Pyaar Ka Dariyaa

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 8

Pyaar ka dariyaa

Thandi hawa ke jhoke jo itne bhi sard nahi ki aapke chehre ki name ko cheen le
aur na hi itne sakth ki ki aapko paseene se tar karde. Aasma ke khule maidan
mein dheere dheere apni garam kiranein bikhairti subah ki dhoop. Roz ek naya
sur lagate jaane kis or punkh udate pakshi subah ke iss anmol khazane ko lut
uski tazagi aur sadagi ko din bhar aapne paas rakhane main aksar hi morning
walk pe jata hun. Yuh toh dil aur kadmon ka mel jis or mujhe le jata mein chala
jata par samudhra ke kinare jana mujhe sabse zyada pasand hai. Mumbai jaise
bade aur shor sharabe se bhare sheher mein kahi sakoon hai toh bas in lehron ki
kal kal mein. Ek ajeeb si shanty ka aheesas hota hai us chanchal daud lagati
lehron ko dekh. Waise sahi mayino mein kaha jaye toh yeh leharein bhi
Mumbai ki zindagi ko darshati hai, kaise kahin kahin kuch leherein ubharna
shuru hoti hai, kuch fasla akele hi tai kar dusaron se milti hai apni himmat aur
takat badhati hai phir kisi pathar se takra chur chur ho jaati hai, par jo chur chur
nahi hota wo hai unka jazba unki kuch karne ki chah aur himmat.

Aaj na jane kya hua, main roz se kuch zyada der tak aaj baitha lehron ko dekhta
raha. Pata nahi kya soch raha tha.... jane kuch soch bhi raha thi nahi??? Ek
shunya ki or badhta jar aha tha, wo toh agar nareel wala aakar mujhe aapne
business kare ke liye tolta nahi toh najane main sagar kinare kitna du jata. Khair
main ek halki muskaan aur kuch ajnabi rahat liye wapas ghar aa gaya.

Hospital ke liye taiyaar hokar maine phir wahi omelette aur toast ke saath juice
piya, ab aur kuch banana toh aata bhi nahi tha, medical ki padhai kaho ya
cooking mein mera disinterest khana banana ka koi shauk nahi tha mujhe, par
haan aacha khana khane mein mera bharpoor vishwas hai. khair nashta kar ek
apple utha main apne hospital ke liye nikal gaya. Aaj seb uthate samay mujhe
badi zor hasi aagai... “an apple a day keeps the doctor away” lo ab agar main
apne aapse hi dur ho jaunga toh dusaron ke kareeb kya khak pahchunga????

Uff ab is car ko kya ho gaya? Chabi ghumaun toh sirf khi khi khi ki awaaz kar
jaise mujhe pe has rahi ho, meri khilli udha rahi ho. Haan bhai ab hai toh
machine hi chahe jitni hi aachi kyu na ho kharab hone ka haq toh sabka hai.
maine bhi socha chalo thik hai kuch dur chalke hi jate hai, paas ke garage mein
mechanic ko iss rampiyaari ki chabi bhi dedenge. Haan bhai doctor hi sahi par
filmon se achuta nahi, big b fan kaun nahi hai iss duniya mein?? Apni car ko
main rampyaari unki hi ek film se prerit hokar bulata hun, isse aap mere fan
hone ka pagalpan bhi keh sakte hai. “lo bhai aaj gadi ne saath chalne se inkaar
kar diya hai, tum hi jake dekh lena kyu khaafa ho gai hai” gadi ki chabi
mechanic ne gadi ki chabi lete huye kaha “ji doctor sahib, par phir aap hospital
kaise jayenge? Aaj toh auto aur taxi ki strike hai?” oh shit yeh strike, main kaise
bhool gaya? Waise bhi apni gadi ho toh kaun dekhta hai strike hai ki nahi! Ek
pal toh maine socha hospital hi na jaun, lekin strike auto aur taxi ki thi na ki
bimaari ki, patients toh aayenge hi. Na jaane kabhi aisa din bhi aayega ki nahi ki
logon se gussa ho bimaariyaan hi ruth jaaye aur strike pe baith jaye.

