Jannat

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 26

PART OF “ZAAD UL KHATEEB”

VOLUME: 02

TALEEF: BY DR. HAFIZ MUHAMMAD ISHAQ ZAHID.


ROMAN TRANSLITERATION

BY UMM ABDUR RAHMAN


FOUNDER & DIRECTOR OF
WWW.IMSJEDDAH.COM

NAZAR-E-SAANI (ROMAN SCRIPT):


BY SHAIKH ZAKARIYA SAMA MADANI
HAFIDHAHULLAH.
FOUNDER OF SALAF ACADEMY

www.imsjeddah.com
JANNAT KI NEMATEIN AUR
USKA RAASTA:
1. JANNAT AUR AHL-E-JANNAT KAY OUSAAF QUR’AN-E-MAJEED MEIN.
2. JANNAT KAY OUSAAF AHADEES-E-NABAWWI MEIN:
3. JANNAT KA RASTA.

Bradar-e-Islam! Aj kay khutba jumu’ah mein ham in Shaa Allah Jannat kay muta’lliq chand
guzarishaat arz karengay jisko Allah Ta’aala ne mominon ka thikana banaya hai- aur aendah
khutba jumu’ah In Shaa Allah Jahannum kay baare mein hoga jisko Allah Ta’aala ne mushrikon,
kafiron aur munafiqoun ka thikana banaya hai (‫ )نسٔأال هّٰللا العفو والعافیۃ‬qayamat kay roz do hi
thikanay hongay: Jannat aur Jahannum- jaisa ke Allah Ta’aala ka farmaan hai:

﴾ ‫﴿َف ِر ْیٌق ِف ْی اْلَج َّن ِۃ َو َف ِر ْیٌق ِف ْی الَّس ِع ْی ِر‬


“Aik giroh jannat mein hoga aur aik giroh jahannum mein hoga.”
[Surah Shura:42: 07]

Ham Allah Ta’aala se dua gou hain ke wo ham sabko jannat ul firdous mein daihil kare aur
hamain jahannum kay azaab se mehfooz rakhe- Aameen
Aye Sabse pehle yeh dekhein ke Qur’an-e-majeed mein Allah Ta’aala ne jannat ka tazkirah kis
tarah se kiya hai? Aur Ahl-e-jannat kay ousaaf kaunse bayan kiye hain?

(i) JANNAT KAY OUSAAF QURAN-E-MAJEED MEIN:

1. Jannat kay phal aur Ahl-e-Jannat ki biwiyaan:

Allah Ta’aala farmaata hai:

‫َوَبِّش ِر اَّلِذ ْیَن ٓاَم ُنْوا َو َع ِم ُلْوا الَّص اِلَح اِت َٔاَّن َلُہ ْم َج ّٰنٍت َتْج ِر ْی ِم ْن َتْح ِتَہ ااَأْلْنَہ اُر ُک َّلَم ا ُر ِز ُق ْوا ِم ْنَہ ا ِم ْن َثَم َر ٍۃ ِّر ْز ًق ا َق اُلْوا ٰہَذ ا‬
﴾ ‫اَّلِذ ْی ُر ِز ْق َنا ِم ْن َق ْب ُل َو ُٔاوُتْوا ِبٖہ ُم َت َش اِبًہ ا َّو َلُہ ْم ِفْی َہ ا َٔاْز َواٌج ُّم َط َّہ َر ٌۃ َّوُہْم ِفْی َہ ا َخ اِلُد ْوَن‬

www.imsjeddah.com
01
“Aur imaan walon aur naik amal karnay walon ko un jannaton ki khush khabriyan dijie jinkay
neechay nehrai beh rahi hain- Jab kabhi unhay phalon ka rizq diya jaega aur unkay paas ham
shakal (phal) laey jaengay tou kahengay: yeh wohi hai jo hamain issay pehle diya gaya tha-
unke liye paakiza biwiyaan hain aur wo un jannaton me hamesha rehnay walay hain.”
[Surah Baqarah:02: 25]

2. AHL-E-JANNAT KA AIK DUSRE KO SALAM:

Allah Ta’aala ka farmaan hai:

‫ َدْع َواُہْم ِفْی َہ ا‬. ‫﴿ِإَّن اَّلِذ ْیَن ٓاَم ُنْوا َو َع ِم ُلْوا الَّص اِلَح اِت َیْہ ِد ْیِہ ْم َر ُّبُہ ْم ِبِإْیَم اِنِہ ْم َتْج ِر ْی ِم ْن َتْح ِتِہ ُم اَأْلْنَہ اُر ِف ْی َج ّٰنِت الَّنِع ْی ِم‬:
)) ‫ُس ْب َح اَنَک الّٰلُہ َّم َو َتِح َّی ُت ُہ ْم ِفْی َہ ا َس َالٌم َوٓاِخ ُر َدْع َواُہْم َٔاِن اْلَح ْم ُد ِلّٰلِہ َر ِّب اْلَع اَلِم ْی َن‬

“Yaqeenan jo log imaan laey aur unho ne naik kaam kiye unka Rab unko unkay imaan kay
sabab unkay maqsad tak pohancha dega, nemat kay baghon mein jinkay neechay nehre
jaari hongi- Unke muh se baat niklegi: “SubhanAllah” aur unka bahkmi salam ye hoga: “As
salaamu alaikum” aur unki akhri baat ye hogi: Tamam tareefein Allah kay liye hain jo saare
jahan ka rabb hai.”
[Surah Yunus:10: 9-10]

3. FARISHTE BHI AHL-E-JANNAT KO SALAAM KAHENGAY AUR KHUSH


KHABRIYAAN SUNAENGAY:

Allah Ta’aala ka farmaan hai:

‫﴿َو ِس ْی َق اَّلِذ ْیَن اَّتَق ْوا َر َّبُہ ْم ِإَلی اْلَج َّنِۃ ُز َم ًر ا َح ّٰتی ِإَذ ا َج ٓأُو ْو َہا َو ُف ِتَح ْت َٔاْبَواُبَہ ا َو َق اَل َلُہ ْم َخ َز َنُت َہ ا َس َالٌم َع َلْی ُک ْم ِط ْب ُت ْم‬
‫ َو َق اُلْوا اْلَح ْم ُد ِلّٰلِہ اَّلِذ ْی َص َد َق َنا َو ْع َد ُہ َو َٔاْوَر َثَنا اَأْلْر َض َنَت َب َّو ُٔا ِم َن اْلَج َّنِۃ َح ْی ُث َنَش ٓاُئ َف ِنْع َم َٔاْج ُر‬. ‫َف اْد ُخ ُلْو َہا َخ اِلِد ْیَن‬
﴾ ‫اْلَع اِم ِلْی َن‬

www.imsjeddah.com
02
“Aur jo log apnay Rab se dartay the unkay giroh kay giroh jannat ki taraf rawana kiye jaengay
yahan tak ke jab uskay paas ajaengay aur darwazay khol diye jaengay aur wahan kay nighebaan
unse kahengay: tum par salam ho, tum khush haal raho, tum isme hamesha kay liye chale jaou,
yeh kahengay: Allah ka shukar hai jis ne hamse apna wada poora kiya aur hamain is zameen ka
waris banadiya ke jannat mein jahan chahay thairen- So amal karnay walon ka kiya hi acha
badla hai.”
[Surah Zumar:39: 73-74]

4. JANNAT MEIN JANNATIYON KAY DARMIYAAN KOI RANJISH NAHI


HOGI:
‫ َال‬. ‫ َو َنَز ْع َنا َم ا ِف ْی ُص ُد ْو ِرِہْم ِّم ْن ِغ ٍّل ِإْخ َواًنا َع ٰلی ُس ُر ٍر ُّم َت َق اِبِلْی َن‬. ‫ ُاْد ُخ ُلْو َہا ِبَس َالٍم ٓاِم ِنْی َن‬. ‫ِإَّن اْلُم َّت ِق ْی َن ِف ْی َج ّٰنٍت َّو ُع ُی ْو ٍن‬
﴾ ‫َیَم ُّس ُہ ْم ِفْی َہ ا َنَص ٌب َّوَم ا ُہْم ِّم ْنَہ ا ِبُم ْخ َر ِج ْی َن‬

“Muttaqee (parhezgaar) log yaqeenan baghon aur chashmon mein hongay- (unse kaha jaega):
salamati aur aman kay sath usme dakhil ho jaou- Unkay dilon mein jo kuch ranjish-o-keena tha
ham sab kuch nikal dengay- Wo bhai bhai banay huay aik dusre kay aamne samne takhton par
baithay hongay- na tou wahan unhay koi takleef choo sakti hai aur na wo wahan se kabhi
nikalay jaengay.”
[Surah Hijr:15: 45-48]

5. JANNATIYON KO SONAY AUR MOTIYON KAY KANGAN PENHAEY


JAENGAY AUR UNKA LIBAAS RAISHAM KA HOGA:

‫َٔا‬ ‫َأْل‬
‫﴿ِإَّن الّٰلَہ ُیْد ِخ ُل اَّلِذ ْیَن ٓاَم ُنْوا َو َع ِم ُلْوا الَّص اِلَح اِت َج ّٰنٍت َتْج ِر ْی ِم ْن َتْح ِتَہ ا ا ْنَہ اُر ُیَح َّلْوَن ِفْی َہ ا ِم ْن َس اِو َر ِم ْن َذ َہٍب‬:
﴾ ‫َو ُلْٔوُلًٔو ا َّو ِلَباُس ُہ ْم ِفْی َہ ا َح ِر ْیٌر‬

“Imaan walon aur naik amal karnay walon ko Allah Ta’aala un jannaton mein lejaega jinkay
neechay nehray beh rahi hain jahan unhay sonay kay kangan pehnae jaengay aur sachay moti
bhi- Wahan unka libaas khaalis raisham hoga.”
[Surah Hajj:22: 23]

www.imsjeddah.com
03
Isi tarah Allah ka farmaan hai:

﴾ ‫ َیْلَبُس ْوَن ِم ْن ُس ْنُد ٍس َّو ِاْس َت ْبَر ٍق ُّم َت َق اِبِلْی َن‬.‫ ِف ْی َج ّٰنٍت َّو ُع ُیْون‬. ‫َّن اْلُم َّت ِق ْی َن ِف ْی َم َق اٍم َٔاِم ْی ٍن‬

“Beshak Allah se darnay walay aman aur chain ki jagah mein hongay- baghon aur chashmon
mein- Barik aur dabeez raishman kay libaas pehnay huay amnay samne baithay hongay.”
[Surah Dukhan:44: 51-55]

6. AHL-E-JANNAT KAY LIYE MAIWAY AUR BAA HAYA HOORAIN:

Allah Ta’aala ka farmaan hai:

