Sahil Novel Till Part 12
Sahil Novel Till Part 12
Sahil Novel Till Part 12
Part A
Na tum mera phone utha rahe ho na hi mere messages ka reply? Aur tum yaha is tarah bethe ho?
(Ghar ki chat k kinare per bethe Sahil ko usne qareeb aa kar kaha)
Tumhe kese pata chala main yaha hoon?
(Usne dheemi se muskrahat k saath Shizreh ko jawab diya)
Very funny! Ab mujhe batao ge phir kis baat per tumhe ye attack hua ha?
Mujhe to koi heart attack nahi hua.
Shut up Sahil! Fuzool batein mat kiya karo tum ye Mazak aur jhuti muskrahat se kam se kam mujhe
nahi bhela sakte.
Aray kia hogya ha? Mujhe kuch nahi hua motu.
(Sahil ne uska hath pakar kar usay tasali dene ki koshish ki, ye jante hue k uski koshish kisi kaam ki nahi)
Sahil aur Shizreh ki dosti 12 saal purani thi, itefaqan milne wale do ajnabi waqt k saath saath dost se best
friends ban chuke thay aur shayad hi koi baat aisi thi jo inki apas main chupi hui ho.
Sahil tum kab tak khud ko aise jalate raho ge? Khud ka haal dekho, tum kia thay aur kiya hogae ho? Kab
tak tum ek hi baat ko drag karte raho ge (Enough Is Enough Sahil!), Tum puri dunya ko bewakuf bana
sakte ho apne in jokes aur muskrahat se magar tum mujhse nahi chupa sakte ho.
Motu jab tum sab janti ho to kyun baar baar ye sab kehti ho, tum khud kehti ho waqt sab theek kar
deta ha to phir.
(Shizreh ne Sahil ki baat adhe main hi kaat di.)
Haan kaha tha mene lekin waqt ho ya koi aur marham who tab hi apna asar dikhata ha jab tak insan
usko mauqa de aur khud koshish karna chahe magar tum ne khud ko aziat dene ko jese maqsad e hayat
bana liya ha, Kisi ne nahi unka socho jo tumse pyar karte hain, Tumhe maloom ha tumhari ye halat mere
lea kitni takleef deh ha?
Haan janta hoon k tumhe takleef hoti ha lekin tum bhi mera haal samjhne ki koshish karo motu, tum
sab se wakif ho tumhe sab pata ha phir tum kyun nahi samjhti? mene apne dil, is m chupi khuwaisho ko
khatm kar dia ha, mujhe kisi se koi wasta nahi h, dil ko mene muthi m daboch liya h k ab ye chahe bhi to
nahi jee skta, umeed, pyaar, saath, khushi, jeena ye sab mere lea ab be matlab hain, main bas us insan
ki tarah hoon jo salon se bistar per h sans lerha ha per kuch karna uske bas main nahe, mera dil ab us
parinde ki tarah h jo qaid hogya ha ek bina darwaze k pinjre main. chordo sochna.
Main tumhe aise nahi dekh sakti sahil tumhe mera khyal bhi nahi hai? Please mujhe mera sahil de do?
(Shizreh ne bheegi palkon se usay kaha)
Tumhara Sahil? Vaise tum aaj bauht khubsurat lag rahi ho, ye mere liye hai to I am so pleased
(Sahil ne muskra kar usay shararat bhari ankho se dekha)
Tum na Flirt karne se baaz aa jao verna tum jante ho Shizreh Ali kia kuch kar sakti ha, Tum meri baat
ka jawab kyun nahi de dete akhir, har baat tum thore din baad khud ko is tarah takeef dete ho phir
Shizreh yaar choro ye sab
(Ek baar phir hamesha ki tarah usne baat badalne ki koshish ki thi)
Ok Fine, Now please thora bauht ko bahar nikalo in sab se and chalo mere saath ab
Mujhe kidnap karne ka irada ha to pehle hi bata doon is se haseen kidnapping aaj tak nahi hui hogi aur
iske natije ki zimedar tum khud hogi, My Dear Friend. Kahi tum se pyaar hogaya to?
Ohh God, Tumhara main kuch nahi kar sakti, now please get ready I am waiting for you downstairs.
(Shizreh ne stairs se neeche jate hue usay kaha)
====================
Part b
Kahi apko hospital main kisi ward boy ya Dr se muhabbat to nahi hogai na?
(Hospital k kamre main andar aate hue Sahil ne Shizreh se kaha)
Agae aap, chalein aise hi sahi kam se kam jinaab ne apni vacation to khatam kardi, verna irade to mujhe
kuch theek nahi lag rahe thay.
(usne jawaban tanziya lehje k saath muskrate hue Sahil se kaha)
Aunty, main to apke lea aaya hoon verna is churail k lea kon itni khubsurat jagah se wapis aata.
(usne Shizreh ki ami ki taraf mukhatib hote hue kaha)
Sahil aaj 15 din baad murree se wapis Karachi aya tha, Pichli raat shizreh k hospital main admit hone ki
khabar usay mili thi aur woh foran Karachi agaya.
Haan to aap se kaha bhi kisne k aap ajao apna qeemti tour chor kar, jaha apka dil nahi bhar raha tha na
hi itne dino main koi theek se baat karne ki taufiq hui apko
Uff!! Aunty lagta ha aaj mausam kafi khrab hain toofan aane ka khatra lag raha ha behtar hai hum
saaya le lein
(usne haste hue Shizreh ki baat ka jawab diya)
Main aaya aur tum hospital se discharge hogai, How lucky I am for you darling.
Darling my foot you just go from here, main tumse koi baat nahi karna chahti.
Aunty main saman le kar jarha hoon neeche main apka wait kar raha hoon, mene hospital kay mamlaat
sab clear kar diye hain aap bas ajain I have her documents with me.
Raasta khamoshi se guzra tha, dono jante thay k woh ek dusre se ami k samne koi baat theek se nahi kar
pae ge islea dono chup thay.
Beta tum hi kuch samjhao isay main bauht pareshan hogai hoon ab is umar main na jaane kitne din reh
gae hain mere paas main isko aise dekh k mazid ghabra jati hoon, mere baad iska kia hoga kuch samjh
nahi aata tumhe to pata haina.
Ghar kay darwaze per puhanch kar shizreh foran apne kamre main chali gayi aur uski pareshani main ab
sahil se baat kar rahi thin. Ma aka dil bhi ALLAH ne pata nahi kis mitti se banaya ha khud per chahe kitne
hi musibatein aye pareshani ho per bachon ko is haal main dekh kar woh tarap si jati hain jese kisi ne
machli ko pani se nikal dia ho
Jee mama, mujhe sab pata ha dont you worry main dekhta hoon isay aap fikar na karein, aur abhi to
apki jawani ha abhi kaha jaane ki batein kar rahi hain aap
Sahil apni walida ko ami aur Shizreh ki walida ko mama kehta tha, unho ne kabhi usay apne bete se kam
na samjha tha aur ghar ki ek fard ki tarah hi tha.
Ye lo coffee Senorita, aur ab sukoon se mujhe batao kia hogaya ha kyun tum aisa karti ho har baar
haan?
Sahil jis waqt kamre main aya us waqt Shizreh khirki k paas bethe doobte hue suraj ko dekh rahi thi aur
Sahil uske samne aakar kursi leke qareeb hi beth gaya.
Sahil, please tum jao mujhe kisi se koi baat nahi karni main theek ho please go now ab aur kuch nahi
suna chahti main na kuch kehna ha
Tumne kaha aur mene sun liya haan? Please na yaar batao kia baat ha kyun itna tang karti ho tum?
(Isne Shizreh ka haath ka pakar k usay dheemi awaz se kaha)
Sahil tum mujhe batao kiya beti hona itna bura ha? Kiya larki hona itna bara gunah ha? Kiya ye ALLAH
ka faisla nahi k main is dunya main aao?
Oh to main theek tha phir us insan ne kuch kiya ha? Shizreh I swear I am going to kill him now enough is
enough us insan ka masla kia ha akhir?
Jo ansu woh kafi der se roke hue thi ab uski ankho se beh rahe thay aur woh sisakte hue Sahil se keh rahi
thi, Dunya main agar kuch na-pasand chezein thi to Sahil k lea Shizreh k ansu un main se ek thy.
Aray baba tum kyun aisa sochti ho? Agar tum na aati is dunya main to mera kia hota? Meri stupid si
batein kon suntan mere songs kon sunta kon mujhe raat k 4 baje bore ho kar bulata? Aur tum na hoti to
Ab chalo tum bas ready hojao, main abhi ghar se ho kar aata hon unhe nahi pata k main wapis agaya
hoon, phir hum chalte hain dinner aur ice cream khane tumhari favorite jagah per, mujhe tumhe ek baat
batani ha.
====================================================================
Part 3
Shaam k akhri kuch pal thay aur woh dono aksar in lamhaat main suraj ki uraan ko dhalte hue dekhne
yaheen samandar ki kinare aate, aur ghanto yaha beth kar is manzar ko dekh kar ek dusre ko behlate,
sardiyon ki shaam thi aur lehrein tez thi yun jese koi toofan aana ho.
Shizreh tumhe pata ha ye waqt na suraj ki tarah hota hai, hamari zindagi main ye hamein oonchi uraan
per le jaata ha itna oncha k hamein pata tak nahi chalta k kuch waqt main sab kuch dhal jae ga aur hum
phir ek dum se mu k bal aaker zameen per gire ge, aur phir waqt aajata ha jab andhera hojata ha har
taraf khamoshi hoti ha aur phir chaand hamein methi thandi si roshni deta ha tumhe pata ha meri
zindagi main na woh chamakta chaand tum ho.
Kiya baat hai mera dost aaj philosopher hogya hai? Aur meri zindagi main tum ho woh roshan chaand
jisne hamesha meri zindagi k andhero ko munawar kiya ha.
Hmmm haan lekin ye chaand hamesha nahi hota na motu ye hum se door bhi hojata ha hota ha per
dikhta nahi ha iski roshni hum tak nahi aati.
Sahil main shayad har waqt tumhare paas na rahu lekin mera saath hamesha hoga main kabhi tumhe
akela nahi choru gi tum ye mat sochna k main.