Aas paas ke logon se dosti aur jaan pehchan bana ke rakhne ka kuch faida
mujhe aaj hua, uss mechanic ne hi apni bike pe mujhe paas ke bus stop tak lift
de di. Aaj najane kyu sab galat hi ho raha tha, par aaj main galat pe jhunjhala
nahi raha tha, shayad usse bhi enjoy hi kar raha tha.

Bus stop pe kuch 10-15 minutes faltu gawah ke mujhe bus mili. Uff Mumbai
aap ya toh local trains mein aapne sabse zyada aheesas dilate hai ya phir hudh
se zyada bhari bus mein. Conductor ne bell bajai toh aur bus chal adi, na jaane
driver ko iss shor mein bell ki awaaz sunai di ya apne anuman se hi usne bus
chali shuru ki!!! Ek ticket le main logon ka Dhaka kha kha aage badhta chala
gaya aur uss bhari bus mein bhi na jaane kaise mere liye jagah banti jaa rahi thi.
Kuch logon mein subah subah bhi kaise smell aati hai, mera deo bhi fail ho gaya
yaha toh. Balon mein chameli ka tail aisa chupda hua ki chameli ke phode pe
khile phool bikhareein ho. Chotte bacho ka bebaat rona, aapne kaam pe late
hote logon ka be wajah driver ko kosna. Galti se hi kisi ko lage dhakke pa bawal
yeh sab hi bus ke saath safar kar rahe the. Main dhakke khate khate bus ke
beech mein pahuch gaya tha, yaha waha dekh ek ladaki pe meri nigaheen atak
gai. Wo bus ki reserved for ladies seat pe araam se baithi thi, aur kuch padh rahi
thi.. hawa se udate usske baal hawa ka rukh bhi bata rahe the aur khel bhi rahe
the. Par shayad usse apne baalon ka khelna aacha nahi laga, toh apne malmal ke
dupatte mein usne apne bal bandh liye, beech beech mein wo apni gardar modh
khidhki se bahar dekh nazaroon ka anand bhi le rahi thi.. ab toh jo main
majboori aur dhake kha aage badh raha tha, ab swaichcha se aage badhne laga
usse dekhne.... aur ab main usske samane khada ek tak usse dekh raha tha, aisa
lag raha tha meri kalpanaon aur sapno ne akar le liye tha. Kitna saaf chehra tha
uska aakhon ke neeche ek til ke alawa kuch bhi toh nahi tha chehre pe.... aisa
lagta tha jaise jhuke jhuke palkein thak gai ho aur chehre pe apni chap chod gai
ho. Ab wo safar mere liye suffer nahi raha tha, usse dekh na mujhe kuch aur
dikh raha tha aur na sunai de raha tha, bus ke jhatke bhi ab mujhpe beasar the.
Thodi der baad apni book band kar wo uthi aur meri hi or aane lagi, mere dil ki
dhadkan ne rafter pakad li thi, kahi isse mujhpe koi shak toh nahi ho gaya?
Waise toh chehre se main ek decent padha likha hi lagta hun. Mere paas pahuch
usne mujhe ek nazar dekha aur aage badh gai, meri saasein toh wahi tham gai
par mere dil ne kaam karna shuru kar diya. Main uske peeche peeche uske hi
stop pe utar gaya. Jab uska nasha kuch halka pada toh mujhe pata chala main
apne hospital ko bhi peeche chod aaya hun.
Wah ri kismet!! Hospital ke liye bhi late huye, dil bhi zakhmi aur ladaki ka
naam pata kuch bhi nahi pata chala, aur dubara milne ki koi umeed bhi nahi.
Main apni soch mein duba hospital pahuch hi gaya. Kaam, kaam aur kaam, aaj
main hospital do ghante deri se pahucha tha, apne patients ko dekh aur routine
round pe jane ke baad jab ek pal ke liye tanha apne cabin mein baitha toh uss
ladaki ka khayaal wahi baitha mera intezaar kar raha tha. Sab kaam karke, apni
shift puri kar main ghar ke liye nikal hi raha tha ki ek colleague ne awaaz lagai
“Dr. Dev, can i drop you home?” maine vinamrata se unka prastav dhukradiya,
mere dil ko umeed thi ki shayad wo ajnabi mujhe phir bus mein mil jaye. Par
umeedon ko uske khayal ka sahara liye hi ghar wapas aana padha, wo phir na
mili.