‫ ُم َّت ِکِئْی َن ِفْی َہ ا َیْد ُع ْوَن ِفْی َہ ا ِبَف اِک َہ ٍۃ َک ِثْیَر ٍۃ‬. ‫ اَأْلْبَواُب‬. ‫ َج ّٰنِت َع ْد ن ٍُّم َف َّت َح ًۃ َّلُہ ُم‬. ‫﴿ٰہَذ ا ِذ ْک ٌر َّو ِإَّن ِلْلُم َّت ِق ْی َن َلُح ْس َن َم ٓاٍب‬
﴾ ‫ ِإَّن ٰہَذ ا َلِر ْز ُق َنا َم ا َلُہ ِم ْن َنَف اٍد‬. ‫ ٰہذَا َم ا ُتْو َع ُد ْوَن ِلَی ْو ِم اْلِح َس اِب‬. ‫ َو ِع ْنَد ُہْم ٰق ِص َر اُت الَّط ْرِف َٔاْتَر اٌب‬. ‫َّو َش َر اٍب‬

“Ye nasihat hai aur yaqeen mano kay parhezgaaron ki badi achi jagah hai- Yani hamesha
rehnay waali jannaten jinkay darwazay unke liye khulay huay hain- Jinme baa faraghat, taykay
lagae baithay huay, tarah tarah kay maiway aur qism qism ki sharabon ki farmaaishen
karengay- aur unkay paas neechi nazron waali ham umar hooren hongi- yeh hai jiska wada tum
se hisab kay din kay liye kiya jata tha- Beshak ye hamara atiya hai jiska kabhi khatima hi nahi.”
[Surah Suwad:38: 49-55]

Isi tarah uska farmaan hai:

‫ َج َز ٓاًئ ِّم ْن َّر ِّبَک‬.‫ َال َیْس َم ُع ْوَن ِفْی َہ ا َلْغ ًوا َّو َال ِک َّذ اًبا‬.‫ َّو َک ْٔاًس ا ِد َہاًق ا‬.‫ َّو َک َواِع َب َٔاْتَر اًبا‬.‫ َح َد ٓاِئَق َو َٔاْع َناًبا‬.‫((ِإَّن ِلْلُم َّت ِق ْی َن َم َف اًز ا‬
))‫َع َط ٓاًئ ِح َس اًبا‬

“Yaqeenan parhezgaar logon kay liye kamyaabi hai- baghat hain aur angoor hain- aur chalaktay
huay jaam-e-sharab hain- Wahan na tou behuda baten sunengay aur na jhooti baten- (unko)
Aapkay Rab ki taraf se (unkay naik aamaal ka) ye badla milega jo kafi inaam hoga.”
[Surah Naba:78: 31-36]

www.imsjeddah.com
04
7. AHL-E-JANNAT KAY DILCHASP MASHGHALAY:

Allah Ta’aala ka farmaan hai:

‫ َلُہ ْم ِفْی َہ ا َف اِک َہ ٌۃ َّو َلُہ ْم َّم ا‬. ‫ ُہْم َو َٔاْز َواُج ُہ ْم ِف ْی ِظ َالٍل َع َلی اَأْلَراِئِک ُم َّت ِک ُئْوَن‬. ‫﴿ِإَّن َٔاْص َح اَب اْلَج َّنِۃ اْلَی ْوَم ِف ْی ُش ُغ ٍل َف اِک ُہ ْوَن‬
﴾ ‫ َس َالٌم َق ْو ًال ِّم ْن َّر ٍّب َّرِح ْی ٍم‬. ‫َیَّد ُع ْوَن‬

“Jannati log aj kay din apnay (dilchasp)mashghalon mein hashaash bashshash hain- wo aur
unki biwiyaan sayoun mein masehiyon par takiye lagaey baithay hongay- unkay liye jannat
mein har qism kay maiway hongay aur usi tarah jo kuch wo talab karengay- Meherbaan Rab ki
taraf se unhay salam kaha jaega.”

[Surah Yaseem:36: 55-58]

8. JANNAT MEIN PANI , DOODH, SHARAAB AUR KHAALIS SHEHED KI


NEHRAIN HONGI:

Allah Ta’aala ka farmaan hai:

‫﴿َم َثُل اْلَج َّنِۃ اَّلِتْی ُو ِع َد اْلُم َّت ُق ْوَن ِفْی َہ ا َٔاْنَہ اٌر ِّم ْن َّم ٓاٍئ َغ ْی ِر ٓاِس ٍن َو َٔاْنَہ اٌر ِّم ْن َّلَب ٍن َّلْم َیَت َغ َّیْر َط ْع ُم ُہ َو َٔاْنَہ اٌر ِّم ْن َخ ْم ٍر َّلَّذ ٍۃ‬
)) ‫ِّللَّش اِرِبْی َن َو َٔاْنَہ اٌر ِّم ْن َع َس ٍل ُّم َص ًّف ی َو َلُہ ْم ِفْی َہ ا ِم ْن ُک ِّل الَّث َم َر اِت َوَم ْغ ِف َر ٌۃ ِّم ْن َّر ِّبِہ ْم‬

“Is jannat ki sifat jiska parhezgaaron se wada kiya gaya hai ye hai keh usme pani ki nehrain
hain jo badboo karnay wala nahi, aur doodh ki nehrain hain jiska maza nahi badla- aur sharaab
ki nehrain hain jinme peenay walon kay liye badi lazzat hai- aur shehed ki nehrain hain jo bohat
saaf hai- aur unkay liye wahan har qism kay maiway hain aur unkay Rab ki taraf se maghfirat
hai.”
[Surah Muhammad(15 :)‫]ﷺ‬

9. TAKHT, AABKHURAY, JAAM-E-SHARAAB, PASANDIDAH MAIWAY


AUR MUKHTALIF QISAM KAY PHAL, PARINDON KA GOSHT AUR
KUNWAARI HOORAIN:

www.imsjeddah.com
05
Irshad-e-Bari Ta’aala:

‫ َع ٰلی ُس ُر ٍر‬. ‫ َو ِلْی ٌل ِّم َن ا ِخ ِر ْیَن‬. ‫ ٌۃ ِّم َن ا َّو ِلْی َن‬. ‫ ِف ْی َج ّٰنِت الَّنِع ْی ِم‬. ‫ ْو ٰلِئَک ا ُم َق َّر ُبْوَن‬. ‫﴿َو الَّس اِبُق ْوَن الَّس اِبُق ْوَن‬
‫آْل‬ ‫َق‬ ‫َأْل‬ ‫ُثَّل‬ ‫ْل‬ ‫ُٔا‬

‫ اَل ُیَص َّد ُع ْوَن‬. ‫ ِبَٔاْک َواٍب َّو َٔاَباِر ْیَق َو َک ْٔاٍس ِّم ْن َّم ِع ْی ٍن‬. ‫ َیُط ْو ُف َع َلْی ِہ ْم ِو ْلَد اٌن ُّم َخ َّلُد ْوَن‬. ‫ ُّم َّت ِکِئْی َن َع َلْی َہ ا ُم َت َق اِبِلْی َن‬.‫َّم ْو ُض ْو َنٍۃ‬
‫ َج َز ٓاًئ ِبَم ا‬. ‫ َک َٔاْم َث اِل الُّلْٔو ُلِٔو اْلَم ْک ُنْو ِن‬. ‫ َوُح ْوٌر ِع ْی ٌن‬. ‫ َو َلْح ِم َط ْی ٍر ِّم َّم ا َیْش َت ُہ ْوَن‬. ‫ َو َف اِک َہ ٍۃ ِّم َّم ا َیَتَخ َّیُر ْوَن‬. ‫َع ْنَہ ا َو َال ُیْنِز ُف ْوَن‬
‫َٔا‬ ‫َٔا‬ ‫ْٔا‬
‫ ِف ْی‬. ‫ َو ْص َح اُب اْلَیِم ْی ِن َم ا ْص َح اُب اْلَیِم ْی ِن‬. ‫ ِإَّال ِقْی ًال َس َالًم ا َس َالًم ا‬.‫ َال َیْس َم ُع ْوَن ِفْی َہ ا َلْغ ًوا َّو َال َت ِثْی ًم ا‬. ‫َک اُنْوا َیْع َم ُلْوَن‬
‫ َّو ُر ٍش‬. ‫ َّال َم ْقُط ْو َع ٍۃ َّو َال َم ْم ُنْو َع ٍۃ‬. ‫ َّو اِک َہ ٍۃ َک ِثْیَر ٍۃ‬. ‫ َّوَم ٓاٍئ َّم ْس ُک ْو ٍب‬. ‫ َو ِظ َّم ْم ُد ْو ٍد‬. ‫ َو َط ْلٍح َّم ْنُض ْو ٍد‬. ‫ِس ْد ٍر َّم ْخ ُض ْو ٍد‬
‫ُف‬ ‫َف‬ ‫ٍّل‬
﴾ ‫ ُثَّلٌۃ ِّم َن اَأْلَّو ِلْی َن َو ُثَّلٌۃ ِّم َن اآْل ِخ ِر ْیَن‬. ‫ َأِّلْص َح اِب اْلَیِم ْی ِن‬. ‫ ُع ُر ًبا َٔاْتَر اًبا‬. ‫ َف َج َع ْلَناُہَّن َٔاْبَک اًرا‬. ‫ ِإَّنا َٔاْنَش ْٔاَناُہَّن ِإْنَش ٓاًئ‬. ‫َّم ْر ُف ْو َع ٍۃ‬

“Aur jo sabqat le jaane walay hain wo tou sabqat le jaanay waalay hi hain- wo bilkul taqarrub
hasil kiye huay hain- Nematon waali jannaton mein hain- (Bohat bada) giroh tou aglay logon
mein se hoga aur thoray se pichlay logon mein se- ye log sonay kay taaron se banay huay
takhton par, aik dusre kay samne takiye lagae baithay hongay- unkay paas aise (khidmat gaar)
larkay aamad o raft karengay jo hamesha (isi tarah) rahengay- Abkhooray aur jug lekar aur aise
jaam lekar jo baheti hui sharaab se pur ho jissay na sar mein dard ho na aqal mein fitoor aye-
Aur aise maiway liye huay jo unki pasand kay hon- aur parindon kay gosht jo unhay marghoob
hon- Aur badi badi ankhon waali hooren jo chupay huay motiyon ki tarah hain- yeh sila hai
unkay aamaal ka- wo wahan na behuda guftagu sunengay aur na gunaah ki baat- Sirf Salaam hi
Salaam ki awaaz hogi- aur Daey haath walay, kiya hi achay hain daey haath walay! Wo baghair
kantay ki bairiyon, tahe ba tahe kilon, lambe lambe saayon aur behetay huay paniyon aur baa
kasrat phalon mein jo na khatam hon na rok liye jaen aur onchay onchay farshon mein hongay-
Hamne un (ki biwiyon ko) khaas taur par banaya hai- aur hamne unhay kunwariyan banadiya
hai, mohabbat waali aur ham umar hain- Daey haath walon kay liye hain- Jam ghafeer aglon
mein se aur bohat bari jama’at hai pichlon mein se.”
[Surah Waqiyah: 56: 11-40]

10. NEMATEIN HI NEMATEIN AUR AZEEM USH SHAAN SALTANAT:

Allah Ta’aala ka farmaan hai:

