jis Aurat Ka Koi Kamai Karne Wala Na Ho Vah
Rozi Hasil Karne Ke Liye Ghar Se Nikal Sakti Hai.
5. Nayera : Walidain Aur Khaas Ahle Qarabat Se Milne Ke
Liye Bhi Ghar Se Nikal Sakti Hai.
Agar Iski Poori Tahqeeq Karna Ho To Aala Hazrat
Imaam Ahmad Raza Quddis Sirrrahoo Ki Kitab
‫مروج النجا لخروج النساء‬
Ka Mutala Karo. Hum Ne Jo Kaha Ki In Mauqon Mein
Aurat Ghar Se Nikal Sakti Hai Uske Maana Yah Hain Ki
Parda Se Nikle Is Tarah Na Nikle Jaise Aaj Kal Riwaaj Hai
Ki Ya To Be Burqa Bahar Phirti Hain Ya Agar Burqa Hai To
Munh Khula Hua Aur Burqa Bhi Nihayat Khushnuma Aur
Chamakdar Ki Doosre Mardon Ki Us Par Khwah Makhwah
Nazar Pade Yah Jaez Nahi.

Yah Ahkaam The Ghar Se Nikalne Ke Ab Raha Safar


Karna Iske Mut'alliq Yah Zarur Yaad Rakho Ki Aurat Ko
Akele Ya Kisi Ajnabi Mard Ke Sath Safar Karna Haraam Hai
Zaruri Hai Ki Uske Sath Koi Mahram Ho, Aaj Kal Jo Riwaaj
Ho Gaya Hai Ki Ghar Ko Khat Likh Diya (Ya Phone Kar
Diya) Ki Hum Ne Apni Beevi Ko Falan Gaadi Par Sawar
Kar Diya Hai Tum Station Par Aakar Utaar Lena Yah Najaez
Bhi Hai Aur Khatarnak Bhi.

Devar Aur Bahnoe Wagairah Se Bade Bade Gharon Mein


Bhi Parda Nahi Balki Baaz Auratein To Kahti Hain Ki Un
Se Parda Karne Ki Zarurat Hi Nahi Yah Mahaz Galat Hai.
Fashion aur humara muashra 37

Hadees e Paak Mein Irshad Hua Ki '‫ 'الحمو الموت‬Devar To Aur


Bhi Zyada Maut Hai. Baaz Jagah Un Se Hansi Aur Mazaq
Tak Kiya Jata Hai Khyaal Rakho Ki Jis Aurat Se Kabhi Bhi
Nikah Jaez Na Ho Jaise Damad, Razae Beta, Baap, Bhai,
Sasur Wagairah To Unse Parda Zaruri Nahi.
Agar Un Logon Se (Jinse Parda Zaruri Hai) Ba Qayda
Parda Na Ho Sake To Km Az Km Ghoonghat Se Aur Unke
Samne Haya Aur Sharm Se Rahna Zaruri Hai.
Aisa Barik Libas Na Pahno Jisse Nangi Maloom Ho Aur
Aisa Libas Na Pahno Jo Pindaliyon Se Bilkul Chimat Jata
Ho Aur Jisse Badan Ka Andaza Hota Ho, Haan Agar Us
Ghar Mein Siwaye Shauhar Wagaira Ke Koi Ajnabi Na Aata
Ho To Koi Harj Nahi Magar Aise Ghar Aaj Kal Mushkil Se
Milenge.
Dr. Iqbal Ne Khoob Kaha Hai-
'Chu Zahra Baash Az Makhlooq Ruposh
Ki Dar Aagosh Shabbeer e Babeeni'
Yani Hazrat Fatima Zahra Raziyallahu Ta'ala Anha Ki
Tarah ALLAH Wali Pardadaar Bano Taaki Apni God Mein
Imaam Husain Raziyallahu Ta'ala Anhu Jaisi Aulad Dekho.