Agale kai din, car thik hone ke bawajud main bus se hi aata jata tha, iss umeed
mein ki shayad wo unjaan phir mere saath safar karein. Aakhir maine yahi
socha ki wo meri kismet mein nahi, haath aur maathe ki rekhaon ko doshi sabit
kar maine apne dil ka bojh kuch kam kar liya.

Hospital ke kaam aur apni choti si clinic khol main apne ko zyada vyast rakhne
laga par ek pal ka chain aur dil uski yaad mein bechain ho jata. Main apne se hi
bhagne laga tha, main apne dil aur dimaag ke beech ulajh ke reh gaya tha.

Mumbai ko barsaat ne phir apni aagosh mein le liye tha, par har baar iss
mausam ka intezaar karta main iss bar usse bhi kos raha tha. Mujhe dekha jaye
toh duniya mein kuch bhi aacha nahi lag raha tha. Ek din apni shift khatam kar
jab main hospital se nikalne hi wala tha toh ek compounder ne aake mujhe hi
alert ke bare mein batay, maine hospital mein hi rukne ka faisla kiya. Hi alert ki
hi wajah se night shift karne ke liye Dr. Singh aaj hospital nahi aa paye the.
Maine receptionist ko bata apni thakan dur karne canteen mein chai pine chala
gaya. Us unjaan ladaki ka khayaal ab bhi mujhe jab tab apni or kheech leta tha.
Chai pi main wahi kuch patients ke rishtedaaron aur canteen workers se baat
karne laga tanha rehna matlab us ladaki ke khayaalon se ghirna aur main yeh
nahi chahta tha.

Raat kareeb do dhai baje ek nurse daudte huye mujhe bulane ke liye aai, ek
adhedh umar ka admi jiski halat kaafi kharab thi mere paas apna ilaaj karane
aaya tha. Huh... apne dil ka jo ilaaj nahi kar para tha wo dusaron ke dil ke
dauron ko shant kitni aasani se kar leta tha. Nurse ke saath main direct ICU
mein pahucha, waha wo admi mera inteezar kar raha tha. Uski halat kaabu mein
la kar hi maine usse choda, par char din ke liye observation mein rakha.

Aagli subah meri hospital mein hi hui, subah nahi agar dopahar bolu toh zyada
aacha rahega. Par hospital mein apne purane patients ke saath saath uss naye
patients ko dekh hi maine hospital se nikalne ka nirnaye liya. “hello Kamlesh ji,
ab kaise hai aap?” mujhe dekh wo admi kuch khush dikha, “ji main ab thik
mehsoos kar raha hun, thankyou” hum baat kar hi rahe the ki kamare mein ek
ahaat hui, “papa ji, aapki dawaiyaa le aai hun” maine mudh kar aati awaaz ko
dekha....... aur do minute ke liye main sunn ho gaya. Haan wahi ladaki, phir ek
baar mere samane khadi thi, uski awaaz mein thoda dukh aur dard toh main
samjh paya par apni degree ki kasam itni surili awaaz maine kabhi na suni thi.
“aao beta, inse milo yeh hai... Doctor....” main bola “doev.... oh doctor dev”
meri zaban aise ladkhadane lagi jaise main koi interview de raha hun. Wo
mujhe dekh muskuraai, mere dil mein pyaar ki lehrein phir ek baar gotte lagane
lagi.