[Sahil ab uski ankho main dekh raha tha jin main halki si nami thi]
Shizreh I know tum kabhi nahi choro gi mera saath dunya main ek tum ho jiske paas mere har ansu
meri har khushi k lea waqt aur sahara hota ha, main to bas aise hi bas kuch nahi.
Tum kab tak khud ko aise aziyat doge han? Yaar jo hua so hogya ab us baat ko tum beth kar kyun aise
khud ko jala rahe ho? Sahil past tumhe kuch nahi dega bas tumhe torta rahe ga tum apni halat dekho
siwae mere tum kisi se nahi milte, tum ne job chordi, parhna chor dia, kaam tak tum dihan se nahi kar
rahe. Main hoon tumhare paas tumhare saath magar dunya main ek insan k sahare nahi jiya jaskta aaj
ma hoon tumhare paas tumhe cheer up karne k lea kal meri life mujhe kaha le jae kisi ko kia pata?
To tum bhi mujhse bezar agai ho jana chahti ho? Jao phir, main akela theek hoon jab 1 saal main nahi
mara to ainda bhi kam se kam saans lena aata ha mujhe.
[Sahil ki ankhein bheegi hui bhi thi aur chehra surkh bhi tha kuch aise jese koi khoof aake guzra ho
chehre se, Insan kitna be-bas ha khud ko bauht kuch samjh leta ha per haqiqat main woh shyad kuch bhi
nahi, kabhi rone k lea tanhai ka sahara kabhi hasne k lea kisi roshni ka intezar, kabhi dil k hatho to kabhi
waqt aur rishto k hatho majbur insan, muhabbat ho to lachargi na ho to intezar aur ho k guzar jae to
uske chale jane ka ghum]
Sahil tum stupid ho mene kab kaha main tumse bezaar hoon aur tum ab mujhse bhi yehi kahoge? Main
khud se apni zindagi se bezaar hojao gi per tumse nahi, tumhe andaza hi nahi k tum mere lea tareekh
raat ma chaand k ilawa aur kia kuch ho. Dekho main tmhari best friend tumhari hum-raaz hoon per
main larki bhi hoon mujhe ek din jana hi ha, tab saath hoga mere per main tmhare paas shyad na hu.
Sahil zindagi ruk nahi jati kuch khone k baad, kuch milta ha kuch nahi milta isi ko zindagi kehte hain, jab
daddy ne mera saath chora to mujhe ALLAH ne tumhara saath diya, to kia main tumhare milne main
khush rehti ya apne dad k na hone k ghum main tumhare jesa haal bana leti?
To kia main ye sab deserve karta tha? Mujhe kyun woh sab mila jisne mujhe aisa bana diya?
To kia main ye deserve karti thi haan? Phr mujhe kyun ye sab mila?
I know tum ye sab deserve nahi karti per.
[Shizreh ka chehra ab surkh ho chuka tha chehre per pareshani aur khafgi k tasur wazeh thay, ab usne
uski baat adhe main kaat di thi, kuch lamhe khamoshi hui, Sahil doobte hue suraj ko dekh raha tha aur
Shizreh ki ankhein Sahil ki ankho main nami ki maujoodgi ma khushi ki kisi kiran ko dundh rahi thin.]
Sahil per, agar, magar ye tum bauht kar chuke, tumhe apna nahi ha na khayal unka karo jo tumhare lea
pareshan hain, jab tumne mera saath diya tha tab tumne kaha tha k kisi ka saath itna haseen hota ha k
insan har dukh bhul jata ha aur main apna har dukh bhul gai, ya phir mera saath hi is qabil nahi k tumhe
khushi de sake? Tumhe agar kuch nahi mila to usko na dekho per usko dekho jo tumhe mila ha.
[Sahil ko ehsas tha k Shizreh pareshan ha aur kuch khafa bhi horai hai, usne uska haath thama magar
shizreh ki ankhein ab bhi samandar ki lehro ki oonch neech ko dekh rahi thin]
Yaar tum to mujhe samjho na tumhara saath ha tabi main dunya k samne khush hoon kam se kam unse
chupa hua hoon aur tumhare saath ki koi ghalti nahi ha bas mera dil jeena bhul gya ha, ab tum mujhe
foran pakar leti ho is main meri kia ghalti ha, Please na I am sorry yaar baat to sun lo.
Motu baat to suno tum bhi naraz hojao gi, aur tum bhi sab bhul nahi gai ho mene bhi tumhe kuch khone
per ab bhi rote dekha ha islea mujh per mat ho gussa tum.
Dil jeena bhul gya ha to jeena sikhana parta ha aisa nahi hota k khud ko devdas bana kar aise haal bana
do apna insan kuch khayal kar le kam se kam apna nahi mera to khair tumhe koi nahi khayal per mama
ka socho woh maa ha tmhari unhe pata ha tumhara haal, haan mere dil k kisi kone main ab bhi ha malal
kuch khone ka, sochti hoon k kal meri shadi hogi aur mere sar per haath rkhne wala woh shafqat bhara
haath na hoga lekin ye sab mene dil k kisi ek kone main chupa diya ha jo tab hi nikalta ha jab koi isay
khurede verna mera dil jeeta ha aur ye baat tum ache se jante ho, Sahil jo hamare lea acha ha woh
hamein milta ha thori si azmaish hoti ha kuch khona bhi parta ha per jo hamara ha woh kisi aur ka nahi
ho pata kabhi bhi ye baat tum samjho ge to hi tum jeena sekho ge, Zindagi pehle hi asaan nahi tum isay
aur mushkil na banao apne lea, main tum se waada kar rahi hoon na jeena sekho dil khud kahe ga tumse
mujhe roshni chaiye, aur tumhare hise ki har khushi tumhe khud mile gi.
Koshish karu ga lekin I know main nakaam hojata hoon har baar lekin tum to naraz mat ho? Acha chalo
to hum tumhare favorite restaurant chalte hain and waada, main koshish karu ga is baar sache dil se
lekin tum hi to kehti ho waqt khud sab theek karta ha waqt se acha koi marham nahi...haan janta hoon
uske lea bhi us marham ko mauka dena chaiye tab kuch hota ha sab samjha ab please pyari si dimple
wali smile de do?
Main koi moti nahi jo tum mujhe ab tak motu kehte ho us din tum ne us Sana k samne bhi yehi motu
kaha tha tumhe pata bhi ha kay k meri us se kabhi nahi banti aur tumhe mere saath dekh kar woh jal
jaati ha bachpan se hi jali hui to ha mujhse aur tum ne mujhe uske samne kaha? Main bachpan main thi
moti ab I am much smarter than any of the girls you know is that clear?
[Sahil ab khoob has raha tha aur Shizreh k is jhute gusse ne apna maqsad paa liya tha, Woh muskrahat jo
usay chaiye thi ab mil gai thi, Sahil uska hath thaam kar usay parking tak la kar gaari (Car) ka darwara
khol raha tha]
I know you are smarter than any of the girl I know per main to pyaar se kehta hoon na tumhe motu
konsa tum sach main moti ho, tumse haseen to shyad hi koi upar se utra ho is sadi main
Uff! Tum aur tumhara flirt dono ka koi ilaaj nahi ha, la-ilaaj bemari ha, ab please kia hum chal sakte
hain yaha se? Mujhe bhook lag rahi ha tumhari wajah se mene lunch tak nahi kiya, aunty is qadar
pareshan thi kay main unhe intezar nahi karwa saki.
Chal raha hoon boss wahi chal raha hoon, mama to bas pareshan aise ho hojati hain, mujhe kia hua
ha.
Part 4
badla badla lag raha ha. Shizreh inhi uljhano ko suljhane ki nakaam koshish ya kamyab koshish ko nakam
kar rahi thi, Insan kabhi kabhi sab kuch jan kar bhi anjan reh kar dil behlata ha.
Kaha gum ho?
Hunhh??
Mene kaha kia hua kaha gum ho?
Main main bas kuch nahi aise hi soch rahi thi kuch, Kuch khaas nahi bas aise hi, Bas choro.
Aray kia baat hai? Batao na.
Kuch nahi bas tumhe kuch batane ka soch rahi thi per tumhare surprise ka bas wait kar rahi hoon aur
kitni der lagni ha?
Bas agaye ye samne hi parking ha.
[Woh dono ab Samandar k kinaare maujood ek restaurant main thay, Shaam ab ahista se dhal rahi thi
aur raat andhera lekar bas kuch hi pal main aane wali thi, Woh andhera jiske aane se kahin to roshni
hojati ha kahi andhera, kahi suraj nikalta ha kahi raat hojati ha Khuda k nizaam bhi kia khoob hain lajawab aur be-misaal.]
Oh there she is, Shizreh ao tumhe kisi se milwana ha.
Hmmm to ye baat thi yahi wajah thi muskrahat ki haan.
[Shizreh ne dil main maujood toofan aur be-chaini ko ek awaz lagai, dil k kone main maujood kisi weham
ne ab yakeen ka darja hasil kar liya tha.]
Asalam O Alaikum
[Khubsurat chehra, lambe kaale reshmi se khule baal, dheemi muskaan, bari aur gehri kajal lagi ankhein,
ooncha qad, halka sa make up, lambi kurti, jeans aur.Shizreh is waqt samne maujood larki ka dil hi dil
main gehra tajzia kar rahi thi]
Walikum As Salam, Shizreh ye hai woh surprise Miss Kinza meri friend, aur Kinza ye hain meri sab se
achi yun kaho k meri hum-raaz meri best friend, jo mujhe khud se bhi ziada janti ha shyad dunya main
sab se ziada qareeb koi ha mere to woh ye ha Shizreh.
Asalam o Alaikum Kinza
[Woh dono is waqt halki si muskrahat k saath ek dusre se gale lag kar mil rahi thin]
Walaikum Salam Shizreh kesi hain aap? Apke bare main mene itna suna hai k aap ka mene chehra sa
apne dimagh main bana liya tha shyad jab Sahil se baat hui apka zikar kese na kese hamari guftugu ma
shamil tha.
Umeed hai apne acha suna hoga aur main apki imagination jesi hi hoon, Mujhe to apke bare main la-ilm
rakha gaya jiski khabar main baad ma le hi lugi, per badle badle se andaaz kuch bayan to kar hi rahe
thay.