Ladkiyon Ki Taleem

Apni Ladki Ko Vah Ilm Wa Hunar Zarur Sikha Do Jiski


Usko Jawan Ho Kar Zarurat Padegi. Lihaza Sab Se Pahle
Ladki Ko Paaki, Paleedi, Haiz Wa Nifaas Ke Sharai Mas'ale,
Roza, Namaz, Zakaat Wagaira Ke Masael Padha Do Yani
Qur'an Shareef Aur Deeniyat Ke Risale Padha Do, Phir
Fashion aur humara muashra 38

Kuch Aisi Akhlaqi Kitabein Jinmein Shauhar Ke Huqooq


Baja Lane, Bachchon Ke Palne, Saas Nandon Se Mel
Muhabbat Rakhne Ke Tareeqe Sikhaye Gaye Ho Vah Bhi
Zarur Padha Do Behtar Yah Hai Ki Unko Nabi e Kareem
ََ ‫َ ََ ُ َ َ ی َ ی‬
‫اٰل َعل ْی ِہ َوالِہٖ َو َسل َم‬‫ صّل ہللاتع‬Ki Tareekh Bhi Mutala Karao Jisse Duniya
Mein Rahne Sahne Ka Dhang (Tareeqa) Aa Jaye. Iske Baad
Har Tarah Ka Khana Pakana Ba Qadar e Zarurat Seena
Pirona Aur Doosri Zanaana Dastkari Aur Sooe Ka Hunar
Zarur Sikha Do Kyunki Sooe Hi Vah Cheez Hai Jiski
Zarurat Marne Ke Baad Bhi Padti Hai Yani Murda Sila Hua
Kafan Pahan Kar Qabr Mein Jata Hai. Sooe Auraton Ka
Khaas Hunar Hai Ki Agar (Khuda Na Kare) Kabhi Aurat Par
Koi Musibat Pad Jaye Ya Bewa Ho Jaye Aur Kisi Majboori
Ki Wajah Se Doosra Nikah Na Kar Sake To Ghar Mein
Aabroo Se Baith Kar Dastkariyon Se Pet Paal Sake. Aaj Kal
Khana Pakane Aur Seene Pirone Ki Bahut Si Kitabein
Chhap (Print) Chuki Hain Chunanche 'Dehli Ka Bawarchi
Khana, Khwane Nemat, Khwane Yagma' Khane Pakane Ke
Hunar Ke Liye Zarur Padha Do Balki Unse Har Tarah Ka
Khana Pakwa Lo Aur Doston! Teen Cheezon Se Apni
Ladkiyon Aur Beeviyon Ko Bahut Bachao (1) Novels (2)
College Aur School Ki (Beparda) Taleem (3) Theater Aur
Cinema Yah Teen Cheezein Ladkiyon Ke Liye Zahar e Qatil
Hain. Is Waqt Ladkiyon Mein Jis Qadar Shokhi, Aazadi Aur
Be Gairati Hai Vah Sab In Teen Hi Ki Wajah Se Hai. Hum
Ne Dekha Ki Ladkiyon Ke Liye Pahle To Zanaana School
Khule Aur Unmein Pardadaar Gadiya Bachchiyon Ko Lane
Aur Le Jane Ke Liye Rakhi Gai Agarche Unmein Naam Ka
Fashion aur humara muashra 39