“hello doctor Dev, thankyou, main kal aapse mil nai pai thi”, maine muskurake
uske shukriya kabool kiya. Uff jiske khayal ne mujhe pagal kar rakha tha wo
bhi mujhe barish aur Mumbai mein high alert hone se hi milli ab toh mere paas
dono Mumbai aur Mumbai ki barsaat ko pyaar karne ka karan bhi mil gaya tha.
Mera mann kar raha tha main khushi se nachu, jhumun, hospital mein
mithaiyaan batwadun, par apne jazbaton ko maine kaabu kiya. Aaj se pehle itni
khushi ka aheesas mujhe kabhi nahi hua tha. Zindagi mein na kabhi kisi ke bare
mein aisa socha tha na hi mehsoos kiya tha. Main saatvein aasma se bhi upar
khada tha.

Kamlesh ji ne hi uske naam se mere parichay kar waya, “doctor yeh hai Devika,
meri bahu.” BAHU!!!! Beti nahi... bahu..... mere dil ke tukade tukade ho gaye,
saatve aasma se girra toh koi awaaz toh nahi hui par dard bahut hua. Main waha
khade khade hi bikhar gaya, apne tukade samait, uss kamare mein bunne apne
sapano ko udhedta hua main waha se nikal gaya. Zindagi mili bhi aur main
zinda bhi na raha.

Aagale din main hospital nahi gaya, apne clinic bhi nahi gaya. Bas chup chap
apne ghar mein baith apne aasun ko badalon se girta dekhta raha. Na kuch karne
ka mann hua, na hi kissi se milne ka. Kabhi apne dil ko samjhata kabhi apni
nigahoon ko kosta, us khubsuraat din ko bhi maine achuta nahi choda jis din
maine pehli baar devika ko dekha tha.

Hospital mein bagair notice main zyada chutti nahi le sakta tha, aur waise bhi ek
ladaki aur uski shaadi ki wajah se main apna kaam toh nahi chod sakta tha.
Main hospital pahuch gaya, “aaj shave nahi kiya sir aapne? New look?” nurse
rina ki awaaz aai, maine usse toh koi jawab na diya par teen din ki ugi daadhi pe
haath zaroor pher liya. Rina bhi patients ki file rakh chali gai.

Routine round lagate huye main phir kamlesh ji ke kamare ke bahar aa pahucha
tha, do baar waha se guzara zaroor tha lekin under nahi gaya tha, ab ki baar
thodi himmat jhuta main knock kar under chala hi gaya. “hello sir, kaise hai aap
ab?” maine normal reh kar kamlesh ji se baat shuru ki. Kamlesh ji kamare mein
akele hi the, unhone muskura kar mera welcome kiya. “arey beta main toh thik
hun, tum sunao bas dusaron ka hi hal chal lete ho ki apna khayal bhi rakhte ho?”
kamlesh ji ke sawal ne mujhe jhinjhor diya, ek pal ko mujhe laga kahi inhe mere
bare koi shak toh nahi ho gaya hai? par phir unke pyaar aur apnepan ne mujhe
unke paas baitha diya. Kuch der tak yaha waha ki baat kar, maine pucha:
Aapka beta kaha hai?
Ab nahi raha, ek car accident mein wo aur meri biwi dono hi guzar gaye.
Unki awaaz mein kharkharahash thi aur aakhein num, unke haath pe apna haath
rakh maine unnhe thoda hosla dena chaha, unhone aasun pauch ek halki
muskaan di. Hum phir baatein karne lage.

Devika ki awaaz ka dard aur dukh main aaj puri tareeke se samjh paya tha, na
jaane uski suni mang, bagair bindi ke mathe aur mangalsutra na hone par mera
dhyaan pehle kyu na gaya.... itni si umar mein kitna kuch jhela tha usne, main
usko gale laga yeh batana chahta tha ki ab wo akeli nahi hai. usse baat karke
uska dukh kuch kam karna chahta tha. Par mujhe darr lag raha tha ki kahi meri
baton ka wo bura na mann jaye, kahi usse aisa na lage ki main uss par tarass kha
raha hun.

