Wives Are Not in S

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Wives are not in Ahl-e-Bayat(a.

s)
Allah iss ayat main irshad frma rha hy “ Aey Ahl-e-Bayat(a.s) !! Khuda tu bas yh chahta hy kh nijast oer
gunha ko tum sy door rakhy oer tumhain har trha sy paak o pakiza rakhy ”.

ْ َ‫ت َويُطَهِّ َر ُك ْم ت‬
‫ط ِهيرًا‬ ِ ‫س أَ ْه َل ْالبَ ْي‬ َ ‫إِنَّ َما ي ُِري ُد هَّللا ُ ِلي ُْذ ِه‬
َ ْ‫ب َعن ُك ُم الرِّ ج‬
“ ‫ ” إِ َّن َما‬ki tabirr aam tour per “HASAR” kay leay hy iss baat ki daleel hy kh yh neamt
khandan-e-Peghamber(s.a.w) say makhsoos hy.

Lafz “ ‫ي ُِري ُد‬ ” Allah kay IRAADA-e-TAKWENNI ki taraf ishara hy wrna IRADAD-e-TASHREE
Ahl-e-Bayat(a.s) kay sath makhsos nahi ho ga, balkay sb loug beghair kisi istesna kay hukm-e-
shariayt kay teht iss baat kay paband houn gay kh wo har kism kay gunahun oer nijastoun sy
pak rahin.

Lafz “ َ ْ‫ ” الرِّ ج‬na-pak shay kay manii main hy khowa woo insan kay mezaj oer tabiat kay
‫س‬
lehaz sy na-pak ho ya aqali hukm sy ki waja sy ya shariayt ki roo sy ya inn sb wajhoua kay itbar
sy…Iss lafz ka mafhoom aam oer wasee hy oer har kism ki nijasat iss kay maani main shamal
hy, kiun kay “Alaf Laam” yahan per jinss per dalalt kerta hy.

Lafz “ ‫” َت ْط ِهيرً ا‬ ka manni pak kerna oer haqeqt main nijastoun oer na-pakioun ko door
kernay kay baray main takked hy..neeez iska mafol mutlaik ki shakal main hona yahan iss mani
ki ek oer takeed shumar hota hy.

Rha lafz “ ِ ‫ ”أَ ْه َل ْالبَ ْي‬yh janab-e-RASOL(s.a.w) kay Ahl-e-Bayat(a.s) ki janab ishara hy.
‫ت‬

Baqi rhy yh baat kay RASOL(s.a.w) ki Azwaj iss Ahl-e-Bayat(a.s) main hain kh nahi…???
Ayat kay shoro main Azwaj-e-Rasol ko khitab kia gia oer inko hukm dia gia hy kh wo apny gharoun main
rahin oer arab ki jehlyt kay rasm-o-riwaj ki trha logun kay samnay na niklain, efit ki ryaat Karen, namaz
qaim Karen oer zakat ada Karen neez KHUDA oer RASOL(s.a.w) ki aataat Karen,

َ‫ين ال َّز َكاة‬ َّ ‫ َوأَقِ ْم َن ال‬ ۖ ‫ َوقَرْ َن فِي بُيُوتِ ُك َّن َواَل تَبَرَّجْ َن تَبَرُّ َج ْال َجا ِهلِيَّ ِة اأْل ُولَ ٰى‬33
َ ِ‫صاَل ةَ َوآت‬
 ۚ ُ‫َوأَ ِطع َْن هَّللا َ َو َرسُولَه‬
Ayat kay iss hisa main tamam 6(six) zamerain “ JAMA MOANIS ” ki istamal hoi hain.( zara ghoor
kejey )..??

Iss kay baad lehja badal jata hy oer irshad hota hy kh Allah ka “ SIRF ” irada yh hy kh tum Ahl-e-Bayat sy
rijss ko dour rakhy oer tumhain mukamal toor per pak rakhy.

ْ َ‫ت َويُطَهِّ َر ُك ْم ت‬
“ ‫ط ِهيرًا‬ ِ ‫س أَ ْه َل ْالبَ ْي‬ َ ‫”إِنَّ َما ي ُِري ُد هَّللا ُ لِي ُْذ ِه‬
َ ْ‫ب َعن ُك ُم الرِّ ج‬
Ayat kay iss hisa main dono zamerain “JAMA MOZAKAR” kay leay istamal hoi hain.