Parda Tha Magar Khair Kuch Aar Sharm Thi Phir Vah
Gadiya Band Hui Aur Sirf Ek Aurat Jisko Mama Kahte The
Lane Aur Pahunchane Ke Liye Rah Gai Phir Vah Bhi Khatm
Sirf Yah Raha Ki Jawan Ladkiyan Burqa Pahan Kar Aayein
Phir Yah Bhi Khatm Hua Aazadana Taur Par Aane Jane Lagi
Phir Aqal Ke Andhon Ne Ladkiyon Aur Ladkon Ki Ek Hi
Jagah Taleem Shuru Kara Di Aur Sharda Act Jaari Karaya
Jiske Maana Yah Hai Ki 18 Saal Se Pahle Koi Nikah Na Kar
Sake Phir Ladkiyon Aur Ladkon Ko Cinema Ke Ishqiyan
Drame Dikhaye, Behooda Novelon Ki Rok Thaam Na Ki
Jiska Matlab Saaf Yah Hua Ki Unke Jazbaat Ko Bhadkaya
Gaya Aur Nikah Rok Kar Bhadke Huye Jazbaat Ko Poora
Hone Se Rok Diya Gaya Jiska Mansha Sirf Yah Hai Ki
Haraam Kaari Badhe Kyunki Bhadki Hui Shahwat Jab Halal
Rasta Na Payegi To Haraam Ki Taraf Kharch Hogi Aur Aisa
Hi Ho Raha Hai. Ab Is Waqt Yah Halat Hai Ki Jab
Schoolon, Collegon Ki Ladkiyan Subah Wa Shaam Zarq
Barq Libas Mein Raston Se Aapas Mein Mazaq Wa Dil Lagi
Karti Hui, Zor Se Baatein Karti Hui, Itr Lagaye, Dupatta Sar
Se Utare Huye Nikalti Hain To Maloom Hota Hai Ki
Shayad Hindustan Mein Paris Aa Gaya Aur Dardmand Dil
Rakhne Wale Khoon Ke Aansoo Rote Hain. Akbar
Allahabadi Ne Khoob Farmaya-
'Beparda Kal Jo Aai Nazar Chand Beebiyan,
Akbar Zameen Mein Gairat e Qaumi Se Gad Gaya,
Poochha Jo Unse Aapka Parda Kidher Gaya,
Kahne Lagi Ki Aqal Pe Mardon Ki Pad Gaya'.
Fashion aur humara muashra 40

Koshish Karo Ki Tumhari Ladkiyan Hayadaar Aur Adab


Wali Bane Taaki Unki Aulad Mein Yah Bhi Aausaf Paye
Jayein.
Dr. Iqbal Ne Kya Khoob Farmaya-
'Be Adab Maa'n Ba Adab Aulad Jan (Paida) Sakti Nahi,
Maadne Zar Maadne Faulad Ban Sakti Nahi'.

Yaad Rakho! Is Zamane Mein In Schoolon Aur Collegon


Ne Qaum Mein Inqelab Paida Kar Diya Hai. Aaj Tareeqa
Yah Hai Ki Agar Kisi Qaum Ka Naqsha Badalna Ho To Us
Qaum Ko Bachchon Ko College Ki Taleem Dilao Bahut Jald
Us Qaum Ki Halat Badal Jayegi.
Akbar Ne Khoob Kaha Hai-
'Yoon Qatl Se Bachchon Ke Vo Badnaam Na Hota,
A f s o s K i Fi r a u n K o C o l l eg e K i N a S o o jh i ' .
Aur Doston! Baaz Schoolon Aur Collegon Ke Naam
Mein Islam Ka Naam Bhi Laga Hota Hai Yani Unka Naam
Hota Hai 'Islamiya School, Islamiya College' Is Naam Se
Dhokha Na Khaye Islamiya School, Islamiya College Naam
Rakhna Faqat Muslim Qaum Se Islam Ke Naam Par Chanda
Wasool Karne Ke Liye Hai Warna Kaam Sab Collegon Ka
Qareeb Qareeb Yaksa (Barabar) Hai Gazab To Dekho Ki
Naam Islamiya School Aur Tateel (Chhutti) Hoti Hai Itwar
Ke Din. Islam Mein To Bada Din Juma Ka Hai Har Kaam
Angrezi Mein, Vahan Ke Talba Akhlaq Aur Aadab Angrezi
Phir Yah Islamiya School Kahan Raha. Baaz Schoolon Ke
Naam Bajaye Islamiya School Muhammadan School Ya
Muhammadan College Rakh Diye Gaye. ALLAH Ta'ala Ne
Fashion aur humara muashra 41