‫ َو َد اِنَی ًۃ َع َلْی ِہ ْم ِظ الُلَہ ا‬.‫ ُم َّت ِکِئْی َن ِفْی َہ ا َع َلی اأْل َراِئِک اَل َیَر ْوَن ِفْی َہ ا َش ْم ًس ا َّو َال َز ْم َہ ِر ْیًر ا‬. ‫﴿َوَج َز اُہْم ِبَم ا َص َبُر ْوا َج َّنًۃ َّوَح ِر ْیًر ا‬
. ‫ َق َواِر ْیَر ِم ْن ِف َّض ٍۃ َق َّد ُرْو َہا َتْق ِد ْیًر ا‬. ‫ َوُیَط اُف َع َلْی ِہ ْم ِبٓاِنَیٍۃ ِّم ْن ِف َّض ٍۃ َّو َٔاْک َواٍب َک اَنْت َق َواِر ْیًر ا‬. ‫َو ُذ ِّلَلْت ُقُط ْو ُف َہ ا َتْذ ِلْی ًال‬
‫ َوَیُط ْو ُف َع َلْی ِہ ْم ِو ْلَد اٌن ُّم َخ َّلُد ْوَن ِإَذ ا َر َٔاْیَت ُہ ْم‬. ‫ َع ْی ًن ا ِفْی َہ ا ُتَس ّٰمی َس ْلَس ِبْی ًال‬. ‫َوُیْس َق ْوَن ِفْی َہ ا َک ْٔاًس ا َک اَن ِم َز اُج َہ ا َزْنَج ِبْی ًال‬
‫ َع اِلَی ُہ ْم ِثَیاُب ُس ْنُد ٍس ُخ ْض ٌر َّو ِاْس َت ْبَر ٌق َّوُح ُّلْوٓا َٔاَس اِو َر‬. ‫ َو ِإَذ ا َر َٔاْیَت َثَّم َر َٔاْیَت َنِع ْی ًم ا َّوُم ْلکًا َک ِبْیًر ا‬.‫َح ِس ْب َت ُہ ْم ُلْٔوُلًٔو ا َّم ْنُث ْوًرا‬
))‫ ِإَّن ٰہَذ ا َک اَن َلُک ْم َج َز ٓاًئ َّو َک اَن َس ْع ُی ُک ْم َّم ْش ُک ْوًرا‬.‫ِم ْن ِف َّض ٍۃ َّو َس َق اُہْم َر ُّبُہ ْم َش َر اًبا َط ُہ ْوًرا‬

www.imsjeddah.com
06
“Aur unhay unkay sabr kay badlay jannat aur raishmi libaas ata farmaaye- ye wahan takhton par
takiye lagae huay baithengay- na wahan aftaab ki garmi dekhengay aur na jaray ki sakhti- un
jannaton kay saye unpar jhukay huay hongay- aur unkay (Maiway aur) guchchay neechay latkay
huay hongay- aur unpar chandi kay bartanon aur un jamon ka daur karaya jaega jo sheeshay
kay hongay- Sheeshay bhi chandi kay jinko (Saaqi ne) andazay se naap rakha hoga- aur unhay
wahan jo jaam pilaya jaengay jinki aamezash zanjabeel ki hogi- Jannat ki aik naher se jiska
naam salsabeel hai aur unkay ird gird wo kam ‫ سن‬bachay ghumtay phertay hongay jo hamesha
rahenay walay hain- Jab tu unhay dekhe tou samjhay keh wo bikhray huay sachay moti hain- tou
wahan jahan kahin bhi nazar daalega sarasar nematein aur Azeem ush shaan saltanat hi
dekhega- unkay chashmon par sabz bareek aur mote raishmi kapray hongay aur unhay chandi
kay kangan pehnaey jaenge aur unhay unka Rab paak saaf sharaab pilaeyga- (kaha jaega) : Ye
hai tumhaare aamaal ka badla aur tumhaari koshish ki qadr ki gae.”
[Surah Insaan:76: 12-22]

Muhatram Hazraat ! Ab tak hamne jitni aayat-e-Qur’aniya zikr ki hain un sabme


Allah Ta’aala ne apni jannat ki tareef ki hai aur Ahl-e-jannat kay ousaaf bayan
farmaaye hain- aur is baat ko wazeh kardiya hai ke usne Jannat imaan walon, naik
amal karnay walon, parhezgaaron aur uski nafarmaani se bachne walon kay liye
paida ki hai- Lihaza ham sab ko in sifaat ka haamil hona chaheye.

www.imsjeddah.com
07
JANNAT KAY AWSAAF AHADEES-E-NABAWI MEIN:
1. Jannat mein sabse pehle dakhil honay wala shakhs :

Hazrat Anas bin malik(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh: Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

‫اَل ْف َت ُح َأِلَح ٍد‬، ‫ ِبَک ِم ْر ُت‬: ‫َف َی ُق ْو ُل‬،‫ ُم َح َّم د‬: ‫َم ْن ْنَت ؟ َف َٔاُق ْو ُل‬: ‫َف َی ُق ْو ُل اْلَخ اِز ُن‬، ‫ٓاِتْی َباَب اْلَج َّنِۃ َیْوَم اْلِق َی اَم ِۃ َف َٔاْس َت ْف ِتُح‬
‫َٔا‬ ‫ُٔا‬ ‫َٔا‬
)) ‫َق ْب َلَک‬

Main qayamat kay roz jannat kay darwazay par aounga- phir main darwaza kholnay ka mutalba“
karonga tou khaazin poochega: Aap kaun hain? Main kahoonga : Main Muhammad hon- wo
kahega: mjhe ap hi ka hukm diya gaya tha ke aap se pehle kisi kay liye jannat ka darwaza na
”.kholou
]Sahih Muslim: 188[

Isi tarah Hazrat Huzaifah(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh Rasool Allah(‫ )ۃ‬ne farmaaya:

(( ‫َو َٔانَا َٔاَّو ُل َم ن ُّیْف َت ُح َلُہ َباُب اْلَج َّنِۃ‬،‫ُو ْلُد ٓاَد َم ُک ُّلُہ ْم َتْح َت ِلَواِئْی َیْوَم اْلِق َی اَم ِۃ‬

“Qayamat kay din Adam(‫ )علیۃ السالالم‬ki tamam aulaad mare jhanday talay jama’
hongi- aur main sabse pehla shakhs honga jiske liye jannat ka darwaza khola jaega.”
[Sahih Jami’a: 6995]

2. JANNAT MEIN DAKHIL HONAY WALAY PEHLAY GIROH KI


SIFFAT:
:ne farmaaya )‫(ﷺ‬se riwayat hai keh Rasool Allah )‫(رضي هللا عنه‬Hazrat Abu Hurerah
“Sabse pehla giroh jo jannat mein dakhil hoga unki shaklein chawdhvi raat kay chand ki
manind hongi- phir unkay ba’ad dakhil honay walay logon ki surtein asmaan par sabse
ziyada chamaknay walay sitaare ki tarah hongi- Unhay paishab o pakhana ki zarurat
nahi hogi aur wo balgham aur thook se paak hongay- Unki kanghiyaan sonay ki hongi
aur unkay jism se nikalnay walay paseenay ki khushboo kasturi jaisi hogi- Unkay
aagardaan oud kay hongay- unki biwiyaan moti moti ankhon waali hooren hongi- Un
sab kay akhlaaq aik jaise hongay aur wo sab kah sab apnay baap Adam(‫ )علیہ السالم‬ki
surat par hongay aur unka qad saathh(60) haath lamba hoga.”
[Sahih Bukhari: 3327; Sahih Muslim: 2834]

www.imsjeddah.com
08
3. JANNAT KAY DARWAZAY:

Hazrat Abu Hurerah(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh Rasool Allah(‫ )ۃ‬ne farmaaya :
“Jis shakhs ne Allah kay raaste mein (Har khair kay kaam mein) aik kay bajaey joday ko kharch
kiya usay jannat kay darwazon se pukara jaega: Ae Allah kay banday! Ye darwaza behetar hai-
Chunacha jo Ahl-e-Namaz main se tha usay namaz kay darwazon se pukara jaega- jo ahl-e-
jihaad mein se tha usay jihaad kay darwazay se pukara jaega- Jo Rozedaron mein se tha usay
rozon kay darwazon se pukara jaega aur jo ahl-e-sadqa mein se tha usay sadqa kay darwazay se
pukara jaega.”
Hazrat Abu Bakr Siddiq(‫ )رضي هللا عنه‬ne kaha : Ae Allah kay Rasool! Mere maa baap ap par
qurbaan hon, jis shakhs ko un tamam darwazon se pukara jaega usay to kisi cheez ki zarurat na
hogi, tou kiya koi aisa shakhs bhi hoga jisay un tamam darwaazon se pukara jaega? Aap(‫ )ۃ‬ne
farmaaya : “Haan aur mjhe umeed hai keh tum bhi unhi logon mein shamil hogay.”
[Sahih Al Bukhari: 1897]

4. JANNAT KAY DARAJAAT:

Hazrat Abu hurerah(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh: Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

‫َج اَہَد (وفی‬، ‫َک اَن َح ا َع ی الّٰلِہ ْن ُّیْد ِخ ُہ ا َج َّنَۃ‬، ‫َوَص اَم َرَم َض اَن‬، ‫َو َٔاَق اَم الَّص اَل َۃ‬، ‫َم ْن ٓاَم َن ِبالّٰلِہ َو ِبَرُس ْوِلٖہ‬
‫ْل‬ ‫َل‬ ‫َٔا‬ ‫َل‬ ‫ًّق‬
)) ‫َہاَج َر )ِف ْی َس ِبْی ِل الّٰلِہ َٔاْو َج َلَس ِف ْی َٔاْر ِض ِہ اَّلِتْی ُوِلَد ِفْی َہ ا‬:‫روایۃ‬

“Jo shakhs Allah aur uskay Rasool par imaan laya aur namaz qayem ki, Ramazan kay rozay
rakhay tou uska Allah par haq hai keh wo usay jannat mein dakhil kare, Chahay usnay Allah kah
raste mein jihaad kiya (eik riwayat mein hai chahay usne hijrat ki) ya us sar zameen par
muqeem raha jahan wo paida hua.”

Sahaba kiraam(‫ ) رضی اللہ عنہم‬: Ae Allah kay Raeool ! Tou kiya ham logon ko uski
basharat na suna den?