Apne kaam mein mesroof raha par kamlesh ji ki baatein jab tab mujhe gher leti
aur devika ke bare mein sochne par majboor kar deti. Main devika ko ek
humsafar nahi toh atleast ek aacha dost toh zaroor dena chahta tha. Ek rishtey ki
ganth bhale hi tut hi kyu na jaye kisi ke liye bhi uski jagah kisi aur ko rakhna
mushkil hota hai, aur iss baat ko main bakhubi samajhta tha. Devika se mujhe
milna tha, usse baat karni thi aur mere paas zyada waqt bhi nahi tha, bus do hi
dino mein toh kamlesh ji discharge ho jayenge aur phir kaha kaise mil paunga
main devika se? Yahi baatein sochte sochte main ghar aa pahucha, ghar mein tut
kar bikhare pade apne khwaabon ko main ikhata kar sanjo ke rakh liya.

Subah uth maine apna din charya daharaya, devika ka saath main har pal mein
mehsoos kar raha tha, par uss tak pahuchne ka koi tareeka mujhe dikh nahi raha
tha. Hospital pahucha toh apni desk mein main eek tiffin aur letter ko besabri se
mera intezar karta paya.
Papaji se pata chala aap roz canteen ka khana khate hai, toh socha......
Devika

Main shukriya karne kuch phool lekar kamlesh ji ke kamare mein pahucha,
muskurakar aur aakhein jhuka devika ne phool kabool kiye. “khana sach mein
lajawab tha, thank you” main muskurata hua kamare se nikal gaya aur shayad
waha devika ke chehre par bhi halki muskaan chod aaya.
Kamlesh ji discharge ho gaye aur jaate jaate mujhe apne ghar ka pata aur phone
number dete gaye. Main roz sochta ki jaake unse milun, par roz hi apni dil ko
samjha leta, ek din dil ki hi baatein manne laga, dimaag bhi aur kadam bhi.
Maine aapne aapko devika ke samane paya. Ghar mein wo akeli hi thi. Do cup
chai ne humara saath diya, aur dheer saari baatein hone lagi.

Jald hi kamlesh ji evening walk se wapas aa gaye, kuch chai aur sham ke nashte
ne phir humara saath diya. Mere dil ki vyatha ko nahi par akelepan ne devika ne
bhaap liya tha, aur shayad mujhse baat kar usse bhi aacha laga.... pehli hi
mulaqqat mein humne numbers exchange kar liye aur phir mesaages ka silsila
shuru ho gaya. Main 16-17 saal ke ladake ki taraah mehsoos karne laga tha,
uske messages ke intezaar ka ek pal bhi mujhe bhari lagne lagta.

Dheere dheere humari dosti gehri hoti jaa rahi thi, par maine apni feeling ko
kabhi zahir nahi hone diya. Mujhe darr tha ki shayad devika mujhe galat samjhe
aur phir bina doston ki zindagi ko hi jeene lage, main aisa bilkul nahi chahta
tha, agar wo mujhe sirf ek aacha dost dekhti thi toh main waise hi uske saath
rahunga maine aisa hi socha tha.

Pitrapaksh ke chauthe din uske pati ka shradh hota hai, usne aaj mujhse aaj
akele mein milne bulaya. Wo badi der tak baithi mujhse apne pati ki baatein
karti rahi aur roti rahi, shayad kamlesh ji ke samane ro unko aur dukhi nahi
karna chahti thi, isi liye akele mili. Uske aasun pauchne ke liye maine aaj pehli
baar uska sparsh kiya, mere tan mein ek bijli si tair gai, apne jazbaaton ko kabu
kar main devika se do kadam dur ho gaya, aur phir yaha waha ki baatein karne
laga. Mujhe aisa bhi lagne laga tha ki devika meri or aakarchit ho rahi hai, par
main koi jald baazi nahi karna chahta tha. Main usko uske ghar chod apne ghar
chala aaya.