Yh baat sahi hy kh aam tour per ayat ka sayak-o-sabaak ek matlab ko bayan krta hy lakin yh iss waqt
hota hy jb os kay bar-khilaf koi kareena oer shahid na ho, lehaza jo loug ayat kay iss hisa ko b Azwaj ki
shan main samajhtay hain oen ka nazriya zahirn ayat oer iss main majood qarenay kay bar-khilaf hy, yani
inn dono hisoun main ZAMERAIN mukhtalif hain, lehaza do juda juda matlb hain.

Tamam rewyt iss baat ki hakayt kerti hain kh yh mazkora ayat-e-tatheer “ RASOL(s.a.w), IMAM ALI(a.s),
BIBI FATIMA(s.a), IMAM HASSAN and HUSSAIN(a.s) ” ki shan main nazail hoi hy na kh Azwaj-e-Rasol ki
shan main….jesay kay abi hawalay paish-e-khidmt kerta hun janab kay…

Ayat main lafz “ ‫ ” إِنَّ َما‬istamal kia gia jo “ HASAR ” kay manii main ata hy jis kay manii “ SIRF ” hotay hain
joo iss baat ki daleel hy kh iss ayat-e-tatheer main Al-e-NABI(s.a.w) kay leay jo khass azmat qarar di gy
hy wo kisi dosray kay leay nahi hy.

Ahl-e-sunnat apni Saha main riwayt kertay hain kh yh ayat 5 logun( yani RASOL,ALI,FATIMA,
HASAN,HUSSAIN ) ki shan main nazil hoi hy , oer RASOL(s.a.w) ny khud iss ayat ko inhi afrad sy makhsos
kia hy. Jb ALI o FATIMA o HASNAIN (a.s) chadar kay nechay aa gay tu oss waqt APP(s.a.w) nay farmya
PARWARDIGARR !! yahi meray Ahl-e-Bayat(a.s) hain in sy rijs ko dour farma oer pak o pakiza rakh.

Ahl-e-Sunat kay ulma ki ekk bari teadad nay iss waqeye ko naqal kia hy jin main sy kuch ko bayan ker rha
hun…

 Sahi-Muslim
 Sahi-Tarimzi

 Musnad Imam Ahamad ibn Hambal

 Mustadrak-ul-Hakaim

 Khasais Nasai

 Tafseer Fakhr-u-din Razi

 Sawaiq-ul-Moharka

 Doray Mansoor

 Tafseer-e-Kashaaf

 Al-Istyab

 Tafser ibn Kasir

Iss kay elawa b bht sy ullma-e-sunnat ny iss riwayt ko qalam-band kia hy…bas isi per main iktafa ker rha
hun..

Jb inn sb ko iss baat ka itraf hy kh khud RASOL(s.a.w) nay iss ayat ka misdaaq bayan farmya hy tu phr
APP(s.a.w) kay qoul kay baad Sahaba(r.a) ya Tabeyen(r.a) ya oen Mofasroun kay qoul ki kia haqeqt hy kh
jo kisi ki (???) kashnodi ki khater iss ayat ko oen manii per hamal kerna chahta hain jo KHUDA –o-RASOL
ki muraad nahi.

Yh baat qabal-e-tawajou hy kh agar yh ayat Azwaj kay leay b hoti tu Zoja-e-Rasol janab Bibi Ayesha nay
apni guftugou kay doran kahin na kahin kisi na kisi munasib moqa per iss ka izhar zaror kia hota, kiun kay
rewayat kay motabiq onhun nay apny fazail oer RASOL(s.a.w) say apnay rabtay ko bayan kernay main koi
kasar baqi nahi chorri, jab kay iss silsalay main inn sy kisi kism ki koi chiz rewyt nahi hoi…?? Oer iss baat
kay tu Ahl-e-Sunnat khud b qail hain kh nisf deen tu Bibi Ayesha say lia gia hy.

Oer mazeed tawalt-e-guftogu sy bachnay kay leay sirf Bibi Ayesha sy ek rewyt bayan kerta hunk h yh
Ayat-e-Tatheer kis ki shan main nazail hoi hy…?