‫َف ِإَذ ا‬، ‫َم ا َبْی َن الَّد َرَج َت ْی ِن َک َم ا َبْی َن الَّس َم اِئ َواأْل ْر ِض‬، ‫َٔاَع َّد َہا الّٰلُہ ِلْلُم َج اِہِد ْیَن ِف ْی َس ِبْی ِل الّٰلِہ‬،‫(( ِإَّن ِف ْی اْلَج َّنِۃ ِم اَئَۃ َد َرَج ٍۃ‬
‫ َو ِم ْنُہ َتَف َّج ُر‬، ‫ َو َف ْو َق ُہ َع ْر ُش الَّرْح ٰم ِن‬: ‫َس َٔاْلُت ُم الّٰلَہ َف اْس َٔاُلْو ُہ اْلِفْر َد ْوَس َف ِإَّنُہ َٔاْوَس ُط اْلَج َّنِۃ َو َٔاْع َلی اْلَج َّنِۃ ۔ ُٔاَراُہ َق اَل‬
)) ‫َٔاْنَہ اُر اْلَج َّنِۃ‬

www.imsjeddah.com
09
“ Jannat main aik saou darjay hain jinhay Allah Ta’aala ne uskay raste mein jihaad karnay walon
kay liye tayar kiya hai- aur har do darjon kay darmiyaan itna fasla hai jitna asmaan aur zameen
kay darmiyaan hai- Lihaza jab tum Allah se suwaal karo tou ussay firdous e aala ka karo kyun
kay wo jannat ka sabse upar wala darja hai- uskay upar Allah ka arsh hai aur usi se jannat ki
naherein phootti hain.”
[Sahih Al Bukhari: 2790]

5. JANNAT WALAY HAMESHA JAAWAN RAHENGAY:

Hazrat Maaz bin jabal(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh: Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya :

)) ‫ِثْی َن ْو ٍث َو ِثْی َن َس ًۃ‬


‫َن‬ ‫َثاَل‬ ‫َثاَل‬ ‫َٔا‬ ‫َثاَل‬ ‫َئ‬ ‫ ْب ا‬، ‫(( َیْد ُخ ُل َٔا ْہ ُل ا ْل َج َّن ِۃ ا ْل َج َّن َۃ ُج ْر ًد ا ُم ْر ًد ا ُم َک َّح ِلْی َن‬
‫َن‬ ‫َٔا‬

“Jannat walay jannat mein is halat mein dakhil hongay ke unkay jismoun par baal nahi hongay,
Bay raish hongay, surmagin ankhon walay hongay aur unki umr 30 ya 33 saal hogi.”

[Tirmidhi: 2545]

Isi tarah Hazrat Abu Hurerah(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh: Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

)) ‫ َو َیْف نٰی َش َباُبُہ‬، ‫ َتْب ٰلی ِثَیاُبُہ‬، ‫(( َم ْن َّیْد ُخ ُل اْلَج َّنَۃ َیْنَع ُم َو اَل َیْب َٔاُس‬
‫اَل‬ ‫اَل‬

“Jo shakhs jannat mein dakhil hoga wo khush haal rahega aur kabhi koi dukh nahi dekhega-
uska libaas kabhi purana nahi hoga aur uski jawaani kabhi khatam nahi hogi.”

[Sahih Muslim: 2836]

6. AHL-E-JANNAT KI BIWIYAAN:

Jannat mein Allah Ta’aala Jannatiyon ko paakiza biwiyaan ata karega- Wo kaun hongi aur unkay
ousaaf kiya hongay? Allah Ta’aala farmaata hai:

‫َٔا‬ ‫ِّذ‬ ‫َٔا‬ ‫َف‬


﴾ ‫ َک ُہ َّن ا َیا ْو ُت َوا َم ْر َج اُن‬. ‫ ِب ِّی ٓاَالِئ َر ِّبُک َم ا ُتَک َباِن‬. ‫ِفْی ِہ َّن ٰق ِص َراُت الَّط ْرِف َلْم َیْط ِم ْث ُہ َّن ِإْنٌس َق ْب َلُہ ْم َو َال َج اٌّن‬
‫ْل‬ ‫ُق‬ ‫ْل‬ ‫َّن‬

“Wahan neechi nigaah waali (Sharmili) hooren hongi jinhain unse pehle kisi insaan aur jinn ne
haath tak nahi lagaya hoga- Pas tum apnay Rab ki kis kis nemat ko jhutlaou gay? Wo hooren aisi
hongi jaise Heeray aur marjaan.”
[Surah Rahemaan:55: 56-58]

www.imsjeddah.com
10
Aur Rasool Allah(‫ )ﷺ‬unkay Husn o jamaal ko bayan karte huey farmaatay hain:

(( ‫ُیٰر ی ُم ُّخ ُس ْو ِق ِہ َّن ِم ْن َّوَراِئ اْلَع ْظ ِم َوالَّلْح ِم‬، ‫))ِلُک ِّل اْم ِرٍئ َز ْوَج َت اِن ِم َن اْلُح ْو ِر اْلِع ْی ِن‬

“Har admi ki ‘moti moti ankhon waali hooron mein se do biwiyaan hongi- unki pindliyon ka
gosht aur haddi kay bahar se nazar aaraha hoga.”

[Sahih Al Bukhari: 3254]

Aur Hazrat Anas(‫ )رضي هللا عنه‬bayan karte hain keh: Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

‫َو َلَق اَب َق ْو ِس َٔاَح ِد ُک ْم ِم َن اْلَج َّن ِۃ َٔاْو َم ْو ِض ُع َق ْیٍد ۔ َیْع ِنْی َس ْو َط ُہ ۔‬،‫(( َلَر ْوَح ٌۃ ِف ْی َس ِبْی ِل الّٰلِہ َٔاْو َغ ْد َو ٌۃ َخ ْیٌر ِم َن الُّد ْنَیا َوَم ا ِفْی َہ ا‬
‫ َو َلَن ِص ْی ُف َہ ا‬، ‫َو َلْو َٔاَّن اْم َر َٔاًۃ ِم ْن َٔاْہِل اْلَج َّنِۃ ِاَّط َلَع ْت ِإٰلی َٔاْہِل اأْل ْر ِض أَل َض اَئ ْت َم ا َبْی َن ُہ َم ا َو َلَم أَل ْتُہ ِر ْیًح ا‬،‫َخ ْیٌر ْم َن الُّد ْنَیا َوَم ا ِفْی َہ ا‬
))‫َع ٰلی َر ْٔاِس َہ ا َخ ْیٌر ِم َن الُّد ْنَیا َوَم ا ِفْی َہ ا‬

“Allah kay raste mein aik martaba sham kay waqt ya subha kay waqt nikalna duniya aur usme
jo kuch hai sabse behtar hai- aur jannat ka aik kamaan kay barabar (ya aik haat kay baraber)
ya aik koday kay baraber hissa poori duniya aur usme jo kuch hai sabse behtar hai- aur agar
Ahl-e-Jannat ki aik aurat ahl-e-zameen par jhank lay tou wo zameen o asmaan kay darmiyaan
poore khala ko roshni aur khushboo se bharday- aur uskay sar ka dupatta poori duniya aur
ِ
usme jo kuch hai sabse behtar hai.”

[Sahih Al Bukhari: 2796]

Jab keh Anas(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh: Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

)) ‫ ُیْع طٰی ُق َّو َۃ ِم َئٍۃ‬: ‫َیا َرُس ْو َل الّٰلِہ !َٔاَو ُیِط ْی ُق ٰذ ِلَک ؟َق اَل‬: ‫ِقْی َل‬، ‫( ُیْع َط ی اْلُم ْٔو ِم ُن ِف ْی اْلَج َّنِۃ ُق َّو َۃ َک َذ ا َو َک َذ ا ِم َن اْلِج َم اِع‬

“Jannat mein momin ko bohat ziyada quwwat e jima di jaegi- kisi ne poocha keh Ae Allah Kay
Rasool! Kiya wo iski taaqat rakhega? Aap(‫ )ﷺ‬ne farmaaya: Usay aik saou (100) afraad ki taqat
di jaegi.

[Sahih Jamia: 8106]


7. AHL-E-JANNAT KA KHAANA PEENA:


Hazrat Jabir(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

: ‫ َم ا َبا ال َع اِم ؟ ا‬: ‫َو اَل َیُبْو ُلْوَن َو َیَت َّو ْوَن َو َیْم َت ِخ ْوَن ) ا ْوا‬، ‫َو اَل َیْت ُفُلْوَن‬، ‫ِإَّن َٔاْہَل اْلَج َّنِۃ َیْٔاُک ُلْوَن ِفْی َہ ا َوَیْش َر ُبْوَن‬
‫َل‬ ‫َق‬ ‫َّط‬ ‫ُل‬ ‫َف‬ ‫ُل‬ ‫َق‬ ‫ُط‬ ‫اَل‬ ‫ُط‬ ‫َغ‬ ‫اَل‬
)) ‫ ُیْلَہ ُم ْوَن الَّت ْس ِبْیَح َوالَّت ْح ِم ْی َد َک َم ا ُتْلَہ ُم ْوَن الَّن َف َس‬، ‫(ُج َش اٌئ َوَر ْش ٌح َک َر ْش ِح اْلِم ْس ِک‬

www.imsjeddah.com
11
“Beshak Ahl-e-Jannat jannat mein khaengay piyengay aur na thukengay aur na bol o baraaz
karengay- aur balgham se paak hongay- Sahaba kiraam(‫ ) رضی الۃ لعۃنم‬ne kaha: Unka khaana
kahan jaega ? Aap(‫ )ۃ‬ne farmaaya, Unka khaana mahez aik dakaar hoga aur paseena hoga jissay
kastoori ki khushboo aegi- Unhay Tasbeeh wa tahmeed ka ilhaam kiya jaega jaisa keh tumhen
saans ka ilhaam kiya jaata hai.”
[Sahih Muslim: 2835]

8. JANNAT KAY BARTAN:

Hazrat Abu Moosa Ashaari(‫ )رضي هللا عنه‬bayan karte hain keh : Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

‫َوَم ا َبْی َن اْلَق ْو ِم َوَبْی َن ْن َیْن ُرْوا ِإٰلی َر ِّبِہ ْم ِإ ِر َد اُئ‬،‫َوَج َّنَت اِن ِم ْن َذ َہٍب ٓاِنَی ُت ُہ َم ا َوَم ا ِفْی ِہ َم ا‬،‫(( َج َّنَت اِن ِم ْن ِف َّض ٍۃ ٓاِنَی ُت ُہ َم ا َوَم ا ِفْی ِہ َم ا‬
‫اَّل‬ ‫ُظ‬ ‫َٔا‬
)) ‫اْلِکْب ِر َع ٰلی َوْج ِہ ٖہ ِف ْی َج َّن ِۃ َع ْد ٍن‬

“Do baagh aise hongay jinme bartan aur digar cheez chandi ki hogi- aur do bagh aise hongay
jinme bartan aur digar cheez sonay ki hogi aur hamesha rehne waali jannat mein jannatiyon
aur deedar-e-Bari Ta’aala kay darmiyaan mehez kibraee ki aik chaadar hayil hogi jo Allah
Ta’aala kay chehray par hogi.”
[Sahih Al Bukhari: 4878; 7444]

9. JANNAT KAY BALA KHAANAY:

Jannat mein a’alishaan bala khaanay hongay- wo kaise hongay aur kin logon kay liye hongay?
Allah Ta’aala ka farmaan hai:

))﴾ ‫َلِک ِن اَّلِذ ْیَن اَّتَق ْوا َر َّبُہ ْم َلُہ ْم ُغ َر ٌف ِّم ن َف ْو ِق َہ ا ُغ َر ٌف َّم ْبِنَّی ٌۃ َتْج ِر ْی ِم ن َتْح ِتَہ ا أَاْلْنَہ اُر َو ْع َد الّٰلِه اَل ُیْخ ِلُف الّٰلُه اْلِم ْی َع اَد‬

“Haan wo log jo apnay Rab se darte the unke liye bala khaanay hain aur unkay neechay nehrein
beh rahi hain- yeh Allah Ta’aala ka wada hai aur wo wada khilaafi nahi karta.”
[Surah Zumar: 39: 20]

7. AHL-E-JANNAT KA KHAANA PEENA:


Hazrat Abu Moosa Ashaari(‫ )رضي هللا عنه‬bayan karte hain keh : Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

www.imsjeddah.com
12
‫َوَم ا َبْی َن اْلَق ْو ِم َوَبْی َن َٔاْن َیْنُظ ُرْوا ِإٰلی َر ِّبِہ ْم ِإاَّل ِر َد اُئ‬،‫َوَج َّنَت اِن ِم ْن َذ َہٍب ٓاِنَی ُت ُہ َم ا َوَم ا ِفْی ِہ َم ا‬،‫(( َج َّنَت اِن ِم ْن ِف َّض ٍۃ ٓاِنَی ُت ُہ َم ا َوَم ا ِفْی ِہ َم ا‬
)) ‫اْلِکْب ِر َع ٰلی َوْج ِہ ٖہ ِف ْی َج َّن ِۃ َع ْد ٍن‬

“Do bagh aise hongay jinme bartan aur digar cheez chandi ki hogi- aur do bagh aise hongay
jinme bartan aur digar cheez sonay ki hogi aur hamesha rahene waali jannat mein jannatiyon
aur didar-e-Bari Ta’aala kay darmiyaan mahez kibraee ki aik chadar hayil hogi jo Allah Ta’aala
kay chehray par hogi.”