Hum Musalmanon Ka Naam Rakha Hai 'Muslimeen'


Qur'an Farmata Hai,
"ALLAH Ne Tumhara Naam Musalman Rakha"
(Soorah Haj, Aayat 78)
Magar Isaiyon Ki Taraf Se Humara Naam
'Muhammadan' Rakha Gaya Hum Logon Ko Vahi Naam
Pasand Aaya Jo Isaiyon Ne Hum Ko Diya Garze Ki Un
Schoolon Se Apni Ladkiyon Ko Bachao Aur Apne Ladkon
Ko Bhi Vahan Zaruratan Taleem Dilwao Magar Unka Deen
Wa Mazhab Sambhal Kar. Isi Tarah Ladkiyon Ko Ghar Par
Jo Master Se Padhwate Hain Ya Isai Auraton Ya Lediyon Se
Taleem Dilwate Hain Vah Sakht Galti Karte Hain. Bahut
Jagah Dekha Gaya Ki Ladkiyan Masteron Ke Sath Bhaag Gai
Aur Un Aawara Ustaniyon Ke Zariye Hazaron Fitne Phaile.
Mujhe Yah Maloom Nahi Hota Ki Aakhir Ladkiyon Ko Is
Qadar Aala Taleem Ki Zarurat Kya Hai Unko To Vah
Cheezein Padhao Jinse Unhein Kaam Padta Hai, Unka Saara
Kharcha To Shauharon Ke Zimme Hoga Phir Unko Is
Qadar Taleem Se Kya Fayda? Garze Ki Apni Aulad Ko
Deendar Aur Hunarmand Banao Ki Isi Mein Deen Wa
Duniya Ki Bhalai Hai. Apni Ladkiyon Ko Sirf Khatoon e
Jannat Fatima Zahra Raziyallahu Ta'ala Anha Ke Naqshe
Qadam Par Chalao Unki Paak Zindagi Ka Naqsha Vah Hai
Jo Dr. Iqbal Ne Is Tarah Bayan Farmaya-
'Aan Adab Parwardaye Sharmo Haya
Aasiya Gardaano Lab Quran Sara'.
Us Sharm Wa Haya Ki Parwarda Khatoon Ka To Ye
Aalam Hai Ki Hathon Mein Chakki Hai Aur Zubaan Par
Fashion aur humara muashra 42

Qur'an Ki Tilawat. (Makhooz Az Islami Zindagi)

Parda Aur Humara Muashara


Az: Muhammad Abdul Mobeen Nomani Qadiri Barkati

Islam Ek Mukammal Deen Hai Jismein Zindagi Guzaar


Ne Ke Tamam Pahlu'o Se Mut'alliq Ahkaam Bayan Kiye
Gaye Hain Taaki Ek Musalman Ko Apni Zindagi Ki
Zaruraton Mein Doosre Kisi Nizaam Ki Taraf Na Dekhna
Pade, Islam Ke Zaruri Ahkaam Mein Ek Hukm Parde Ka
Bhi Hai Yani Mard Namahram Auraton Se Parda Kare Aur
Aurat Namahram Mardon Se. Parde Ka Hukm Qur'an e
Paak Mein Bhi Hai Aur Ahadees Mein Bhi Lekin Afsos!
Humare Muashare Mein Bepardagi Ki Rasm Aam Hai, Jo
Auratein Sire Se Parda Hi Nahi Karti Un Ko To Jane Deejiye
Lekin Jo Auratein Ba Parda Aur Shareef Kahlati Hai Unka
Bhi Haal Yah Hain Ki Rasmon Aur Aadaton Ki Wajah Se
Bahut Mauqon Par Poore Taur Se Parda Nahi Karti Ya To
Vah Shariyat Ke Ahkaam Wa Masael Se Yaksar Nawaqif
Hain Ya Waqif To Hain Lekin Rasm Wa Riwaaj Ne Un Par
Apna Aisa Tasallut (Qabza) Jama Rakha Hai Ki Islam Ke
Zaruri Ahkaam Par Amal Karne Ke Liye Vah Apne Andar
Koi Jazba Hi Nahi Paati Maslan Aam Taur Se Auratein Jeth
Devar Se Parda Nahi Karti Halanki Unse Parde Ka Sakht
Hukm Hai Isliye Islami Auraton Ko Riwaaj Chhod Kar
َ ُ ‫َص ََّل‬
Qur'an Wa Hadees ALLAH Ta’ala Wa Rasool ٖ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہ‬
ََ
‫ َو َسل َم‬Ke Hukmon Par Chalna Chahiye. Parde Ke Zaruri
Ahkaam Fiqh Ki Kitabon Mein Tafseel Se Likhe Huye Hain
Fashion aur humara muashra 43