[Woh teeno ab has rahe thay aur restaurant k kone per rakhi table per beth chuke thay, Suraj ab
mukamal dhal chuka tha aur raat ka andhera dastak de chuka tha]
Vaise ye ap dono doston ki apas ka mamla ha aap jo saza dena chahe Sahil ko manzoor hi hogi, vaise
ziada to kuch nahi tha batane k qabil phir bhi batana banta zaroor tha.
Aap na bhi kaho Kinza, inho ne mujhse ab hisaab zaror lena ha, Shizreh main sirf tumhe surprise dena
chah raha tha main tumhe batane hi wala tha bas k aunty ne mujhe phone per tumhari tabiyet ka bata
diya main pareshan ho kar foran bhaag aya.
Ohh I am so sorry main puchna bhul gayi, Aap ab kesi hain? Mujhe pata laga k aap hospital main admit
hogai thi, Sahil bata rahe thay k aap ka BP low hogaya tha is everything Ok now?
Jee I am perfectly alright kafi din araam kiya ha aur bas abhi hi hospital se discharge ho kar yahi aarahi
hoon in sahib ka surprise dekhne jo behad khubsurat ha, aur Sahil Sahab aap se to khabar baad main hi li
jae gi mere upar ilzam laga kar aap bhaag nahi sakte aise.
[Ek baar phir teeno muskrat rahe thay, Samandar ki lehrein tezi se kinare se takra kar wapis horai thi,
kam hi log aas paas maujood thay]
Ohoo Sahil aisi bhi kia jaldi thi k aap direct unhe hospital se hi le aaye? Main 2 3 din baad hi wapis jarahi
thi, aap ne khama kha zehmat di Shizreh ko, aur main kam se kam aap jitni khubsurat nahi, bauht kam
logo ko natural beauty milti hai aap un khush naseebo main se ho.
Aray nahi its Ok, Sahil Sahab aisi zehmatein roz hi dete hain zahir ha itne salon ki dosti ne itna haq to
diya hi ha, I am glad to meet you dear.
[Kinza, Sahil ki cousin k in-laws relative thi, dono ki mulaqat kuch mahine pehle ek family function main
hui, Kinza kyun k dubai main rehti thi islea dono ki uske baad mulaqat to nahi hui albata social site per
batein kia karte thay, Kinza in dino Pakistan main maujood thi aur Murree main apni khala k haan theri
hui thi aur Sahil k Muree jaane ki wajah Kinza se mulaqat hi thi, dono ki dosti ab muhabbat main tabdeel
ho chuki thi, aur Muree main saath guzara waqt dono ko mazeed qareeb le aya tha, Shizreh k achanak
beemar hone ki wajah se Sahil ko wapis aana para aur Kinza usi k saath Karachi agayi thi jisay ab 3 dino
main yahen se wapis Dubai jana tha, inhi baton ka zikar karte hue agle kuch lamhe guzar gaye thay]
To ye raaz tha us muskrahat ka jo sara rasta maujood thi? Mujhe wajah bauht achi lagi, I am so happy
for you Sahil.
[Shizreh ab muskrate hue Sahil se mukhatib thi jo dheemi si muskan aur ankho main intezar liye usay
dekh raha tha]
Chalo thats good kam se kam choti madam ki to approval mil hi gai, bari madam yani mama ki
approval bhi ab kuch asani se mil hi jae gi, mere lea zindagi ma mama aur shizreh ki har baat value karti
ha Kinza, yahi wajah hai k main foran bhaag kar Karachi agaya.
Sahil sahab ab kuch jagah balke kaafi jagah aap ek aur lady k lea bhi nikal lein inki value bhi kam se kam
mujhse ziada hai.
[Shizreh, Kinza ki taraf ankhein kiye keh rahi thi]
Nahi Shizreh main kabhi ap ki jagah nahi le sakti meri value jitni bhi hojae I dont think and I am sure I
cannot take place and I even dont want to take your place, har insan ki alag value hoti hai, mujhe Sahil
ki life main aye kuch mahine hue hoge per aap hamesha se saath ho.
Haan ye to hai, Shizreh ki value to hamesha se alag hi ha aur koi bhi iski jagah mere dil main nahi le
sakta, meri mama ko koi beti nahi per Shizreh unki ladli ha shyad unka apna beta unhe itna pyara nahi
jitna ye hain, isi lea main kuch adhura sa feel kar raha tha itne dino se ab I am so much in relief, batein to
chalti rahe gi kuch order karein? Shizreh ki to pasand ka mujhe maloom ha aap batain kia khae gi?
Kuch bhi jo aap logo ko pasand ho wohi main khao gi yaha aaker to mujhe bhook hi nahi lag rahi ab, ek
taraf samandar ka kinara ha aur ek taraf Shizreh maujood ha, I am loving this place itna sukoon hai yaha,
main bauht kam Karachi aati hoon last time bhi aleena baji ki shadi main ayi thi.
[Kinza apni cousin ki shadi ka zikar kar rahi thi jaha Sahil ki us se mulaqat hui thi]
Ye meri favorite jagah ha hum aksar yaha aatein hain restaurant to kuch kam aate Ok so lets order
something now
Sahil mere lea club sandwich mangwana bas please
Aray magar maine to hamari pasand ka mangwana tha kiya hogaya ab?
Kuch nahi hua pasand badal nahi sakti kia? Mazak kar rahi hoon ab aise na dekho, abhi hospital se
discharge ho kar ayi hoon I cant take heavy meal tum logo k sath taste kar lugi thora dont worry.
Ohh han ye bhi ha, Ok waiter please ek club sandwich add kar dena and make it quick please.
[Agle ek ghanta yunhi dinner karte hue guzar gaye, Sahil aur Kinza, Murre tour ki batein bata rahe thay,
Sahil ne jitney din guzare har din dono ki mulaqat hui aur Sahil uski khala k haan bhi aata jaata raha tha]
Sahil main toilet se ho kar aati hoon, ab thori to privacy doo na verna kaho ge private batein nahi kar
paya.
[Shizreh ne uth kar muskrate hue kaha, jis ko sun kar woh dono bhi muskra rahe thay. Aur ab Shizreh jaa
chuki thi.]
Sahil mujhe nahi lagta Shizreh mujhe dekh kar khush ha?
Aray nahi bas kuch problems hain family issue bas isi lea thora disturb hai I know she is happy aisa kuch
nahi hai, tum pareshan na ho, ye batao tumhe khana pasand aya?
Hmmm acha shayad per mujhe laga aisa islea kaha, Han khana behad laziz tha aur ye jagah to bauht
khubsurat ha, Dubai main to aisi jagah ha hi nahi.
Bas ab to is jagah se bauht jald rishta bandh jae ga.
[Kinza muskrate hue Sahil ko dekh rahi thi, Kuch lamhe yunhi batein karte guzar gae jab Shizreh wapis
aayi to Sahil bill pay kar chuka tha aur dono chalne ki tyari main thay.]
Sahil main ek kaam karti hoon taxi se ghar chali jati hoon tum Kinza ko company do, 2 3 din main wapis
chali jae gi so time spend karo ek dusre k saath.
Pagal mat bano hum bas ghar jarahe hain we are already very late, ab wapis chalna chaiye, Kinza ko
Sana baji k ghar drop karna ha woh Karachi ayi hui hain aur Kinza wahi stay kare gi, phir ghar chale ge
Ohh chalo theek ha lekin Kinza apne jaane se pehle zaroor milna ha balke aap ghar aye ga mama apse
mil kar bauht khush hogi.
Jee zaroor, main puri koshish karo gi baaqi Sahil per ha who lejana chahe k nahi.
Kyun nahi akhir woh mera bhi ghar hai, meri do maaein hain aur mama ka to main favorite hoon main
zaroor milwao ga, and aap Shizreh k hath ki coffee peena sab bhul jaoge.
Haan kyun nahi bas phir to aap se mulaqat zaroor hogi, ab humein chalna chaiye shayad.
Haan chalo akhir do ladies ki zimedari hai mujh per.
=====================================================================================
Part 6
KInza mujhe bas tumhara jawab chaiye? Kiya tum pyar karti ho Sahil se?
Main apko jawab dena zarori nahi samjhti, na main aap se ya kisi se is bare main kuch discussion
karna chahti hoon
Lekin ye kisi ki nahi mere dost ki life ka sawal ha, How could you do this to him?
Main apse keh chuki hoon insan se ghalti ho jati ha
Oh really ghalti, to is ghalti ka ehsas apko tab hua jab 1 saal aap ne
meri feelings ka Mazak uraya ha?
[Woh dono Kinza ki dost k ghar maujood thay, Sahil sar jhukae betha sab sun rha tha, Pehli baar
usne kuch bola tha]
Sahil mene kaha tha na tum bech main mat bolna? Main baat kar rahi hoon na?
[Shizreh ne uski taraf dekhte hue usay ankho se ishare kar k kaha]
Shizreh zarori nahi ha sab ki feelings hamesha ek jesi rahein hoskta ha kal jo zarori tha aaj woh na
ho
Miss Kinza mera pyaar aap k ghar ka koi bartan nahi k aapne use kara purana hua to phenk diya
and feelings sachi ho to hamesha ek rehti hain
[Hasna kahe ge k rona kuch isi tarah k tasur numaya tha uske chehre per, woh kinza ki batein sun k
chup nahi beth parha tha]
Aap ko jo samjhna ha samjhein aap, mene bauht arsa compromise kiya, ab mazeed main nahi kar
paogi, aur main vaise bhi jarai hoon Australia parhne is lea ab relation ka koi faida nahi ha
Compromise? Aap ne compromise kiya? Great, Shizreh suna apne aap inhe samjhana chahti thin
na? Kinza sahiba aap ka behavior mene bardasht kiya ha aap ka short temper nature aap ka chir
chira pan mene bardasht kiya ha kyun k aap se pyar karta hoon lekin aap ne compromise kiye hain
[Woh ab cheekh raha tha, uski ankho ne ansu zabt karliye thay, Parinda qaid ho chuka tha, teer ne
uske sene per gehra waar kiya tha]
Mujhe is per koi baat nahi karni ha, aap please mera tamasha na banain
Tamasha aap ne banaya ha mera mere pyar ka, jab sab jaan chuke hain hamara, har kisi ko
hamare rishte ka pata ha apko mene apni family se milwa diya phir apko yaad aya ye sab?