[Sahih Al Bukhari: 4878; 7444]

9. JANNAT KAY BALA KHAANAY:

Jannat mein a’alishaan bala khaanay hongay- wo kaise hongay aur kin logon kay liye hongay?
Allah Ta’aala ka farmaan hai:

))﴾ ‫َلِک ِن اَّلِذ ْیَن اَّتَق ْوا َر َّبُہ ْم َلُہ ْم ُغ َر ٌف ِّم ن َف ْو ِق َہ ا ُغ َر ٌف َّم ْبِنَّی ٌۃ َتْج ِر ْی ِم ن َتْح ِتَہ ا أَاْلْنَہ اُر َو ْع َد الّٰلِه اَل ُیْخ ِلُف الّٰلُه اْلِم ْی َع اَد‬

“Haan wo log jo apnay Rab se darte the unke liye bala khaanay hain aur unkay neechay
naherein bahe rahi hain- yeh Allah Ta’aala ka wada hai aur wo wada khilaafi nahi karta.”

[Surah Zumar: 39: 20]

Isi tarah Hazrat Abu saeed Al khudri(‫ )رضي هللا عنه‬bayan karte hain keh Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne
farmaaya:

“Beshak Ahl-e-Jannat apnay upar bala khaanay walon ko yun dekhengay jaisa keh tum
mashrik ya maghrib kay afaq par chamaktay aur ghuroob hotay huay sitaare ko dekhte ho- ye
isliye hoga keh unkay darjaat mein tafaazul hoga-

Sahaba kiraam(‫ ) رضی اللہ عنہم‬ne kaha: Ae Allah kay Rasool! Wo yaqeenan ambiya kay ghar
hongay jahan koi aur nahi pohanch sakega? Aap(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

(( ‫ِر َج اٌل ٓاَم ُن ْوا ِبالّٰلِہ َوَص َّد ُق ْوا اْلُم ْرَس ِلْی َن‬، ‫)) َبٰلی َواَّلِذ ْی َنْف ِس ْی ِبَیِد ٖہ‬

“”Kyun nahi, us zaat ki qasam jiskay haath mein meri jaan hai! Wo ghar unlogon kay hongay jo
Allah par imaan laey aur Rasoolon ki tasdeeq ki.”

[Sahih Al Bukhari: 3256]


www.imsjeddah.com
13
Aur Hazrat Abu malik Al Ashari(‫ )رضي هللا عنه‬bayan karte hai keh: Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

‫َو َتاَبَع‬، ‫َو َٔااَل َن اْلَک اَل َم‬، ‫ َٔاَع َّد َہا الّٰلُہ َتَع اٰلی ِلَم ْن َٔاْط َع َم الَّط َع اَم‬،‫َوَباِط ُن َہ ا ِم ْن َظ اِہِر َہا‬،‫ِإَّن ِف ْی اْلَج َّنِۃ ُغ َر ًف ا ُیٰر ی َظ اِہُر َہا ِم ْن َباِط ِنَہ ا‬
)) ‫َوَص ّٰلی ِبالَّلْی ِل َوالَّن اُس ِنَی اٌم‬، ‫الِّص َی اَم‬

“Beshak Jannat mein aise bala khaanay hain jinka baironi manzar andar se aur androni manzar
bahar se dekha jasakta hai- Unhay Allah Ta’aala ne us shakhs kay liye tayyar kiya hai jo khaana
khilatay hon, Baat narmi se karta hon, musalsil rozay rakhta hon, aur raat ko us waqt namaz
parhta ho jab log soey huay hotay hain.”

[Sahih Jamia: 2123]

10. JANNAT KAY KHAIMAY:

Hazrat Abu Moosa Ashaari(‫ )رضي هللا عنه‬bayan karte hain keh, Rasool Allah (‫ )ﷺ‬farmaaye:

‫َف َال‬، ‫َیُط ْو ُف َع َلْی ُم اْلُم ْٔو ِم ُن‬، ‫ ِلْلُم ْٔو ِم ِن ِفْی َہ ا َٔاْہُلْوَن‬، ‫ُط ْو ُلَہ ا ِس ُّت ْوَن ِم ْی اًل‬،‫(( ِإَّن ِلْلُم ْٔو ِم ِن ِف ْی اْلَج َّنِۃ َلَخ ْی َم ًۃ ِم ْن ُلْٔوُلَٔو ٍۃ َواِح َد ٍۃ ُم َج َّو َف ٍۃ‬
‫ِہ‬
))‫َیٰر ی َبْع ُض ُہ ْم َبْع ًض ا‬

“Beshak Momin kay liye Jannat mein aik khaima hoga jo ander se tarashay huay aik moti se
bana hoga, uski lambai saath(60) mile hogi, Usme momin ki biwiyaan hongi- wo unkay paas
baari baari jaega- aur wo aik dusray ko nahi dekh sakengay.”

[Sahih Mulsim: 2838]

11. JANNAT KAY DARAKHT:

Hazrat Abu Saeed Al Khudri(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh, Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

)) ‫(( َم ا ِف ْی اْلَج َّن ِۃ َش َج َر ٌۃ ِإاَّل َوَس اُق َہ ا ِم ْن َذ َہٍب‬


“Jannat mein har darakht ka tanaa sonay ka hoga.”

[Tirmidhi: 2525]

Muhatram Hazraat! Aap bhi agar chahay tou jannat mein apne liye ziyada se ziyada darakht aur
pouday laga sakte hain- iska tareeqa kiya hai?

Lijie aik hadees sama’at farmaaye-


Hazrat Abdullah Bin Masood(‫ )رضي هللا عنه‬bayan karte hain keh, Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne irshad
farmaaya:

www.imsjeddah.com
14
‫َو َٔاَّنَہ ا‬، ‫َع ْذ َبُۃ اْلَم اِئ‬،‫َو َٔاْخ ِبْر ُہْم َٔاَّن اْلَج َّن َۃ َط ِّیَب ُۃ الُّت ْر َبِۃ‬، ‫َیا ُم َح َّم ُد ! َٔاْق ِر ْئ ُٔاَّم َتَک ِم ِّن ْی الَّس اَل َم‬: ‫َف َق اَل‬، ‫(( َلِقْی ُت ِإْبَراِہْی َم َلْی َلَۃ ُٔاْس ِر َی ِبْی‬
)) ‫ َوالّٰلُہ َٔاْک َبُر‬، ‫َو اَل ِإٰلَہ ِإاَّل الّٰلُہ‬، ‫َواْلَح ْم ُد ِلّٰلِہ‬، ‫ ُس ْب َح اَن الّٰلِہ‬:‫ِغ َراُس َہ ا‬، ‫َق ْی َع اٌن‬

“Main meraj ki raat Hazrat Ibrahim(‫ )علیہ السالم‬se mila tou unho ne kaha: Ae Muhammad(‫)ﷺ‬
apni ummat ko meri taraf se Salam kehna aur unhay batana ke jannat ki mithi bohat achi hai,
uska pani meetha hai aur wo aik khaali maidaan ki shakal mein hai- aur

) ‫ َوالّٰلُہ َٔاْک َبُر‬، ‫ َو اَل ِإٰلَہ ِإاَّل الّٰلُہ‬، ‫ َواْلَح ْم ُد ِلّٰلِہ‬، ‫(ُس ْب َح اَن الّٰلِہ‬

Kay Zikar ke saath isme shajar kaari ki jasakti hai.”

Isi tarah Hazrat Jabir(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hain k Rasool Akram(‫ )ﷺ‬ne irshad farmaaya:

(( ‫ُغ ِر َس ْت َلُہ ِبَہ ا َنْخ َلٌۃ ِف ْی اْلَج َّن ِۃ‬، ‫ُس ْب َح اَن الّٰلِہ اْلَع ِظ ْی ِم َو ِبَح ْم ِد ٖہ‬: ‫))َم ْن َق اَل‬

Jo shakhs ( ‫ )ُس ْب َحاَن الّٰلِہ اْلَع ِظ ْی ِم َو ِبَحْم ِدٖہ‬kahe uske liye Jannat mein khajoor ka aik darakht lagaya
jaata hai.”

[Sahih Jamia Albani: 6429]


12. JANNAT KA BAZAAR:


Hazrat Anas bin malik( ‫ )رضی اللہ عنہ‬se riwayat hain keh, Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:
‫َف َی ْز َد اُد ْوَن ُح ْس ًن ا‬، ‫ َف َت ُہ ُّب ِر ْیُح الِّش َم اِل َف َت ْح ُث ْو ِف ْی ُوُج ْو ِہِہ ْم َو ِثَیاِبِہ ْم‬، ‫(( ِإَّن ِف ْی اْلَج َّن ِۃ َلُس ْو ًق ا َیْٔاُتْو َنَہ ا ُک َّل ُج ُم َع ٍۃ‬
‫َوالّٰلِہ َلَق ِد اْز َدْد ُّتْم َبْع َد َنا ُح ْس ًن ا‬: ‫َف َی ُق ْو ُل َلُہ ْم َٔاْہُلْو ُہْم‬، ‫َف َیْر ِج ُع ْوَن ِإٰلی َٔاْہِلْی ِہ ْم َو َق ِد اْز َد اُد ْوا ُح ْس ًن ا َوَج َم ااًل‬، ‫َوَج َم ااًل‬
)) ‫ َو َٔاْنُت ْم َوالّٰلِہ َلَق ِد اْز َدْد ُّتْم َبْع َد َنا ُح ْس ًن ا َّوَج َم ااًل‬: ‫َف َی ُق ْو ُلْوَن‬، ‫َّوَج َم ااًل‬

“Jannat mein aik bazar hoga jahan wo (yani Ahl-e-Jannat) har haftay aengay- Shimaal ki janib se
aik hawa chalegi jo unke kapron aur chehron par mitti dalegi- (yaad rahe ke jannat ki mitti
kasturi hogi) Issay unke husn-o-jamal me aur izaafa hojaega-
Wo apni biwiyon kay paas laoutengay jabke unke husn wa jamal mein izaafa hochuka hoga
tou wo unse kehengay: Husn-o-jameel hogae hai: to wo kahengay: Aur tum bhi Allah ki qasam!
Hamare janay kay ba’ad aur khubsurat hogae ho.