Vahan Se Maloom Karein Maslan Bahare Shariyat, Kanoone


Shariyat, Jannati Zevar, Sunni Bahishti Zevar Wagaira
Kutub (Kitabon) Mein Mulahaza Karein. Sare Dast (Lage
Hath) Yahan Sirf Un Gaflaton Ki Taraf Ishare Kiye Ja Rahe
Hain Jinka Aam Taur Se Humari Islami Bahanein Shikar
Hain.

Devar Se Parda :
Saheeh Bukhari Wa Saheeh Muslim Shareef Mein Aqba
Bin Aamir Raziyallahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ki
ََ َ ُ ‫ َص ََّل‬Ne Farmaya Auraton Ke Paas
Rasoolullah ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہٖ َو َسل َم‬
Jane Se Bacho (Yani Jin Auraton Se Parda Hai Unke Paas
Na Jao) Ek Shakhs Ne Arz Kiya Ya Rasoolullah ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ‬
َ ُ ‫َص ََّل‬
ََ ‫ی‬
‫ َوالِہٖ َو َسل َم‬Devar Ke Mut'alliq Kya Hukm Hai?Farmaya Devar
Maut Hai.
(Bukhari Muslim Wa Mishkat Page 268)
Yani Devar Ke Samne Hona Goya Maut Ka Samna Hai
Ki Yahan Fitne Ka Zyada Ahtemaal Hai Aur Yah Ki Aurat
Ko Devar Se Aise Hi Bhaagna Chahiye Jaise Aam Taur Se
Log Maut Se Bhaagte Hain. Wazeh Rahe Ki Devar Aur Jeth
Ka Ek Hi Hukm Hai Haan Agar Jeth Bilkul Boodha Ho Jaye
To Uske Hukm Mein Takhfeef Hogi.
Aala Hazrat Mujaddide Millat Imaam Ahmad Raza
Bareilvy Quddis Sirrrahu Fatawa Razwiya Shareef Mein
Farmate Hain 'Jeth Aur Devar Se Parda Wajib Hai'.
(Fatawa Razwiya Jild 9 Page 237)

Peer Se Parda :
Aurat Ka Peer Bhi Agar Gair Mahram Hai To Usse Bhi
Fashion aur humara muashra 44

Parda Hai Isliye Mureeda Aurat Ya Ladki Ko Apne Peer Se


Bhi Parda Karna Chahiye Aur Peer Ke Liye Bhi Yah Jaez
Nahi Ki Aurat Ka Hath Pakad Kar Us Ki Bayt Kare. Hazrat
Aaysha Raziyallahu Ta'ala Anha Ne Sarkar e Do Aalam ‫ہللا‬ ُ ‫َص ََّل‬
ََ ‫ََ ی َ ی‬
‫اٰل َعل ْی ِہ َوالِہٖ َو َسل َم‬‫ تع‬Ki Auraton Se Bayt Ke Baare Mein Farmaya,
'Auraton Ki Bayt Ba Zariya e Kalaam Hoti Thi Khuda Ki
Qasam Kabhi Bhi Huzoor Ka Hath Kisi Aurat Ke Hath Se
Bayt Ke Waqt Mas (Touch) Nahi Hua'.
(Bukhari Shareef Jild 2 Page 726)
Aala Hazrat Imaam e Ahle Sunnat Mujaddide Millat
Quddis Sirrrahu Farmate Hain-
'Parda Ke Baab Mein Peer Aur Gair Peer Har Ajnabi
(Mard) Ka Hukm Yaksa (Barabar) Hai, Jawan Aurat Ko
Chehra Khol Kar Bhi Samne Aana Mana Hai Aur
Boodhiyon Ke Liye Jisse Ahtemaal e Fitna Na Ho Mozaayqa
Nahi'.
(Fatawa Razwiya Jild 9 Page 102)