Mene aap se us waqt bhi kaha tha parents se na milwain kyun k abhi iska waqt nahi, lekin aap ne jo
kiya apni wajah se kiya ha
Mujhe nahi maloom tha Kinza sahiba k aap k lea ye sab Mazak hai main apke wado ko sach samjh
chukka tha, mujhe nahi maloom tha logo k lea ehsas Mazak hote hain sapne torne ki chez hoti hain
andaza nahi tha
Kinza dekho relations main problems aati hain iska matlb ye nahi k hum rishta hi khatm kar dein,
give some time jo problems hain woh sort our karein
[Shizreh ne kafi der baad kuch kaha, Sahil ki kaifiyat se us se ziada koi wakif nahi tha, woh pichle 1
mahine se shaded depression ki wajah se bemar sa lag raha tha, phone per hue mamule se jhagre
per Kinza ne us se taluq khatam kar diya, 1 saal tak jo rishta usne apne dil main saja rakha tha ab
woh murjha raha tha]
Sort out woh cheezein hoti hain jinko rakhne ka koi maqsad ho is relation ka koi maqsad nahi ha
jee aur relations ka maqsad tab hi nahi hota jab feelings khtam hojae aur feelings tab hi khatm hoti
hain jab woh hi nahi, aur agar koi feeling nahi thi to aap ne mere saath Mazak kyun kiya mujhe is
baat ka jawab chaiye
Feelings thi ya jo bhi mujhe hamare relation main kuch bhi theek nahi laga, shyad feeling thi hi nahi
attraction ho ya shayad ho feelings ab na ho
Ye feelings ab kis k lea hain mujhe iska jawab chaiye
It is none of your concern, pehle to aisa kuch nahi and second hai bhi to I am not answerable to
you
Yes it is Miss kinza, Yes it is, aap ne meri feelings k saath jo kiya iske baad you are answerable to
me
Shizreh aap ne jo baat karni thi shayd ab hogai mene sab bata diya, main kisi rishte ko bojh bana k
apne saath nahi chalna chahti, I have my career ahead, mujhe fashion designer bana ha I had to
move on so please
Lekin Kinza aise aap sab khatm kese.
[Usne Shizreh ki baat aadhe main kaat di]
Jab tak main naam na lu uska main yaha se nahi jaoga and you know very well k aap mujhe yaha
se nikal nahi sakti
Suna chahte haina aap fine, Yes there is someone ab aap ko tasali hogai please leave get lost now,
leave me alone
Get lost??
[Woh zor se has raha tha usay jhatka sa laga, ansu ka ek qatra ankho se baha hi tha k usne ankho
ko band karliya shayad maazi k kuch sunhere dor uski palko per ansu le aye thay, pyar se be-nam
rishta aur ab inteqal e taluq]
Yes, main aap k messages aur calls se pareshan hogai hoon main kuch din k lea kaam se yaha
aayi hoon please ab isay aap na khrab karein, from my side its all over
Shizreh please ab chalein? Aap ne samjha liya baat bhi Karli ab mujhe mazeed kuch nahi suna
Tum yaha kiya kar rahe ho?
[Woh gate ki taraf hi mura tha k kisi k aane per usay jhatka sa laga]
Main Kinza se milne aya hoon usne mujhe bulaya ha, hum beth k baat kar sakte hain?
Beth k main baat kar luga, pehle aap mujhe ye batain ge aap yaha kar kia rahe hain and Kinza se
aur is sab se aap ka kia taluq?
Sahil tum mere ache dost ho main nahi chahta k hamare bech kuch masla ho, beth k sab masle hal
hoskta hain
Mene tum se kuch pucha ha Hassan what the hell are you doing here?
[Hassan, Sahil ka cousin tha, Sahil ki agar khandan main kisi se banti thi to who Hassan tha jo k
Australia main parh raha tha, dono ek dusre ki baton se wakif thay]
Dekho Sahil..
[Hassan ne uske kandhe per haath rakhte hue usay bethne ka ishara kiya lekin Sahil ne uska haath
jhatke se hata diya, Toofan ka andaisha hochuka tha ab sirf tabahi honi thi]
Main ne jo pucha uska jawab do iske baad jitna chaho baat karlena
Main aur Kinza relation
[Ek zordar thapar ki awaz kamre main goonj gayi, Kinza ne foran aage barh kar Hassan ka hath
thaama]
Sahil, how dare you to slap him, Just go to hell, tumhe kabhi pyaar se baat samajh nahi aayi yahi
karna chahte thy tum shayad to hogya ab jao yaha se
[Sahil zor zor se has raha tha, uska makhsos andaz apne balon main dono haath ki ungliyan dale
woh hase jarha tha]
Main to bhul gaya k ye apke khandan ki khasiyat hain Hassan sahab apke haan to ye sab fashion
ha, khel ha aap sab k lea ye, aur Kinza sahiba kahi Australia main living relationship ka to irada
nahi?
Ohh just shut up, dafa hojao tum, Shizreh please yaha se le jao
Sahil tum chalo yaha se please bauht hua, meri ghalti thi main yaha tumhe le aayi
Bauht acha sabak diya ha aap dono ne mujhe aaj, kabhi nahi bhulu ga waqt bhi nahi bhule ga
[Woh uska haath thame usay bahar le jarai thi, Sahil ne peche mur k apne do rishto ka zawal dekha]
============================================================================
Part 7
Tumhe kia zarorat thi itna bolne ki? Kitni dafa mene samjhaya ha k apne is gusse ko qabu main
rakho log is kamzori ka faida uthate hain
Nahi to kiya karna chahiye tha mujhe? Beth k tamasha dekhta main?
Uff ho Sahil maine ye nahi kaha lekin itna khud ko mat takleef diya karo unhe koi faida nahi hoga
tum jante ho woh log ab ache ko acha aur bure ko bura nahi samjh paate
Tum ache se janti ho main jinko apna samjhta hoon jo k ginti k 5 6 log hain unke lea main
possessive hoon
Maine ye nahi kaha k tum possessive na ho lekin aise logo k samne tum jo karlo woh samjhne walo
main se nahi hain Sahil, Allah ne aise logo k lea Quran main Surah Bakra main kaha ha
(Allah Taalaa ney inn kay dilon per aur inn kay kanon per mohar laga di hai aur inn ki aankhon per
parda hai aur inn kay liye bara azab hai.)
[Woh usay Quran ki ayat ka tarjuma suna rahi thi]
Ab tum phir shuru hogai wahi batein phir se? mene kaha na jo mere samne ghalat baat kare ga
main unka yehi haal karu ga
haan yehi haal karo ge chahe is haal main tum khud ko kisi din ICU main admit hua dekho and
dimagh phat gaya ho
[Usne gusse main hatho main pakri hui kitab quaat se bistar per phenki aur kamre ka darwaza zor
se band karte hue bahar chali gayi]
Yaar ek to ye larki pata nahi chahti kia ha [Woh dheeme se uske jate hi bola]
Motu yaar sun to lo akhir masla kia ha bhyi hogaya na jo hona tha ab kia tum is baat ko kabse drag
kar rahi ho stop it na
Masla ye hai k roz tumhara har baar yehi tamasha hota ha aur har baar tumhe samjha samjha k
main haar jati hoon, fuzool logo k lea khud ko takleef de kar tumhe maza aata hai lekin meri baat
maante hue tumhe pata nahi kia hota ha
Acha yaar nahi hoga ainda I promise ab please ye gussa to khatam karo? Khud karo to theek ha
main gussa karu to tumhe masla ha?
Tum mere saath fuzool behas na karo jo kaha ha woh kar sakte ho to fine verna Mr Sahil aap kisi
mental hospital main apna name likhwa lein kyun k kisi din dimagh phat jana ha aur phir shyad koi
hospital khali na ho, aaj kal har dusra banda pagal jo hai
Haan jese tum Miss Shizreh
[Usne haste hue usay dekha]
Very funny, Hogaye tumhare saste aur bekar jokes?
Bas karo ab Shizreh woh sorry kar raha haina? Aur usne jo kiya woh ghalat bhi nahi unho ne
hamein kamzor samajh liya tha
Mama aap bhi iski himayat kar rahe ho? Apne dekha nahi uski halat kiya hui thi?
Acha fine usne keh diya na nahi hoga to stop it now, Sahil tum ghar jao tumhari ami ka phone aya
tha tmhare lea
Ohh Jee main jata hoon and aap isay kuch samjhaein ye chahe to bhi naraz nahi hosakti mujhse
islea drama na kare ab
[Woh gate se nikal kar bahar jarha tha k Shizreh ne usay apne paas rakha cushion peche se maara]
Ab tum yaha mat aana samajh agai
***************
[Sardi ka mausam tha aur sham k pehar main woh lawn main bethe
chai pee rahe thay]
What are you people serious? Mujhe yakeen nahi araha aap log ye baat keh rahe hain
[Woh zor se hans raha tha aur woh teno herani se uska chehra dekh rahe thy]
Ami please main ye sab abhi nahi kar sakta aur Shizreh ki dosti ko main kisi rishte se qaid nahi
karna chahta hum jese thay hamesha rahe ge
Sahil tum dono aur hum log samjhte hain is rishte ho per log nahi samjhte woh isay ghalat naam hi
dege aur uski shadi k baad ye dosti kabhi vaisi nahi rahe gi, mene hamesha Shizreh ko apni bahu
samjha ha aur hamesha se khuwaish ha meri ye
Ami please mujhe ab kuch nahi suna aisa kuch nahi hoga, aur logo ko jo bolna ha woh bolte rahein,
jo rishte mazbut ho unhe faasle bhi tor nahi sakte jese thay vaise rahe ge Shizreh deserves a lot
better than me
Lekin Sahil.
[Woh cup rakh kar ab gate ki taraf jaraha tha]
*****************
Tumne suna century ka sabse bara joke?