[Sahih Muslim : 2833]

13. JANNAT KAY MAHALLAAT:

Hazrat Jabir bin Abdullah(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh, Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

www.imsjeddah.com
15
“Main jannat mein dakhil hua tou main ne sonay ka aik mahel dekha- main ne poocha: ye
kiska hai? Unho ne kaha: ye quresh kay aik shakhs ka hai- tou main ne guman kiya ke shayed
wo main hon isliye main ne poocha : wo kaun hai? Unho ne kaha: Umar bin khattab(‫رضي هللا‬
‫ )عنه‬- Ae Ibn khattab! Mjhe isme dakhil hone se koi cheez mana’a nahi thi sivae iske kay main
tumhaari ghairat ko janta tha- Hazrat Umar(‫ )رضي هللا عنه‬ne kaha: Ae Allan kay Rasool ! Kiya
main ap par ghairat karonga?”

[Sahih Bukhari: 5226]

14. JANNAT KI NEHREIN:

Hazrat Anas bin malik(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh, Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:
“Main jannat mein dakhil hua main ne aik neher dekhi jiskay dono kinaaron par motiyoun kay
khaimay lagay hote hai- main ne apnay dono haath isme chaltay huay pani kay ander maare tou
mjhe kasturi ki bohat achi khushboo mehsoos hui- Main ne poocha : Ae jibraeel ! Ye kiya hai?
Tou unho ne kaha: ye wo kausar hai jo Allah Ta’aala ne apko a’ta ki hai.”
[Sahih Al Bukhari: 6581]

15. JANNAT MEIN SABSE BADA IKRAAM….ALLAH TA’AALA KA


DIDAAR:

Hazrat Suhaib bin sinaan(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh, Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:
“Jab jannat walay jannat mein aur jahannum walay jahannum mein chale jaengay tou aelaan
karne wala aelaan karega: Ae Ahl e jannat! beshak Allah Ta’aala ne tum se aik wada kiya tha
jisay wo ab poora karna chahta hai- wo kahengay: wo kiya hai? Kiya Allah Ta’aala ne hamare
tarazoo bhaari nahi kiye? Aur kiya usne hamain jannat mein dakhil nahi kardiya? Aur kiya usne
hamain jahannum se nijaat nahi di? (Yani in nematon kay ba’ad ab aur kaunsa wada baaqi
rahegaya hai?) phir achanak parda hataya jaega - Chunacha wo Allah Ta’aala ki taraf
dekhengay- Allah ki qasam! Allah Ta’aala ne unhay koi aisi cheez nahi di hogi jo unhay uske
deedaar se ziyada mehboob hogi aur jisay unki ankhon ko ziyada thandak naseeb hogi.” (Yani
jannat mein deedaar-e-ilaahi unhay jannat ki digar tamam nematon ki nisbat ziyada mehboob
hoga aur usay unki ankhon ko sabse ziyada thandak naseeb hogi.)

[Sahih Jamia’: 521]

www.imsjeddah.com
16
16. SABSE OUNCHAY DARJAY WALA AUR SABSE NICHLAY DARJAY
WALA JANNATI:

Hazrat Mugherah bin shouba (‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:
“Hazrat Moosa(‫ )علیہ السالم‬ne Allah Ta’aala se suwaal kiya keh jannat mein sabse nichlay darjay
wala jannati kaisa hoga? Tou Allah Ta’aala ne jawab diya : wo wo admi hoga jo jannat walon kay
jannat mein chale jaane kay ba’ad aega- Issay kaha jaega: Jannat mein dakhil hojaou- wo
kahega: Ae mere Rab! Main kaise jaou jabke tamam logon ne apne apne ghar sambhal liye hain
aur sab ne apna apna inaam wasool karliya hai! Usay kaha jaega : Kiya tujhe ye pasand hai keh
duniya kay badshahon mein se aik badshah ki poori mumalikat jaisi mumalikat tujhe ata kardi
jae? Wo kahega: Ae Rab! Main Razi hon- Allah Ta’aala kahega: main ne tujhe uski mumalikat
jaisi aik mumalikat us jaisi aik aur us jaisi aik aur us jaisi aik aur us jaisi aik mumalikat a’ta
kardi hai- wo kahega: Ae mere Rab! Main razi hon- phir Allah kahega:

(( ‫ َو َلَّذ ْت َع ْی ُنَک‬، ‫ َو َلَک َم ا اْش َت َہ ْت َنْف ُس َک‬، ‫))ٰہَذ ا َلَک َو َع ْش َر ُۃ َٔاْم َث اِلٖہ‬

“Yeh bhi tere liye hai aur main tujhe us jaisi das(10) mumalikaten aur a’ta karta hon- aur tere
liye har wo cheez hai jiski tu tamanna karega aur jissay teri ankhon ko lazzat milegi.”
Wo kahega: Ae mere Rab! Main razi hogaya hon-

Hazrat Moosa(‫ )علیہ السالم‬ne kaha: Ae mere Rab! (Ye tou hua nichlay darje wala jannati) tou
jannat mein sabse ounchay darjay walay jannati kaise hongay? Allah Ta’aala ne kaha :

) ‫َو َلْم َیْخ ُط ْر َع ٰلی َقْلِب َبَش ٍر‬، ‫َو َلْم َتْس َم ْع ُٔاُذ ٌن‬، ‫ َف َلْم َتَر َع ْی ٌن‬، ‫ُٔاوٰلِئَک اَّلِذ ْیَن َٔاَر ْدُّت َغ َرْس ُت َک َر اَم َت ُہ ْم ِبَیِد ْی َو َخ َت ْم ُت َع َلْی َہ ا‬

“Yeh wolog hain jinhain main ne chunn liya hai aur main ne unki izzat apne haath se ghaarh di
hai aur uspar muhr lagadi hai (yani ab isme koi tabdeeli nahi hosakti) aur unke liye wo kuch
tayyar kiya hai jisay na kisi ankh ne dekha hai, na uske baare mein kisi kaan ne kuch suna hai
aur na hi kisi insaan kay dil mein uska tasawwur aasakta hai.”

[Sahih Muslim: 189]

17. UNCHAAS LAKH AFRAAD AUR UNKAY ALAWAH MAZEED


BETAHASHA LOG BAGHAIR HISAB KAY JANNAT MEIN DAKHIL
HONGAY:

Hazrat Ibn Abbas(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh, Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

www.imsjeddah.com
17
“Mjhpar (Sabiqa) ummatien paish ki gaen- Chunacha main ne aik nabi ko dekha keh uskay
sath mahez chand afraad (Das se kam) hain- Aik Nabi kay sath sirf aik do admi hain- aur aik
Nabi kay sath koi bhi nahi hai- phir achanak mjhe aik bohat bari jama’at dikhlae gae- Main ne
gumaan kiya keh shayed yehi meri ummat hai- tou mjhe batlaya gaya keh ye Moosa(‫)علیہ السالم‬
aur unki qaum hai- Aap zara us afaq ki janib dekhay- Main ne dekha tou aik Suwaad-e-azeem
(logon ka bohat badaa giroh) nazar aaya- phir mjhe kaha gaya keh phir ab aap dusri afaq ki
janib dekhen- main ne dekha tou aik aur suwaad-e-azeem nazar aaya- Mjhe bataya gaya keh yeh
Apki Ummat hai aur unke 70,000 afraad aise hain jo baghair hisab-o-kitaab keh jannat mein
dakhil hongay.”

Phir Aap(‫ )ﷺ‬khade huey aur apnay ghar mein chalay gae- tou log (Sahaba kiraam(‫رضی اللہ عنہم‬
) un 70,000 afraad kay muta’liq ghaur wa khous karne lagay jo baghair hisab wa kitab kay
jannat mein dakhil hongay- Chunacha unme se kuch logon ne kaha keh Shayed wo Aap(‫ )ﷺ‬kay
sahaba hongay- Kuch logon ne kaha keh nahi, unse muraad wo log hain jinki wiladat islam ki
halat mein hui aur unho ne kabhi shirk nahi kiya - kuch logon ne kuch aur aaraa bhi zahur
kiye- Achanak Rasool Allah(‫ )ﷺ‬tashreef le ae- Aap(‫ )ﷺ‬ne poocha: tum kis cheez kay baare
mein ghaur kar rahe ho? Tou logon ne apko bataya keh wo ye soch rahe the keh wo sattar
hazaar 70,000 afraad kaun hongay jo baghair hisab-o-kitab keh jannat mein dakhil hongay?
Aap(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

‫ َو َثاَل ُث َح َث َیاٍت‬، ‫َم َع ُک ِّل ْلٍف َس ْب ُع ْوَن ْلًف ا‬، ‫(( َو َع َد ِنْی َر ِّبْی ْن ُیْد ِخ َل اْلَج َّنَۃ ِم ْن َّم ِتْی َس ْبِع ْی َن ْلًف ا َال ِح َس اَب َع َلْی ِہ ْم َو اَل َع َذ اَب‬
‫َٔا‬ ‫َٔا‬ ‫َٔا‬ ‫ُٔا‬ ‫َٔا‬
)) ‫ِم ْن َح َث َیاِت َر ِّبْی‬

“Yeh wo log hongay jo na dam karte the aur na dam karatay the- aur na wo bad shagooni letay
the- aur wo sirf apne Rab Ta’aala par hi tawakkul karte the.”

Yeh sunkar A’kasha bin mahsan(‫ )رضي هللا عنه‬khade huey aur kaha: Aap Allah se dua kare keh
wo mjhe bhi unme shamil karden- Tou Aap(‫ )ﷺ‬ne farmaaya: Tum unhi mein se ho- Phir aik aur
admi khada hua aur kehne laga: mere liye bhi dua karen keh wo mjhe bhi unme shamil karday-
Tou Aap(‫ )ﷺ‬ne farmaaya: A’kasha(‫ )رضي هللا عنه‬tum se sabqat legae hain.”

[Sahih Al Bukhari: 3410; 5705; 5752]

Aik riwayat mein hai jiske Rawi Hazrat Imraan bin Hussain(‫ )رضي هللا عنه‬hain keh: Aap(‫ )ﷺ‬ne
un sattar hazar 70,000 afraad ki siffat yu bayan farmaaee:

(( ‫ َو َع ٰلی َر ِّبِہ ْم َیَت َو َّک ُلْوَن‬، ‫ َو اَل َیْک َت ُوْوَن‬، ‫َو اَل َیَت َط َّیُر ْوَن‬، ‫))ُہُم اَّلِذ ْیَن اَل َیْس َت ْر ُق ْوَن‬

“Wo dam nahi karwatay, shagun nahi letay, aag se apna jism nahi daaghtay aur sirf apnay Rab
Ta’aala par hi tawakkul karte hain.”