Raat der tak uske khayaal ne mujhe uthaye rakha, phir uske sapno ne mujhe
neend ki godh mein dal diya. Subah neend khuli bhi toh ussi ke message ki
awaaz se, uff devika mujhe ek pal ko bhi akela nahi chodti, par saath bhi kaha hi
thi wo mere???? Devika ka message tha, papa ne aapko ghar bulaya hai, jab
time mile aajaiye ga.

Pehle socha hospital jane se pehle hi mil aaun, par itna utavlapan main nahi
dikhana chahta tha, issi liye baad mein jaane ka irada kiya. Din bhar main yahi
sochta raha ki kamlesh ji ne aakhir mujhe kyu bulaya hoga? Subah se devika ka
aur koi message bhi nahi aaya tha, main kuch pareshan sa ho gaya, hospital se
chuttate hi main devika ke ghar pahuch gaya.
Kamlesh ji apni araam chair pe baithe huye the aur thodi dur pe devika khadi
thi, mere pahuchte hi kamlesh ji ne baithne ka aadesh diya. Aaj unki awaaz
mein ek alag sa bal tha, wo aaj kuch gambhir bhi dikh rahe the.
Kya tum devika ko chahte ho
Ji
Haan ya na mein jawab do
Haan
Shaadi karoge isse?
Haan
Kamlesh ji ka chahra khushi se khil utha tha, par devika ke chehre pe koi bhav
nahi tha, main phir bola....
Agar devika mere saath jeena chahe toh
Devika ne ek nazar mujhe dekha aur bhag kar apne kamare mein chali gai.
Kamlesh ji ki aagya le main bhi devika ke peeche gaya. Andhere kamare mein
maine usse baat karni shuru ki
Agar aapko bura laga toh I’m sorry
Mujhe please akela chod dijiye
Main kamare se jane hi wala tha ki waha kamlesh ji ne aaker roshani bikherdi
Beti, kab tak akele zindagi kaatogi?
Zindagi bhar papa ji
Ek saathi ki zaroorat sabko hi hoti hai
Mujhe nahi hai

Main dur khada unki baatein sun raha tha, mujhse raha nahi gaya aur main bol
utha “kamlesh ji koi dabav mat daliye devika pe, yeh uski zindagi hai toh faisla
bhi ussi ka hona chahiye”. Bas itna keh main waha se chala aaya.

Raat ghar pahuch maine devika ko ek sorry message ke saath usse apni pehli
mulaqat ke bare mein batane ke saath saath yeh bhi bata diya ki mujhe usse
pyaar hai na ki main usse shaadi kar uss par koi ahesaan kar raha hun.

Devika ke kisi reply ka na toh mujhe intezaar tha aur na hi uska koi reply aaya,
kai baar uska phone try bhi kiya maine par wo aaj kal swich off hi aata tha.

Devika meri zindagi ka sabse haseen khwaab tha, jo maine do pal jiya. Zindagi
ki daud ne phir mera haath thama aur apne saath daud mein shamil kar liya,
devika ka khayal aur chah mere dil ko nahi chod pa rahi thi, aur main ab usmein
dubna nahi chahta tha..... par chahat pe kaha kisi ka zor chalta hai, apne aap se
mujhe ek baar phir jung karni padi, kaam ke bojh tale main apni dil ko daba
dena chahta tha, aur issi liye maine apni research pe kaam karna shuru kar diya.
Din bhar hospital aur clinic mein mareezon ko dekh raat mein main apni
research karta.
Logon ko main hi kamzoor aur bimaar dikhne laga tha, par kisi ko bhi meri
bimari ka naam nahi pata tha. Ek din apne kaam mein main busy tha ki ek aahat
hui... “kya aap ab bhi mujhse shaadi karne ko taiyaar hai?”
Devika mere samane khadi mujhse baat kar rahi thi, phone off rakhe rakhe sadh
hi jaata aur usmein mera message bhi baas maarne lagta agar uncle john ka
number dhundhane ke liye devika apna phone nahi kholti. Mera message padh
devika ko aheesas hua ki main uspar koi ahesaan nahi kar raha aur wo mere
paas wapas aa gai.

You might also like