[Woh haste hue un dono k samne maujood tha, Samne khamosh bethi shizreh se woh mukhatib tha,
uske lafz sun kar un dono ne ek dusre ko dekha]
Kiya matlab?
[Shizreh ne usay herangi se pucha]
Aray baba wahi, ye hamare dear family members hum dono ki shadi ka soch rahe hain, can you
imagine it?
Hmmm, haan woh, wahi to dekho inhe kia hogaya ha hum dono ki dosti ko shadi jesi complication
main involve kar rahe hain, ye parents bhi na, hum dono dost thay dost rahe ge inko dost samjh hi
nahi aati haina Sahil
Aur nahi to kiya, inko to kuch samjh hi nahi aata waha woh teno bhi yahi zid lagae hue hain aur I
know wahi lame excuses tumhe bhi sunae hoge shadi karlo verna dosti nahi rahe gi, kia aap log bhi
na mama result se ziada to aap logo ne pareshan kardiya
Tum choro inhe Sahil tum bas tyari karo tumhe ab CSS ki tyari karni ha,You have promised me k
tum civil service officer ban k dikhao ge, ab tum ghar jao and tyari karo
Haan lekin tum kaha jarahi ho?
Main bas thora thaki hui hoon I want to take some rest
Lekin hamara to plan tha k hum aaj movie dekhne jae ge maine tickets le liye hain yaar
Sahil aaj nahi please phir kabhi chale ge
Lekin??
Tum chale jao Sahil saath main phir kabhi chale ge
Pata nahi aaj sab ko kiya hogaya ha, acha jaata hoon per I am not going for movie now mood hojae
to let me know han
Haan bata dugi
[Woh apne kamre ki taraf jarai thi, aur Sahil uske achanak badle hue mood ko dekh kar kuch heran
tha]
Shayad ye baatein sun kar pareshan hogai [Woh dil main khud se keh raha tha]
==========================================================================
PART 8
Mujhe maloom tha k shehar k naami girami actor yahi maujood hoge
[Shizreh college se wapsi k baad abhi ghar main dakhil hui jab usne Sahil ko sofa per bethe dono
tangein (legs) table per rakhe khana khate dekha]
Agayi hitler, mama! Kyun aap ko kisi drama serial main cast karna tha mujhe?
[Sahil ne shararat bhari muskaan k saath jawab diya]
Nahi apko apki performance per award dena ha Sahil sahab aap to kamal k actor hain, Bauht
khoob
Kia baat ha beta kyun itna gussa horai ho?
[Ms Samrah ne fikarmand lehje main Shizreh se pucha]
Ye aap apne is bete se puchiye ga jo jhut bol kar yaha maze se movie dekh raha ha, aur aap isay
khana khila rahi hain
Mujhse kabse permission lene ki zarorat par gai yaha aane k lea? Mera ghar ha kabhi bhi aaskta
hoon
[Sahil sofa per beth kar har baat se befikar movie dekh raha tha, dono tangein(legs) table per rakh
kar woh yun ajan ban raha tha jese usay kisi ki khabar nahi]
Aap bhul rahe hain Sahil sahab apka ghar samne hai jaha shyad aap sone jaate hain sirf, baki time
to apne bahar ghumna hota ha logo k saath Mazak karna ya phr yaha
Shizreh kia hogya ha uska bhi ghar ha woh jab chahe aye yaha tum kyun us per itna khafa horai
ho?
Kuch nahi mama aap to bas iska side lein, kuch dino main papers hain aur ye bemari ka jhut bol kar
yaha picnic mana rahe hain aur akhri din ye ajae ge k mujhe parha do please
"haan to mujhe bukhar hai tabi nahi aya na verna main kyun nahi aao ga college?"
[usne be-fikri k alam main bina dekhe jawab diya]
"Acha apko bukhar ha? Bukhar main insan biryani nahi khata, aur aap college aake bhi konsa parh
lete hain? Ya to college main dating ya college se bahar awara gardi aur Assignments k lea to apne
mujhe rakha hua ha
Excuse me! Biryani mama ne banai ha apko kia issue ha, aur tauba karein Shizreh sahiba main aur
dating? Mere grades dekh kar kon apki baat pe yakeen kare ga? Ziada itrao mat nahi aaoga help
lene apki.
"Ye biryani mene banai thi raat main aur ye mene apne lea rakhi thi, yahi to nahi maloom k apko
marks kese milte hain verna Sahil sahab k bunks aur affairs to mashoor hain har jagah, Aur haan
assignment main banao gi bhi nahi ab"
"Ohh tabi to main kahu k aaj biryani main woh taste nahi hai, Mama apki beti ka bp high hai kuch
dein isko"
[usne haste hue mama ki taraf dekh kar kaha]
"Fine na khaein aap"
[Shizreh ne plate cheen kar kitchen main rakhdi]
aur haan jab aap picnic se farigh hojae to mujhse aake mil lega
agar apko koi problem na ho Mr Sahil
Haan haan mil luga jake thanda pani peo Miss Shizreh, Mama aap chorein isay aap yaha aake
bethein bauht achi movie ha
[Kandhe uchkate hue woh ab apne kamre ki taraf jarai thi, Sahil phir se movie dekhne main masroof
hogaya aur phir bekhabri ka dour chala]
*************************************************************************************************************
"Utar gaya gussa ya ab bhi kuch batein sunani hain?"
[Shizreh apne room main rocking chair per akhein band kiye bethi thi jab usne aake us se sawal
kiya]
"Tum per gussa kar k naraz ho kar mujhe jaana bhi kaha hai"
[Band ankho se usne bina dekhe usay jawab diya, jawab-e-la-hasil]
"To kis baat per khafa thi aap ab?"
[Uski band ankhein bhi sehar-angez thi, woh unhe dekh raha tha]
Kuch nahi bas college main aaj mera Jibran se jhagra hogaya
[Woh apne class mate se hue jhagre k bare main Sahil ko bata rahi thi]
What? Jibran ne tumse jhagra kiya? Usay to main abhi batata hoon
[Woh gusse main utha, aur Shizreh k hatho ne uske qadam rok liye]
Ruko Sahil, Ghalti uski nahi ha meri ha, Main hi tumhare bare main kuch nahi sun sakti chahe woh
kuch bhi ho
Usne mujhe kia kah dia jis per itna gussa?
Kuch nahi bas main class main assignment bana rahi thi aur woh apne dosto k sath aya and kehne
laga k (aaj tumhara awara bodyguard nahi aaya, han hoga kisi larki k sath dating main masroof)
[usne ab ankhein khol li thi aur ab khuli ankho main bhi wahi be-chaini thi]
To sach hi to kaha ha konsa koi jhut ha? Main hoon bodyguard main hoon awara main hoon flirt,
Why are you getting anger on this?
Kyun k main janti hoon mera Sahil aisa nahi ha, Sahil tum jo kar rahe who tumhe thaka dega, tum
bhul kyun nahi jaate jo hua so hua kab tak us ek bandi ki wajah se apni life ko spoil karo ge?
Main kisi ki wajah se nahi kar raha motu
Sahil please bauht hogya ab, tumhe acha lagta ha sabse apne bare main bura sunna khud ko
takleef dena aise? Aur woh jiske lea tum ye sab kar rahe ho, woh last week engagement kar k bethi
ha woh bhi Hassan se Sahil sahab, apni pasand ki..
[Woh sar jhukae betha tha aur Shizreh ki ankhein bheeg chuki thi]
Maloom hai uski mangni hogai ha woh Australia jarahi hai aur woh ab wahi studies continue kare gi,
sab janta hoon
Jante ho phir bhi us larki k lea apni life ko waste kar rhe ho? Woh ab tumhara naam tak nahi janti
hogi aur tum us Kinza k lea ye sab
Main kia karu phir? Main jitna bhulna chahta hoon utna mujhe ye sab yaad aata ha kuch din theek
hota hoon phir sab yaad ajata ha main khud ko aziyat na de kar bhi de deta hoon
Sahil mene kitni dafa samjhaya ha k waqt se acha marham nahi hota us la-hasil relation ki wajah se
tumne 1 saal se khud ko aziyat di hui ha bas kardo ab, dard ka ilaj hai per tum nahi karna chahte
shayad theek khud ko
Waqt? Aur kitna waqt du aur waqt hi kar dega sab to theek hojao ga main khud, kia ha ilaj?
[woh ab uth kar khirki ki taraf ja chuka tha, Parinde azaad hawa main sab se be-fikar]
Sahil tum ek baar ALLAH se maang kar dekho tumhe sukoon usi k dar per mile ga, ek baar mere
kehne per kar k dekho
Shizreh tum janti ho main nahi kar sakta aisa mujhe apne gunahgar hone ka ehsas shidat se hota
ha mere dil main ab tak woh noor nahi k main uske dar per uska samna kar saku
Sahil woh noor khud dega tum ek baar maang kar to dekho, woh dil ko sukoon dega tum ye khel
band kar k ek baar to hazri do
Main kisi se nahi khel raha
Tumhara dil toota per uski saza tum dusri larkio ko kyun derhe ho? Ye khel nahi to aur kia ha k har
dusre din tum kisi se muhabbat ka Mazak karte ho
Oh please shizreh! Tum janti ho woh koi masoom larkiyan nahi hain, sab matlab ki wafadar hain,
sab k past main affairs ki lambi list ha aur mere baad bhi list continue rehti hai main bas unhe
sikhana chahta hoon k matlab k lea wafa kitni mehngi par sakti ha
Agar koi mujhe ye sabak sikhae?
[Woh uske qareeb aake ab uski ankho main dekh rahi thi, Lehrein ab bhi tez thi toofan aana tha
shyad]
Sabak sikhane wala phir zinda nahi rahe ga, Sun lia? Ab khud ko mat lana bech main
[Sahil khafgi main usay dekh raha tha]
Kyun zinda nahi rahe ga? Tum dusro k saath kar sakte ho koi mere sath koi Hadiqa k saath kyun
kuch nahi kar sakta?
[Shizreh ne Sahil ki choti behan ka zikar karte hue usay gusse se kaha]
Kyun k Hadiqa, Sahil ki behan aur Shizreh meri dost hai
Maryam bhi kisi ki dost kisi ki behan ha Sahil jiska dil tumne tordia aur aaj woh mujhe kisi murjhae
hue phool k jese lag rahi thi, woh to aisi nahi ha Sahil uske sath tum jo kar rahe ho woh kia ha?