[Sahih Muslim: 218]

www.imsjeddah.com
18
Jabke Hazrat Abu Amamah(‫ )رضي هللا عنه‬ka bayan hai keh: Unho ne Rasool Allah(‫ )ﷺ‬se suna:

‫ َو َثاَل ُث َح َث َیاٍت‬، ‫َم َع ُک ِّل ْلٍف َس ْب ُع ْوَن ْلًف ا‬، ‫(( َو َع َد ِنْی َر ِّبْی ْن ُیْد ِخ َل اْلَج َّنَۃ ِم ْن َّم ِتْی َس ْبِع ْی َن ْلًف ا َال ِح َس اَب َع َلْی ِہ ْم َو اَل َع َذ اَب‬
‫َٔا‬ ‫َٔا‬ ‫َٔا‬ ‫ُٔا‬ ‫َٔا‬
) ‫ِم ْن َح َث َیاِت َر ِّبْی‬

“Mere Rab ne mjhse wada farmaaya hai keh wo meri Ummat se sattar hazar (70,000) afraad ko
jannat mein dakhil karega jinpar na hisab hoga aur na azaab- Har hazar kay sath sattar hazar
afraad aur hongay aur uske alawah teen chullou mere Rab ki chulloun mein se.”

[5556: ‫]احمد والترمذی وابن ماجہ ۔ وصححہ األلبانی فی تخریج المشکاۃ‬

18. ADHAY AHL-E-JANNAT IS UMMAT MEIN SE HONGAY:

Hazrat Abdullah(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh: Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

(( ‫)) َٔاَم ا َتْر َض ْوَن َٔاْن َتُک ْو ُنْوا ُر ْبَع َٔاْہِل اْلَج َّن ِۃ ؟‬

“Kiya tumhen ye baat pasand nahi hai keh tum ahl-e-jannat ka choutha hissa hongay?

Hazrat Abdullah(‫ )رضي هللا عنه‬kehte hain: hamne (Khushi kay maare) Allahu Akbar kaha- Phir
Aap(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

(( ‫))َٔاَم ا َتْر َض ْوَن َٔاْن َتُک ْو ُنْوا ُثُلَث َٔاْہِل اْلَج َّن ِۃ ؟‬
“Kiya tumhen yeh baat pasand nahi hai keh tum Ahl-e-Jannat ka teesra hessa hongay?”

Hazrat Abdullah(‫ )رضي هللا عنه‬kehte hain: Hamne (khushi kay maare) phir Allahu akbar kaha-
Iske Ba’ad Aap(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

((‫)) ِإِّنْی أَل ْرُج ْو َٔاْن َتُک ْو ُنْوا َش ْط َر َٔاْہِل اْلَج َّن ِۃ‬

“Main Allah Ta’aala se ummeed karta hon keh tum ahl-e-jannat ka adha hissa hongay.”

Main tumhen Anqareeb iske baare mein khabar donga, musalmaan kafiron kay muqablay mein
aise hongay jaise aik siya rang kay baiyl par aik safed rang ka baal ho- ya(Aap ne farmaaya:)
jaise safed rang ke baiyl par aik siya rang ka baal ho.”

[Sahih Al Bukhari: 6528]

www.imsjeddah.com
19
19. JANNAT MEIN DAKHIL HONAY WALA SABSE AAKHRI SHAKHS:

Hazrat Abdullah bin masood(‫ )رضي هللا عنه‬se riwayat hai keh Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

“Jannat mein dakhil honay wala sabse akhri shakhs wo hoga jo is halat mein aega keh kabhi
chalay ga aur kabhi gir padega- kabhi aag usay thapar maregi aur jab wo usay (aag ko) uboor
karjaega tou peechay mudkar dekhega aur kahega: baa barkat hai wo zaat jisne mjhe tujhse
najat dedi hai-
Yaqeenan Allah ne mjhe wo cheez ata kardi hai jo usne pehlou aur pichlon mein se kisi ko
ata nahi ki- phir aik darakht uske samne buland kiya jaega tou wo kahega: Ae mere Rab! Mjhe is
darakht kay qareeb karde taake mein iske saye mein chala jaou aur iskay (qareeb bahetay huay)
pani se piyaas bujha sakon.
Allah Ta’aala kahega: Ae Ibn adam! Agar main ye tera sawal poora kardo tou shayed tu phir
koi aur sawal bhi karega? Wo kahega: Nahi Ae mere Rab- phir wo Allah Ta’aala se wada karega
keh wo koi aur sawal nahi karega- Allah Ta’aala bhi usay mazoor samjhega kyun keh wo aik aisi
cheez ko dekh raha hoga jisay sabr karna uske bas mein nahi hoga-

Chunacha Allah Ta’aala usay us darakht kay qareeb kardega- tou wo uske saye mein chala
jaega aur uske pani se piyaas bujhaega- phir aik aur darakht uske samne buland kiya jaega jo
pehle darakht se ziyada acha hoga- wo kahega: Ae mere Rab! Mjhe is darakht kay qareeb karde
taake mein iske saye mein chala jaou aur uske (qareeb behta hua) pani peesako,? iske ba’ad
tujhse koi aur sawal nahi karonga.
Allah Ta’aala kehega: Ae Ibn Adam! Kiya tu ne mjhse wada nahi kiya tha keh tu koi aur sawal
nahi karega? Phir kahega: agar mein tera ye sawal bhi poora kardo tou shayed tu phir koi aur
sawal bhi karega? Wo Allah Ta’aala se wada karega keh wo koi aur sawal nahi karega- Allah
Ta’aala bhi usay mazoor samjhega kyunkeh wo aik aisi cheez ko dekh raha hoga jisay sabr
karna uske bas mein nahi hoga- Chunacha Allah Ta’aala usay us darakht kay qareeb kardega-
tou wo uske saye mein chala jaega aur uske pani se piyega.
Phir aik aur darakht jannat kay darwazay kay qareeb uske samne buland kiya jaega jo pehle
dono darakhton se ziyada acha hoga- wo kahega: Ae mere Rab! mjhe is darakht kay qareeb
karde taake mein iske saye mein chala jaou aur uske qareeb behta hua) pani peesako, uske
ba’ad tujhse koi aur sawal nahi karonga-

Allah Ta’aala kahega: Ae Ibn Adam! Kiya tu ne mjhse wada nahi kiya tha keh tu koi aur suwal
nahi karega? Wo kahega: kyun nahi Ae mere Rab! Bus ye sawal poora karde, iske ba’ad koi aur
sawal nahi karonga- Allah Ta’aala bhi usay mazoor samjhega kyunkeh wo aik aisi cheez ko dekh
raha hoga jisay sabr karna uske bas mein nahi hoga- Chunacha wo usay us darakht kay qareeb
kardega aur wo uske qareeb pohanchkar Ahl-e-Jannat ki awazen sunega- Wo kahega: Ae mere
Rab! Mjhe isme dakhil karde-

www.imsjeddah.com
20
Allah Ta’aala kahega: Ae Ibn Adam! Kaunsi cheez tujhe razi karegi aur tere aur mere
darmiyaan suwalaat ka silsila kab minqata’ hoga? Kiya tu is baat par razi hojaega keh main tujhe
duniya aur us jaisi aik aur duniya dedon? Wo kahega: Ae mere Rab! Kiya aap mjhse mazaq karte
hain jabhke apto Rabbul alameen hain!
Yahan tak Hadees bayan karkay Hazrat Ibn Masood(‫ )رضي هللا عنه‬hans paday- phir kahene
lagay: kiya tum mjhse pochtay nahi keh main kyun hansra hon? Logon ne poocha: Aap kyun
hansre hain? Tou unho ne kaha: Main isliye hans raha hon keh Rasool Allah(‫ )ﷺ‬bhi ye hadees
yahan tak bayan karkay hans pade the- Sahaba kiraam(‫ )رضي هللا عنهم‬ne unse poocha keh Aap
kyun hansrahe hain? Aap(‫ )ﷺ‬ne farmaaya : main isliye hans raha hon keh Allah Ta’aala bhi is
admi ki yeh baat sunkar hans padengay keh kiya tu mjhse mazaq karta hai halakeh tu to Rabbul
alameen hai! Phir Allah Ta’aala kahega: main tujhse hargiz mazaq nahi kar raha balkeh main jo
chahon (karsakta hon) aur main har cheez par qadir hon.”

[Sahih Muslim: 187]

Isi Tarah Hazrat Abdullah bin Masood(‫ )رضي هللا عنه‬ki aik aur riwayat mein hai keh Rasool
Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:
“Main is shakhs kay baare mein yaqeenan janta hon jo sabse akhir mein jahannum ki aag se
niklega aur sabse akhir mein jannat mein dakhil hoga- yeh wo shakhs hoga jo haathon aur
ghutnon (aik riwayat mein hai keh dabr) kay bal chalta hua jahannum se niklega- Tou Allah
Ta’aala farmaaega: jaou Jannat mein dakhil hojaou- chunacha wo aega aur uske dil mein ye
khayal dala jaega keh jannat to pur hochuki hai, isliye wo wapis loutega aur kahega: Ae mere
Rab! Main ne jannat ko bhara hua paya hai-
Allah Ta’aala farmaaega: jaou jannat mein dakhil hojaou- chunacha wo dobara aega aur uske dil
mein phir ye khayal dala jaega keh Jannat to pur hochuki hai, isliye wo phir wapis loutega aur
kahega: Ae mere Rab! Main ne jannat ko bhara hua paya hai-
Allah Ta’aala farmaaega: jaou jannat mein dakhil hojaou main ne tumhe poori duniya kay
barabar aur is jaisi das guna ziyada wus'at ata ki-
(Dusri riwayat mein hai: Main ne tumhen duniya se das guna ziyada wu'sat ata ki) wo shakhs
kahega: Ae Allah! Kiya ap mjhse mazaq karte hai halake apto badshah hain?
Hazrat Abdullah bin masood(‫ )رضي هللا عنه‬kehte hain: Main ne Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ko dekha keh,
Aap(‫ )ﷺ‬ye hadees bayan farmaa kar itna hanse keh Aap(‫ )ﷺ‬keh dandaan mubarak nazar aane
lagay- Kaha jata tha keh yeh Shakhs Ahl-e-Jannat mein sabse nichlay darje wala hoga.”

[Sahih Bukhari: 6571; Sahih Muslim: 186]

www.imsjeddah.com
21
20. JANNAT KI NEMATON KA TASAWWUR KARNA BHI NA MUMKIN
HAI:

Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ka irshad giraami hai:

(( ‫ َو اَل َخ َط َر َع ٰلی َقْلِب َبَش ٍر‬، ‫ َٔاْع َد ْدُّت ِلِع َباِد ی الَّص اِلِح ْی َن َم ا اَل َع ْی ٌن َر َٔاْت َو اَل ُٔاُذ ٌن َس ِم َع ْت‬: ‫)) َق اَل الّٰلُہ َع َّز َوَج َّل‬

“Allah Ta’aala farmaata hai: main ne apnay naik bandon kay liye aisi nematein tayyar ki hain
jinhay na kisi ankh ne dekha hai, na kisi kaan ne unke baare mein kuch suna hai aur na hi kisi
insaan kay dil mein unke muta’lliq koi tasawwur paida hua hai.”