Ustaad Se Parda :
Yoon Hi Shagird Aurat Ya Jawan Ladki Balki Jo
Qareebul Buloog Ho Usko Bhi Apne Namahram Ustaad Se
Parda Karna Farz Hai. Agar Majbooran Ajnabi Mardon Se
Padhna Zaruri Ho To Poore Parde Ka Lihaza Karna Chahiye
Aur Agar Muallemaat Dastyaab Ho To Un Hi Se Taleem
Hasil Kare, Yoon Hi Jawan Ladke Ladkiyon Ki Makhloot
(Mili Hui) Taleem To Zahar e Qatil Hai. Khalis Bachchon
Ke Madaris Ya School Hi Mein Apni Bachchiyon Ko Bhejna
Chahiye Warna Gunah Bhi Hai Aur Be Hayai Aur
Fashion aur humara muashra 45

Badkirdari Ka Bahut Khatra Bhi. Aadmi Duniya Ka


Nuqsaan Ho To Khatraat Se Bachta Hai Jahan Haya, Iffat
Aur Paarsai Ko Khatra Ho To Vahan Se Aur Zyada Hi
Bachna Chahiye Magar Afsos! Aazadi Aur Fashion Ne
Humari Nigahon Par Parde Daal Rakhe Hain Ki Khuli
Haqeeqat Bhi Nazar Nahi Aati.

Pheri Wale Se Parda :


Aaj Kal Aam Dinon Mein Bhi Aur Khaas Tyohar
(Festivals) Ke Mauqon Par Bhi Pheri Wale Darwaze
Darwaze Ghoom Kar Ghareloo Aur Singhar Ka Saman
Farokht Karte Hain Unki Aawaz Sun Kar Humari Maayein
Bahanein Jhat (Fauran) Darwaze Ke Bahar Ya Darwazon Par
Aakar Khadi Ho Jati Hain Aur Saude Khareedna Shuru Kar
Deti Hain Aur Is Tarah Khul Kar Baatein Aur Mol Bhaaw
Karti Hain Jaise Pheri Wala Unka Saga Bhai Ho Yah Bhi
Najaez Aur Bahut Galat Harkat Hai Isse Bachna Bhi Zaruri
Hai Ghar Ke Bachche Ya Mard Jo Bhi Ho Unko Bhej Kar
Saman Mangaye Aur Khareede To Harj Nahi Lekin Aisa
Lagta Hai Ki Auratein Saman Khareedne Ke Sath Apne
Husn Ki Numaish Ka Shauq Bhi Poora Karne Lagti Hain Jo
Nihayat Darje Ki Be Hayai Aur Gunah Ka Kaam Hai.
ََ َ ُ ‫ َص ََّل‬Ki Azwaje
ALLAH Ta'ala Nabi e Paak ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہٖ َو َسل َم‬
Mutahharat (Paak Beeviyon) Se Farmata Hain,
"Aur Apne Gharo'n Me'n Thehri Raho Aur Be
Pardah Na Raho Jaise Agli Jaahiliyat Ki Be Pardagi".
(Soorah Ahzaab, Aayat 33)
Is Aayat Se Beparda Bahar Nikalne Ki Momaniyat Saaf
Fashion aur humara muashra 46