[Maryam, un dono k college main saath parhti thi, bauht baar usne Sahil se apni feelings ka izhar
kiya tha lekin Sahil har baar uski baton ko nazar andaz kar deta tha]
Mene us se koi waada nahi kiya usne mujhse dosti karna chahi mene ki, usne mujhe kaha k woh
mujhe pasand karti hai mene kaha theek ha, kiya mene usay kaha k I like her too? To ab kyun woh
tamasha kar rahi ha
Stop being so selfish Sahil, woh tamasha kar rahi ha aur tum kia kar rahe ho phir ek saal se? Us
Kinza k lea ek masoom larki ki zindagi k sath khel rahe ho?
No, I am not, main kisi k sath kuch nahi kiya, aur tum sab ki wakeel na bano please, hazar dafa
kaha ha Kinza ka naam mere samne na lo I hate her usne jo kiya woh
Tum na kar k bhi bauht kuch kar rahe ho Sahil, usne jo kia usay chor do ab bhula do, Move on,
apne lea nahi to apne parents k lea apne dreams k lea Sahil kuch log tumhe dekhna chahte hain
barhte hua unka socho maazi sirf takleef deta hai, kanto ki rahein hain ye in per chal kar zakhmi tum
hoge un kanto per ya un kanto ko bichane wale be-asar rahe ge, Aaj Maryam ka dil toota ha kal kisi
aur ka aise tum khud ko kabhi khush nahi rakh pao ge
Shizreh main theek hona chahta hoon per nahi bhul pata kuch ab to college bhi khatam hone wala
ha ab nayi zindagi ka aghaz hai shayd main sab bhul jao, waqt ka marham mujhe shayad theek kar
de, Main Maryam ko samjha luga woh meri aag main khud ko na jalae
Lekin tum aise sab se khelna band karo Sahil kon kesa ha kon kia ha kon kia tha isko tum na socho
saza aur jaza tumhara kaam nahi
Koshish karu ga Shizreh main per main haar jata hoon
Nahi haro ge main hamesha tumhare saath hoon, sab kuch nahi milta Sahil kuch khona parta ha
kuch paane k lea mene bhi bauht kuch khoya ha per khud ko saza nahi di kabhi
[Woh uska haath thaam kar usay hamesha ki tarah tasali derai thi]
Haan shayad yahi sekhna pare ga, Ab main jaata hoon ghar bauht thak gaya hoon araam karna
chahta hoon, Subah mile ge college main
Subah kyun? Sham ko nahi aao ge parhne?
Nahi motu aaj nahi, kal parh lege aaj khud ko parhane do
[Dheemi muskaan k saath woh usay dekh kar kamre se bahar jarha tha aur shizreh ek baar phr haar
chuki thi, woh janti thi aaj phir usne nakaam koshish ki ha]
============================================================================
Part 9
Sahil, Tum.. Tum insan ban jao hazar dafa samjhaya hai mene gaari(car) ahista chalao mujhe dar
lagta ha
Aur maine bhi tumhe kaha hai k main aaj bauht khush hoon, let me live this moment, Please!
Present moment k chakar main tum aur main past ban jaege
Aaj hum dono graduates hogae hain, University khatm ab new phase start hona ha life ka aur tum
ye bore baatein kar rahi ho?
Ok fine! Do what you want to do
Acha yaar, naraz mat ho ,ab theek hai?
(Usne gaari ki riftaar kam kardi)
Haan very good, Thats like a good boy ab aise hi chalaya karo hamesha
Han sirf tumhare samne
(Sahil ne muskrate hue usay dekha)
By the way hum jaa kaha rahe hain? Tum ne mama ko bhi ami abu k saath bhej diya whats the
matter?
Aap dono to koi baat na ho phir bhi treat le hi lete ho, Aaj treat Shiraaz k lea ha, Filhal aap dono
betho main aur Shizreh bas 5 min main aye
(Woh aur Shizreh ab caf k dusre floor per thay, Sahil usay mustakil dekh raha tha aur woh kuch
samajh nahi paa rahi thi)
Hadiqa aur Shiraaz ek dusre ko pasand karte hain? Am I right or right?
Kia matlab? Tum ye kese keh sakte ho?
Just tell me yehi baat ha?
(Sahil ne uski baat un-suni kardi)
Haan, Woh dono ek dusre ko pasand karte hain, isi lea hum yaha hain, per tumhe kese pata
chala?
Behan ha meri jaan ha us main, Zahir hai sab pata lag jae ga aur main ye baat ache se janta hoon
kafi pehle se
Woh bauht dari hui ha, tumhare gusse se sab darte hain, isi lea usne mujhse baat ki, Ab please us
se araam se baat karna and support her, You know about Shiraaz very well
Hmmm, haan chalo
Jee to aap dono, ab aap btain mujhe kia karna ha mujhe
Sahil bhai, Main hadiqa ko bachpan se janta hoon aur
Aur tum usay pasand karte ho, aur ab meri behan ko mujhse door lejana ha?
(Usne uski baat aadhe main kaat di)
Jee lekin.
Lekin chorein aap, Mujhe sirf ye btain k meri behan ko aap utna pyar de pae ge jitna mene aur ami
papa ne diya ha? Nahi to aap ko mere gusse k bare main Hadiqa ne btaya hoga?
Sahil, tumhe mene mana kara tha, Usay baat karne do pehle
(Shizreh ne usay rokna chaha lekin usne un-suna kardia)
Jee main janta hoon, aap k lea hadiqa bauht important hai aur aap inke ansu ya udasi nhe bardasht
kar sakte, isi lea apse mene apke qeemti phool ko manga ha, aap jesa chahein mujhe manzoor ha
To phir Khan Uncle se kehdo k woh papa se baat karlein, lekin yaad rakhna meri behan mere lea
bauht qeemti ha, You better be careful
Thank you so much bhaiya, I love you so so so much
(Hadiqa us se gale lag kar uske galon ko chum rahi thi, Usay jab bhi kuch chaiye hota hamesha
Sahil se manga karti)
Love you too, aur aap ghar chalein main apko ache se batata hoon, Lekin haan apki parhai khatm
hone se pehle kuch nahi, ek saal tak apne sirf parhna ha
Jee I promise, and I know aap ghar chal k yehi bataein ge k Hadi jani tum bauht pyari ho
Very funny, Ab aap log yaha betho main aur Shizreh chalte hain, thora kaam ha, aur haan Shiraaz
in muhtarma ko jaldi ghar chore ga
Jee bhai sure, Thank you so much
(Woh dono gale lag kar mil rahe thay)
***********************************************************************
Sahil tum itne udas kyun ho kabse dekh rahi hoon chup ho aur hum yahan Samandar k kinare kia
kar rhe hain
Kuch nahi bas, Dil kar raha tha
Tum udaas ho? Aaj itna khushi ka din hai, Hum graduates hain, Hadiqa itni khush hai, tumhare
dream pure hone ko hai, Foreign Service??
Main ek saal k lea chala jaoga aur wapis aaoga to Hadiqa ki shadi, Woh mujhse door chali jae gi
Tum konsa bauht door ho, Lahore kuch ziada door to nahi aur tum aate jate raho ge, Sab ne jana
ha Sahil ek din main bhi
(Woh kehte kehte ruk gai, Ankhein nam thi)
Khof hai mujhe tumse juda hone ka
Tum bin jeene ka dil tasawur bhi kese kare
Tum bhi chali jaogi? Mere khuwab mujhe mere apno se door kar dege ye mene nahi chaha tha
motu
Sahil jo apna hota ha woh dur nahi hota hum sab tumhare saath hai, Hadiqa ka socho kitna khush
hai tumhe udaas dekh kar woh kia soche gi, Sab ko man chaha saathi mile ye zarori nahi hota, woh
khush naseeb hai, tum uske lea dua karo and smile please
Lekin main uske saath time spent karna chahta hoon
Haan to tum weekends per ajana Karachi, Is main kia ha?
Lekin Shizreh, woh abhi itni choti hai, Jaldi kyun karein
Sahil woh choti nahi h ab tumse 2 saal to choti hai
(woh chote bacho ki tarah us se sawal kar raha tha aur Shizreh har baar ki tarah usay sahara de
rahi thi)
Lekin..
Lekin kuch nahi ab khush hojao itna kuch ek saath mila ha ab utho ghar chalein, tumhe uncle se
baat karni ha aur wait kar rhe hoge sab ghar pe
Haan chalte hain, Tum coffee to pee lo
(Woh phir kuch sochne laga, Lekin Shizreh ne usay nahi roka woh janti thi usay jitni muhabbat
Hadiqa se thi ye sab fitri amal hai)
============================================================================
Part 10
"Sahil tum mere jazbaat se wakif ho, aur tum mujh se bhi wakif ho, in jazbaat main sirf sachai hai.
Haan main janta hoon k ye jazbe sache hain, lekin.(Usne baat bech main kaat di)
Lekin kia Sahil?
Lekin ye k ab mere dil main koi jazbaat nahi hain, main tumhare nahi kisi k bare main aisa nahi
sochta
To kia tumhe koi aur pasand hai?
Nahi, aisa kuch nahi mene kaha na ab mere dil main aise koi jazbaat nahi hain
Sahil jazbaat kahi nahi jaate hum dar k unhe chupa dete hain, Insan k saath hone wale bure
experiences dil ko kamzor kar dete hain, lekin jazbe kahi nahi jaate, hum itne be-bas hojate hain
kabhi kabhi k hum apne ehsasasat aur jazbaat ko rok nahi paate
Tmhare jazbaat ki main qadar karta hoon lekin ye sab la-hasil hain, main kam se kam tumhare
saath woh khel nahi sakta jo sab k saath khelta raha hoon
Mujhe ye khel bhi manzoor hai agar tum mere saath ho
Ab main in sab cheezon se aage nikal jana chahta hoon, ye na-mumkin hai
Per main? Mera kiya mene bauht koshish ki hai tumhe bhulane ki
(Uski palkein ab bheeg chuki thi, chehre pe shikastgi k asaar thay)
Tum sab bhul jao gi, ye waqt ka marham agar hum isay mauka de to sab sambhaal leta hai
Aur agar mauka hi na diya jae to? Agar dil apne man-pasand per hi ruk jae? Dharakna bhul jae?