Salbi, Bibi Ayesha sy youn naqal kertay hain:

“ Jis waqt bibi Ayesha sy jung-e-jamal kay baray main oer os tabha kun jung main inn kay amal-dakhal
kay silsalay main sawal kia gia tu (unhun nay afsoos kay sath) kha yh ek taqdeer-e-khudawandi thy oer jb
oen sy H.ALI(a.s) kay baray main sawal hoa tu kha: Kia mjh sy asay shaksh kay baray main pochtay ho jo
RASOL(s.a.w) kay nazdeq sb logun sy ziada mehboob oer APP(s.a.w) kay nazdeq mehbob-tareen khatoon
kay shohar thay, main ny apni ankhun sy ALI o FATIMA o HASNAIN(a.s) ko dkha kh RASOL(s.a.w) nay
onhain ek kapray kay nechay jama kia oer frmaya: “KHUDAWAND !! YH MERAY AHL-E-BAYAT OER
MERAY HAMI O MADADGAAR HAIN INN SY HAAR KISM KAY RIJS KO DOUR RAKH OER INNHAIN
ALOUDGIAOUN SY AESA PAK RAKH JESA PAK RAKHNY KA HAQ HOTA HY ”.

Main(Ayesha) ny araz ki: YA-RASOL(s,a,w) !! kia main b app kay Ahl-e-Bayat(a.s) main sy houn…???

RASOL(s.a.w) ny farmya: Pechay hatou !! tum khair per zaroor ho, lakin inn main shamil nahi ho…. ”.

Iss qism ki rewayaat sarahht kay sath batati hain kh iss Ayat main Azwaj –e-Rasol , Ahl-e-Bayat(a.s) ka
juzw nahi hain.

Yahan ek sawal b baqi reh jata hy takh behs ki koi baat tishna lab na reh jay isi leay iss sawal ka jawab b
zarori hy dena….

Question: RASOL(s.a.w) ki biwioun kay zikr kay darmian yh baat(ayat-e-tatheer) kiun-kar aa gy kh jis
main RASOL(s.a.w) ki Azwaj shamal nahi….??

Answer: iss kay bht sy jawabat hain pss ek hi jawab per ektafa ker rha hun sahib-e-aqal kay leay ishara
kafi hy…

ْ ‫ت َويُطَه َِّر ُك ْم ت‬
“ Hamaray pass koi dallel nahi hay kh “‫َط ِهيرًا‬ ِ ‫س أَ ْه َل ْالبَ ْي‬ َ ‫ ” إِنَّ َما ي ُِري ُد هَّللا ُ لِي ُْذ ِه‬ka jumla inn
َ ْ‫ب عَن ُك ُم الرِّج‬
ayats kay sath nazail hoa hy, balkay rewayat say achi trha malom hota hy kh yh hisa aledha(allag) nazail
hoa hy, lakin RASOL(s.a.w) kay dour main ayats-e-Quran ki jama awri kay moqay per YA iss kay baad
inn ayats kay sath qarar dia gya hy.

ْ ‫ت َويُطَه َِّر ُك ْم ت‬
Bas baat ko ikhtatam per laoun kh :: “‫َط ِهيرًا‬ ِ ‫س أَ ْه َل ْالبَ ْي‬ َ ‫ ” إِنَّ َما ي ُِري ُد هَّللا ُ لِي ُْذ ِه‬Ayat ka yh jumla
َ ْ‫ب عَن ُك ُم الرِّج‬

iskay hatmi iraday per daleel hy kh khasosn “ ‫ ” إِنَّ َما‬kay lafz ki taraf tawajuh kertay hoay kh jo “ HASAR
” oer taqeed kay leay hy wazeh ho jata hy kh KHUDA ka yh qatti irada hy kh Ahl-e-Bayat(a.s) har kism kay
rijs-o-nijast sy pak houn oer isi chiz ka naam “ ISMAT ” hy.

Yh nukta b akhar main qabal-e-tawaju hy kh iss ayat main irada-e-illahi sy muraad haram-o-halal kay
baray main ehkam oer farameen nahi hain, kiun kay yh ehkam tu sb kay leay hain oer Ahl-e-Bayat(a.s)

sy ikhtasas nahi rakhtay. Isi bina per wo lafz “ ‫ ” إِنَّ َما‬kay mafhoom kay sath ham-ahang nahi hain.
Pass yh musalsal oer mutwater irada oer ek kism ki khudai imdad ki taraf ishara hy jo Ahl-e-Bayat(a.s) ki
“ ESMAT ” oer oes kay dawam-o-tasalusul kay leay hy oer iskay sath sath irada o ikhtiyar ki azadi kay b
manafi nahi hy.

Ayat kay ESMAT-e-Ahl-e-Bayat(a.s) per dalalat kernay main shak-o-taradud nahi kerna cheye kisi b
muslimz ko………….

You might also like