Zahir Hai Aur Jab Yah Momaniyat Azwaje Mutahharat Ko


Hai To Aam Muslim Khwateen Ke Liye Yah Hukm Aur
Sakht Hoga. Isse Humari Muslim Khwateen Aur Islami
Bahanein Ibrat (Sabaq) Hasil Karein Aur Bepardagi Se
Bachein. Hadees Shareef Mein Hai-
'Aurat Parde Mein Rahne Ki Cheez Hai Jis Waqt
Beparda Bahar Nikalti Hai To Shaitan Usko Taakta Hai'.
(Tirmizi Shareef Jild 1 Page 140)
Hazrat Jabir Raziyallahu Ta'ala Anhu Se Ek Aur Hadees
ََ َ ُ ‫ َص ََّل‬Ne Farmaya,
Hai Huzoor E Aqdas ‫ہللا َت َع یاٰل َعل ْی ِہ َو یالِہٖ َو َسل َم‬
'Beshak Aurat Jab Aati Hai To Shaitan Ki Soorat Mein
Aati Hai Aur Jati Hai To Shaitan Ki Soorat Mein'.
(Mishkat Page 268)
Yani Aurat Jab Beparda Nikalti Hai To Uska Aana Jana
Shaitan Ki Tarah Burai Ki Daawat Deta Hai Aur Aisi
Auratein Shaitan Ka Role Ada Karti Hain.
In Donon Hadeeson Se Vah Auratein Sabaq Le Jo Pheri
Walo Ke Samne Beparda Aakar Khadi Ho Jati Hain Aur Phir
Saman Khareed Kar Wapas Jati Hain Beshak Yah Auratein
In Hadeeson Ki Misdaaq Hain Ki Khud Bhi Gunahgar Hoti
Hain Aur Doosron Ko Bhi Gunahgar Aur Shaitan Ke
Misdaaq Banati Hain, Jawan Ladkiyan Bhi Is Hukm Mein
Dakhil Hain Balki Jo Qareebul Buloog (Jawan Hone Ke
Qareeb) Ho Unko Bhi Bachna Chahiye.

Dukandaron Se Parda :
Yoon Hi Aaj Kal Auratein Bahut Jam Kar Marketing
Karti Aur Saude Khareedte Nazar Aati Hain. Unka Haal Yah
Fashion aur humara muashra 47

Hai Ki Ghar Se To Naqaab Ke Sath Nikalti Hain Lekin


Dukaan Par Jane Ke Baad Apna Parda Utha Deti Hain Goya
Dukandar Se Parda Hi Nahi, Awwalan (Sabse Pahle) To
Khwateen Ko Bazaron Mein Saude Khareedne Ke Liye Jana
Hi Nahi Chahiye Aur Agar Zarurat Padhne Par Jana Hi Ho
To Jaise Tamam Namahramon Se Parda Hai Vaise Hi
Dukandar Se Bhi Parda Zaruri Hai Chahe Dukandar
Muslim Ho Ya Gair Muslim, Yoon Hi Mol Bhaaw Karne
Mein Zarurat Se Zyada Na Bole Aur Lagawat Ki Baatein
Hargiz Na Karein, Deegar Ajnabi Mardon Se Bhi Zaruri
Baat Karne Mein Iska Lihaz Zaruri Hai Ki Lachakdaar
Baatein Na Karein Warna Gunahgar Hongi Aur Unse Jo
Fitne Paida Honge Unke Bure Asraat Alag Apna Rang
Dikhayenge. ALLAH Ta'ala Islami Auraton Ko Islami
Ahkaam Par Chalne Aur Parde Ke Ahatmam Ki Taufeeq
Bakhshe.
Aameen Bijaahe Sayyadil Mursaleen Alaihi Wa Ala Aalihi
Wa Sahabihissalato Wattasleem.
OUR OTHER PUBLICATIONS

Abde Mustafa Publications


abdemustafa.org @abdemustafaorg

Powered By Abde Mustafa Organisation

You might also like