Sambhalne ka sahara bas wahi uska man chaha ho to
To shayad zindagi dard ban jati hai, Hum jisay man-pasand samjhte hain woh aksar hamara nahi
hota hamare lea behtar nahi hota, Man pasand kuch nahi hota ye sab hamara weham hai
Sahil maine bauht koshish ki hai aur ab to hum shayad milein bhi nahi, main papers k baad Lahore
chali jaogi aur tum university life main busy, tab ye kami mujhe mazid kamzor bana degi
Lekin main kisi rishte ki bunyad bina jazbaat aur ehsasat pe nahi kar sakta meri baat ko samjho
Maryum
Jazbaat kabhi na kabhi jaag hi jaate hain, Mere liye tumhara hona tumhara saath hi sab se
khubsurat ehsas hoga
Agar aisa hota k muhabbat naam k jazbe se main wakif hota to bhi main tumhara saath qubool kar
leta kyun k hamein saath unka lena chaiye jo humse pyaar karte ho na k hum jinse karte ho
Tum muhabbat se wakif nahi ho?
Nahi hargiz nahi mujhe is jazbe se wakfiyat hi nahi na hi mujhe iski zarorat hui kabhi
Ek baat puchoon? Bura to nahi mano ge?
Haan pucho
Kiya tum aur shizreh ek dursre se. (Sahil ne baat aadhe main kaat di, Khafgi k tasurat uske
chehre per numaya thy)
Oh for God sake aisa kuch nahi hai, tum logo ko dosti k rishte main aisi kia kami mehsoos hoti hai k
is muhabbat naam k rishte se jor dete ho hamein?
Mene socha shayad tum is wajah se mujhe thukra rahe ho
Main tumhe thukra nahi sakta koi bhi insan tumhare aage apni muhabbat bicha sakta hai, lekin
main tumhari qadar karta hoon janta hoon k tumhare jesa life partner main deserve nahi karta aur
yakeen mano tumhe mujhse bauht acha mile ga tum ye sab bhul jao hum dost thy aur rahe ge, Is se
ziada main kuch nahi desakta tumhe
Class ka time hogaya hai Sahil baad main milti hoon, Main late hojao gi(Bheegi palkon ko
chupane ka is se behtar mauka uske paas nahi tha)
I am sorry Mariyum..
(Uski baat unsuni karte hue woh ab jaa chuki thi)
**********************************************************************
Please Shizreh ab tum mat shuru hojana, Dont you know me? I am not of that type
Lekin Sahil, Mariyum koi buri larki to nahi, She loves you aur yehi sab se bari baat hai k there is
someone to love you
Shizreh aise bauht hain jinhe main acha lagta hoon ye pyaar wyar sab waqti emotions hain
attraction ha usay sirf kuch din main khatam hojae gi aur she will be back to her normal routine
Lekin ek saal se uske jazbaat wahi thy jaha ek saal pehle thay, Tumhare inkaar aur badtamezi k
bawajud woh ab bhi tumhara hona chahti hai
Lekin main kisi ka nahi hona chahta, Agar woh chahti hai main sab k jese us k saath bhi flirt karu
aur kuch time baad chor du to theek hai kar leta hoon
Oh please Sahil, Kam se kam woh Kinza se to bauht achi ha, She is sincere with you, Tum larko ka
kuch pata nahi hai jinse wafa karni ho unse hi mu mor lete hain
Shizreh mene dus dafa kaha hai uska naam mere saamne na liya karo, Woh jo thi jese thi maazi ka
ek hisa hai
(Sahil k chehre per khafgi k asraat numaya thay)
Maazi ki wajah se tum apne present aur future ko kyun disturb kar rahe ho?
Aisa kuch nahi hai
Aisa hi hai agar aisa nahi hai to apna mu kyun mor liya hai? Meri ankho main dekh k kaho
Dekho aaj main bauht ache mood main hoon dont spoil it, Mene keh diya k main mariyum ko vaise
kabhi nahi soch sakta na hi main is waqt in relations main aana chahta hoon islea ab khatm karo
baat
Ok fine, I am sorry apka mood spoil kia lekin aap ko khud ehsas hoga ek din k aap ghalat thay
Shizreh, har insan thokar kha k hi seekhta hai, Hum kuch kho kar hi paane ki chahat ko mehsos
karte hain
Lekin tum bauht khubsurat sa saath kho doge main janti hoon usay she is perfect for you
Really motu? Tumhare hi lafz thay na k zindagi main kuch bhi perfect nahi hota?
Han lekin rishte hosakte hain agar saath diya jae to, Masla kia hai akhir
Shizreh abhi college khatam hua hai phir university aur tumhe pata hai mujhe kitni mehnat karna
pare gi apna dream pura karne k lea?
Dream k liye tum saath chor doge apno ka?
Shizreh woh meri kuch nahi lagti meri life tum 5 logo k gird ghumti hai bas, Ab please itne ache
mood ko spoil na karo
Ok fine..(Shizreh ne mu banate hue usay kaha)
Yaar itna romantic mausam hai, Itni khubsurat tum itna handsome main, Movie bhi hamari favorite
please ab aise na karo
(Usne koi jawab nahi diya, aur mobile main masroof hogai)
Aur Sahil itna acha nahi k sab ko dikhae ye sab, Ab please chup kar k movie dekho and hum is
weekend Murree jarhe hain
Tumhara dimagh kharab hoga mera nahi jo itni sardi main Murree jao
Tum bore insan ho, Shizreh madam yehi to maza ha sardi ka Murree aur waha thandi ice-cream
Mama.
Mama se puch liya hai ab drame band karo darpok, Movie dekho
Part 11
Tum yaha seepiyan jama karne aati ho ya samandar ki dhalti barhti lehro ko?
Seepiyan aur larkiyan ek si hoti haina islea mujhe pasand hain.
kiya matlab?
matlab ye budhu k in k dil main bhi hamari moti hota hai per woh sab k hise ma nahi aata woh bs ek
ka hota ha jo uski qadar kare, haan kabhi kabhi hum dhoka kha k ghalat hatho main isay sonp dete
hain phir yunhi kinaro main khali dil liye basera kar lete hain.
Tum aur tumhari ye batein najane kb samjhu ga.
Samajh jaoge insan kuch kho k hi kuch pata hai kuch dur ho k hi apni ehmiat ka ehsas dilata ha
verani main shor ka ehsas hota ha, sab samjhte hain tum bhi samajh jaoge bs jab dil pukare sum
lena.
Aur mujhe kese pata lage ga k woh baat sahi hai?
Dil ki sunte hue koi nahi bhatkta Sahil, hum bas apne nafs ko dil ka ghulam bana lete hain, woh
hamein bhatka deta hai, kuch lahasil chezo pe unhe peche chor dete hain jo zindagi ka maqsad hota
hai.
Aur agar dil khof main woh na karne de jo uski khuwaish ha?
Dil ki khuwaishein lahasil hoti hain woh nafa nuksan nahi dekhti, be-lagam si har cheez se naashna
khuwishein.
Aur hum jee lete hain un khuwaisho k adhure pan k sath?
Insan mitti ka bana hai ye har chez har shape ma dhalna janta hai, Har mausam main reh leta hai.
Per kuch chezein bardasht nahi hoti na motu.
Sahil hamein direct CEO ki job mil sakti hai?
Nahi uske lea to mehnat karni hoti hai bauht sacrifices krne parte hain.
To zindagi main bhi kuch acha kuch bauht khubsurat pane k lea hamein bauht kuch khona parta ha
bauht kuch dena parta ha ansu tanhai k baad hi vasl k lamhe milte hain ye usool e zindagi hai yaha
sehra se guzar k hi jheel milti hai.
Shizreh tum na writer ban jao.
(Usne muskrate hue uski ankho main dekhte hue kaha)
Sahil sahab kuch batein sirf apno ko sunate hain kuch personal bhi hona chaiye na.
Hmmm (Khamoshi aur ankho main nami, usne jawaban khamoshi ikhtiyar ki)
Tum pareshan ho? Jaane ki wajah se?
(Usne usay rok kar ankho main chupi nami ki wajah bata di, Koi hamein hum se bhi acha janta hai
kisi ka hona kisi lea zarori hai ye ehsas bhi khuda ki anmol naimaton main se hai)
Mujhe akele rehne ki aadat nahi hai, Shayad ye mera shauk na hota to kabhi yun na jaata mujhe
khauf aata ha k kahi mere peche mere apne mujhse choot na jaein
Sahil jo apne hote hain jo hamare hote hain woh kabhi hamein chor k nahi jaate, waqti duriyan kabhi
dil pe asar nhe karti jo jaha hota ha woh wahin rehta hai, ye tumhara khuwab hai aur kuch qurbani
de k hi kuch milta ha
haan lekin....
(Usne khof ki tarekh raho main gum dil ko apne maujoodgi se roshan krne k lea uske hatho main
apna hath thama diya, Sahil per ab thandi hawa'on k saath suraj akhri salami de rha tha)
Yakeen rakhna chahe kuch bhi hojae waqt ki lehrein hum dono ko kahi bhi lejain Shizreh tmhare
saath thi aur rahe gi, hamara rishta kisi waqt ka qaid nhe dunyawi duriyan kabhi haamein juda nahi
kar sakti, aur aaj kal k daur main dooriyan ho kar bhi nahi ha hum skype pe baat krein ge na, aur
tum konsa hamesha k lea jarhe ho har thore din baad ajana muree konsa dur hai ek flight ko doori
per.
Per main roz mil to nahi saku ga na tmhe tang to nhe kar sku ga na aur ami papa hadiqa uska kiya.
Unse bhi mil lena, itni aadat hamein kamzor bana deti hain be brave Mr Flirt.
Excuse me i am not Mr Flirt.
Har dusre din kisi pe crush rkhne wale ko kia kehte hain phir?
Ab zahir hai khubsurati ko praise karna chaiye na.
Full stop bhi lagna chaiye verna kahani bore lagne lagti hai.