[Sahih Al Bukhari: 3244]

21. JANNAT MEIN MAUT NAHI AEGI:

Hazrat Abu Saeed(‫ )رضي هللا عنه‬aur Hazrat Abu Hurerah(‫ )رضي هللا عنه‬bayan karte hain keh,
Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ne farmaaya:

‫َو ِإَّن َلُک ْم َٔاْن‬،‫َو ِإَّن َلُک ْم َٔاْن َتِص ُّح ْوا َفاَل َتْس َق ُم ْوا َٔاَبًد ا‬،‫ِإَّن َلُک ْم َٔاْن َتْح َیْوا َفاَل َتُم ْو ُتْوا َٔاَبًد ا‬: ‫(( ِإَذ ا َد َخ َل َٔاْہُل اْلَج َّنِۃ اْلَج َّنَۃ ُیَناِدْی ُم َناٍد‬
))‫َو ِإَّن َلُک ْم َٔاْن َتْنَع ُم ْوا َفاَل َتْب َٔاُس ْوا َٔاَبًد ا‬،‫َتِش ُّبْوا َفاَل َتْہ َر ُم ْوا َٔاَبًد ا‬

“Jab jannat walay jannat mein chale jaengay tou aik aelaan karne wala pukaar kar kahega:
tumhen ye haq hasil hai keh tum zinda rahogay, tum par maut kabhi nahi aegi- aur ye bhi keh
tum tandrust rahogay, kabhi bimar nahi hogay- isi tarah tum jawan rahogay, kabhi boodhe nahi
hogay- Nez tum khush haal rahogay, kabhi bad haal nahi hogay.”

Allah Ta’aala se dua hai keh wo ham sabko jannat kay warison mein se banae-
AAMEEN.

Dusra khutba! Jannat kay awsaaf maloom karne kay ba’ad sawal ye hai keh is qadr azeem ush
shaan jannat aur uske nematon tak pohanchnay wala rasta kaunsa hai? Aur ham kaise wahan
tak pohanch sakte hain? Aur wo kaun khush naseeb hain jo is Jannat mein dakhil hongay?
(Allah Ta’aala ham sabko jannat ul firdous kay waarison mein se banay) Aeye wo rasta maloom
karen keh jis par chalte huay ham In Shaa Allah Ta’aala aik din zarur is jannat main pohanch
jaengay.

www.imsjeddah.com
22
JANNAT KA RASTA:
Jannat ka raasta intehaee asaan aur bohat hi roshan hai- Qur’an-e-majeed mein Allah Ta’aala ne
aur Ahadees mubarak mein Rasool Akram(‫ )ﷺ‬ne usay wazeh taur par bayan kardiya hai- tou
lijie chand aayaat-e-qur’aniya aur ahadees-e-Nabawwi mein dekheye Jannat tak pohanchne
walay ka rastay ka taeen kiya gaya hai.

Allah Ta’aala farmaata hai:

﴾‫﴿ِتْلَک اْلَج َّن ُۃ اَّلِتْی ُنْو ِر ُث ِم ْن ِع َباِد َنا َم ْن َک اَن َتِق ًّیا‬
“Yeh hai wo jannat jiska waaris ham apnay bandon mein se unhay banatay hain jo muttaqee
(parhezgaar) hon.”

[Surah Maryam:19: 63]

Isi tarah Allah Ta’aala ka farmaan hai:

‫َٔا‬
‫ َم ْن َخ ِش َی الَّر ْح ٰم َن ِب ا ْل َغ ْی ِب َو َج ٓا َئ ِب َق ْل ٍب‬. ‫َم ا ُت ْو َع ُد ْو َن ِل ُک ِّل َّو ا ٍب َح ِف ْیٍظ‬ ‫ ٰہ َذ ا‬. ‫﴿َو ُٔا ْز ِل َف ِت ا ْل َج َّن ُۃ ِل ْل ُم َّت ِق ْی َن َغ ْیَر َب ِع ْیٍد‬
﴾ ‫ َل ُہ ْم َّم ا َی َش ٓا ُٔو ْو َن ِف ْی َہ اَو َل َد ْی َن ا َم ِز ْیٌد‬. ‫ٰذ ِل َک َی ْو ُم ا ْل ُخ ُل ْو ِد‬ ‫ُٔا ُل‬
‫ ْد ُخ ْو َہ ا ِب َس َالٍم‬. ‫ُّم ِنْی ٍب‬

“Aur Jannat parhezgaaron kay liye bilkul qareeb kardi jaegi- zara bhi dur na hogi, ye hai jiska
tum se wada kiya jaata tha har us shakhs kay liye jo (Allah ki taraf) rujoo karne wala, paabandi
karne wala ho, jo rehmaan ka ghaybana khouf rakhta ho aur tawajjo wala dil laya ho- Tum is
Jannat mein salamati kay sath dakhil hojou- yeh hamesha rehne ka din hai- yeh wahan jo
chahengay unhay milega (Balkeh) hamare paas aur bhi ziyada hai.”

[Surah Qaaf: 50: 31-35]


Nez farmaaya:

))‫ َف ِإَّن اْلَج َّن َۃ ِہَی اْلَم ْٔاٰو ی‬.‫﴿ َو َٔاَّم ا َم ْن َخ اَف َم َق اَم َر ِّبٖہ َو َنَہ ی الَّن ْف َس َع ِن اْلَہٰو ی‬

“Haan jo shakhs Apne rab kay samne khara hone se darta raha hoga aur apnay nafs ko
khwaahish (ki pairvi karne) se roka hoga to uska thikana jannat hi hai.”

[Surah Na’aziyat:79: 40-41]

www.imsjeddah.com
23
Aur farmaaya:
) ‫﴿َوِلَم ْن َخ اَف َم َق اَم َر ِّبٖہ َج َّنَت اِن‬

“Aur is shakhs ke liye jo apnay Rab ke samne khada honay se dara do(2) jannatein hain.”

[Surah Rahman:55: 46]

Yeh aur unkay alawah digar kaey aayaat (Jinme se baishtar ka zikr ham khutbe kay aaghaaz
mein karchukay hain) se maloom hota hai keh Allah Rabbul izzat ne jannat un logon kay liye
tayyar ki hai jo parhezgaar hon, Allah Ta’aala se darnay walay hon, uski taraf bakasrat rujoo
karne walay hon, Allah Ta’aala kay Deen ki hifazat karne walay hon aur nafsaani khwaahishat ki
pairvi karne kay bajaey shariyat—e-illahi kay parhezgaar aur paband hon- Lihaza taqwa hi
jannat ka raasta hai-
TAQWAA aisa jame' lafz hai jisay har khair ki buniyad qaraar diya jasakta hai aur issay murad
Allah Rabbul izzat kay ahkamaat ki pairvi karna hai- lihaza jo shakhs bhi is sifat ka hamil hoga
wo jannat mein janay ka haqdaar hoga.

Isi tarah Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ka irshad-e-giraami hai:

(( ‫َوُح َّف ِت الَّن اُر ِبالَّش َہ َواِت‬، ‫))ُح َّف ِت اْلَج َّن ُۃ ِباْلَم َک اِر ِہ‬

“Jannat ko in kaamon se dhanpa gaya hai jo keh (Tab'ee insaani ko) napasand hotey hain- aur
jahannum ko shahwaat se dhanpa gaya hai.”

[Sahih Musim: 2822]

Isi hadees mein ( ‫ ) المکارہ‬se murad wo aamaal hain jo insaani tabiyat ko napasand hote hain
aur unka baja laana unpar giran hota hai , Maslan garmi mein garam pani se aur sardi mein
thanday pani se wudu karna, panch waqt namaz ki pabandi karna, zakat ada karna aur rozay kay
darwazay se khaane peene se parhez karna waghera- Is hadees se maloom hota hai keh jo
aamaal tab'ee taur par mushkil samjhay jaate ho unhain anjaam dena jannat ka rasta hai jabke
nafsaani khwaahishaat par amal karna jahannum ka rasta hai.

Isi tarah Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ka irshad hai:

))‫َوَم ْن َع َص اِنْی َف َق ْد َٔاٰبی‬، ‫ َم ْن َٔاَط اَع ِنْی َد َخ َل اْلَج َّن َۃ‬: ‫َم ْن َٔاٰبی َیا َرُس ْو َل الّٰلِہ ! َق اَل‬: ‫ِقْی َل‬،‫(( ُک ُّل ُٔاَّم ِتْی َیْد ُخ ُلْوَن اْلَج َّنَۃ ِإاَّل َم ْن َٔاٰبی‬

“”Meri Ummat kay tamam log jannat mein dakhil hongay siwae uske jisne inkaar kardiya.”
Aap(‫ )ﷺ‬se poocha gaya keh: Ae Allah Kay Rasool(‫ ! )ﷺ‬inkaar kaun karta hai? Tou Aap(‫)ﷺ‬
ne farmaaya: Jisne meri ata’at ki wo jannat mein dakhil hoga aur jisne meri nafarmaani ki usne
inkaar kardiya.”

[Sahih Al Bukhari: 7280]


www.imsjeddah.com
24
Yeh Hadees bhi jannat ka rasta muta’een kar rahi hai aur ussay maloom hota hai keh Rasool
Allah(‫ )ﷺ‬kay pairokaar hi jannat mein dakhil hongay-

Isi tarah Rasool Allah(‫ )ﷺ‬ka irshaad giraami hai:

‫ َتْد ُخ ُلْوا‬، ‫ َو َٔاِط ْی ُع ْوا َذ ا َٔاْم ِر ُک ْم‬، ‫ َط ِّیَب ًۃ ِبَہ ا َٔاْنُف ُس ُک ْم‬، ‫َو َٔاُّد ْو ا َزَک اَۃ َٔاْم َواِلُک ْم‬، ‫َوُص ْوُم ْوا َش ْہ َر ُک ْم‬، ‫َوَص ُّلْوا َخ ْم َس ُک ْم‬، ‫(( ِاَّتُق ْوا الّٰلَہ‬
))‫َج َّن َۃ َر ِّبُک م‬

“Tum sab Allah se daro, panchon namazen ada karo, Maah-e-ramazan kay rozay rakho, apnay
maalon ki zakat bakhushi ada karo aur apnay hukmraan ki ita’at karo, is tarah tum apnay Rab ki
jannat mein dakhil hojougay.

Is hadees mein bhi jannat mein pohanchanay waalay raste ka ta'een kardiya gaya hai- Agar ham
Allah Ta’aala se dartay rahe aur mazkoorah aamaal pabandi se anjaam detay rahen tou Nabi
Kareem(‫ )ﷺ‬ka hamse wada hai keh ham zarur jannat mein dakhil hongay-

Allah Ta’aala ham sabko Jannat ul firdous kay warison mein shamil karde-
Aameeen.

Book:
Part of “Zaad Ul Khateeb” ; Volume: 02
Taleef: By Dr. Hafiz Muhammad Ishaq Zahid.

www.imsjeddah.com
25

You might also like