Haan to lag jae ga na kisay jaldi hai, Ab chalein woh sab hamara wait kar rhe hoge, Apne favorite ki
farewell party arrange ki hai unho ne i am impressed.
Mene tumse ziada khud pasand shakhs nahi dekha.
Haan to mujh sa dikhe ga bhi nahi my dear.
Chaat kha k chalte hain?
Oh please tumhare ye road side adventures kabhi khatam nahi hote mera mood nahi.
Tumhara nahi to na sahi who cares bas mjhe le k do.
Dekhta hoon tumhare nakhre mere baad kon uthata hai.
Ye haq kisi ko diya bhi nahi ehsan mano k itna tumhe free kiya hua ha.
Oh really?? Aisa haq dene k lea line lagi ha, you are lucky jisay mene allow kara.
I hate you.
(Usne naak sukarte hue chir kar kandhe uchkae)
Han lekin kuch ghaltiya kabhi sudharne ka mauka nhe deti, Main ab chalti hoon tum jaldi sojana
subah jaldi uthna hai tumhe.
Jee ami.
(Dunya main kuch naimaton main se ek maa hai aur beti ki rukhsati per maa ka gale lagna aur bete
ki kamyabi per uska matha chumna ye maa aur bacho dono k lea behtreen lamhat hote hain, unhi
main se ek lamhe se woh is waqt guzar raha tha)
Love you ami.
Love you too beta...
( Subah jis anjane khof aur bechaini ne usay ghaire hue tha woh ek baar phir uske aas paas thi,
neend usay pehle hi bauht kam aati thi per is halat main sona uske lea na mumkin tha, maa k jane k
baad woh diary liye chat(roof) per chala gaya)
Part 12
Pichle kai ghanto se tez barish horai thi, Thand k mausam main barish ho to mausam lafzo ma bayan
karna na mumkin sa hota ha, Khirki usne khuli rakhi thi raat gheri thi aur woh wahin khirki k paas betha
tha, kamre main roshni na hone k barabar thi madham awaz main sound system pe gaana chal raha tha
"Tera hijr mera naseeb hai"
Hawa ka tez jhonka aya aur barish ki bondein uske chehre pe tham gayi, Gaane ma misra sun k uski soch
ka daira hamesha ki tarah ek hi jagah ruk gaya, cigarette jali hui uske hatho main thi ye aadat bhi usay
kuch mahine pehle lagi thi..
"Main aaj tumhare saath hoon lekin ek din sab ne jaana hai, main bhi chali jaogi"
Jab zakhm aur pachtawa saath ho to rooh ghayal hoti hai ansu ankho se girte nhe dil main hi samaa jate
hain kanto ki trah kahi beth k zakhmi krte rehte hain.
"Mama chahti hain main Fahad se shaadi karlu, Unho ne bauht kuch bardasht kiya hai main unhe
khushiyan dena chahti hoon, Fahad US main rehta hai tum mile bhi ho na, Khala meri jo US ma rehti hain
unka beta. Mujhe tmhara saath chaiye tha per tum bauht door ho chah k bhi ye mumkin nahi islea mene
faisla kia ha.....Tum sun rahe ho na??
(Phone pe dusri taraf se musalsal khamoshi thi)
"Hunhhh haan main sun raha hoon, Han main theek hoon"
"Kiya hua hai? Sab theek hojae ga khud ko kamzor mat banao, tum ne jo kiya woh theek tha zaroori tha"
"Han main theek hoon, Tumhe Fahad pasand hai?"
"Bura nahi hai"
Pata nahi yaar mujhe to bauht dar lag raha ha kahi ye sab halaat mere result pe na asar karein tum janti
ho mujhe kitna intezar hai result ka
ALLAH se behtar umeed rakho, Tumne kaha tha tum koshish karo ge ibadat karne ki?
(Phir khamoshi chaa gayi, Uske paas ab is baat ka koi jawab nahi tha)
Mene kuch pucha hai tumse
Haan who yaar bas mujhse nahi hota main khud ko is qabil nahi samjhta k ALLAH k samne jaa saku main
nahi kar paata
Aur mene bhi tumhe kaha tha paper har haal main attempt karna hota hai zarori nahi sab sawalo k
jawab aye ya hamein pata ho k hum pass hojae ge, attempt karna lazmi ha baki jis imtehan ka tumhe
keh rhi hoon us imtehan main niyat dekhte hain pichle gunah ya insan ko nahi
Acha main phir se try karu ga, Lekin..
Kiya hua?
Mujhe bas akelepan se khauf arha hai tum sab itna door ho aur main yaha bilkul tanha hoon mene aisa
to kuch nahi kiya jiski aisi saza mil rahi hai, najane kab mujhe wapis aane ki ijazat milti hai, I am tired of
all this mujhe sukoon nahi mil raha
Fikar na karo main hoon na tumhare saath, Kaho to main ajao tumhare paas?
Nahi aisa nahi karna, Mere circle k har shakhs pe woh log nazar rakhe hue hain, main nahi chahta
tumhare lea koi masla paida ho
Acha to bas dua karo aur sojao ab, bauht der hogai hai, hum kal baat kare ge
Haan theek hai tum sojao main bhi koshish karta hoon, Mama ko mera salaam karna
Walaikum as Salam, Apna khayal rakhna aur pareshan mat ho ALLAH HAFIZ
ALLAH HAFIZ
[Woh jis waqt ghar lauta raat k 2 baj rahe thay, Ye uske mamool ka waqt tha pichle do mahine isne apni
zindagi se raat aur din ka farq khatam kar diya tha, Thandi chandni aur tez dhoop dono ek si hi thi, Insan
jab maqsad e hayat teh kar le to usay khud ko bhula dena parta ha, Waqt kabhi na kabhi hum sab ko hi
aise kisi morr per le hi aati hai jab hamein sab bhula dena parta ha, apni khushiyan apne sapne,
hasratein sab be matlb si hojati hain aur yahi waqt hamein azmata hai, Kuch sekhne k lea hamein sabak
lena parta hai kuch paane k lea khona bhi parta hai, Raat guzre gi to hi ujala aye ga, hum jinhe jeene ki
wajah samajhte hain aksar wahi hamein apne baghar jeena sikha jate hain. Usne Shave barha li thi,
Ankhein surkh thi aur woh arse se bhatkte hue musafir ki tarah dikh rha tha]
[Apne roz k mamool k mutabik usne kapre badle aur naha kar usne khana garam karne k lea microwave
main rakha, is doran usne TV bhi on kar liya tha aur TV per kuch na mila to usne Pakistani news channel
ka rasta ikhtiyar kiya jaha media ki tehzeeb aur riwayat k mutabik wahi talk show chal raha tha jaha har
siasat daan khud ko farishta aur apne hareef ko iblees ka numainda sirf camera k on hone tak samjhta
hai, Phir yehi siasat dan to camera ki aankh main watan ki muhabbat main sipahi ban kar lar rahe hote
hain niji mehfilo main saath kha bhi rahe hote hain aur islami jamhuriya Pakistan main pee bhi rahe hote
hain, Hamare maashre ka ye almiya hai hamein apna chahe woh maikhaane main hi kyun na mile naik
momin lage ga jese abhi kisi bache k kaan main adhan di gai ho, aur apna mukhalif chahe naiki ka kaam
bhi karta dikhe to pehla lafz hamare mu se nikalta hai Show off, Per watan se dur reh kar usay ye sab
watan ki yaad dilata tha so khana khatam hone tak socha yehi dekha jae, Kuch hi pal guzre thay k bin
bulaye mehmaan jese Breaking News agai]
[Ba-asar khandan se taluk rakhne wale naujawan k hatho 24 saala naujawan ka qatal
Ye sunte hi khane ka niwala uske mu main hi ruk gaya, Uski ankho ko dekh kar koi kam-nazar bhi keh
sakta tha woh kis kafiyat se guzar raha hai
Naujawan ki choti behan ghar wapsi per thi k parking area main do larko ne rasta rokne ki koshish ki
Hatho main qaid shehshe k glass per uski giraft barhti jarahi thi
Rasta rokne aur uski behan ko nazeba alfaz kehne per dono naujawan k bech talkh kalami tab shidat
ikhtiyar kar gayi jab gusse main aa kar ba asar khandan k chashmo chiragh ne dhamki di aur kuch hi pal
main do goliyan naujawan per chala di gayi, Dono mulzim is waqt farar hain aura ala satah pressure k
bais Police insaf Farham karne main nakam
Achanak se kaanch tootne ki awaz aayi aur uske hatho se khoon behne laga, usne uth kar ek jhatke main
TV apne pairo se niche gira diya, Jazbati woh shuru se tha per pichle 2 mahino se woh beqabu hojata,
Usi taish k alam main woh ab apne kamre main aagaya aur almari ki daraaz se apni goliyan nikal kar
unhe nigal gaya, Uski ankhein surkh aur mathe per pasina tha ek baar phir usay wahi sab yaad araha tha,
Usne sona behtar samjha islea lahasil koshish karne k lea bistar pe lait gaya.]
Sahil usay chor do, Ye log aise hi hain tum in sab se nahi lar sakte
Tum buzdilo wali baat na karo, In logo ne tamasha banaya hua, Is mulk ko apne baap ki jageer samjhte
hain aiso ko beech sarak per maar kar latka dena chaiye, Inki himmat kese hui ye sab karne ki, aur tumhe
rone ki zarorat nahi hai main hoon tumhare saath
Sahil tum yaha parhne aae ho aur Papa ki death k baad yahi sab hota arha ha mere saath, jiske ghar
main mard na ho us ghar ki auratein aur unki izatein aise hi khatre main hoti hai tum apne khuwab pure
karne aye ho please usi pe dihan do main Police ma complain karu gi
What a joke yaar wah aur tumhe lagta hai Police in ka kuch kar sakti hai? Ulta tumse aise sawal karein
ge k jo hua ha us se badtar hoga
Lekin tumhe in sab main parne ki zarorat nahi samjhe tum?
Aur tum bhi sun lo aiso ko main nahi bakshta, jo kia ha unki saza lazmi hai
Lekin Sahil please meri baat suno
Mujhe kuch nahi sunna